Tumhara pyar meray chaar su abhi tak hai 
Koi hisaar meray chaar su abhi tak hai 
Bichartay waqat jo somp kar gaye mujhay 
Woh intizaar meray chaar su abhi tak hai 
Tu khud hi janay kahin door kho gaya hai magar 
Teri pukaar meray chaar su abhi tak hai 
Main jab bhi nikla meray paon chaid dalay ga
Jo khaar'zaar meray chaar su abhi tak hai 
Main ab bhi girtay huye paniyon ki qaid main hoon 
Ik Aabshaar meray chaar su abhi tak hai 
Koi gumaan mujhay tum se door kaisay karay
Keh aaitabar meray chaar su abhi tak abhi tak hai
Koi gumaan mujhay tum se door kaisay karay
Keh aaitabar meray chaar su abhi tak abhi tak hai
No comments:
Post a Comment