Mar 18, 2015

Shaher main teri paziraayi na honay doon gi

Shaher main teri paziraayi na honay doon gi 
Tu mera hai tujhay harjaai na honay doon gi

Chup rahoon gi jo kahay ga koi tujh ko majnoo
Iss se barh kar teri ruwaai na honay doon gi

Yaad aayon gi tujhay achay dino ki surat 
Main mukamal teri tanhai na honay doon gi

Jaanti hoon keh mera hona hai us se mashroot
Apnay dushman ki main pas'paai na honay doon gi

Achay lagtay hain mujh ko parinday lakin 
Us ko un ka bhi taman'naai na honay doon gi

Chashm-e-nam dhoond rahi hai tum ko

Chashm-e-nam dhoond rahi hai tum ko

Kaash ! duniya main tum hi tum hotay

Main sochta hoon woh mujhay sochta ho ga

Main sochta hoon woh mujhay sochta ho ga 

Phir sochta hoon main kya sochta hoon main

Huwa jo kuch bhulana chahiye tha

Huwa jo kuch bhulana chahiye tha 
Ussay ab loat aana chahiye tha

Yeh sara bojh meray sar pe kiyon hai ?
Ussay bhi thora gham uthaana chahiye tha 

Itni khamoshi se us ne chor diya
Ussay pehlay batana chahiye tha

Usi ki yaad ki khushboo hai dil main meray 
Mujhay jis ko bhulaana chahiye tha 

Zara si ghalti pe rooth baitha 
Kya ussay bas bahana chahiye tha

Mujhay paa kar ussay kya chain milta ?
Jissay sara zamana chahiye tha

Tum se bichar kar bas itna hua hai

Tum se bichar kar bas itna hua hai 

Keh gaya to kuch nahin par bacha bhi kuch nahin

Be'kaif sahi, be'rang sahi, ek lehar to ab bhi aati hai

Be'kaif sahi, be'rang sahi, ek lehar to ab bhi aati hai

Dil laakh shakista ho Mohsin yaaron ko bhulaana mushkil hai

Be'kaif sahi, be'rang sahi, ek lehar to ab bhi aati hai

Be'kaif sahi, be'rang sahi, ek lehar to ab bhi aati hai

Dil laakh shakista ho Mohsin yaaron ko bhulaana mushkil hai

Shikwey to youn kartay ho mujh se

Shikwey to youn kartay ho mujh se 

Jaisay sirf meray hi ho tum

Waqat par na jaa waqat to her zakham ki dawa hai

Waqat par na jaa waqat to her zakham ki dawa hai

Aaj tum ne hamein bhula diya kal tujhay bhi koi bhula de ga

Waqat par na jaa waqat to her zakham ki dawa hai

Waqat par na jaa waqat to her zakham ki dawa hai

Aaj tum ne hamein bhula diya kal tujhay bhi koi bhula de ga

So jaao tum apnay khwaabon main Aaram se

So jaao tum apnay khwaabon main Aaram se

Ik main tanha hi kaafi hoon is raat ka dil behlaanay kay liye

Poochnay ki mohlat hi na di unhon ne

Poochnay ki mohlat hi na di unhon ne 

Lehja badalta gaya aur hum ajnabi ho gaye

Poochnay ki mohlat hi na di unhon ne

Poochnay ki mohlat hi na di unhon ne 

Lehja badalta gaya aur hum ajnabi ho gaye

Aankhon ki gali main koi awaara sa Aansoo

Aankhon ki gali main koi awaara sa Aansoo

Palkon se teray ghar ka pata pooch raha hai

Be'parwa dil kay sodagar tujhay kya khabar

Be'parwa dil kay sodagar tujhay kya khabar 

Hamari nazar aaj bhi sirf tera hi deedar maangti hai

Us ne raat kay andheray main

Us ne raat kay andheray main 

Meray haath ki hatheli pe 

Likha tha apni ungli se 

Mujhay pyaar hai tum se 

Janay kaisi siyaahi thi woh 

Keh mit'ti bhi nahin 

Aur dikhti bhi nahin 

Rotay hain taraptay hain phir chup ho jaatay hain

Rotay hain taraptay hain phir chup ho jaatay hain 

Hum woh shehanshah hain

 jo gham kay khazanay main akelay aish kartay hain

Itnay ghour se na dekh meri halat-e-sadagi ko

Itnay ghour se na dekh meri halat-e-sadagi ko 

Bikhray huye log aksar isi haal main hotay hain

Aaj to zindagi ne bhi keh diya tujh se logon ne wafa na ki

Aaj to zindagi ne bhi keh diya tujh se logon ne wafa na ki 

Main ne kaha jab apni zindagi be'wafa ho sakti hai to log kiyon nahin

Ro para woh shakhs aaj alwida kehtay kehtay

Ro para woh shakhs aaj alwida kehtay kehtay 

Meri shararaton pe jo deta tha dhamkiyan judai ki 

Munasib samjho to sirf itna bata do

Munasib samjho to sirf itna bata do 

Dil be'chain hai bhout kahin tum udaas to nahin

Main khush hoon keh tumhari nafraton ka akela waris hoon

Main khush hoon keh tumhari nafraton ka akela waris hoon 

Mohabbat to tum ko bhout se logon se hai

Meray khayalon main abaad hai us ka khayal

Meray khayalon main abaad hai us ka khayal 

Woh kahyal mujhya apna khayal rakhnay nahin deta

Sar-e-raah para hua hoon main pathron ki tarah

Sar-e-raah para hua hoon main pathron ki tarah 
Koi taraash de mujh ko bhi moorton ki tarah 

Woh iltifaat hai baaqi na woh karam ki nazar 
Tera mizaaj bhi badla mousamon ki tarah 

Woh jin se mil kay utar'ti thi roshni dil main 
Gharoob ho gaye woh log surajon ki tarah 

Ba ehtiyaat karein un se guftagoo lakin 
Hamaray dil bhi to nazuk hain Aayino ki tarah

Main us ko chaand kahon yeh mumkin to hai magar

Main us ko chaand kahon yeh mumkin to hai magar 

Log ussay raat bhar dekhein yeh mujhay gawara nahin

Be'sada gumbad-e-aflaak meray baad hua

Be'sada gumbad-e-aflaak meray baad hua 
Saaniha yeh bhi alam'naak meray baad hua 

Khaak hi kar diya phir khaak nasheeno ne mujhay 
Khaak ka sara safar khaak meray baad hua 

Samnay meray jissay baat nahin aati thi 
Woh bhi sunta hoon keh chalaak meray baad hua 

Woh mujhay chor kay khush baash nahin reh sakta Qateel
Aur us ko bhi yeh idraak meray baad hua

Iss shaher kay badil teri zulfon ki tarah hain

Iss shaher kay badil teri zulfon ki tarah hain 

Yeh aag lagatay hain , bujhanay nahin aatay

Agar maloom hota ishq youn majboor kar de ga

Agar maloom hota ishq youn majboor kar de ga 

Bhout pehlay hi iss aafat se toba kar chukay hotay

Dewaar-e-dil giri to goya loot mach gayi

Dewaar-e-dil giri to goya loot mach gayi 

Jo Eent jis kay haath aayi utha kay le gaya

Mujhay jaanay ki umeed dobara de do

Mujhay jaanay ki umeed dobara de do 
Meri doobi kashti ko kinara de do 

Main dard kay saahil pe tanha kharha hoon 
Phir aa kay apni baanhon ka sahara de do 

Tera daman to bharra hai sitaron se 
Mujhay sadqay main ik sitara de do 

Meray aangan main aaj andhera hai bhout 
Meri dehleez ko phir apna nazara de do 

Bahaar mousam kay zard pattay , hawa se zer-e-lab mukhatib

Bahaar mousam kay zard pattay , hawa se zer-e-lab mukhatib 

Sisaktay sisaktay yeh keh rahay hain , hamari kitni saza hai baaqi

Kisi ko apna banaana hunar hi sahi

Kisi ko apna banaana hunar hi sahi

Lakin kisi ka ban kay rehna kamaal hota hai

Kabhi shokh hain , kabhi gum si hain

Kabhi shokh hain , kabhi gum si hain

Yeh baarishein bhi tum si hain

Ussay jab mujh se milnay ki talab hoti hai shiddat se

Ussay jab mujh se milnay ki talab hoti hai shiddat se

Meri tasveer se lar kar woh ro kay baith jaati hai

Hum bhi kuch aisa kamaal karna chahtay hain

Hum bhi kuch aisa kamaal karna chahtay hain 
Hum chand ko qareeb se dekhna chahtay hain

Ab yeh jaan jaye ya raah-e-safar-e-mohabbat main 
Hum to bas apna wada nibhana chahtay hain 

Suna hai keh mout bari haseen ho jaye gi is liye
Hum un ki baanhon main marna chahtay hain 

Meri dewangi to dekho keh ek pathar ko 
Hum apna haal-e-dil sunaana chahtay hain 

Koi to ho jo rokay is waqat-e-toofan ko 
Hum ek Aashiyana banana chahtay hain 

Ae dil-e-nadaan zara tham kay dharakna seekho 
Hum us shakhs ko bhulana chahtay hain 

Daman-e-gul main hi gulzaar bikhar jaatay hain

Daman-e-gul main hi gulzaar bikhar jaatay hain 
Aag bujhti hai to angaar bikhar jaatay hain 

Shamma jalti hai sada ik hi lamhay main lakin
Jal kay parwanay kai baar bikhar jaatay hain 

Jin ko insaan piroota hai bhout ulfat se 
Haye woh gul sar-e-bazaar bikhar jaatay hain 

Paaon uth'tay hain teray koochay ki janib jab bhi 
Apni raahon main kai khaar bikhar jaatay hain 

Raat kay pichlay pehar khoon-e-tamana ki tarah 
Hum teri yaad main ae yaar bikhar jaatay hain 

Ho ga andaaz-e-wafa un ka alag hi Mohsin 
Jin ki raahon main talab'gaar bikhar jaatay hain

Aa andleeb mil ke karain Aah-o-zaariyaan

Aa andleeb mil ke karain Aah-o-zaariyaan 

Tu haye gul pukaar , main chilayon haye dil

Hain hont us kay kitabon main likhi tehreeron jaisay

Hain hont us kay kitabon main likhi tehreeron jaisay 

Ungli rakho to aagay parhnay ko jee karta hai

Na janay is zid ka nateeja kya ho ga ,, ?

Na janay is zid ka nateeja kya ho ga ,, ?

Samjhta woh bhi nahin , main bhi nahin , dil bhi nahin

Ramoz-e-ishq-o-mohabbat se main nahin waqif

Ramoz-e-ishq-o-mohabbat se main nahin waqif 

Rahi hai us ki zaroorat mujhay hawa ki tarah

Teray husan ko parday ki zaroorat kya hai

Teray husan ko parday ki zaroorat kya hai 

Kon rehta hai hosh main , tujhay dekhnay kay baad

Nahin maloom kab se hai taaluq tum se apna

Nahin maloom kab se hai taaluq tum se apna 

Tumhara aks tha dil main , tumharay naam se pehlay

Jab ho jaye mohabbat to dil sambhalta nahin

Jab ho jaye mohabbat to dil sambhalta nahin
Wapis loatnay ka raasta milta nahin 

Koi laakh bhulaye apnay dil se magar 
Dil main rehnay wala dil se nikalta nahin

Kiya mila us be'wafa ko mujh se naata tor kar

Kiya mila us be'wafa ko mujh se naata tor kar 

Aaj khud bhi tanha phir raha hai hum ko tanha chor kar 

Tum bhula do mujhay yeh tumhari apni himmat hai

Tum bhula do mujhay yeh tumhari apni himmat hai 

Lakin mujh se yeh umeed zindagi bhar mat rakhna

Tujhay chahat ki kya khabar

Tujhay chahat ki kya khabar 
Tu kya janay mohabbat ..?

Jab jaan paao to yaad rakhna 
Meri chahat bhi tum 
Meri mohabbat bhi tum

Ik pal bhi chain se guzra ho to Qasam le lo

Ik pal bhi chain se guzra ho to Qasam le lo
Siwaye yaadon kay koi aur sahaara ho to Qasam le lo

Pehlay to baat aur thi tum pe haq jata'tay thay 
Ab khud par bhi koi haq hamara ho to Qasam le lo

Tum hi ne kaha tha keh tumharay labon par mera hi naam aaye 
Us kay baad jo liya ho naam kisi ka Qasam le lo

Tum ko chaha tha itna keh bas tum hi tum 
Teray baad kisi aur ko itna chaha ho to Qasam le lo
 
Main soti hoon tujhay khwaab main dekhnay ki khatir

Main soti hoon tujhay khwaab main dekhnay ki khatir

Be'dard log jaga detay hain teray dedaar se pehlay 

Bhout nazar andaaz karnay lagay ho hamein

Bhout nazar andaaz karnay lagay ho hamein 

Baaz aa jaao warna inhi nazron se dhoondtay reh jaao gay

Tumhain ikhtiyaar kya de diya

Tumhain ikhtiyaar kya de diya 

Tum to lay doobay hamein

Saza dena hum ko bhi aati hai

Saza dena hum ko bhi aati hai 

Par tum takleef se guzro yeh hum ko gawara nahin

Apni baaton pe woh qayem nahin rehta

Apni baaton pe woh qayem nahin rehta 

Us kay inkaar ko inkaar na samjha jaye

Loat jaata phir se us kay paas magar kya faaida ?

Loat jaata phir se us kay paas magar kya faaida ?

Na dil raha na pyar raha na dil ko us pe aitbaar raha 

Kahin woh milay to ussay kehna keh aa jaao

Kahin woh milay to ussay kehna keh aa jaao 
Aa jaao keh koi shiddat se 
Bari muddat se 
Bari mohabbat se 
Tumhara intizaar kar raha hai 
Aa jaao keh 
Kisi ki baatein 
Kisi ki yaadein 
Kisi ki raatein 
Tum bin bhout adhoori hain 
Aa jaao keh koi tum bin pal pal
Her pal 
Her aaj aur her kal tanha hai 
Aa jaao keh tumharay na honay se 
Kisi ki aankhon main nami 
Aur zindagi main kami bhout ziyada hai 
Kahin milay to ussay kehna keh aa jaao 
Bas ab aa jaao , , , !! 

Ae chand tu hi bata mujh ko

Ae chand tu hi bata mujh ko 
Tujh ko maloom ho ga afsana us ka 

Her aankh se aankh milaata hai tu 
Tu ne dekha ho ha Aashiyaana us ka 

Mera dost kis haal main hai 
Kis se hai milna milaana us ka 

Ae chand meray dost se keh dena 
Muntazir hai aaj bhi ek dost purana us ka

Chalo choro bhi ab sisaktay dil ki Aah ko

Chalo choro bhi ab sisaktay dil ki Aah ko 

Agar un ko afsoos hota to hamein bikharnay hi kiyon detay

Haseen logon main ek riwaaj bhout mashoor hai

Haseen logon main ek riwaaj bhout mashoor hai

Dil chura letay hain magar in ko wafa karni nahin aati

Janay kis liye aankhon main aa gaye aansoo

Janay kis liye aankhon main aa gaye aansoo 

Sikha raha tha bachon ko mohabbat kaisay likhtay hain 

Kaash keh tu mera ho jaye

Kaash keh tu mera ho jaye 

Kaash yeh tammana teri hoti

Choro un ki la'parwahi ka gila Dost

Choro un ki la'parwahi ka gila Dost 

Aaj phir hum hi yaad kar letay hain unhain hamesha ki tarah

Dekhi hai be'rukhi ki aj hum ne intihaa

Dekhi hai be'rukhi ki aj hum ne intihaa 

Hum pe nazar parri to woh mehfil se uth gaye

Bhout zaalim ho tum bhi mohabbat aisay kartay ho

Bhout zaalim ho tum bhi mohabbat aisay kartay ho 

Keh jaisay ghar kay pinjray main parinda paal rakha ho

Tumhaara kya bigaara tha

Tumhaara kya bigaara tha 
Jo tum ne tor daala hai 

Yeh tukray main nahin loon ga 
Mujhay to dil bana kar do

Chahat ki be'basi ka Qissa hai mukhtaser

Chahat ki be'basi ka Qissa hai mukhtaser 

Dil ne sakoon na paya kabhi dil lagi kay baad

Meray wajood ko to samait lay hum bikhar rahay hain zara zara

Meray wajood ko to samait lay hum bikhar rahay hain zara zara 
Meray aanso'on ko bhi ponch lay hum sisak rahay hain zara zara 

Meri chahaton ko samjh kabhi meri hasraton kakhayal kar 
Teray deedar ki ik aarzoo main tarap rahay hain zara zara 

Apnay pyaar ka ik diya meri raah main to jala kabhi 
Andheri raat ka naag hamein das raha hai zara zara 

Aa dil pe meray haath rakh meri dharkano ko qaraar dy
Meri saans to hai chal rahi par jee rahay hain zara zara 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...