Hum se jab woh hont milaatay hain 
Meh'kaday bansuri bajaatay hain 
Aao hum ko faraib do koi 
Hum khushi se faraib khaatay hain 
Jo teray dar se na'muraad aaye 
Ab meray dar ko khat'khata'tay hain 
Teri mehfil ki roshni kay liye
Aaj hum apna dil jalatay hain 
Youn khanakti hai nabz-e-dil jaisay 
Junglon kay sakoot gaatay hain 
Dil Alm hi se shaaq nahin hota 
Dil khushi se bhi toot jatay hain 
Aap bhi koi hukam farmayin 
Mah'jabeen khidmatain  karwatay hain 
Tum ne dil ko ujaar hi daala 
Kya sajan youn ghar banatay hain 
Koi matti ka koi chaandi ka 
Ghar main sab hi diye jalatay hain 
No comments:
Post a Comment