Kahan ho tum chalay aao mohabbat ka takaza hai 
Gham-e-duniya se ghabra kar tumhain dil ne pukaara hai 
Kahan ho tum 
Tumhari be'rukhi ik din hamari jaan lay lay gi 
Qasam tum ko zara socho, keh dastoor-e-wafa kiya hai 
Kahan ho tum 
Na hai fariyaad  honton par na aankhon main koi aansoo 
Zamanay se mila jo gham ussay geeton main dhaala hai 
Kahan ho tum 
Kahan ho tum chalay aao mohabbat ka takaza hai 
Gham-e-duniya se ghabra kar tumhain dil ne pukaara hai 
No comments:
Post a Comment