Kisi kay hijar main yeh zindagi kaisay guzaari hai 
Tumhain maloom hai hum ne 
Kisi kay hijar main yeh zindagi kaisay guzaari hai 
Her ik khushboo ki aahat par 
Gumaan us ka guzarta tha 
Her aik sa'at yeh dil aankhon main aa kay baith jaata tha 
Kai pehlu badalti sa'atain haathon ko phailaye
Dua main maangtay aur haamptay dil se guzarti thein 
Magar jo hijar laa'haq hai
Woh jism-o-jaan ki dewaarain giraata hai 
Umeed-o-baam ki aankhon se beenai kay saaray 
Manzaron ko 
Khaak karta aur mitaata hai 
So hum bhi khaak hain 
Aur khaak ki taqdeer main likha gaya hai be'amaan rehna  
 
 
 
          
      
 
  
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
No comments:
Post a Comment