Azaad kar de apna giriftaar main hi hoon
Sar pe latak rahi hai jo talwar main hi hoon
Hindustan ka sacha wafa'daar main hi hoon
Qabron se pooch asal zameen'daar main hi hoon
Dariya kay saath woh to samandar main beh gaya
Matti main mil kay matti ka haq'daar main hi hoon
Apni ghazal se kis ka kaleja nikaal loon
Naghmon ki dhaar , shair ki talwar main hi hoon
Is 20 sadi main thay faiz-o-firaq bhi
Is 20 sadi ka ada'kaar main hi hoon
Apnay siwa kisi se mohabbat nahin mujhay
Ghalib bhout shareef thay makaar main hi hoon
Kya wasta ghazal ko puranay arooz se
Andhay mujhay ta'toal keh fun'kaar main hi hoon
Woh Aaish kar raha hai bhout kaafron kay saath
Mola ki rehmaton ka talab'gaar main hi hoon
ab 100 karoor log sambhalein gay raaj paat
Urdu ghazal ka aakhri dar'baar main hi hoon
Ik Mir tha so aaj bhi kaghaz main qaid hai
Hindi ghazal ka doosra otaar main hi hoon
Kalma parhaya phir issay hindi bana diya
Mulak sukhan ka paak gunah'gaar main hi hoon
Chola badal kay phir main satta main ayon ga
Jo girnay wali hai wohi sarkar main hi hoon
Main lartay lartay toot gaya apnay aap se
Rawan ka roop , raam ka otaar main hi hoon
Meri zameen nayi hai , mera aasman hai aur
Subha adab hoon , shaam ka akhbaar main hi hoon
Apna qaseeda bhejon ga apnay hazoor main
Suraj hoon apni dhoop ka darbaar main hi hoon