Sep 11, 2014

Mujh ko aur kahin jaana tha


Mujh ko aur kahin jaana tha

bas youn hi rasta bhool gaya tha

Dekh kay teray dais ki rachna

Main ne safar moqoof kiya tha

Kaisi andheri shaam thi us din

Baadal bhi ghir kar chaya tha

Raat ki toofaani baarish main

Tu mujh se milnay aya tha

Maathay pe boondon kay moti

Aankhon main kajal hansta tha

Chaandi ka aik phool galay main

Haath main baadal ka tukra tha

Bheegay kapray ki lehron main

Kundan sona damak raha tha

Baarish ki tirchi galiyon main

Koi chragh liye phirta tha

Bheegi bheegi khamoshi main "Nasir"

Main teray ghar tak aya tha

Jab yaadon ki rut aati hai


Jab yaadon ki rut aati hai

Armaano ko tarpaati hai

Neend ki pariyaan urr jaati hain

Raat ki nagan lehraati hai

Aankhain pathar ban jaati hain

Rooh badan main ghabraati hai

Main khud se baatain karta hoon

Jab tanhai staati hai

Zehan main sochain chubti hain to

Hasrat aansoo ban jaati hai

Dard ki aahat dil main aa kar

Hosh urra kar lay jaati hai

Aik din tum se milain gay hum

Gardish-e-doraan samjhaati hai 

Raat kat'ti rahi , chaand jalta raha


Raat kat'ti rahi , chaand jalta raha

Aatish-e-hijar main koi jalta raha

Tanhai dil ko dasti rahi

Koi be'chain karwat badalta raha

Aas-o-umeed ki shamma roshan rahi

Ghar ki dehleez ko koi takta raha

Raat bhar chandani gun'gunaati rahi

Raat bhar koi tanha siskata raha

Ashk palkon pe aa kay bikhartay rahay

Naam lab pe kisi ka larazta raha

Aaj phir raat basar ho hi gayi

Aaj phir koi khud se ulajhta raha

Meray parwar'digaar



Meray parwar'digaar

Mujhay sukhan wari ata kar

Lafzon ki jaado'gari ata kar

Mujhay mehkanay ka hunar dy

Jo dilon pe naqsh ho jaye

Meri baat main aisa asar dy

Jo mita dy tera shabi

Zehan-o-dil ki

Mujhay bas

Ik aisay harf ki roshni dy

Andesha-e-zawaal se aagay nahin gaya


 Andesha-e-zawaal se aagay nahin gaya
Dekha main kis kamaal se aagay nahin gaya

Shayed mera khayal haqeeqat shnaas tha
Yehni teray jamaal se aagay nahin gaya

Amaal ka hisaab woh lenay ko aye thay
Lakin main qabal-o-qaal se aagay nahin gaya

Duniya badal gayi , magar aya nahin jawaab
Main aisay ik sawaal se aagay nahin gaya

Bas door door hi se behalta raha yeh dil
Janay kis ehtamaal se aagay nahin gaya

Dukh sukh main kiya woh saath nibhaata jo umar bhar
Apni hi dekh bhaal se aagay nahin gaya 

MAin khyaal hoon kisi aur ka , mujhay sochta koi aur hai



MAin khyaal hoon kisi aur ka , mujhay sochta koi aur hai

Sar-e-aaina mera aks hai , pas-e-aaina koi aur hai

Main kisi kay dast-e-talab main hoon tu kisi kay harf-e-dua main hoon

Main naseeb hoon kisi aur ka , mujhay maangta koi aur hai

Ajab aaitabaar-o-be'aaitabaari kay darmiyaan hai zindagi

Main qareeb hoon kisi aur kay , mujhay jaanta koi aur hai

Meri roshni teray khad-o-kaal se mukhtalif to nahin magar

Tu qareeb aa, tujhay dekh loon to wohi hai ya koi aur hai

Tujhay dushmano ki khabar na thi , mujhay doston ka pata nahin

Teri dastaan koi aur thi , mera waqiya koi aur hai

Wohi munsafon ki riwayatein , wohi faisalon ki ibaaratein

Mera juram to koi aur tha , par meri saza koi aur hai

Hansaya gaya hai , rulaya gaya hai


Hansaya gaya hai , rulaya gaya hai

Hamain her tarah azmaya gaya hai

Smaa'at kiya jaa sakta hai kisi se

Na hum se gham-e-dil sunaya gaya

Bhala aur izzat afzaai kiya ho gi

Bharri anjuman se uthaya gaya hai

Naye rind issay qabil-e-deed samjhain

Hamara jo huliya banaya gaya hai

Mussarat ka ik ik pal zindagi main

Bari khush dili se ganwaya gaya hai

Bachaao bikharnay se yeh aashiyana

Bhout mushkilon se banaya gaya hai

Shaoor, aisay tashreef laye hain goya

Inhain minaton se laya gaya hai

Salamat rahay teri aankhon ki yeh masti


Salamat rahay teri aankhon ki yeh masti 

Mujhay meh'kashi ki zaroorat nahin hai 

Agar tu kahay to khud ko bhula doon main 

Tujh ko bhulaanay ki himmat nahin hai

Meri yaad ayi ho gi , koi dar khula to ho ga


Meri yaad ayi ho gi , koi dar khula to ho ga 

Mujhay chor janay wala mujay sochta to ho ga 

Yeh udaas udaas phirna yeh kisi se bhi sambhalna 

Hai youn hi nahin yeh sab kuch koi saaniha to ho ga

Be'wafa ho tum to wafa kar nahin saktay


Be'wafa ho tum to wafa kar nahin saktay 

Ab zakham yeh asaani se bhar nahin saktay 

Haan zindagi main teray baghair

Tarpain gay hum zaroor magar mar nahin saktay

Wafa ka naam zamanay main aam kar jaaon


Wafa ka naam zamanay main aam kar jaaon 

Phir is kay baad zinda rahoon keh mar jaaon 

Meray wajood ka to yeh bhi masraf hai 

Dilon main pyaar ki maanind main utar jaaon

Chaandni raaton main tum se milna chahti hoon


Chaandni raaton main tum se milna chahti hoon

Yeh doori qurbat main badalna chahti hoon 

Sard raat kay dhundlay andheron main 

Ik pal main poori zindagi jeena chahti hoon

Kitnay badal gaye hain woh halaat ki tarah


Kitnay badal gaye hain woh halaat ki tarah 

Aisay mile hain keh pehli mulaqaat ki tarah 

Hum kisi se kiya gila karain gay ?

Hamain tio zindagi bhi mili khairaat ki tarah

Jin kay dil main ghar huye , woh dil nagar na huye


Jin kay dil main ghar huye , woh dil nagar na huye 

Likhaye naam hathaliyon pe magar hum'safar na huye

Ajab tareeqay hain tujhay bhoolnay kay ae jaana 

Ik pal bhi teri yaad se ghafil nahin huye

Yeh us ki saza thi ya meri maloom na hua


Yeh us ki saza thi ya meri maloom na hua 

Silsala dosti ka kab toota maloom na hua 

Hum ne her haal main nibhaanay ki , ki koshish 

MAgar us kay dil main kiya tha maloom na hua

Shaher kay sab log tehray ajnabi


Shaher kay sab log tehray ajnabi 

Zindagi tu kab mujhay raas aye gi 

Ab to sehra main bhi jee nahin lagta 

Dil ki veerani kahan lay jaye gi

Dil teri yaad ki shamm'on ko jala deta hai


Dil teri yaad ki shamm'on ko jala deta hai 

Aankh lagti hai to palkon pe saja deta hai 

Main teri simat jo barhta hoon to wajdaan mera 

Teri ruswai kay charchay se dara deta hai 

Khushk aankhon se bhi ashkon ki mehak aati hai


Khushk aankhon se bhi ashkon ki mehak aati hai 

Main teray gham ko zamanay se chupaon kaisay 

Woh rulaata hai jee bhar kay rulaaye mujh ko 

Woh meri aankhain hain main un ko rulaon kaisay

Teri mohabbat main yeh kaisa ehsaas hai


Teri mohabbat main yeh kaisa ehsaas hai 

Keh tu door ho kar bhi meray dil kay paas hai 

Main teri tamana ko dil se mittaon kaisay 

Tu samnadar hai , aur mujhay teri pyaas hai

Karray hain hijar kay lamhaat us se keh dena


Karray hain hijar kay lamhaat us se keh dena 

Bikhar rahi hai meri zaat us se keh dena 

Wafa ki raah main aaj bhi akeli hoon main 

Koi nahin hai meray saath us se keh dena

Gham apnay kisi tor ayaadat nahin kartay


Gham apnay kisi tor ayaadat nahin kartay 

Hum ehal-e-wafa itni jasarat nahin kartay 

Hum log khata waar-e-mohabbat sahi lakin 

Hum loh wafaon ki tijaarat nahin kartay

Manzil to kuch bhi door na thi is nishaan se


Manzil to kuch bhi door na thi is nishaan se 

Thak kay jahan gira tha prinda uraan se

BArson ka saath chor kar woh is tarah gaya 

Jaisay koi satoon gira ho makaan se

Janay kiyon yeh gumaan hota hai


Janay kiyon yeh gumaan hota hai 

Keh woh nazar aye ga sar-e-raah chaltay waqat 

Khuda likh dy ga ussay meri qismat main 

Kisi qabuliyat ki gharri main shaam dhaltay waqat

Tumhain yaad kar kay kabhi roti kabhi hansti hoon main


Tumhain yaad kar kay kabhi roti kabhi hansti hoon main 

Tasawur main tujhay laa kar laakh baatain karti hoon main 

Kabhi kadooraton , kabhi mohabbaton kay nashay main choor ho kar 

Dil ki tamaam batain tujh se keh jaati hoon main

Phool khushboo aur nizaaray


Phool khushboo aur nizaaray 

Chaand sitaray saray kay saray 

Lagtay hain mujh ko pyaaray 

JAb bhi tum ho saath hamaray

Pyaar jinhain ho jaye un ko chain bhala kab mil paata hai


Pyaar jinhain ho jaye un ko chain bhala kab mil paata hai 

Shab bhar ashk bahanay wale kuch kuch pagal hotay hain 

Us kay ishq main bheek kay wasiq hum ko yeh ehsaas hua 

Dil ki baat main aanay wale kuch kuch pagal hotay hain

Mujhay kiyon aziz hai yeh dhuwan dhuwan sa mousam


Mujhay kiyon aziz hai yeh dhuwan dhuwan sa mousam 

YEh hawaye shaam-e-hijraan mujhay raas hai to kiyon hai 

MAin ujar kay bhi hoon tera , tu bichar kay bhi hai mera 

YEh yaqeen hai to kiyon hai , yeh qayaas hai to kiyon hai

Kabhi kabhi khud hi muskuraana acha lagta hai


Kabhi kabhi khud hi muskuraana acha lagta hai 

Hawaon se khushbo'on se baatain karna acha lagta hai 

Waisay to hum bhout masroof hain ae yaar 

Magar kabhi kabhi khud main gum rehna acha lagta hai

Dil main musarton ki jaga dard bas gaye


Dil main musarton ki jaga dard bas gaye 

Khushiyon ko jaisay siyaah naag gham kay das gaye 

KAl jab mera makaan jala tez dhoop thi 

Aur aaj us ki raakh pe baadal baras rahay hain 

Hum ne parhay hain itnay mohabbat kay fasanay



Hum ne parhay hain itnay mohabbat kay fasanay 

Lagta hai her kitaab ki hai jaan mohabbat 

Paani pe bahi , rait pe tarpi , chunni gayi 

Banti gayi hai dukh ka bhi unwaan mohabbat 

Kahan jayo gay mujhay chor kar , main yeh pooch pooch kar thak gaya


Kahan jayo gay mujhay chor kar , main yeh pooch pooch kar thak gaya

Woh jawaab mujh ko kiya deta woh khud srapa-e-sawaal tha 

Woh mila ti sadiyon kay baad bhi meray lab pe koi gila na tha

Ussay meri chup ne rulaa diya , jissay guftagoo main kamaal tha 

bas youn hi rasta bhool gaya tha


Mujh ko aur kahin jaana tha 
bas youn hi rasta bhool gaya tha 

Dekh kay teray dais ki rachna 
Main ne safar moqoof kiya tha 

Kaisi andheri shaam thi us din
Baadal bhi ghir kar chaya tha 

Raat ki toofaani baarish main 
Tu mujh se milnay aya tha 

Maathay pe boondon kay moti 
Aankhon main kajal hansta tha 

Chaandi ka aik phool galay main 
Haath main baadal ka tukra tha 

Bheegay kapray ki lehron main 
Kundan sona damak raha tha 

Baarish ki tirchi galiyon main 
Koi chragh liye phirta tha 

Bheegi bheegi khamoshi main "Nasir"
Main teray ghar tak aya tha

Armaano ko tarpaati hai


Jab yaadon ki rutaati hai 

Armaano ko tarpaati hai

Neend ki pariyaan urr jaati hain 

Raat ki nagan lehraati hai 

Aankhain pathar ban jaati hain 

Rooh badan main ghabraati hai 

Main khud se baatain karta hoon 

Jab tanhai staati hai 

Zehan main sochain chubti hain to

Hasrat aansoo ban jaati hai 

Dard ki aahat dil main aa kar 

Hosh urra kar lay jaati hai

Aik din tum se milain gay hum 

Gardish-e-doraan samjhaati hai 

Aatish-e-hijar main koi jalta raha


Raat kat'ti rahi , chaand jalta raha 
Aatish-e-hijar main koi jalta raha 

Tanhai dil ko dasti rahi 
Koi be'chain karwat badalta raha 

Aas-o-umeed ki shamma roshan rahi 
Ghar ki dehleez ko koi takta raha 

Raat bhar chandani gun'gunaati rahi 
Raat bhar koi tanha siskata raha 

Ashk palkon pe aa kay bikhartay rahay 
Naam lab pe kisi ka larazta raha 

Aaj phir raat basar ho hi gayi 
Aaj phir koi khud se ulajhta raha

Madeenay ka safar hai aur main nam'deeda nam'deeda (Naat)


Madeenay ka safar hai aur main nam'deeda nam'deeda
JAbeen afsurda afsurda , qadam laghzeeda laghzeeda

Chala hoon ik mujrin ki tarah main jaanib-e-tayaba
Nazar sharminda sharminda , badan larzeeda larzeeda

Kisi kay haath ne mujh ko sahara dy diya warna 
Kahan main aur kahan yeh raastay paicheeda paicheeda

Madeenay ja kay hum samjhay taqadus kis ko kehtay hain 
Hawa pakeeza pakeeza , fiza sanjeeda sanjeeda 

Wohi iqbaal jis ko naaz tha kal khush mizaaji par 
Firaaq-e-tayaba main rehta hai , ab ranjeeda ranjeeda

Woh ibtadaon ki ibtida hai , woh intihaaon ki intiha hai (Hamd-e-bari-ta'ala)


Woh ibtadaon ki ibtida hai , woh intihaaon ki intiha hai
Sana karay is ki koi kiyon kar bashar hai , lakin khuda numa hai

Woh kon hai , muntazir tha jis ka jahan-e-noraniyaan azal se
Gawaah hai keh'kishaan abhi tak keh koi is raah se gaya hai

Woh sar-e-takhleeq hai , Mujassam keh khud hi adam (A.S) hai khud hi aalam
Wajood ki saari wusaton par moheet hai , jo woh daaira hai

Wohi hai awal wohi hai aakhir , wohi hai baatin wohi hai zaahir
Yeh soch hai aagahi se baahir , woh aur kiya hai jo reh gaya hai

Inhi ka maskan inhi ka ghar hain , inhi ki nisbat se mohtabar hain
Haram ho teyaba ho , mera dil ho , yeh sab wohi ik silsala hai

Nahin hai koi maseel us ka , nahin hai koi nazeer us ka
Woh shakhs bhi hai , woh aks bhi hai woh aap apna aaina hai

Hai had-e-faazil keh khat-e-wasil keh qos keh qos hai muqabil
"Saleem" aajiz hai fehm-e-kaamal kahan , bashar hai kahan khuda hai

Mujhay sukhan wari ata kar


Meray parwar'digaar 

Mujhay sukhan wari ata kar 

Lafzon ki jaado'gari ata kar 

Mujhay mehkanay ka hunar dy 

Jo dilon pe naqsh ho jaye 

Meri baat main aisa asar dy 

Jo mita dy tera shabi 

Zehan-o-dil ki 

Mujhay bas 

Ik aisay harf ki roshni dy

Dekha main kis kamaal se aagay nahin gaya



Andesha-e-zawaal se aagay nahin gaya 
Dekha main kis kamaal se aagay nahin gaya 

Shayed mera khayal haqeeqat shnaas tha 
Yehni teray jamaal se aagay nahin gaya

Amaal ka hisaab woh lenay ko aye thay 
Lakin main qabal-o-qaal se aagay nahin gaya 

Duniya badal gayi , magar aya nahin jawaab 
Main aisay ik sawaal se aagay nahin gaya 

Bas door door hi se behalta raha yeh dil
Janay kis ehtamaal se aagay nahin gaya 

Dukh sukh main kiya woh saath nibhaata jo umar bhar 
Apni hi dekh bhaal se aagay nahin gaya 

Sar-e-aaina mera aks hai , pas-e-aaina koi aur hai


MAin khyaal hoon kisi aur ka , mujhay sochta koi aur hai 
Sar-e-aaina mera aks hai , pas-e-aaina koi aur hai 

Main kisi kay dast-e-talab main hoon tu kisi kay harf-e-dua main hoon 
Main naseeb hoon kisi aur ka , mujhay maangta koi aur hai 

Ajab aaitabaar-o-be'aaitabaari kay darmiyaan hai zindagi
Main qareeb hoon kisi aur kay , mujhay jaanta koi aur hai 

Meri roshni teray khad-o-kaal se mukhtalif to nahin magar 
Tu qareeb aa, tujhay dekh loon to wohi hai ya koi aur hai 

Tujhay dushmano ki khabar na thi , mujhay doston ka pata nahin 
Teri dastaan koi aur thi , mera waqiya koi aur hai 

Wohi munsafon ki riwayatein , wohi faisalon ki ibaaratein 
Mera juram to koi aur tha , par meri saza koi aur hai

Hamain her tarah azmaya gaya hai


Hansaya gaya hai , rulaya gaya hai 
Hamain her tarah azmaya gaya hai 

Smaa'at kiya jaa sakta hai kisi se
Na hum se gham-e-dil sunaya gaya 

Bhala aur izzat afzaai kiya ho gi 
Bharri anjuman se uthaya gaya hai 

Naye rind issay qabil-e-deed samjhain 
Hamara jo huliya banaya gaya hai 

Mussarat ka ik ik pal zindagi main 
Bari khush dili se ganwaya gaya hai 

Bachaao bikharnay se yeh aashiyana 
Bhout mushkilon se banaya gaya hai 

Shaoor, aisay tashreef laye hain goya 
Inhain minaton se laya gaya hai 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...