Tera wasal toot kay itni door nikal gaya 
Keh ajara daari hijar bhi na rahi kahin 
Thay jo jism-o-jaan main mufah'mat kay niqarchi
Bari be'basi se khud apnay dukh main bikhar gaye
Hain kahin kahin hamein maah-o-mehar ki bandishein 
Teri raah main warna hamara rukna mohaal hai 
Tujhay aarzu'on pe naaz hai mujhay dard par 
Agar apna apna faraib hai to yahi sahi 
Jahan be'shumar hon zabt-e-gham ki nishaniyan 
Issay zabt-e-gham ki dokaan kehna ghalat hai 
No comments:
Post a Comment