Badan ki sar'zameen par to hukam'raan aur hai 
Magar jo dil main bas raha hai meharbaan aur hai 
Jo mujh se munsalik huyein kahaniyan kuch aur thein 
Jo dil ko paish aayi hai woh daastaan aur hai 
Yeh mar'hala to sehal tha mohabbaton main wasal ka 
Abhi tumhein khabar nahin ik imtihaan aur hai 
 Woh din kidher gaye meray woh raat kya hui meri 
Yeh sar zameen nahin hai woh yeh aasmaan aur hai 
Woh jis ko daikhtay ho tum zarooraton ki baat hai 
Jo shairy main hai kahin woh khush biyaan aur hai 
Jo saa'iye  ki tarah se hai woh saya daar bhi to hai 
Magar hamein mila hai jo woh saye'baan aur hai 

No comments:
Post a Comment