Ik safar manzil-e-be'naam ki khaatar kar kay 
Ab na aansoo hain , na aaina kahin meray qareeb 
Na woh mehfil hai mohabbat ki 
Na woh manzar hai kahin 
Dil-e-be'taab ko jo wajah-e-tassali ban jaye
Saaye ki tarah larazta hai , magar milta nahin 
Dil khizaan ka hai koi phool keh jo khilta nahin 
Ik safar-e-manzil-e-be'naam ki khaatar kar kay 
Jaanay kis mor pe hum aaj rukay hain phir se
Ik safar manzil-e-be'naam ki khaatar kar kay 
Jaanay kis mor pe hum ayein , keh murr kay dekhain 
To koi raah , na dildaar , na khushboo koi 
Aik snaatay ki awaaz musal'sal goonjay 
Uthti hai meray dil se lau dhuwaan ki tarah 
Ik dhundlakay main chuppa leti hai manzar saaray 
 
 
 
          
      
 
  
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
No comments:
Post a Comment