Dec 22, 2014

Qatra ab ehtajaaj karay bhi to kiya milay


Qatra ab ehtajaaj karay bhi to kiya milay

Dariya jo lag rahay thay samandar se ja milay

Her shakhs doorta hai yahaan bheer ki taraf

Phir yeh bhi chahta hai ussay raasta milay

Us aarzoo ne aur tamasha bana diya

Jo bhi milay hamraahi is taraf dekhta milay

Duniya ko doosron ki nazar se na dekhiye

Chehra na parh sakay to kitabon main kiya milay

is dour-e-munsafi main zaroori nahin hai josh

Jis shakhs ki khata ho usi ko saza milay

Mujhay maaf kar meray hamsafar


Mujhay maaf kar meray hamsafar 

Tujhay chahna meri bhool thi 

Kisi raah par jab uthi nazar 

Tujhay dekhna meri bhool thi 

Koi nazam ho ya koi ghazal

Kahin raat ho ya kahin sehar 

Woh gali gali woh shaher shaher 

Tujhay dhoondna meri bhool thi 

Meray gham ki koi dawa nahin 

Mujhay tujh se koi gila nahin 

Tera koi meray siwa nahin 

Yahi sochna meri bhool thi

Zinda tha jis ki aas pe woh bhi rula gaya


Zinda tha jis ki aas pe woh bhi rula gaya 

Bandhan wafa kay tor kay saray chala gaya 

Khud hi to ki thi us ne mohabbat ki ibtida

Haathon main haath dy kay khud hi chura gaya 

Kar di jis kay liye hum ne tabbah zindagi 

Ulta woh be'wafa ki tohmat laga gaya 

Tumhain jo be'sabab mujh se khafa honay ki aadat hai


Tumhain jo be'sabab mujh se khafa honay ki aadat hai 

Yeh aaghaz-e-judai hai ya andaaz-e-mohabbat hai 

Wafa kay rang main dekho jafa achi nahin hoti 

Kisi se dosti main itni ana achi nahin hoti 

Faqat kehnay ki baatain hain nibhaata kon hai kis ko 

Chalo ab dekh letay hain manata kon hai kis ko

Socha tha keh kisi se pyaar na karain gay hum


Socha tha keh kisi se pyaar na karain gay hum 

Badal gaya irada tujhay dekhnay kay baad 

Chain se so jaati thi main in sohni raaton main 

Neendain urr gayien meri tujhay dekhnay kay baad 

Bhout naaz tha chaand ko apni chandani par 

Chup gaya baadlon main woh bhi tujhay dekhnay kay baad 

Kiya banaaorishta teri zaat kay saath 

Uth rahay hain sawaal tujhay dekhnay kay baad 

Apnay chehray ko chupa kay rakho khuda kay wastay 

Dil ho jaata hai be'qaabu tujhay dekhnay kay baad

Dariya jo lag rahay thay samandar se ja milay


Qatra ab ehtajaaj karay bhi to kiya milay 
Dariya jo lag rahay thay samandar se ja milay 

Her shakhs doorta hai yahaan bheer ki taraf 
Phir yeh bhi chahta hai ussay raasta milay 

Us aarzoo ne aur tamasha bana diya 
Jo bhi milay hamraahi is taraf dekhta milay 

Duniya ko doosron ki nazar se na dekhiye 
Chehra na parh sakay to kitabon main kiya milay 

is dour-e-munsafi main zaroori nahin hai josh 
Jis shakhs ki khata ho usi ko saza milay

Na tum meray ,na dil mera , na jaan-e-na'tawan meri


Na tum meray ,na dil mera , na jaan-e-na'tawan meri

Tasawur main bhi a sakti nahin majbooriyaan meri

Na tum aaye na chain aaya na mour aayi shab-e-wada

Dil-e-muztar tha main tha aur thein be'taabiyaan meri

Ab bas nadaniyon pe apni naaz kartay hain

Abhi dekhi kahaan hain aap ne nadaniyaan meri

Yeh manzil yeh haseen manzil jawani naam hai jis ka

Yahan se aur aagay barh na ae umar-e-rawan meri

Kam nahin meri zindagi kay liye


Kam nahin meri zindagi kay liye

Chain mil jaye do gharri kay liye

Aye dil-e-zaar kon hai tera

Kiyon tarapta hai youn kisi kay liye

Kitnay saman kar liye paida

Itni choti si zindagi kay liye

Aisa "Imran" gham nahin gehra hai

Lab taras hi gaye hansi kay liye

Ek muddat baad aaj tujay likh raha hoon


Ek muddat baad aaj tujay likh raha hoon

Kiya kahoon aaj kal main kaisa dikh raha hoon

Ab sheeson ko dekh kar sanwarnay nahin hota

Teray intizaar main shaamon ka teharna nahin hota

Sochta hoon kabhi mil aayon tujh se

Par kiya karon

Ab un galiyon se mera guzarna nahin hota

Yeh faaslay bhi barhtay gaye waqat kay saath youn hi

Sab badal gaye par main badla nahin

Yaad aaye kabhi , to awaaz laga lena

Main kal bhi wahin tha , main ab bhi hoon wahin

Kuch din gar zindgaani aur hai


Kuch din gar zindgaani aur hai

Apnay jee main hum ne thaani aur hai

Aatish-e-dozakh main yeh garmi kahan

Soz-e-gham hai nihaani aur hai

Barhi dekhi hain un ki ranjishain

Par kuch ab kay sar'giraani aur hai

Dy kay khat munh dekhta hai namabar

Kuch to paighaam-e-zubaani aur hai

Qata-e-amar hai aksar najam

Woh bala-e-asmaani aur hai

Ho chukien ghalib balayein sab tamaam

Ek marg-e-na'gahaani aur hai

Yeh kaisa bandhan hai main aksar sochti hoon

Yeh kaisa bandhan hai

MAin aksar sochti hoon

Kiya rishta hai

Mera tum se

Aisa kiya hai tum main

Jo mujhay tum se baandhay huye hai

Kiya yeh pyaar hai

Ehsaas hai

Dhoka hai

Ya

Aziyat hai

Jaanay yeh kaisa rishta hai

Jis main wafa nahin jafa hai

Jis main pyaar nahin

Aziyat hai

Jis main tum nahin

Tumhara faraib hai

Jaanay main kiyon

Tum se door ho nahin paati

Tumhara her teer seh jaati hoon

Tumhari her baat meray dil ko cheer deti hai

Tumhari her aziyat mujhay qabool hai

Jaanay yeh kaisa rishta hai

Teri chah main had se guzar jaaon ga ik din


Teri chah main had se guzar jaaon ga ik din

Pyaar hota hai kiya yeh dikhlaaon ga ik din

Teri sang dili ko sehtay sehtay main

Apni jaan se guzar jaaon ga ik din

Apni chahatein saari tujh pe waar kay

Pyaar karna tujhay bhi sikhaaon ga ik din

Jee na paaye gi tu bhi ho kay juda mujh se

Aisa pyaar tujh se kar jaaon ga ik din

Andheron main dhoondti reh jaye gi mujh ko

Aisi be'rukhi dikhaaon ga ik din

Kho kay mujh ko bhout pachtaye gi sanam tu

Wafa aisi tujh se kar jaaon ga ik din

Aisi dewaangi se chahon ga tujh ko

Bhool jaao gi tum bhi sara jahaan ik din

Jaan teri bhi labon pe aa jaaye gi

Ban kay khaak jab matti main mil jaaon ga ik din

Bas aik shaam dy mujhay pyaar main dhalti hui


Bas aik shaam dy mujhay pyaar main dhalti hui
Phir shaam us ko main kahoon ya keh kahoon main zindagi

Pyaar ho chalka hua teri nigaah kay jaam se
Surmai sa phailta ho rang uffaq par shaam se
Baazo'on ki qaid main ho ik badan simta hua

Khamoshi main goonjti ho do dilon ki ik sadaa
Ho ulajhti saans main jaisay sharaarat saans ki
Rooh ko choonay lagay jaisay haraarat saans ki

Haath main ho chooriyon ki dheemi dheemi si khanak
Madham madham si roshni main narm aanchal ki dhanak
Hont teray gulaabi chal'lakti meh ki tarah

Surmaei si phail jaye shaam kajal ki tarah
Kaash so jaao kabhi tum rakh kay sar aaghosh main
Doob kay aankhon main teri hum rahain na hosh main

Youn milain tum se keh phir na hoon juda tum se kabhi
Phir chalay jaanay ki janaa baat na aaye kabhi
Bas aik shaam dy do phir raat na aaye kabhi

Aaye kuch abar kuch sharab aaye


Aaye kuch abar kuch sharab aaye 

Us kay baad aaye jo azaab aaye 

Bam-e-meena se mahtaab utray 

Dast-e-saaqi main aaftaab aaye

Tasawur main bhi a sakti nahin majbooriyaan meri


Na tum meray ,na dil mera , na jaan-e-na'tawan meri 
Tasawur main bhi a sakti nahin majbooriyaan meri

Na tum aaye na chain aaya na mour aayi shab-e-wada 
Dil-e-muztar tha main tha aur thein be'taabiyaan meri 

Ab bas nadaniyon pe apni naaz kartay hain 
Abhi dekhi kahaan hain aap ne nadaniyaan meri

Yeh manzil yeh haseen manzil jawani naam hai jis ka 
Yahan se aur aagay barh na ae umar-e-rawan meri

Chain mil jaye do gharri kay liye


Kam nahin meri zindagi kay liye 
Chain mil jaye do gharri kay liye 

Aye dil-e-zaar kon hai tera 
Kiyon tarapta hai youn kisi kay liye 

Kitnay saman kar liye paida 
Itni choti si zindagi kay liye 

Aisa "Imran" gham nahin gehra hai 
Lab taras hi gaye hansi kay liye

Kiya kahoon aaj kal main kaisa dikh raha hoon


Ek muddat baad aaj tujay likh raha hoon 
Kiya kahoon aaj kal main kaisa dikh raha hoon 

Ab sheeson ko dekh kar sanwarnay nahin hota 
Teray intizaar main shaamon ka teharna nahin hota 
Sochta hoon kabhi mil aayon tujh se 
Par kiya karon 
Ab un galiyon se mera guzarna nahin hota 

Yeh faaslay bhi barhtay gaye waqat kay saath youn hi 
Sab badal gaye par main badla nahin 
Yaad aaye kabhi , to awaaz laga lena 
Main kal bhi wahin tha , main ab bhi hoon wahin 

Aaj jaanay ki zid na karo


Aaj jaanay ki zid na karo 
Youn hi pehlu main baithay raho 
Haye mar jayein gay , hum to lut jayein gay 
Aisi baatain kiya na karo

Tum hi socho zara kiyon na rokain tumhain 
Jaan jaati hai jab uth kay jaatay ho tum 
Tum ko apni qasam jaan-e-jaan 
Baat itni meri maan lo 

Waqat ki qaid main zindagi hai magar 
Chand ghariyaan yahi hain jo azad hain 
In ko kho kar abhi jaan-e-jaan 
Umar bhar na tarastay raho

Kitna mousam rangeen hai yeh samaa
Husn aur ishq ki aaj miraaj hai 
Kal ki kis ko khaabar jaan-e-jaan 
Rok lo aaj ki raat ko 

Gaisu'on ki shikan hai abhi shabnami 
Aur palkon kay saaye bhi madhosh hain 
Husan-e-mousam ko jaan-e-jaan 
Be'khudi main na ruswa karo

Sehar se pooch lo Mohsin keh hum soya nahin kartay

Safar tanha nahin kartay 
Suno, aisa nahin kartay 
Jissay shafaaf rakhna ho 
Ussay maila nahin kartay 
Teri aankhain ijaazat dain 
To hum kiya kiya nahin kartay 
Bhout ujrray huye ghar par 
Bhout socha nahin kartay 
Safar jis ka muqadar ho 
Ussay roka nahin kartay 
Jo mil kay khud se kho jaye 
Ussay ruswa nahin kartay 
Chalo tum raaz hho apna 
Tumhain afshaa nahin kartay 
Yeh oonchay pairr kaisay hain 
Kahin saaya nahin kartay 
Jo dhun ho , kar guzarnay ki 
To phir socha nahin kartay 
Kabhi hansanay se dartay nahin 
Kabhi roya nahin kartay 
Teri aankhon ko parhtay hain 
Tujhay dekha nahin kartay 
Sehar se pooch lo Mohsin 
Keh hum soya nahin kartay

Apnay jee main hum ne thaani aur hai


Kuch din gar zindgaani aur hai 
Apnay jee main hum ne thaani aur hai 

Aatish-e-dozakh main yeh garmi kahan 
Soz-e-gham hai nihaani aur hai 

Barhi dekhi hain un ki ranjishain 
Par kuch ab kay sar'giraani aur hai 

Dy kay khat munh dekhta hai namabar 
Kuch to paighaam-e-zubaani aur hai 

Qata-e-amar hai aksar najam 
Woh bala-e-asmaani aur hai 

Ho chukien ghalib balayein sab tamaam 
Ek marg-e-na'gahaani aur hai

Jaanay yeh kaisa rishta hai


Yeh kaisa bandhan hai 
MAin aksar sochti hoon 
Kiya rishta hai 
Mera tum se 
Aisa kiya hai tum main 
Jo mujhay tum se baandhay huye hai 
Kiya yeh pyaar hai 
Ehsaas hai 
Dhoka hai 
Ya
Aziyat hai 
Jaanay yeh kaisa rishta hai 
Jis main wafa nahin jafa hai 
Jis main pyaar nahin 
Aziyat hai 
Jis main tum nahin 
Tumhara faraib hai 
Jaanay main kiyon 
Tum se door ho nahin paati 
Tumhara her teer seh jaati hoon 
Tumhari her baat meray dil ko cheer deti hai 
Tumhari her aziyat mujhay qabool hai 
Jaanay yeh kaisa rishta hai

Pyaar hota hai kiya yeh dikhlaaon ga ik din


Teri chah main had se guzar jaaon ga ik din
Pyaar hota hai kiya yeh dikhlaaon ga ik din 

Teri sang dili ko sehtay sehtay main 
Apni jaan se guzar jaaon ga ik din 

Apni chahatein saari tujh pe waar kay 
Pyaar karna tujhay bhi sikhaaon ga ik din 

Jee na paaye gi tu bhi ho kay juda mujh se 
Aisa pyaar tujh se kar jaaon ga ik din 

Andheron main dhoondti reh jaye gi mujh ko 
Aisi be'rukhi dikhaaon ga ik din 

Kho kay mujh ko bhout pachtaye gi sanam tu 
Wafa aisi tujh se kar jaaon ga ik din 

Aisi dewaangi se chahon ga tujh ko 
Bhool jaao gi tum bhi sara jahaan ik din

Jaan teri bhi labon pe aa jaaye gi 
Ban kay khaak jab matti main mil jaaon ga ik din

Phir shaam us ko main kahoon ya keh kahoon main zindagi


Bas aik shaam dy mujhay pyaar main dhalti hui 
Phir shaam us ko main kahoon ya keh kahoon main zindagi 

Pyaar ho chalka hua teri nigaah kay jaam se 
Surmai sa phailta ho rang uffaq par shaam se 
Baazo'on ki qaid main ho ik badan simta hua 

Khamoshi main goonjti ho do dilon ki ik sadaa 
Ho ulajhti saans main jaisay sharaarat saans ki 
Rooh ko choonay lagay jaisay haraarat saans ki 

Haath main ho chooriyon ki dheemi dheemi si khanak 
Madham madham si roshni main narm aanchal ki dhanak 
Hont teray gulaabi chal'lakti meh ki tarah 

Surmaei si phail jaye shaam kajal ki tarah 
Kaash so jaao kabhi tum rakh kay sar aaghosh main 
Doob kay aankhon main teri hum rahain na hosh main 

Youn milain tum se keh phir na hoon juda tum se kabhi 
Phir chalay jaanay ki janaa baat na aaye kabhi 
Bas aik shaam dy do phir raat na aaye kabhi 
 

Jaagti aankhon se dekhye kuch khwaab us ki mohabbat kay


Aaj shab-e-tanhai hai aur us ki yaadon ka pehra hai 
Kiya koi dekh paye ga mera zakham kitna gehra hai 

Hum shamma bujhaye baithay rahay yeh soch kar 
Kisi ne kaha tha andheron kay baad sawera hai

Jo bithay tanha to yeh soch kar muskuraatay rahay hum
Koi kehta raha yeh ghalti meri hai aur yeh qasoor tera hai

Jaagti aankhon se dekhye kuch khwaab us ki mohabbat kay 
Miltay nahin ab us kay nishaan jaanay kahan ab woh tehra hai 

Dil bhi kitna pagal hai ek ajeeb sawal kar baitha 
Main poochta raha khud se keh main us ka hoon ya woh mera hai

Ab yeh shab-e-hijar kiya kiya sitam dhaye gi hum pe zeshaan 
Ab to ruk rahi hain saansain bas yeh aakhri sawera hai

Yeh chragh phir bhi chragh hai kahin tera haath jala na dy


Meray dil ki raakh kuraid mat , ussay muskuraa kay hawa na dy 
Yeh chragh phir bhi chragh hai kahin tera haath jala na dy 

Naye dour kay khwaab hain , naye mousamon kay gulaab hain 
Yeh mohabbaton kay chragh hain inhain nafraton ki hawa na dy 

Zara dekh chaand ki patiyon ne bikhar bikhar kay tamaam shab 
Tera naam likha hai rait par koi lehar aa kar mitta na dy 

MAin udasiyaan na saja sakoon kabhi jism-o-jaan kay mizaar par
Na diye jalain meri aankh main mujhay itni sakht saza na dy

Meray saath chalnay kay shouq main bari dhoop sar pe uthaye ga 
Tera naam naqsha hai mom ka kahin ghm ki aag ghulla na dy

Main ghazal ki shabnami aankh se yeh rukhon kay phool chuna karoon 
Meri saltanat mera fun hai mujhay taaj-o-takhat khuda na dy
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...