Jun 25, 2014

Door janay wale to loat kar nahin atay


Wapsi ka darwaza 

Door janay wale to 

Loat kar nahin atay 

Yeh khabar hai mujh ko bhi 

Phir bhi aas hai dil main 

Is liye teri khatar 

Wapsi ka darwaza 

MAin ne khol rakha hai

Qadam ruk se gaye hain aaj phool biktay dekh kar



Qadam ruk se gaye hain aaj phool biktay dekh kar 

Woh aksar mujh se kehta tha " Mohabbat phool jaisi hai "

Chalo ik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono


Chalo ik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono

Na main tujh se koi umeed rakhon dil nawazi ki

Na tum meri taraf dekho ghlat andaaz nazron se

Tumhain bhi koi uljhan rokti hai paish qadmi se 

Mujhay bhi log kehtay hain keh yeh jalwe praye hain 

Meray hamraah ab ruswaein hain meray mazi ki 

Tumharay sath bhi guzri hui raaton ky saye hain 

Ta'aruf rog ban jaye to us ko bhoolna behtar 

Ta'aluq bojh ban jaye to us ko torna acha 

Woh afsana jissay injaam tak lana na ho mumkin 

Ussay ik khoobsurat mor de kar chorna acha 

Chalo ik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono

Kisi ko alwida kehna bhout takleef deta hai




Kisi ko alwida kehna 

Bhout takleef deta hai 

Umeedain toot jaati hain 

Yaqeen pe be'yaqeeni ka kohar kuch aisay charta hai 

Dikhai kuch nahin deta 

Sujhai kuch nahin deta 

Dua kay lafaz honton par musalsal kap'kapatay hain

Kisi khwaish kay andeshay 

Zehan main dor jaatay hain 

Gumaan kuch aisay hota hai 

Keh jaisay mil na payen gay 

Yeh gehray zakham furqat kay kisi se sil na payen gay 

Kabhi aisa bhi ho ya'rab 

Duaein maan leta hai 

Tu koi mojaza kar dy tu aisa kar bhi sakta hai 

Meray haathon ki janab dekh inhain tu bhar bhi sakta hai 

Judai ki yeh teekhi dhaar dilon ka khoon karti hai 

Judai ki aziyat se 

Mera dil ab bhi darta hai 

Judai 2 gharri ki ho to koi dil ko behlay 

Judai umar bhar ki ho 

To kiya chaara karay koi 

Keh ik milnay ki hasrat main bhala kab tak jiye koi 

Meray "Moula" karam kar dy tu aisa kar bhi sakta hai 

Meray haathon ki janib dekh , inhain tu bhar bhi sakta hai 

Mohabbat ka ik dia phir jala dia hai hum ne


Mohabbat ka ik dia phir jala dia hai hum ne 
Jab bhi dil main tera naam liya hai hum ne 

Mout ka lagta hai jaisay ko qarz itarna tha 
Aisay is sari zindagi ko jiya hai hum ne 

Tu kahin bad'naam na ho jaye meri jaan 
Isi liye to in honton ko siya hai hum ne

Roz marna roz jeena hai is ki mohabbat main 
Kiya kahain keh roz naya zehar piya hai hum ne 

Intizaar , intizaar aur bas la'hasil intizaar 
Sari umar yawar yahi to kiya hai hum ne

Ab to aik muddat se hain dewaron ki qaid main


Ab to aik muddat se hain dewaron ki qaid main 

Sath rehtay thay kabhi sehra , samandar aur hum

Mohabbat aazmani hai to bas itna hi kaafi hai


Mohabbat aazmani hai to bas itna hi kaafi hai

Zara sa rooth kar dekho mananay kon ata hai

Zara samjha karo jana


Zara samjha karo jana 

Nahin 
Nazdeek mat ana 
Hum nazuk abgeenay hain 
Zara si thais lagney se 
Phisal kar toot jayein gy

Yeh shokhi aur shrarat sab 
Usi lamhay tak hasil hai 
Keh jab tak phool ki tarah 
Taro'taza rahein gy hum 
Zara samjha karo jana

Main kachi neend main hoon


Main kachi neend main hoon

Aur apnay neem khwabeeda tanafas main utarti 

Chandani ki chaap sunti hoon 

Gumaan hai 

Aaj bhi shayed 

Meray mathay pe teray lab 

Sitaray sabaat kartay hain 

Kaisay chorain ussay tanhai par


Kaisay chorain ussay tanhai par 
Harf ata hai masehai par 

Us ki sohrat bhi to phaili her soo
Pyaar anay laga sodai par 

Teharti hi nahin aankhain jana 
Teri tasveer ki zaibai par 

Rashk aya hai bhout husan ko bhi 
Qa'mat-e-ishq ki ra'nai par

Yak'tarfa mohabbat ka nuqsaan bhout hai


Yak'tarfa mohabbat ka nuqsaan bhout hai 

Dil toot janay ka imkaan bhout hai 

Hum toot kar chahein jissay ussay khabar nahin 

Is amar pe hairaan dil-e-nadaan bhout hai 

Fariyaad karti yeh meri tanhai 

Bas jayo is dil main yeh veeran bhout hai 

Hum kahan kisi ky aib se parda uthaein gy 

Chun'nanay ko to apna hi gerebaan bhout hai

Thaka gaya hai musalsal safar udasi ka


Thaka gaya hai musalsal safar udasi ka 
Aur ab bhi hai meray shaney pe sar udasi ka 

Woh kon keemiya gar tha keh jo bakhair gaya 
Teray gulaab se chaheray pe zar udasi ka 

Meray wajood ky khilwat kaday main koi to tha 
Jo rakh gaya hai dia taaq par udasi ka 

Main tujh se kaisay kahon yaar meharbaan meray
Keh tu ilaaj nahin meri her udasi ka

Meray hamsafar , meray be'khabar


Meray hamsafar , meray be'khabar 

Jahan hum tumharay sath thay ham'qadam 

Wahan aaj bhi ae meray sanam 

Meri khwaishein rahein be'qadar 

Meray ansoo bhi rahay be'asar

Jitni shiddat se mujhay woh yaad ata hai


Jitni shiddat se mujhay woh yaad ata hai 

Itna tasal'sul to meri sanson main bhi nahin

Mohabbat ka irada badal jana bhi mushkal hai


Mohabbat ka irada badal jana bhi mushkal hai 

Tumhain khona bhi mushkil hai tumhain pana bhi mushkil hai 

Udasi teray chaheray ki gawara bhi nahin lakin 

Teri khatar sitaray tor ky lana bhi mushkil hai 

Zara si baat pe aankhain bhigo ky baith jaty ho 

Tumhain to apnay dil ka haal batana bhi mushkil hai

Kiya phir se nahin ho sakta , hum jaan mangain


Kiya phir se nahin ho sakta , hum jaan mangain 

Aur tum laga ky galy se kahao ......... aur kuch

Kabhi safar to kabhi shaam le gaya mujh se


Kabhi safar to kabhi shaam le gaya mujh se
Tumhara dard kai kaam le gaya mujh se

Mujhay khabar na hui aur zamana jaty huwey 
Nazar bacha ky tera naam le gaya mujh se

Ussay ziada zaroorat thi ghar basaney ki 
Woh aa ky meray dar-o-baam le gaya mujh se

Bhala kahan koi juz is ky milney wala tha 
Bas ik jurrat-e-na'kaam le gaya mujh se

Bas aik lamhay ky sach jhoot ky iwaz farhat 
Tamaam umar ka ilzaam le gaya mujh se

Juda kisi se kisi ka gharz habib na ho


Juda kisi se kisi ka gharz habib na ho 
Yeh daagh woh hai keh dushman ko bhi naseeb na ho 

Juda jo hum ko karay is sanam ky koochay se 
Ilahi raah main aisa koi raqeeb na ho 

ilaaj kiya karain hukma , tap-e-judai ka 
Siwae wasal ky is ka koi tabeeb na ho 

Nazeer apn ato mashooq khoob'surat hai 
Jo hussan is main hai aisa koi ajeeb na ho

Bhout thay meray bhi is duniya main apnay


Bhout thay meray bhi , is duniya main apnay 

Phir ishq hua , aur , hum la'waris ho gaye

Aik din woh jhinjhala ky bola


Aik din woh jhin'jhala ky bola 

Tumhain kiya sab shikaetin mujh se hain

MAin sa jhuka kar dheeray se boli 

Meri sab umeedain tum se hain

Her shaam yeh sawaal mohabbat se kiya mila


Her shaam yeh sawaal mohabbat se kiya mila 

Her shaam yeh jawaab keh her shaam ro paray

Rooth janay ki ada hum ko bhi ati hai



Rooth jaanay ki ada hum ko bhi aati hai faraz

Kaash hota koi hum ko bhi mananay wala

Rooth janay ki ada hum ko bhi ati hai


Rooth janay ki ada hum ko bhi ati hai 

Kaash hota koi hum ko bhi mananay wala

Pichlay pehar ka chaand jab khulay dareechay se jhankata hai


Pichlay pehar ka chaand 

Jab khulay dareechay se 

Jhankata hai 

To be'sakhta mera mann

Meri aankhain

Tujhay pukarney lagti hain 

Aur meray hath 

dua kay liye uth jatay hain

Kiyon keh main ne suna hai keh 

Pichlay pehar 

Maangi hui duaein 

Qabool hoti hain

Shama ban to gaye roshni ki khatar


Shamma ban to gaye roshni ki khatar 

Magar phir jaltay jaltay umar guzar gayi apni

Aaj us ne aashfta mizaji ko naya mor dia


Us ne ashafta mizaaji ko naya mor diya 

Mujh ko pa'ba zanjeer kiya aur chor diya

Us ne aanchal se nikaali meray gam gashta kitaab 

Aur chupkay se mohabbat ka warq mor diya 

Hum ko maloom tha anjaam-e-mohabbat hum ne 

Aakhri harf se pehlay hi qalam tor diya

Bhout tez baarish ho kitna dil chahata hai kabhi kabhi


Bhout tez baarish ho 

Kitna dil chahata hai kabhi kabhi 

chup chaap kharay tanha 

Khulay asmaan ky neechay 

Bheeghty bheeghty hum 

Achanak 

Be'ikhtiyaar ro jayein 

Behtay behtay yeh ansoo 

Paani main mil kar paani ho jayein 

Na tum dekh pao 

Na log dekh paein 

Gham yeh saray dhul jayein 

Hum 

Youn hi chupky se jal jayein

Kai rog dy gayi hai naye mousamon ki baarish


Kai rog dy gayi hai naye mousamon ki baarish 

Mujhay yaad aa rahay hain , mujhay bhool jaanay wale

Asaib ki tarah chimat gaya yeh khyal


Asaib ki tarah chimat gaya yeh khyal 

Tum sung hoty to zindagi kitni haseen hoti

Ae larki suno tumhari dil'ruba aankhain


Ae larki suno

Tumhari dil'ruba aankhain 

Jab shram se jhukti hain 

Tumhary honton ki hiddat se 

Tumharay gaal ki lali 

Mujhay sab kuch batati hai 

Tumhain kitni mohabbat hai 

Tumhain kis ki zaroorat hai 

MAgar aik ehsaas hota hai 

Rishty kitnay bhi sachay hon jana hi muqadar hai 

Gharri bhar ki mulaqatein samjho to ghaneemat hain

Woh to kushboo hai hawaon main bikhar jaye ga


Woh to kushboo hai hawaon main bikhar jaye ga 
Masla phool ka hai phool kidhar jaye ga 

Hum to samjhay thay ik zakham hai bhar jaye ga 
Kiya khabar thi keh rag-e-jaan main utar jaye ga 

Woh hawaon ki tarah khana bajaan phirta hai 
Aik jhonka hai jo aye ga guzar jaye ga 

Woh jab aye ga to phir is ki rafaqat kay liye 
Mousam-e-gul meray aangan main tehar jaye ga 

Aakhrish woh bhi kahin rait pe baithi ho gi 
Tera yeh pyaar bhi dariya hai utar jaye ga 

Mujh ko tehzeeb ky barzakh ka banaya waris
Juram yeh bhi meray ajdaad ky sar jaye ga

Aadat us ki mujhay achi lagti hai jab youn hi


Aadat us ki mujhay achi lagti hai jab youn hi 

Nazrain jhuka kar woh kehti hain , tumhain haq hai

Wohi shakhs mujh se bichar gaya


Meray zehan ko jo nahin qabool 

Wohi log hain hamsafar meray 

Mujhay her tarah se jo raas tha 

Wohi shakhs mujh se bichar gaya

Jin ki mojudagi inayat ho


Jin ki mojudagi inayat ho 

Un ki yadain azaab hoti hain

Zindagi tujh pe bhout ghour kiya hai main ne


Zindagi tujh pe bhout ghour kiya hai main ne 

Tu rangeen khyalon ky siwa kuch bhi nahin

Bari mushkil se sulaya hai khud ko main ne


Bari mushkil se sulaya hai khud ko main ne 

Apni aankhon ko teray khwaab ka lalich de kar

Jab chalay to tanha thay safar main mohsin


Jab chalay to tanha thay safar main mohsin 

Phir tum mile gham mile tanhai mili qafla sa ban gaya

Khwabon main jo lutf tha woh ab nahin raha


Khwabon main jo lutf tha woh ab nahin raha 

Loat ayo keh meri neend ko zaroorat hai tumhari

Mujh se her baar woh nazrain chura leta hai faraz


Mujh se her baar woh nazrain chura leta hai faraz 

Main ne kaaghaz par bhi bana ky dekhi hain aankhain us ki

Youn hi log ussay meri mohabbat samjh baithay


Youn hi log ussay meri mohabbat samjh baithay 

Woh shakhs , mujhay jaan se pyara hai aur bas

Koshish nahin karty


Koshish nahin karty

Muqadar jab mukhalif ho
Duaein be'asar jayein 
Sabhi manzar bikhar jayein 
To aisay main baghawat ki 
Kabhi koshish nahin karty
Kisi ky sath chalney ki 
Kisi ky dil main basney ki 
kabhi khwaish nahin kartay 
Kisi aik shakhs ki khatar 
Sabhi se door ho jana 
Kahan ki yeh mohabbat hai 
Mohabbat yeh nahin hoti
Mohabbat dil main hoti hai 
Mohabbat aks hai rab ka 
Kabhi yeh mar nahin sakti 
Hamesha sath rehti hai 
Hamesha sath chalti hai 
Mile jo hamsafar tum ko 
Usi ky sath chalna tum 
Ussay dharkan bana lena 
Ussay dil main basa lena 
Magar qismat se larney ki 
Lakeeron se ulajney ki 
Kabhi koshish nahin karty

Ab kis se kahain aur kon suny jo haal tumharay baad hua


Ab kis se kahain aur kon suny jo haal tumharay baad hua 
Is dil ki jheel si aankhon main ik khwaab bhout barbaad hua 

Yeh hijar hawa bhi dushman hai us naam ky saray rangon ki 
Woh naam jo meray honton par kushboo ki tarah abaad hua 

Is shaher main kitnay chaheray thay kuch yaad nahin sab bhool gaye
Ik shakhs kitabon jaisa tha woh shakhs zubani yaad hua 

Woh apnay gaaon ki galiyaan thein ,dil jin main nachta gaata tha 
Ab is se farq nahin parta na'shaad hua ya shaad hua 

Be'naam staeish rehti thi un gehri jheel si aankhon main 
Aisa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitn abe'daad hua

Tujhay chaha to yeh jana


Tujhay chaha to yeh jaana 

Keh likhna farz ho jaisay

Be'kraan tanhaiyon ka silsala reh jaye ga


Be'kraan tanhaiyon ka silsala reh jaye ga
Teray meray darmiyaan , bas ik khalaa reh jaye ga 

Aks beh jayen gaysaray dhoop kay sailaab main 
Aur koi paaniyon main jhaankta reh jaye ga 

Mujh ko meray hamsafar aisa safar dar'paish hai 
Raasta kat bhi gaya to faasla reh jaye ga 

Log so jayein gay khamoshi ki chahdar oorh kar 
Chaand soonay aangano main jaagta reh jaye ga 

Jo kabhi us ne parhein thein mujh se nasir maang kar 
Naam mera un kitaabon main likha reh jaye ga

Kiyon tum yaad atay ho itna


Kiyon tum yaad atay ho itna 

Kiyon hum ko tum tarpaty ho itna 

Gum sum gum sum hain shaher se hum 

Kiyon itna hamain statay ho 

Tumhain khayalon se agar nikaal bhi dain 

To khwaab main aa jaty ho 

Hum lab se nahin karty izhar-e-mohabbat 

Kiyon aankhin nahin parh patay ho

Yeh jo dewane se do chaar nazar atay hain


Yeh jo dewane se do chaar nazar atay hain 
In main kuch sahib-e-israar nazar atay hain 

Teri mehfil ka bharam rekhty hain so jaty hain 
warna yeh log to baidaar nazar atay hain 

Door tak koi sitara hai na koi jugnoo
Marg-e-umeed ky asaar nazar atay hain 

Meray daaman main shraron ky siwa kuch bhi nahin 
Aap phoolon ky khareedar nazar atay hain 

Kal jissay cho nahin sakti thi farishton ki nazar 
Aaj woh ronaq-e-bazaar nazar atay hain 

Hashar main kon gawahi meri de ga sagar 
Sab tumharay hi taraf daar nazar atay hain 

Sagar sadiqui

Aks-e-kushboo hon , bikhrney se na roky koi


Aks-e-kushboo hon , bikhrney se na roky koi 
Aur bikhatr jayon to mujh ko na smaity koi 

Kaamp uthti hoon yeh soch kar tanhai main 
Meray chaheray pe tera naam na parh le koi 

Jis tarah khwaab meray ho gaye reza reza 
Is tarah se na kabhi toot ky bikhray koi 

Main to us din se hrasaan hon jab hukam mile 
Kushk phoolon ko kitabon main na rakhy koi 

Ab to is raah se woh shakhs guzarta bhi nahin 
Ab kis umeed pe darwaze se jhanky koi 

Koi aahat , koi awaaz , koi chaap nahin 
Dil ki galiyaan bari sunsaan hain , aye koi

Us ky hathon se kushboo-e-hina ati hai


Us ky hathon se kushboo-e-hina ati hai 
Aisa lagta hai keh jannat se hawa ati hai 

Choomney daar ko kis dhaj se chala hai koi 
Aaj kis naaz se maqtal main qaza ati hai 

Na kabhi koi karay tujh se teray jaisa salook 
Hath uthtay hi yahi lab pe dua ati hai 

Teray gham ko yeh barhana nahin rehnay dati
Meri aankhon pe jo ashkon ki rida ati hai 

Us ky chaheray ki tamazat bhi hai shamil is main 
Aaj tapti hui sawan ki ghata ati hai 

Ghoomney jab bhi teray shaher main jati hai wafa 
Bain karti hui wapis woh sadaa ati hai 

Hai wohi baat her ik lab pe bhout aam yahan 
Hum se jo kehtay huwey un ko haya ati hai 

Wasi shah

Kiya baat hai jis ka gham bhout hai


Kiya baat hai jis ka gham bhout hai 
Kuch din se yeh ankh nam bhout hai 

Mil leta hai guftagoo ki had tak
Itna hi tera karam bhout hai 

Ghar aap hi jagmaga uthay ga 
Dehleez pe ik qadam bhout hai 

Mil jaye agar teri rafaqat 
Mujh ko to yeh janam bhout hai 

Kiya shab se hamain sawaal karna 
Hona tera subha dam bhout hai 

Kiyon bujhney lagay chragh meray 
Ab ky to hawa bhi bhout kam hai 

Chup kiyon tujhay lag gayi hai parveen 
Suntay thay keh tujh main rum bhout hai

Shraab peenay de masjid main baith kar


Shraab peenay de masjid main baith kar 
Ya woh jaga bata jahan khuda nahin 

Ghalab

Masjid khuda ka ghar hai peenay ki jaga nahin 
Kaafar ky dil main ja wahan khuda nahin 

Iqbal

Kaafar ky dil se aya hoon main yeh dekh kar 
Khuda mojood hai wahan , par ussay pata nahin 

Faraz 

Khuda to mojood duniya main her jaga 
Tu jannat  main ja wahan peena manah nahin 

Wasi shah

Peeta hoon gham-e-duniya bhulanay kay liye saqi
Janat main kon sa gham hai is liye wahan peenay main maza nahin 

Saqi

Hum ne khud se intiqaam liya


Hum ne khud se intiqaam liya 

Tum ne kiya soch kar mohabbat ki

Zindagi phir se agar mujh ko ata karni hai


Zindagi phir se agar mujh ko ata karni hai 

Meri aankhon main koi khwaab na rakhna ya'rab

Na zamana meri qaraar gah na falak hai manzal-e-azaab-e-dil


Na zamana meri qaraar gah na falak hai manzal-e-azaab-e-dil 

Bari dair se hai safar mera teri yaad se teri yaad tak

Us ne meri mohabbat main kisi ko shreek kiya to yeh ehsaas hua


Us ne meri mohabbat main kisi ko shreek kiya to yeh ehsaas hua 

Ya Rab

Keh tu shirak karney walon ko ma'aaf kiyon nahin karta

Teri surat ko jab se dekha hai


Teri surat ko jab se dekha hai 

Meri aankhon pe log martay hain

Hadsay bhi shaoor rakhty hain


Hadsay bhi shaoor rakhty hain 

Dhoond letay hain gham ky maron ko

Mujhay buzugon ki duaon ne maar dala


Yeh    ishq     aur    lambi     zindagi

Mujhay buzugon ki duaon ne maar dala

Tumhary wasty rakhay hain main ne do tohfay


Tumhary wasty rakhay hain main ne do tohfay

Dil ibtida kay liye , jaan intiha kay liye

Kitny tohfay deti hai yeh mohabbat bhi dosto


Kitny tohfay deti hai yeh mohabbat bhi dosto 

Dukh alag , ruswai alag , judai alag , tanhai alag

Aik baat hamesha zindagi bhar yaad rakhna


Dhokha 

Aik baat hamesha zindagi bhar yaad rakhna 

Kisi ko dhokha na dena 

Dhokhay main bari jaan hoti hai , yeh kabhi nahin marta 
Ghoom kar aik din aap ky paas hi ponch jata hai 
Kiyon keh is ko apnay thikanay se bhout mohabbat hoti hai

Ishfaaq Ahmed

Ban jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga


Ban jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga 
Her pal main rahoon tum se khafa kaisa lagay ga 

Parhtay ho mujhay tum jo nimazon ki tarah se 
Ho jaon agar tum se qaza kaisa lagay ga 

Tum pyaar main khud ko kabhi mitnay pe raazi ho 
Ban jaye agar pyaar saza kaisa lagay ga 

Khud se bhi ziada ho yaqeen tum ko kisi par 
Woh shakhs hi de jaye dagha kaisa lagay ga 

Tum auron ki mehfel ka dia ban kar jalo par
Tanhai mile tum ko sila kaisa lagay ga

Meray ishq se mili hai teray husan ko yeh sohrat


Meray ishq se mili hai teray husan ko yeh sohrat 

Tera zikar hi kahan tha meri daastaan se pehlay

Tum haya-o-shariyat ky taqazaon ki baat kartay ho


Tum haya-o-shariyat ky taqazaon ki baat kartay ho 

Hum ne nangay jismon ko malboos-e-haya dekha hai 

Dekhay hain hum ne ehraam main lipty kai iblees 

Hum ne kai baar meh'khanon main khuda dekha hai 

Poet : Allama Iqbal

Dekh itna keh nazar hi lag jaye mujhay


Dekh itna keh nazar hi lag jaye mujhay 

Acha lagta hai teri nazar se mar jana

Khud ko badalney ki bhout si koshashon main


Khud ko badalney ki bhout si koshashon main 

Ik tujhay bhoolna na'mumkin sa lagta hai

Sirf hathon ko na dekho kabhi aankhin bhi parho


Sirf hathon ko na dekho kabhi aankhin bhi parho 

Kuch sawali baray khud'daar hua kartay hain

Youn to ghalat nahin hai chaheron ka taasur bhi magar


Youn to ghalat nahin hai chaheron ka taasur bhi magar 

Log waisay bhi nahin jaisay nazar atay hain

Chalo yeh farz kartay hain


Chalo yeh farz kartay hain 

Keh tum mashraq, main magrab hoon 

Chalo yeh maan letay hain 

Bara lamba safar hai yeh

Magar yeh bhi haqeeqat hai 

Tumhari zaat ka suraj 

Bhout sara rasta chal kar 

Meri hasti main doobay ga

Ab meray zikar pe woh baat badal deta hai


Ab meray zikar pe woh baat badal deta hai 

Woh jo her baat pe deta tha hawaley mere

Poocha jo un se chaand nikalta hai kis tarah


Poocha jo un se chaand nikalta hai kis tarah 

Zulfon ko rukh pe daal ky jhatka dia keh youn

Kuch nahin chaiya tujh se ae umar-e-rawaan


Kuch nahin chaiya tujh se ae umar-e-rawaan 

Mera bachpan , meray jugnoo , meri guriya la de

Loat ati hai meri shab ki ibadat khaali


Loat ati hai meri shab ki ibadat khaali 

Janay kis arsh pe rehta hai khuda shaam ky baad

Meri takmeel main hissa hai tumhara bhi


Meri takmeel main hissa hai tumhara bhi 

Main agar tum se na milta to adhura rehta

Kitnay parwaney jalay raaz yeh panay ky liye


Kitnay parwaney jalay raaz yeh panay ky liye

Shama jalney ky liye hai ya jalanay ky liye

Poocha jo hum ne kisi aur ky hony lagay ho kiya


Poocha jo hum ne kisi aur ky hony lagay ho kiya 

Woh muskura ky bolay pehlay tumharay thay kiya?

Zamana roye ga barson hamain bhi yaad kar ky


Zamana roye ga barson hamain bhi yaad kar ky 

Ginain gy sab hamari khoobiyaan jab hum na hon gy

Nazar ky samney tha phir bhi khwaab jaisa tha


Nazar ky samney tha phir bhi khwaab jaisa tha 

Woh aam sa bhi kisi intikhaab jaisa tha

Is ki takmeel ho nahin sakti


Is ki takmeel ho nahin sakti 

Ishq main aik hi burai hai

Ussay kehna qismat pe itna naaz bhi na kiya karay


Ussay kehna qismat pe itna naaz bhi na kiya karay 

Main ne baarish main bhi jalty huwey ghar dekhay hain

Aisa kiya likhon keh teray dil ko taskeen ponchay


Aisa kiya likhon keh teray dil ko taskeen ponchay 

Kiya yeh kaafi nahin keh meri duaon main tum ho

Hum na samjhay thay baat itni si


Hum na samjhay thay baat itni si 

Khwaab sheeshy ky duniya pathar ki

Mujh se kush naseeb hain meray yeh chand haroof


Mujh se kush naseeb hain meray yeh chand haroof 

Jin par dair tak paray gi nigha teri

Kon jeetay ga un se baaton main


Kon jeetay ga un se baaton main 

Jin ki aankhain klaam karti hain

Rait pe likh ky mera naam mitaya na karo


Rait pe likh ky mera naam mitaya na karo
Aankhain sach bolti hain pyaar chupaya na karo 

Log her baat ka afsana bana letay hain 
Sab ko dard-e-gham sunaya na karo 

Yeh zaroori nahin her shakhs maseeha hi ho 
Pyaar ky zakham amanat hain yeh dikhaya na karo 

Shaher-e-ehsaas main pathrao bhout hai 
Dil ko sheeshay ky jhronkon main sjaya na karo

Barson baad bhi zid ki aadat nahin badli us ki


Barson baad bhi zid ki aadat nahin badli us ki 

Kaash hum mohabbat nahin ! us ki aadat hoty

Chandani ban kar barasti hain teri yaadain mujh par


Chandani ban kar barasti hain teri yaadain mujh par 

Bara dil'kash hota hai meri tanhai ka manzar

Yaad atay ho to kuch bhi nahin karney dety


Yaad atay ho to kuch bhi nahin karney dety 

Achay logon ki yahi baat buri lagti hai

Ajeeb zindagi ki karam nawazi hai mujh par


Ajeeb zindagi ki karam nawazi hai mujh par 

Ik pyaar anokha , aik yaae anokha

Jo ana chao hazaar rasty , na ana chayo azar laakhon


Jo ana chao hazaar rasty , na ana chayo azar laakhon 

Mizaaj-e-barham. taveel rasta , brasti baarish , khraab mousam

Pichlay saal ky aakhir main bhi hairat main hum teeno thay


Pichlay saal kay aakhir main bhi hairat main hum teeno thay !!

Ik main tha , ik tera gham tha , ik bar'baad december tha

tumhain mohabbat ho rahi hai


Yeh fikar , yeh adawatein , yeh andaaz-e-guftagoo 

Sambhal jao tum , tumhain mohabbat ho rahi hai

Chalo ayo kianaat bant'ty hain


Chalo ayo kianaat bant'ty hain 

Tum meray baaqi sab tumhara

Rukh-e-yaar par yeh zulfain youn bikhar rahi hain jaisay


Rukh-e-yaar par yeh zulfain youn bikhar rahi hain jaisay 

Kabhi din nikal raha hai , kabhi raat ho rahi hai

Ussay yaad kartay hain khuda ky naam ky baad


Ussay yaad kartay hain khuda ky naam ky baad 
Kabhi subho se pehlay , kabhi shaam ky baad 

Kabhi milay to kuch batain karain 
Ik shaam se pehlay ik shaam ky baad 

Dil ki dewaron pe us ka naam likhty hain 
Kbhi fursat main kabhi kaam ky baad 

Meray marnay ky baad bhi log ussay pukarain gy 
Kabhi meray naam se pehlay kabhi meray naam ky baad
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...