Oct 13, 2014

Ajab apna haal hota jo wisaal-e-yaar hota


Ajab apna haal hota jo wisaal-e-yaar hota

Kabhi jan sadqay hoti kabhi dil nisaar hota

Na maza hai dushmani main na hai lutf dosti main

Koi ghair ghair hota koi yaar yaar hota

Ye maza tha dillagi ka keh bara’bar aag lagti

Na tumhain qaraar hota na hamain qaraar hota

Tere waday par sitamagar abhi aur sabr kartay

Agar apni zindagi ka hamain aitabar hota

Tu meri jan hai tujhy btaon kis tarha


Tujh se dil ke baat kahon kis tarha

Tu meri jan hai tujhy btaon kis tarha

Tu anjan hai ya ban raha hai

Yeh andaza lagaon kis tarha

Muqaddar se muqadar milana to door ki baat

Tere dil se dil milaon kis tarha

Tu mily na mily yeh qismat ke baat hai magar

Tujhe chaaha hay tujhe bhol jaon kis tarha

Raah-e-wafaa mein chain na paaya magar kahin




Kaati kahin pe raat, to kaati sehar kahin

Raah-e-wafaa mein chain na paaya magar kahin

Woh sun rahe hain yun tera afsaana-e-hayaat

Dil hai kahin, khayal kahin, aur nazar kahin

Manzil kareeb aye to aye dost kis tarah

Raahi kahin hai, raah kahin, rehber kahin

Dil main panap rahi hai yehi ik arzoo

Betaab, hum ko koi milay humsafar kahin

Muhabbat khawaab jaisi hai




Muhabbat hai kisi nadeeda si zanjeer ki surat

Badan sey jo lipat ker

Is ki azadi ko demak ki tarha sey chat leti hai

Muhabbat hai saza jesi

Saza bhi wo jo matti ki lehat tak sath deti hai

Muhabbat wasal sey mashrut mat jano

Azal sey furqaton key baab jesi hai

Muhabbat khawaab jasi hai

Is eid pe loat kay aa jana


Is eid pe loat kay aa jana


Kuch yadein taza krni hain


Kuch lamhay morr k lanay hain


Kuch taray torr k lanay hain


Wo masti or wo madhoshi


Wo bachpan morr k lana hai


Is eid pe lot k aa jana


Ab dil ko dil ki dharkan se


Phir eid mubarak kehna hai


Ab sath boht din rehna hai


Is eid pe lot k aa jana

Naam-e-wafa matlab ke liye ab letay hain kyon sabhi



Naam-e-wafa matlab ke liye ab

Letay hain kyon sabhi

Dard jo seenay mein uthta hai

Nahi samjha yahaan koi

To rehnay de is dard mein zinda

Main tanha hi sahi

Ki dil se ye bhi denge bhula

Tujh ko jaana kabhi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...