Sep 30, 2014

Mere jism se meri rooh nikaal di usne


Mere jism se meri rooh nikaal di usne

Mujhe udaas rehne ki adat daal di usne

Main ny jb b usay apna bnana chaha

Baton Baton mein baat taal di us ny

Kisi ne us se pucha k chahat kya hy dost

Pehle to bohot roya phr meri misaal di usne

Main ne kaha mere liye bhi dua kia karo





Main ne kaha mere liye bhi dua kia karo

us ne kaha is ki fikar na kiya karo,

main ne kaha mere zehan pe rehta hai bojh sa

us ne kaha chupke se thora ro liya karo

main ne kaha ratoon ko neend nahi aati

us ne kaha soney ki koshish to kya karo

main ne kaha dil me teri yadain hain

us ne kaha dil ko samjha liya karo

main ne kaha tere milne ki koi umeed hai

us ne kaha pagal qismat pe itna bharosa na kiya karo

Sharafat soz tasveeron ki uryani nahi jati





Sharafat soz tasveeron ki uryani nahi jati
adab ki aar main targheeb-e-roomani nahi jati

Khuda maloom kia anjaam hoga nasl-e-aadam ka
"watan" se fahash naghmon ki farawani nahi jati

Azab aaye to us main sainkron ki jan jati hai
nahi jati to shaitanon ki shaitani nahi jati

Kaheen basti ki basti boond pani ko tarasti hai
kaheen barish barasti hai to tughyani nahi jati

Jahan k zrray zrray se numayaan hai jalal uska
magar ham se khuda ki zaat pehchani nahi jati

Zamana is qadar qaail hua hai jhoot ka yaaro
jo sach kehta hai uski aik bhi maani nahi jati

Mujhe muhabaton se kuch mila nahi



Mujhe muhabaton se kuch mila nahi
Mujhe tum se bhi koi gila nahi

Meri zindagi hai aik aisa uljha sawal
Jo aj tak kisi se suljha nahi

Meri zaat se kisi ko koi taklef ho
Mene to kabhi ye chaha nahi

Har 1 ne mujh hi ko dard diya
Mera to dard bhi kisi ne samjha nahi

Kiyon me raston ko ilzam don?
Mera humsafar hi sath chala nahi

Me usko Bewafa sa lagta hon
Jise khud wafa ka pata nahi

Mera saawan bhi tum ho meri peyas bhi tum ho





Mera saawan bhi tum ho meri peyas bhi tum ho

sehra ki bahon main chupi aas bhi tum ho

tum yun to bohat door bohat door ho mujh se

ehsas yeh hota he

mery pas bhi tum ho

har zakham ki aaghosh main he dard tmhara

har dard main taskeen ka ehsas b tum ho

kho jao to veeran c ho jati hain rahein

mil jao to phir jeeny ka ehsas b tum ho

likhta hon to tum hi utartay ho qalam se

parhta hon to lehja b tum aawaz b tum ho.

Ik jabr hai ab ahsas-e-wafa





Ik jabr hai ab ahsas-e-wafa

ye dil me basana theek nahi

Ab saaz-e-dil afsurda par

is geet ko gaana theek nahi

Tum bhool chuke yeh sab behtar

tum choor chale ye or acha

khawabon me magr majboron ko

ye aana jana theek nahi

Keh do k nahi hum mil sakte

keh do k koi majbori hai

lekin ye labon tak la la kar

baaton ko chupana theek nei

ay shoq-e-junoon ab baaz bhi aa

kuch maan b le tu mera kaha

jo jaan k b anjaan bane

gham os ko sunana theek nahi

Ab choor b do deewana pan

ab bhool b jao maazi ko

ye pal pal hr pal khalwat me

ashkon ka bahana theek nahi

Zindagi ki rahon mein tum bhi chor gaye akhir





Zindagi ki rahon mein tum bhi chor gaye akhir

baray hmdard bntay thay mera dil tor gaye akhir

tm pe to baray maan thay meri umeedon ko

ab kis se gila kroon tm hi moh mor gaye akhir

log to chlo log thay unho ne jo kiya so kiya

bhri duniya mein aj tm bi tanha chor gaye akhir

tm to kehtay thay hum wo nhi k chorein apno ko

apne waday apni kasmen khud hi tor gaye akhir

wah kya khoob dosti nibhaayi hai tm ne

dost ko rah mein rota chor gay akhir...!!

Khat likh rahi hoon ehd e mohabat ko torr kar


Khat likh rahi hoon ehd e mohabat ko torr kar

Kagaz pe aansu'on ki jagha chorr chorr kar

Tu fikar mand q hai mere dil ko torr kar

Main khud hi ja rahi hoon tera shehr chorr kar

Kal raat likhne baitha gazal tere naam ki

Alfaaz samnay thy kharray haath jorr kar

Main jis main dekhta thi tera aks ay dost

Tu ne hi rakh diya wo aaina torr kar.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...