Ranj-e-be'kaifi-e-hayaat nahin 
Aap khush hain to koi baat nahin 
Sochiye to hazaar baatein hain 
Ghour keejiye to koi baat nahin 
Tazkaray hain khaloos kay jin main 
Daastanain hain waqiyaat nahin 
Fikar ho jin kay toot janay ka 
Un se aisay taaluqaat nahin 
Zikar hai gardish-e-zamana ka 
Aap ki Aankhriyon ki baat nahin 
Kitni shamain jalaao gay 
Zindagi garmiyon ki raat nahin 
No comments:
Post a Comment