Jul 24, 2016

Bakh'shish hua yakeen , gumaan be'libaas hai


Bakh'shish hua yakeen , gumaan be'libaas hai 
Hai aag jama-e-zaib , dhuwan be'libaas hai 

Hai yeh fiza hazar libason ka ik libaas
Jo be'libaas hai woh kahan be'libaas hai 

Malboos taar tar-e-nafs hai ziyan-e-sood 
Sood-e-ziyan yeh hai keh ziyan be'libaas hai 

Meh'mal nasheen-e-rang ! Koi posteen-e-rang 
Raig rawan hoon raig-e-rawan be'libaas hai 

Ab para para poshish-e-guftaar bhi nahin 
Hain saans be'rafu soziyan be'libaas hai 

Sad jama-e-posh jis ka hai jism bar'hana bhi 
Khilwat sara'iye jaan main woh jaan be'libaas hai 

Hai bood aur nabood main poshish na pai'rahan 
Yaaran-e-makeen kya keh makaan be'libaas hai 

Tu khud hi daikh rang-e-badan apna josh-e-rang 
To apnay libaas main jaan be'libaas hai 

Gham ki bar'hangi ko kahan se jurray libaas 
Main lab seesay huye hon , faghan be'libaas hai 

Koi gumaan bhi nahin darmiyan , gumaan hai yahi


Koi gumaan bhi nahin darmiyan , gumaan hai yahi 
Isi gumaan ko bacha loon keh darmiyan hai yahi 

Yeh aadmi kay hain anfaas jis kay zehar farosh 
Ussay bithao keh mera mizaaj wahan hai yahi 

Kabhi kabhi jo na ayo nazar to seh lain gay 
Nazar se door na hona keh imtihaan hai yahi 

Main aasman ka ajab kuch lihaaz rakhta hoon 
Jo is zameen ko seh lay woh aasman hai yahi 

Yeh aik lamha jo dariyaft kar liya main ne 
Wisal-e-jaan hai yahi aur firaaq-e-jaan hai yahi 

Tum un main se ho jo yahan fateh'mand thehray hain 
Suno keh wajah gham-e-dil-e-shakistagaan hai yahi 

Kon se shouq kisi hawas ka nahin


Kon se shouq kisi hawas ka nahin 
Dil meri jaan teray bas ka nahin 

Raah tum karwaan ki lo keh mujhay 
Shouq kuch naghma-e-jars ka nahin 

Haan mera woh mo'amla hai keh ab 
Kaam yaaran-e-nukta ras ka nahin 

Hum kahan se chalay hain aur kahan 
Koi andaza-e-paish ka nahin 

Ho gayi is gilay main umar tamaam 
Paas sholay ko khaar-o-khash ka nahin 

Mujh ko khud se juda na honay do 
Baat yeh hai main apnay bas ka nahin 

Kya laraai bhala keh hum main se
Koi bhi sainkron bars ka nahin 

Dil tamana se dar gaya jaanam


Dil tamana se dar gaya jaanam 
Sara nasha utar gaya jaanam 

Ik palak beech rishta-e-jaan se
Her zamana guzar gaya jaanam 

Tha ghazab faisalay ka ik lamha 
Kon phir apnay ghar gaya jaanam 

Janay kaisi hawa chali ik baar 
Dil ka daftar bikhar gaya jaanam 

Apni khawab-o-khayal duniya ko 
Kon bar'baad kar gaya jaanam 

Thi sitam hijar ki maseehai 
Aakhrish zakham bhar gaya jaanam 

Ab bhala kya raha hai kehnay ko 
Yehni main be'asar gaya jaanam 

Na raha dil na daastan dil ki 
Ab to sab kuch basar gaya jaanam 

Zaahir tha apnay tor se jeena 
Koi ik tha jo mar gaya jaanam

Gumaan ki ik parishan manzari hai


Gumaan ki ik parishan manzari hai 
Bas ik deewar hai aur be'dari hai 

Agarcha zehar hai duniya ki her baat 
Main pee jaon isi main behtari hai 

Tu aye baad-e-khizaan us gul se kehna 
Keh shaakh umeed ki ab tak harri hai 

Gali main us nigar-e-na'shano ki 
Faghan karna hamari nokari hai 

Koi leh'kay khayaban-e-saba main 
Yahan to aag seenay main bharri hai  

Haal khush tazkara nigaaron ka


Haal khush tazkara nigaaron ka 
Tha tu ik shaher khaak'saaron ka 

Pehlay rehtay thay koocha-e-dil main 
Ab pata kya hai dil fagaron ka 

Ku-e-jaana ki naaka bandi main 
Bistra ab kahan hai yaaron ka 

Chalta jaata hai saans ka lashkar 
Kon pur'saan hai yaad'gaaron ka 


Apnay andar ghist raha hoon main 
Mujh se kya zikar raah'guzaron ka 


Un se jo shaher main hain be'daa'wa
Aaish mat pooch daway'daron ka 

Kaisa yeh moh'raka hai bar'pa jo 
Na piyadon ka na sawaron ka 

Main to khair apni jaan hi se gaya
Kya hua janay jaan'nisaron ka 

Kuch nahin ab siwa-e-khaakstr
Aik jalsa tha shola khawaron ka 

Woh khayal-e-mohaal kis ka tha


Woh khayal-e-mohaal kis ka tha 
Aaina be'misaal kis ka tha 

Safri apnay aap se tha main 
Hijar kis ka , wisaal kis ka tha 

Main to khud main kahin na tha mojood 
Meray lab par sawal kis ka tha 

Thi meri zaat ik khayal-e-Aashoob
Janay main hum'khayal kis ka tha 

Jab keh main her nafs tha be'ehwaal 
Woh jo tha mera haal kis ka tha 

Do'pehar ! baad-e-tund ! koocha-e-yaar !
Woh ghubaar-e-malaal kis ka tha  

Dil se hai bhout guraiz paa tu



Dil se hai bhout guraiz paa tu 
Tu kon hai aur hai bhi kya tu 

Kiyon mujh main ganwaa raha hai khud ko 
Mujhay aisay yahan hazar haa tu 

Hai teri judai aur main hoon 
Miltay hi kahin bichar gaya tu 

Poochay jo tujhay koi zara bhi 
Jab main na rahon to daikhna tu 

Ik saans hi bas liya hai main ne 
To saans na tha , so kya hua tu 

Hai kon jo tera dhiyaan rakhay 
Baahir meray bas kahin na jaa tu 

Main sahon karb-e-zindagi kab tak


Main sahon karb-e-zindagi kab tak 
Rahay aakhir teri kami kab tak 

Kya main aangan main chor doon sona 
Jee jalaye gi chandani kab tak 

Ab faqat yaad reh gayi hai teri 
Ab faqat teri yaad bhi kab tak 

Main bhala apnay hosh main kab tha 
Mujh ko duniya pukarti kab tak 

Khaima-gah-e-shumaal main ..... aakhir 
Us ki khushbu rachi basi kab tak 

Ab to bas aap se gila hai yeh hi 
Yaad ayein gay aap hi kab tak 

Marnay walo zara batao to 
Rahay gi yeh chala chali kab tak 

Jis ki tooti thi saans aakhir-e-shab 
Dafan woh aarzu hui kab tak 

Dozakh-e-zaat ba'wajood teray 
Shab-e-furqat nahin jali kab tak 

Apnay choray huye mohallon par 
Raha doraan-e-jaan kani kab tak 

Nahin maloom meray aanay par 
Us kay koochay main lu chali kab tak 


Khoon thookay gi zindagi kab tak


Khoon thookay gi zindagi kab tak 
Yaad aaye gi ab teri kab tak 

Jaanay walon se poochna yeh saba 
Rahay Aabaad dil ki gali kab tak 

Ho kabhi to sharab-e-wasal naseeb 
Pee'iye jaon main khoon hi kab tak 

Dil ne jo umar bhar kamai hai 
Woh dukhan dil se jaye gi kab tak 

Jis main tha soz-e-aarzu us ka 
Shab-e-gham woh hawa chali kab tak 

Bani aadam ki zindagi hai azaab 
Yeh khuda ko rulaye gi kab tak 

Haadsa zindagi hai aadam ki 
Saath de gi bhala khushi kab tak 

Hai jahanum jo yaad ab us ki 
Woh beh'shat-e-wajood thi kab tak 

Woh saba us kay bin jo aayi thi 
Woh ussay poochti rahi kab tak 

Haal-e-sehan-e-wajood thehray ga 
Tera hungaam-e-rukhsati kab tak 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...