Waqat kay saath anasar bhi rahay sazish main 
Jal gaye pairr kabhi dhoop kabhi baarish main 
Woh to ik sada-o-kam shouq ka talab nikla 
Hum ne na'haq hi ganwaya ussay araaishmain 
Zindagi ki koi mehroomi nahin yaad ayi 
JAb talak hum thay teray qurab ki asaish main 
Aik duniya ka qaseeda tha agarcha meray naam 
Lutaf ata tha kisi shakhs ki femaish main 
Us ki aankhin bhi meri tarah se girvi kahin aur 
Khwaab ka qarz barha jaata hai ik khwaish main 
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment