Ilzaam tha diye pe na taqseer raat ki 
Hum ne to bas hawa kay taaluq se baat ki 
Her subha jab keh subh-e-qayamat ki tarah aye 
Aisay main kon ho ga jo sochay sabaat ki 
TAkleef to hui magar ae nakhun-e-malaal 
Khulnay lagi girah bhi koi apni zaat ki 
Zanjeer hai , jazeera hai ya shaakh-e-be'samar 
Ab kon si lakeer salamat hai , haat ki 
Marnay agar na payi to zinda bhi kab rahi 
TAnha kati woh umar jo thi teray saat ki 
Phir bhi na mera qafla lutnay se bach saka 
Main ne khabar to rakhi thi aik aik ghaat ki 
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment