Sep 7, 2015

Khud to pyaas ka sehraa hoon magar dil ki yeh zid hai


Khud to pyaas ka sehraa hoon magar dil ki yeh zid hai 

Her dasht pe sawan ki tarah toot kay barson

Maati kahay khumaar se tu kya ronday mohay


Maati kahay khumaar se tu kya ronday mohay 

Ik din aisa aaye ga main rondon gi tohay

Aaghaaz youn hua tha


Anjaam 

Aaghaaz youn hua tha 
Us ne gulaab bheja tha 
Main ne kitaab kholi 
Aur us main rakh diya woh 
Sab se ussay chuppaya 
Anjaam yeh hua hai 
Khuch khushk patiyaan hain 
Thori si mehak bhi 
Bas aur kuch nain

Tishna kaami ki saza do to maza aa jaye


Tishna kaami ki saza do to maza aa jaye
Tum hamein zehar pilo do to maza aa jaye 

Meer-e-mehfil banay baithay hain baray naaz se hum
Hamein mehfil se utha do to maza aa jaye 

Tum ne ehsaan kiya tha jo hamein chaha tha 
Ab woh ehsaan jata do to maza aa jaye 

Apnay Yousaf ko zulekha ki tarah tum bhi kabhi 
Kuch haseeno se mila do to maza aa jaye 

Chain parta hi nahin hai tumhein ab meray baghair 
Ab jo tum mujh ko ganwaa do to maza aa jaye 

Tum meray ho


Main ne bola tha sanam 
Kabhi jhoot mat bolna 
Keh tumhari aankhein 
Tumhari baatein 
Tumhara raaz afshaan kar deti hain 
Phir kiyon bola tum ne 
Tum meray ho

Shagufta log bhi tootay huwey hotay hain andar se


Shagufta log bhi tootay huwey hotay hain andar se

Bhout rotay hain woh jin ko lateefay yaad rehtay hain

Yaad ho ga tumhain bachapan main


Juda juda rastay 
Yaad ho ga tumhein jo bachpan main 
Hum ne poda koi lagaya tha 
Kis mohabbat se us ko seencha tha ?
Kis tarah dhoop se bachaya tha ?
Ik tana'war shajar kay roop main aaj 
Dhoondta hai hamein woh shaam-o-sehar 
Apnay rastay ko ab woh takta hai 
Jab bhi jaata hoon us kay saaye main main 
Woh tumhein bhi talaash karta hai 
Chahnay par bhi keh nahin sakta 
Tum meray saath ab nahin rehti 
Apnay rastay juda juda hain ab 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...