Main poochta hoon yeh kar-o-baar kis ka hai 
Yeh dil mera hai magar ikhtiyaar kis ka hai 
Yeh kis ki raah main baithay huye ho farhat jee 
Yeh to muddaton se tumhein intizaar kis ka hai 
Tarap tarap kay yeh jab sard honay lagta hai
To poochtay hain dil be'qaraar kis ka hai 
Yeh baat teh hi nahin ho saki hai aaj talak 
Hamaray dono main aakhir faraar kis ka hai 
Na'janay kis ne meray manzaron ko dhund'laya 
Na'janay shaher pe chaya ghubaar kis ka hai 
No comments:
Post a Comment