Aug 16, 2014

Bas ab to jeenay ka aik hi sil'sala hai jaana!



Bas ab to jeenay ka aik hi sil'sala hai jaana!
Tumhari sochon main doobay rehna 
Tumharay khwabon main khoye rehna 
Kisi tarah tum ko dekhnay ki sabeel karna 
Tumharay koochay tak anay ka kuch bahana karna 
Her aatay jaatay se khairat ki naveed lena 
Hawaon aur chaand aur prindon pe rashak karna 
Mera jo ehwaal poochna hai ti yeh hai jana 
Keh janay kab se 
Judai kay bandi khanay main band 
Baraf ki sil pe tanha baithi 
Hararat-e-zindagi se khuch rabat dhoondti hoon 
Badan ko apnay 
Tumharay haathon se choo rahi hoon 

Parveen Shakir

Judai kay bandi khanay main


Judai kay bandi khanay main 

Bas ab to jeenay ka aik hi sil'sala hai jaana!
Tumhari sochon main doobay rehna 
Tumharay khwabon main khoye rehna 
Kisi tarah tum ko dekhnay ki sabeel karna 
Tumharay koochay tak anay ka kuch bahana karna 
Her aatay jaatay se khairat ki naveed lena 
Hawaon aur chaand aur prindon pe rashak karna 
Mera jo ehwaal poochna hai ti yeh hai jana 
Keh janay kab se 
Judai kay bandi khanay main band 
Baraf ki sil pe tanha baithi 
Hararat-e-zindagi se khuch rabat dhoondti hoon 
Badan ko apnay 
Tumharay haathon se choo rahi hoon 

Parveen Shakir

Halqa-e-mehar main bhi parda-e-mehtaab main bhi {Hamd-e-bari-ta'ala}


Hamd-e-bari-ta'ala

Halqa-e-mehar main bhi parda-e-mehtaab main bhi 
Kiya ajab husan hai jo gum hai meray khwaab main bhi 

Jab safeena koi hota hai rawaan us ki taraf 
Lehar uth'ti hai achanak meray aasaab main bhi 

Woh keh rakhta hi nahin koi khad-o-khaal apnay 
Main ne auron main dekha ussay ehbaab main bhi 

Main khiridaar hua bhi to bhala kis ka hua 
Woh jo arzaan main bhi moujood hai na'yaab main bhi 

Rang-e-afsurda-e-kashkol bhi woh dast-ba-dast
Touq dar touq damakta hai zar-e-naab main bhi 

Sun'nanay walon ne suna hai ussay "Asim"aksar
Shor-e-mimber main bhi khamoshi-e-mehraab main bhi

Maalik-e-do jahan hai faqat tu hi tu {Hamd-e-bari-ta'ala}


Hamd-e-bari-ta'ala

Maalik-e-do jahan hai faqat tu hi tu 
Sari duniya ko hai bas teri justagoo 

Naam lenay se pehlay main kar loon wuzoo
Phir kahoon wah'dahu la shreek-la-hoo

Yahi hai haqeeqat main mairaaj-e-insaan 
Woh ho jaye bas naam pe teray qurbaan 

Fiza , khala , aur khushki teri 
Hai charon taraf teri jalwa gari 

Nazar ata hai her taraf tu hi tu
Allah hoo , Allah hoo, Allah hoo

Aaina-e-mohabbat main griftaar tha apna wajood


Aaina-e-mohabbat main griftaar tha apna wajood
LAgti thi her cheez zamanay ki dil main samaai si

Aaina khud bhi fareefta hota tha is haseen paikar par 
Ruki rehti hain jis ki aankhain ab dab'dabai si 

Kitnay roshan thay aankhon kay nageenay sheesha-e-dil main 
Ab lagti hai wohi nazar ba'basi layi si 

Woh jo aks ban kay aainay main basa karti thi sada 
Is dil'fraib shakal pe ayaan hai mehboob ki judai si 

Fakhar se tann kar her koi dekhta hai apni surat 
Tasveer-e-waqat ki gardish se hai magar dhund'lai si 

Aankhain wohi , dil wohi hai mukhra bhi wohi hai 
Aainay main jo hai woh waqat-e-guzishta ki par'chayein si 

Deep ashkon kay jab bhi jaltay hain


Deep ashkon kay jab bhi jaltay hain 
Hum bari dair main sambhaltay hain 

Apnay ham'raah jis taraf jayein 
Teri yaadon ko le kay chaltay hain 

Kholti hoon khtoot sab teray 
Dil main armaan jab machaltay hain 

Tera aana ashad zaroori hai
Kab sitaaron se hum behaltay hain 

Faraq aya na apni chahat main 
Is liye log hum se jaltay hain 

Is kay janay kay baad "Rukhsana"
Meri aankhon main khwaab paltay hain 

Mujh ko ik khwaab-e-parishaan sa laga eid ka chaand


Mujh ko ik khwaab-e-parishaan sa laga eid ka chaand

Meri nazron main zara bhi na jacha eid ka chaand

Aankh nam kar gaya bichray huye logon ka khyal 

Dard-e-dil kay hamain , doob gaya eid ka chaand

Main likhna chahti hoon , hai magar kuch youn


Main likhna chahti hoon 
Hai magar kuch youn 
Keh jab bhi main qalam kaghaz pe rakhti hoon 
Qalam ki aankh roti hai 
Warq pe aisay aansoo phail jaatay hain 
Keh jin pe naam hain 
In sab shaheedon ka 
Jo apni khwaishon kay saath hi 
Ab dafan hain 
Apnay hi aangan main 
Main rona chehti hoon 
In tamana'on pe 
Jo ab bhi kisi tooti hui chatt
Aur malbay kay kinaaray 
Kisi veeran se dil main 
Diye ki tarah roshan hain 
Keh shayed mohjaza ho 
Aur us ka hansata aangan 
Muskuraatay khailtay bachay 
Achanak samnay ayein 
Aur amaa keh kar seenay se lipat jayein 
Magar kuch bhi nahin hota 
Zameen khamosh hai 
Aur asmaan gum sum 

Humaira Rahat

Na janay kon si manzil ki simat hum hain rawaan


Na janay kon si manzil ki simat hum hain rawaan 

Gharri to kiya keh yahan pal ka aaitabaar nahin 

Kisi ko toot kay chehyein keh chah kar tootain 

Hamaray paas to itna bhi aaitabaar nahin

Jab bhi zameen kay qalb se aatay hain zal'zalay


Jab bhi zameen kay qalb se aatay hain zal'zalay 
Hanstay huye bashar ko rulaatay hain zal'zalay 

Duniya main jis maqaam pe aatay hain zal'zalay 
Qsar buland ho to giraatay hain zal'zalay  

Insaan ko yeh poochnay ka haq nahin mila 
Kiyon is kay baam-o-dar ko hilaatay hain zal'zalay  

Jin ko du akay baad khuda ne ata kiya 
Godi se maa ki un ko churaatay hain zal'zalay  

Jaisay khuda ne is liye paida kiya inhain 
Apni tabahi chor kay jaatay hain zal'zalay  

Kiya janay in ki nasal ko kab aye ga sha'oor
Ghar main yeh bin bulaye hi aatya hain zal'zalay  

In se kisi ko faida hota hai gar to ho 
Hum to yeh jaantay hain statay hain zal'zalay  

Poet : Akhtar Hashmi 

Tum na maano magar yeh haqeeqat hai


Tum na maano magar yeh haqeeqat hai 

Ishq insaan ki zaroorat hai 

Us ki mehfil main baith kay dekho 

Zindagi kitni khoobsurat hai 

Sab hi ne youn to kiya tajziya mohabbat ka


Sab hi ne youn to kiya tajziya mohabbat ka 

Kisi se hal na hua maslaa mohabbat ka 

Woh jis kay hijar main rona ussau dua dena 

Samjh main aata nahin falsafa mohabbat ka

Jitnay rastay hain anjanay dais ko jaatay hain


Jitnay rastay hain anjanay dais ko jaatay hain 

Jaany walo ! Peechay peechay hum bhi aatay hain 

Kuch meray teray dukh hain , kuch dukh hain hum sab kay 

Olay pathar barsaa kay ansoo ban jaatay hain 

Apni apni majboori hai jo jis ka ho jaye 

Sach poocho to jhootay saray rishtay naatay hain

Phoolon ki hai meh'kaar magar teri kami hai


Phoolon ki hai meh'kaar magar teri kami hai
Chriyon ki hai cheh'kaar magar teri kami hai 

Qismat ne kiya doulat-e-mamta se mehroom 
Doulat ka hai ambaar magar teri kami hai 

Her dard main , takleef main aur ranj-o-alam main 
Ae meray madad'gaar magar teri kami hai 

Her aan meray sar par dua'on kay woh saye 
Hai saya-e-ashjaar magar teri kami hai 

Gulshan main gulaabon ki kami koi nahin hai 
Kehta hai dil-e-zaar magar teri kami hai

Isi umeed pe aaj tak jeetay hi rahay hum



Isi umeed pe aaj tak jeetay hi rahay hum 
Hansanay ki arzoo main rotay hi rahay hum 

Taptay rahay zeest kay sehra main umar bhar
Mah talkhi-e-halaat ki peetay hi rahay hum 

Jazbon se kabhi khaila , kabhi mohabbaton ne mara
Logon kay her sitam ko bas sehtay hi rahay hum 

Bachpan hamara hum se miltay hi kho gaya 
Her mor par gali ko taktay hi rahay hum 

Dil ne kisi ki yaad kay jalaye thay kuch chragh 
Umar bhar is aag main khud jaltay hi rahay hum 

Hansanay ki arzoo main rotay hi rahay hum


Isi umeed pe aaj tak jeetay hi rahay hum 
Hansanay ki arzoo main rotay hi rahay hum 

Taptay rahay zeest kay sehra main umar bhar
Mah talkhi-e-halaat ki peetay hi rahay hum 

Jazbon se kabhi khaila , kabhi mohabbaton ne mara
Logon kay her sitam ko bas sehtay hi rahay hum 

Bachpan hamara hum se miltay hi kho gaya 
Her mor par gali ko taktay hi rahay hum 

Dil ne kisi ki yaad kay jalaye thay kuch chragh 
Umar bhar is aag main khud jaltay hi rahay hum 

Mohabbat yaad ayi hai


Mohabbat yaad ayi hai

Suno !

December kay aatay hi 

Tumhari yaad kohar ban kar

meri aankhon main chai hai 

Meray dil kay nihaan khano main 

Teri tasveer chupkay se mukuraai hai

Mohabbat yaad ayi hai

Jab nazar kay samnay rozay ka manzar aye ga {Naat}



Naat

Jab nazar kay samnay rozay ka manzar aye ga 
Khud-ba-khud meri zubaan par zikar-e-saroor aye ga 

Dekhna hai saya-e-Ahmed to dekho arsh par 
Asmaan ka saya aakhir kiyon zameen par aye ga 

Mujh ko nisbat hai Mohammad se , nahin duniya ka khouf 
Mujh se takrai to gardish ko bhi chakar aye ga 

Tairagi ko kaat day gi jumbish nok-e-qalam 
Roshni kay haath main kirno ka khanjar aye ga 

Main hoon madah-e-Nabi mumkin nahin mujh ko zawaal 
Dekhna kis oj par mera muqadar aye ga 

Jis kay dil main aye ga kokab, Mohammad ka khyal
Bakht ki tareekiyon main misl-e-khawar aye ga 

Hosla de fikar ko aur baarish-e-faizaan kar {Hamd-e-bari-ta'ala}


Hamd-e-bari-ta'ala

Hosla de fikar ko aur baarish-e-faizaan kar 
Hai sana teri bhout mushkil issay asaan kar 

Rafta rafta khol mujh par raah haye jisam-o-jaan 
Dheeray dheeray mujh pe zaahir tu meri pehchaan kar 

Zeest kay taptay huye sehraa main hoon is se nikaal 
Meray sar pe bai'karaan rehmat ki chadar taan kar 

Kufar alood fiza main saans lena mohaal hai 
Phir se is gum karda reh ko saahib--e-emaan kar 

Khatam ho jaye bisaat-e-khaak ka sab shor-o-shar 
Be'sakooni ko ata phir husan-e-ehtmanaan kar 

Khaima-e-shab se yahi awaaz ayi hai subha 
Hamd likh aur is tarah bakhshish ka kuch samaan kar 

Usi ka hukam jaari hai zameeno aasmano main {Hamd-e-bari-ta'ala}


Hamd-e-bari-ta'ala

Usi ka hukam jaari hai zameeno aasmano main 
Aur un kay darmiyaan jo hain , makeeno aur makaano main 

Hawa chalti hai baaghon main to us ki yaad ati hai 
Sitaray, chaand suraj hain sabhi us kay nishaano main 

Usi kay dam se teh hoti hai manzil khwaab-e-hasti ki 
Woh naam ik harf-e-norani hai zulmat kay jahano main 

Usi kay paas israar jahan ka ilam hai sara 
Wohi bar'paa karay ga hashar aakhir kay zamano main 

Woh kar sakta hai jo chahye , woh her ik shay pe qaadar hai 
Woh sun sakta hai raazon ko jo hain dil kay khazano main 

Bacha leta hai apnay doston ko khouf-e-baatil se 
Badl deta hai sholon ko mehaktay gulistaano main 

Muneer is hamd se rutba ajab hasil hua tujh ko 
Nazeer is ki mile shayed puraani dastaano main 

Zindagi kay yeh sawalaat kahan thay pehlay


Zindagi kay yeh sawalaat kahan thay pehlay 

Itnay uljhay huye halaat kahan thay pehlay

Ayo aankhon se baat kartay hain


Ayo aankhon se baat kartay hain 

Lafz mohabbat bigar detay hain

khud tum se milnay ayi bhi


khud tum se milnay ayi bhi

Aur aa kar bhout pachtai bhi 

Ab jheelon gi khamoshi se 

Yeh doori bhi tanhai bhi 

Ik khail tha so main haar gayi 

Is khail main thi ruswai bhi 

Mohabbat kaanch ka soda


Mohabbat kaanch ka soda 
Mohabbat aag ka dariya 
Mohabbat june jaisi hai
Mohabbat barf jaisi hai
Mohabbat raat kaali hai 
Mohabbat neela mousam hai
Mohabbat kacha aangan hai
Mohabbat titliyon ka ghar 

Magar phir bhi 

Mohabbat ho hi jaati hai
Kisi na'maloom basti se 
Kisi anjaan hasti se 
Kisi kaaghaz ki kashti se 
Kisi khirki kay manzar se 
Kisi dhundli si hasrat se 
Mohabbat ho hi jaati hai 
Mohabbat ho hi jaati hai

Fishaar zehan main jalta raha sharar na hua


Fishaar zehan main jalta raha sharar na hua 

Yeh sang-e-raah bana shamma reh guzar na hua 

Bara ajeeb lateefa hai ibn-e-adam ka 

Sitam zareef khuda ban gaya bashar na hua

Tu ne kiya kuch nahin diya mujh ko


Tu ne kiya kuch nahin diya mujh ko 

Main bhout shaad hon udaas nahin 

Is main kuch talkhiyaan bhi hoti hain 

Dosti shehed (Honey) ka glaas nahin

Mohabbat ab nahin ho gi


Sitaaray jo damaktay hain 

Kisi ki chashm-e-hairaan main 

Mulqaatein jo hoti hain 

Jamaal-e-abroo-e-baaran main 

Yeh na'abaad waqton main 

Dil-e-na'shaad main ho gi 

Mohabbat ab nahin ho gi 

Yeh kuch din baad main ho gi 

Guzar jayein gay jab yeh din 

Yeh un ki yaad main ho gi

Anmol Moti


Anmol Moti 

  • Mohabbat jab wafa main dhalti hai to amar ho jaati hai 

  • Her aankh dekhti zaroor hai magar mehsoos karnay wali 
aankh bhout kam hoti hai 

  • Agar main lagan main khloos aur kuch paa lenay ki tamana ho 
to phir haara nahin kartay 

  • Jo tal jaye woh muqadar nahin andesha hai , jo badl jaye
woh sirf imkaan hai muqadar nahin , jo na badlay woh 
muqadar hai , ho atal ho wohi amar-e-elaahi hai ,
woh naseeb hai , hamara naseeb 

  • Mohabbat rooh ka gulaab hai agar yeh mur'jhaa jaye 
to zindagi main kashish baaqi nahin rehti 

Naya Saal


Naya Saal 

Nayi sunhain , nayi shaamain , naye lamhay , naye saathi 
Magar ik main ..
Keh jo waisay ka waisa hoon 
Faraat-e-waqat pe bikhray 
Guzishta saal ki saari 
Adhoori khwaishon kay 
Un'ginat tukron ko chun'ta hoon 
Unhain ik aik kar kay jorta hoon 
Shakal deta hoon 
Main phir ik khwaab bunta hoon

Roshan Lafz


Roshan Lafz

  • Her aik ki sunain aur her aik se seekhain 
Koi sab kuch nahin jaanta , lakin her ik kuch na kuch 
zaroor jaanta hai 

  • Shukar ada kartay raha karain , is rab ka jo bardaasht se 
ziada dukh nahin deta , magar auqaat se ziada 
sukh zaroor deta hai 

  • Jo aap ko khushi main yaad aye , aap us se mohabbat 
kartay hain , magar jo aap ko gham main yaad aye 
samjhain woh aap se mohabbat karta hai 

  • Agar qismat main sab kuch likh diya jaata 
to mera Allah se jo rishta dua ka hai woh kon nibhaata?

Eye Bank



Eye Bank

MAin to is karb-e-nizara se tarap utha hoon 
Kitnay aisay hain jinhain 
HAsrat-e-beenai hai 
Jin ki qismat main kabhi doulat-e-deedaar nahin 
Jin ki qismat main tamasha na tamashae hai 
Jo tarastay hain keh kirno ko barasta dekhain 
Un se keh do keh woh ayein meri aankhain le kar 
Is se pehlay keh mera jisam fana ho jaye 
Is se pehlay keh yeh khaak'star jaan bhi na rahay 
Is se pehlay keh hashar bar'pa ho jaye 
APnay chehray pe lagaye koi meri aankhain 
Kon seh paye ga lakin meri aankhon kay khwaab 
Kis ko yeh hosala ho ga keh hamesha dekhaye 
APni palkon ki saleebon se utarayhuye khwaab 
Jin ki kirchiyon ki chubhan rooh main bas jaati hai 
Zindagi , zindagi bhar kay liye kur'laati hai 

Poet : Ahmed Faraz

MAin to is karb-e-nizara se tarap utha hoon


Eye Bank

MAin to is karb-e-nizara se tarap utha hoon 
Kitnay aisay hain jinhain 
HAsrat-e-beenai hai 
Jin ki qismat main kabhi doulat-e-deedaar nahin 
Jin ki qismat main tamasha na tamashae hai 
Jo tarastay hain keh kirno ko barasta dekhain 
Un se keh do keh woh ayein meri aankhain le kar 
Is se pehlay keh mera jisam fana ho jaye 
Is se pehlay keh yeh khaak'star jaan bhi na rahay 
Is se pehlay keh hashar bar'pa ho jaye 
APnay chehray pe lagaye koi meri aankhain 
Kon seh paye ga lakin meri aankhon kay khwaab 
Kis ko yeh hosala ho ga keh hamesha dekhaye 
APni palkon ki saleebon se utarayhuye khwaab 
Jin ki kirchiyon ki chubhan rooh main bas jaati hai 
Zindagi , zindagi bhar kay liye kur'laati hai 

Poet : Ahmed Faraz

Silsala-e-roz-o-shab



Silsala-e-roz-o-shab 

Yeh do chaar lamhon ki roshan kiran 
Andheray main ulajti hui 
Ujaala bani dekhti hai 
Logon main udaasi bikharti chali jaa rahi hai 
Khushi dard kay baazo'on se lipat kar siskiyaan 
le rahi hai 
Yehi zindagi hai 
Isi se kiran phoot'ti hai 
Magar is karay kos yehbhi
Bari shai hai ehsaas zinda rahay 
Ragon main hararat pighalti rahay 

Fiza main naye chaand mandlaa rahay hain , hanstay jaa rahay hain 
Yahan hum zameen par 
Fiza main baray shouq se dekhtay hain 
Jahan gardishain apni taqdeer likhti rehti hain 

Suna hai andhera ujalay kay dil main makeen hai 
Fiza ho , zameen ho , yahi silsala hai 
Ujaala andhera hum aghosh hain 

Poet : Sadique Kaleem

Yeh do chaar lamhon ki roshan kiran


Silsala-e-roz-o-shab 

Yeh do chaar lamhon ki roshan kiran 
Andheray main ulajti hui 
Ujaala bani dekhti hai 
Logon main udaasi bikharti chali jaa rahi hai 
Khushi dard kay baazo'on se lipat kar siskiyaan 
le rahi hai 
Yehi zindagi hai 
Isi se kiran phoot'ti hai 
Magar is karay kos yehbhi
Bari shai hai ehsaas zinda rahay 
Ragon main hararat pighalti rahay 

Fiza main naye chaand mandlaa rahay hain , hanstay jaa rahay hain 
Yahan hum zameen par 
Fiza main baray shouq se dekhtay hain 
Jahan gardishain apni taqdeer likhti rehti hain 

Suna hai andhera ujalay kay dil main makeen hai 
Fiza ho , zameen ho , yahi silsala hai 
Ujaala andhera hum aghosh hain 

Poet : Sadique Kaleem

Yeh saal bhi aakhir beet gaya


Yeh saal bhi aakhir beet gaya 
Kuch tailain , yadain 'khwaab liye
Kuch kaliyaan , chand gulaab liye 
Kuch ankhriyan par khwaab liye 
Kuch ujlay din , kaali raatein 
Kuch sachay dukh ' jhooti baatein , kuch tapti rutain , kuch barsaatein 
Kisi yaar aziz ka dukh pyara 
Kisi chatt pe umeedon ka tara
Jis pe hansta tha jag saara 
Us shaair ne jo haroof likhye
Us main teri yaad kay saye thay 
Woh log sabhi aakhir loat gaye
In hastay bastay logon ne 
Mere saray dukh apnaye thay 
Phir main ne yaad ki matti main 
Zakhmi lamhay dafnaye thay 

Poet : Aaitbar Sajid

December hamain raas nahin aata


December hamain raas nahin aata

Kai saal guzray 
Kai saal beetay 
Shab-o-roz ki gardashon ka tasal'sul 
Dil-o-jaan main saanson ki partain ulat'tay huye 
Zal'zalon ki tarah hamptaa hai 
Chitaktay huye khwaab 
Aankhon ki nazuk ragain cheeltay hain 
MAgar main her ik saal ki goad main jaagti subha ko 
BE'karaan chahaton se atti zindagi ki dua le kar 
Ab aik wohi justagoo ka safar kar raha hoon 
Guzarta hua saal jaisa bhi guzra magar saal kay aakhri din 
Nihayat khathan hain 
Meray milnay walo 
Naye saal ki muskuraati hui subha gar haath aye to 
To milna 
Keh jaatay huye saal ki saa'aton main 
Yeh bujhta hua dil 
Dhrakhta to hai muskuraata nahin 
December mujhay raas aata nahin 

Poet : Mohsin Naqvi

Tumharay naam kay harfon se behtar harf-e-abjad main nahin hain



Saahil 

Tumharay naam kay harfon se behtar harf-e-abjad main nahin hain 
Na'janay kab se yeh mousam 
Sitaron ki tarah dharti kay seenay par farozan hain 
Magar in ki nigahon ne 
Tumharay wasal kay lamhon se behtar waqat 
Dekha hai na socha hai 
Hawa ne manzaron par aaj tak jo kuch bhi likha hai 
Tumharay naam likha hai 

Khalaa main toot'tay taaray 
Tumharay baam se guzrain to ruknay ko machaltay hain 
Falak ko choomtay jazbay 
Tumhari aankh se utrain to pa'taalon main girtay hain
Tumharay khwaab se roshan minaaray 
Waqat kay dariya-e-be'had main nahin hain 
Tumharay naam kay harfon se behtar harf-e-abjad main nahin hain

Poet : Amjad Islam Amjad

Saahil


Saahil 

Tumharay naam kay harfon se behtar harf-e-abjad main nahin hain 
Na'janay kab se yeh mousam 
Sitaron ki tarah dharti kay seenay par farozan hain 
Magar in ki nigahon ne 
Tumharay wasal kay lamhon se behtar waqat 
Dekha hai na socha hai 
Hawa ne manzaron par aaj tak jo kuch bhi likha hai 
Tumharay naam likha hai 

Khalaa main toot'tay taaray 
Tumharay baam se guzrain to ruknay ko machaltay hain 
Falak ko choomtay jazbay 
Tumhari aankh se utrain to pa'taalon main girtay hain
Tumharay khwaab se roshan minaaray 
Waqat kay dariya-e-be'had main nahin hain 
Tumharay naam kay harfon se behtar harf-e-abjad main nahin hain

Poet : Amjad Islam Amjad

Dil lagaya tha , dil'lagi kay liye


Kaisi ghalti shabaab kar baitha 
Dil mera intikhaab kar baitha 
Yeh samjh kar kay zindagi tum ho 
Zindgaani khraab kar baitha 

Dil lagaya tha , dil'lagi kay liye 
Ban gaya rog zindagi kay liye

Aap ki maang main sitaray hain 
Hum tarastay hain roshni kay liye 

Dil lagaya tha , dil'lagi kay liye 
Ban gaya rog zindagi kay liye

Jo na karna tha woh bhi kar dala 
Hum ne zalim teri khushi kay liye 

Dil lagaya tha , dil'lagi kay liye 
Ban gaya rog zindagi kay liye

Saray jhagray bhi zindagi tak hain 
Kon marta hai phir kisi kay liye 

Dil lagaya tha , dil'lagi kay liye 
Ban gaya rog zindagi kay liye

Tum farishton ki baat le baithay 
Hum tarastay hain aadmi kay liye 

Dil lagaya tha , dil'lagi kay liye 
Ban gaya rog zindagi kay liye

Ehal-e-dil is ko dil nahin kehtay 
Jo tarapta na ho kisi kay liye 

Dil lagaya tha , dil'lagi kay liye 
Ban gaya rog zindagi kay liye



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...