Showing posts with label Bahadur Shah Zafar Poetry. Show all posts
Showing posts with label Bahadur Shah Zafar Poetry. Show all posts

Jul 13, 2014

Kitna hai bad'naseeb zafar dafan kay liye


Kitna hai bad'naseeb zafar dafan kay liye 

Do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar main

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Jul 2, 2014

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi


Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi 
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi 

Le gaya cheen ke kon aaj tera sabr-o-qaraar 
Be'qarari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi 

Teri aankhon ne khuda jane , kiya kiyea jaado
Keh tabiyat meri mayal kabhi aisi to na thi

Aks-e-rukhsaar ne kis liye tujhe chamkaya 
Taab tujh mein mah-e-kaamal kabhi aisi to na thi 

Kiya sabab tu jo bigarta hai "zafar" se her baar 
Khoo teri hoor shumaail kabhi aisi to na thi 

Poet : Bahadar Shah Zafar

May 25, 2014

kabhi ban sanwar ke jo aa gaye to bahar-e-hussan dikha gaye


kabhi ban sanwar ke jo aa gaye to bahar-e-hussan dikha gaye
meray dil ko daagh laga gaye woh naya shagufa khila gaye

koi kyn kisi ka dil lubhaye dil koi kyn kisi se lagaye dil
woh jo bachtay thay dawa-e-dil , woh dukaan apni bharha gaye

meray paas atay thay dam-ba-dam woh juda na hotay thay aik dam
yeh dikhaya charkh ne kiya sitam keh mujhi se aankhain chura gaye

yahi shauq tha hamain dam-ba-dam keh bahaar dekhain ge ab ke hum
joun hi chootay qaid-e-qafas se hum to suna khizaan ke din aa gaye

Poet : Bahadur Shah Zafar

Mar 6, 2014

Baat karni Mujhay Mushkil kabhi aisi to na thi


Baat karni Mujhay Mushkil kabhi aisi to na thi
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi tona thi

Le gaya cheen ke kon tera sabr-o-qarar
Be-qarari tujhay Ae dil kabhi aisi to na thi

Teri Aankhon ne khuda janey kiya kiya jadoo
Keh tabiyat meri mayal kabhi aisi to na thi

Aks-e-ruksaar ne kis ke hai tujhay chamkiya
Taab tujh main Mae_e_kamil kabhi aisi to na thi

Kiya sabab tu jo bigarta hai zafar se her yaar
Khoo teri Hoor-e_shamiyal kabhi aisi to na thi

Poet : Bahadur Shah Zafar

Feb 25, 2014

Na kisi ki aankh ka noor hoon





Na kisi ki aankh ka noor hoon
na kisi ke dil ka karar hoon

Jo kisi ke kaam na aa sake
main woh ek musth-e-gubaar hoon

Mera rang roop bigar gaya
mera yaar muhjse bichar gaya

Jo chaman khizaan se ujar gaya
main usi ki faasl-e-bahar hoon

Na kisi ki aankh ka noor hoon
na kisi ke dil ka karar hoon

Main kahan rahoon main khahan basu
na yeh mujhse khush na woh mujhse khush

Main zamin ki peet ka boj hoon
main falak ke dil ka gubaar hoon

Na kisi ki aankh ka noor hoon
pade faatiha koyi aaye kyon

Koyi chaar phool charhaye kyon
koyi aa ke shama jhalaye kyon

Main woh be-kasi ka mazaar hoon
na kisi ki aankh ka noor hoon

Na kisi ke dil ka karar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake

Main woh ek musth-e-gubaar hoon
na kisi ki aankh ka noor hoon

 Poet : bahadur shah zafar

Baat karni mujhay mushkil kabhi aisi to na thi



Baat karni mujhay mushkil kabhi aisi to na thi
jesi ab hay teri mehfil kabhi aisi tu na thi

Lay gia cheen kay kyun aaj tera sabr -o- qaraar
be qarari tujhay ay dil kabhi aisi tu na thi

Chashm -e- qatil meri dushman thi humaysha lakin
jesi ab ho gai qatil kabhi aisi tu na thi

Un kay aankhon nay khuda janay kia kiya jadu
keh tabiyat meri maa’el kabhi aisi tu na thi

Aks -e- rukh -e- yaar nay kis say hay tujhay chamkaya
tab tujh main mah -e- kaamil kabhi aisi tu na thi 

Kia sabab tu jo bigarta hay “zafar” say har baar
khu teri hur -e- shamil kabhi aisi tu na thi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...