Mar 12, 2014

Meray kalar se teri Ankh ka kajal na gaya

Meray kalar se teri Ankh ka kajal na gaya
Tu bhout door gaya bhi, par mukamal na gaya

Umar to khurdaray kapron ki chubhan main guzri
Dil se lipta magar ik lamas ka makhmal na gaya

door hi door se ankhain to bhout marta tha
Main ne jis simat ko chaha wahan badal na gaya

koray soney ki tarah khud ko bana;na chaha
Khot nikla hi nahin, tankay ka peetal na gaya

Itar main bheegay huaye log bhout se qayoom
Meri sansoon se teri saans ka sandal na gaya

Poet : Qayoom Tahir

Ab youn dil-e-nadaan bhi to gham-khwar ko sochay


 Ab youn dil-e-nadaan bhi to gham-khwar ko sochay
jaisay koi muflis kisi bazar ki sochay

Her raat woh lut jaye magar phir bhi sar-shaam
Bazaar saja le to talab-gaar ki sochay

Mushkil main ussay daal diya hum ne bhi ab ke
Iqrar ki sochay  kabhi inkaar ki sochay

Her shaks taman'nayon ki ik nayo liye hai
Halaat ka dariya hai keh raftaar ki sochay

Ab kash-mukash zehan ka aalam bhi ajab hai
Aina jo mil jaye to dewaar ko sochay

Hum sar ko hathali pe liye baithay hain kan se
Sar jis ka salamat ho woh dastaar ki sochay

Poet : Haleem Qureshi

Koi fariyad teray dil main dabi ho jaisay


Koi fariyad teray dil main dabi ho jaisay
Tu ne ankhon se koi baat kahi ho jaisay

Jagtay jagtay ik umar kati ho jaisay
Jaan baqi ho magar saans ruki ho jaisay

Her mulaqaat pe mehsoos yahi hota hai
Mujh se kuch teri nazar pooch rahi ho jaisay

Raah chaltay huaye aksar yeh gumaan hota hai
Woh nazar chup ke mujhay dekh rahi ho jaisay

Aik lamhay main simit aya hai sadiyon ka safar
Zindagi taiz bhout taiz chali ho jaisay

Is tarah pehron tujhay sochta rehta hoon main 
Meri her saans teray naam likhi ho jaisay  

Poet : Javaid Akhtar

Ab agar ayo to janey kay liye mat ana


Ab agar ayo to janey kay liye mat ana 
Sirf ehsaan jatla'ney kay liye mat ana

Main ne palkon pe tam'manaein saja rahki hain
Dil main umeed ko so shama'ein jala rakhi hain
Yeh haseen shama'ein bujha;ney kay liye mat ana
Ab agar ayo to janey kay liye mat ana 
Sirf ehsaan jatla'ney kay liye mat ana

Piyaar ki aag main zangerain pighal sakti hain
Chahney walon ki taqderain badal sakti hain
Tum ho be-bas yeh bata;ney kay liye mat ana
Ab agar ayo to janey kay liye mat ana 
Sirf ehsaan jatla'ney kay liye mat ana

Ab to mana jo mujhay tum se mohabbat hai koi
Mujh se milney ki agar tum ko bhi chahat hai koi
Tum koi rasam nibahaney kay liye mat ana
Ab agar ayo to janey kay liye mat ana 
Sirf ehsaan jatla'ney kay liye mat ana

 Poet : Javaid Akhtar

Tamana phir machal jaye , agar tum milney aa jayo


Tamana phir machal jaye , agar tum milney aa jayo
Yeh mousam bhi badal jye agar tum milney a jayo

Mujhay gham hai keh main ne zindagi main kuch nahin paya
Yeh gham dil se nikal jaye agar tum milney a jayo

Yeh duniya bhar ke ghagray , ghar ke qissay, kaam ki batain
Bala her aik tal jaye , agar tum milney aa jayo

Nahin miltay ho mujh se tum to sab hamdard hain meray
Zamana mujh se jal jaye agar tum milney Aa jayo

Dariya ka shail ho pooray chaand ki raat ho aur tum ayo




Dariya ka shail ho pooray chaand ki raat ho aur tum ayo

Kabhi youn bhi to ho kabhi youn bhi to ho

Pariy'on ki mehfil ho koi tumhari baat ho aur tum ayo

Kabhi youn bhi to ho kabhi youn bhi to ho

Yeh naram mulay'em thandi hawaien

JAb ghar se tumhary guzrain tumhari kushboo churaien

Meray ghar le ayein

Kabhi youn bhi to ho kabhi youn bhi to ho

Sooni her mehfil ho koi na meray sath ho aur tum ayo

Kabhi youn bhi to ho kabhi youn bhi to ho

Yeh badal aisay toot ke barsay

Meray dil ki tarah milney ko tumhara dil bhi tarsay

Tum niklo ghar se

Kabhi youn bhi to ho kabhi youn bhi to ho

Tanhai ho dil ho

Boond'ein hoon , barsaat ho aur tum ayo

Kabhi youn bhi to ho kabhi youn bhi to ho

Dariya ka shail ho pooray chaand ki raat ho aur tum ayo


Poet Javaid Akhtar
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...