May 18, 2014

Mukamal do hi dano par yeh tasbeeh-e-mohabbat hai


Mukamal do hi dano par yeh tasbeeh-e-mohabbat hai 
Jo aaye teersra dana to doori toot jati hai 

Mo'iyan waqat hota hai mohabbat ki nimazon ka 
Ada jin ki nikal jaye qaza bhi choot jaati hai 

Mohabbat ki nimazon main imaamat aik ko sompein 
Issay taknay , ussay taknay se niyat toot jaati hai 

Mohabbat dil ka sajda hai jo hai toheed pe qa'im 
Nazar kay shirk walon se mohabbat rooth jaati hai 

Butt-e-mehboob pana hai to phir Allah se mango 
Keh pooja butt ki karnay main to qismat phoot jaati hai

 


Jab le kar naam mera pukara us ne sar-e-mehfil


Jab le kar naam mera pukara us ne sar-e-mehfil 

Ban ban kar kai log meray hum'naam niklay

Raat abhi tanhai ki pehli dehleez pe hai


Raat abhi tanhai ki pehli dehleez pe hai

Aur meri janab apnay hath barhati hai

Soch rahi hoon

In ko tham'on

Zeena zeena snat'on ke teh khanon main utron

Ya apnay kamray main tehron

Chaand meri khirki pe dastak deta hai

yeh jhuki jhuki ankhain yeh ruka ruka lehja


Yeh Jhuki jhuki ankhain 

Yeh ruka ruka lehja

Lab pe bar bar a ke

Toot'ta hua fiqra

Gard main ati palkai'ein

Dhoop se tapa chahra

Sar jukahye aya hai

Ik umar ka bhoola

Dil hazar kehta hai

Hath thaam lo us ka

Choom lo yeh paisahani

Lotanay na doon tanha

Koi dil se kehta hai 

Saray haraf jhootay hain


Aadhi raat ko yeh duniya walay jab khawabon main kho jatay hain


Aadhi raat ko yeh duniya walay jab khawabon main kho jatay hain 
Aisay main mohabbat kay rogi yaadon kay chragh jalatay hain 

Kartay hain mohabbat sab hi magar , her dil ko sila kab milta hai 
Aati hain baharein gulshan main , her phool magar kab khilta hai 

Tu ranjha na tha main heer na thi hum apna pyar nibha na sakay 
Youn pyar kay khawab bhout dekhaye tabeer magar hum paa na sakay 

Main ne to bhout chaha lakin tu rakh na saka wadon ka bharram 
Ab reh reh kay yaad aata hai jo tu ne kiya is dil pe sitam

Parda jo hatta don chehray se tujhay log kahein gay har'jaai 
Majboor hoon main dil kay haathon , manzor nahin teri ruswai 

Socha hai keh ab apnay honton par main chup ki mohar laga loon gi 
Main teri sulagti yaadon se ab is dil ko behlaa loon gi

Woh baat kiyon karein jis ki khabar hi na ho


Woh baat kiyon karein jis ki khabar hi na ho 

Woh dua kaisay karein jis ka asar hi na ho 

Kaisay keh doon tumhein kag jaye meri umar

Kya pata aglay pal meri umar hi na ho

Kitnay mousam aaye aur phir chalay gaye


Teri yaad ka mousam 

Kitnay mousam aaye aur
Phir chalay gaye
Garam thapairay lu kay hon ya 
Baarish ho 
Pat jharr ya phir 
Mousam-e-gul 
Hijrat hi nahin karta 
Teri yaad ka mousam ...!

Main bhi aam si larki hoon


Main bhi aam si larki hoon 

Tum ne mujhay koi sangi mujasama hi samjha 
Keh jis par koi baat , koi dukh 
Koi takleef asar nahin karti 
Meray dosto
Dhoop ki chubhan mujhay bhi hoti hai 
Kisi ka sakhat lehja mujhay bhi mehsoos hota hai 
Baton kay teer mujhay bhi lagtay hain 
Kisi mazboot baazu ka hisaar mujhay bhi chahiye 
Aik Aaitbaar mujhay bhi chahiye 
Aik ghar , aik dareechay ki khwaish mujhay bhi hai 
Main koi sangi mujasama nahin hoon 
Bhout aam si larki hoon 
Kaash ! tum ne mujhay kabhi "Khaas" na samjha hota

Tash'khees baja hai keh mujhay ishq hua hai


Tash'khees baja hai keh mujhay ishq hua hai 

Nuskhay main likho un se mulaqaat musal'sal

Husan ko la'jawaab hona tha



Husan ko la'jawab hona tha 
Shouq ko kamyaab hona tha 
Hijar main kaif-e-iztraab na pooch 
Khoon-e-dil ko sharab hona tha 
Teray jalwon main ghir gaya aa kar 
Zaray ko aftaab hona tha 
Kuch tumhari nigah kaafir thi 
Kuch mujhay bhi kharaab hona tha 
Raat taaron ka tootna bhi "Majaaz"
Bais'e'iztraab hona tha

Us ne kaha main janti hoon


Us ne kaha main jaanti hoon 

Us ne kaha 
Mujhay pata hai 
Tumhari aankhein abar alood hain 
Main tumhein aur rulaon gi 
Tum khouf zada insaan ho 
Main tumhein aur daraon gi 
Tum zakhmi ho 
Main tumhein aur zakham lagaon gi 
Us ne kaha 
Mujh se jo  jo kuch ho saka main karon gi 
Kiyon keh main jaanti hoon 
Tum mujh se mohabbat kartay ho

Salam likhta hai shair tumharay husan ke naam


Salam likhta hai shair tumharay husan ke naam
Bikhar gaya jo kabhi rang-e-peh'rahan sar-e-baam 
Nikhar gayi hai kabhi subha , dopehar , kabhi shaam 
Kahin jo qamat-e-zeba pe saj gayi hain qaba 
Chaman main sar-o-sanobar sanwar gaye hain tamaam 
BAni bisaat-e-ghazal jab dabo liye dil ne 
Tumharay saya-e-rukhsaar-o-lab main sagar-o-jaam 
Salam likhta hai shair tumharay husan ke naam
Tumharay haath pe hai tabish-e-hina jab tak 
Jahan main baqi hai dildari-e-uroos-e-sukhan 
Tumhara husan jawan hai to meharban hai falak
Tumhara dam hai to dam'saaz hai hawa-e-watan 
Agarcha tang hain auqaat , sakhat hain alaam 
Tumhari yaad se sheerein hai talkhi-e-ayaam 
Salam likhta hai shair tumharay husan ke naam

Sakoot-e-shaam jab khamosh kar jaye zamanay ko


Sakoot-e-shaam jab khamosh kar jaye zamanay ko 

Sitaray ayein jis dam noor ki chadar bichanay ko 

Naseem-e-jaan fiza chalti ho duniya ko sulanay ko 

ba alfaaz deegar , aa jaye neend zamanay ko 

To tum yeh jaan lena , koi tum ko yaad karta hai

Phir kisi yaad ne hai raat bhar jagaya mujh ko


Phir kisi yaad ne hai raat bhar jagaya mujh ko 
Kya saza di hai mohabbat ne khudaya mujh ko 
Din ko araam hai na raat ko chain kabhi 
Janay kis khaak se hai qudrat ne banaya mujh ko 
Dukh to yeh hai keh zamanay main milay ghair sabhi 
Jo mila hai woh mila ban kay praya mujh ko 
Jab koi bhi na raha kaandha meray ronay ko 
Ghar ki dewaron ne seenay se lagaya mujh ko 
Ab to umeed-e-wafa tum se nahin hai koi 
Phir chiraghon ki tarah kis ne jalaya mujh ko

Yaad bhout tum ayo gay tanhai main rulao gay


Yaad bhout tum ayo ge

Tanhai main rula'o ge

Wasal ke lamhaat ka

Ab zikar kiya biyaan kiya

Hijar ka hai dard yeh

Judai main ankh ashk'baar

Bichar ke tum se kiya jiye

Bas khud pe hum hansa kiye

Kati patang ki tarah

Yahan ura de wahan gira de

Manzil faraib de gi

Hum raah ki dhool main rahay

Pashemaan huye kiya tum kabhi

Tanha mujhay youn chor ke

Jamal ban kar meri aankh main samatay ho


Mujhay tum yaad aatay ho 

Jamal ban kar meri aankh main samatay ho 
Khayal ban kar meray dil ko gud'gudatay ho 
Kamal ban kar meri zindagi banatay ho 
Wisal ban kar meray hoslay barhatay ho 
Sawal abn kay khayalon main sata'tay ho 
Zawal ban kar pyar ki intiha samjhatay ho 
Khuda gawah hai mujhay tum yaad aatay ho

Tujh se naraz nahin zindagi hairaan hoon main


Tujh se naraz nahin zindagi hairaan hoon main 
Teray masoom sawalon se parishaan hoon main 
Jeenay kay liye socha hi na tha dard sambhalnay hon gay 
Muskura'on to muskuranay kay qarz utarnay hon gay 
Muskuraon kabhi to lagta hai 
Jaisay honton pe qarz rakha hai 

Tujh se naraz nahin zindagi hairaan hoon main 
Aaj agar bhar ayi hain , boondain baras jayein gi 
Kal kya pata in kay liye aankhein taras jayein gi 
Janay kahan gum hua kahan khoya 
Aik aansoo chupaa kay rakha tha 

Tujh se naraz nahin zindagi hairaan hoon main 
Zindagi teray gham ne hamein rishtay naye samjhaye
Milay jo hamein dhoop main milay chaaon kay thanday saaye 
Tujh se naraz nahin zindagi hairaan hoon main 

Tanhai ik saza hai yeh aaj main ne jana


Tanhai ik saza hai 
Yeh aaj main ne jana
Dard be'intiha hai 
Yeh aaj main en jana 
Main jo rehta hoon din bhar hajoom main 
Kitna tanha hoon 
Yeh aaj main ne jana 
Raat ki tareeki main 
Aasman ko takta hoon 
Dekhta hoon yeh kya main 
Chand bhi akela hai 
Main bhi bhout akela hoon

Chasham-e-saqi se talab kar ke gulabi doray


Chashm-e-saqi se talab kar kay gulabi doray 

Dil kay zakhmon ko kahin baith kay see leta hoon 

Sagar-oi-mai to bari cheez hai , ik neh'mat hai 

Ashk bhi aankh main bhar ayein to pee leta hoon

Aur kiya chahatay ho maqaam apna


Aur kya chahtay ho maqaam apna 

Keh to diya zindagi ho tum

Aj bhi ho jo ibrahim ka emaan paida


Aaj bhi ho jo Ibrahim (a.s) ka emaan paida 

Aag kar sakti hai andaz-e-gulistan paida

Suna hai us ko mohabbat duaein deti hai


Suna hai us ko mohabbat duaein deti hai 

Jo dil pe chot to khaye magar gila na karay 

Shiddat-e-dard main Ayi na kami koi bhi jana


Shiddat-e-dard main Ayi na kami koi bhi jana 

Dard phir dard raha , ulta likha ya seedha

Koi chupkay chupkay kehta hai


Koi chupkay chupkay kehta hai 
Koi geet likho meri aankhon par 
Koi shair kaho meray lafzon par 
In khushboo jaisi baaton par 
Chup chaap main sunta rehta hoon 
Phir in jheel si gehri aankhon par 
Aik taza ghazal likh deta hoon 
In phool jaisi baaton par 
Aik shair naya keh deta hoon 
YEh geet ghazal yeh shair meray 
Sab us kay pyar ka dar panhai
Sab us kay roop ka dar'shan hai
Sab us ki aankh ka kajal hai 

Bas itna yaad hai keh mujhay ishq hua tha


Bas itna yaad hai keh mujhay ishq hua tha 

Phir kya hua us ki mujhay khabar nahin

Bhout kuch yaad aata hai tumharay yaad aanay se


Kabhi yaadain , kabhi baatain , kabhi beeti mulaqaatain 

Bhout kuch yaad aata hai tumharay yaad aanay se 

Paas aa zara dil ki baat bataon tujh ko



Paas aa zara dil ki baat bataon tujh ko 
Kaisay dharakta hai dil awaz sunaon tujh ko 

Aa kay tu dekh lay dil pe likha hai naam tera 
Agar kehta hai tu dil cheer kay dikhaon tujh ko 

Jitna jalaya hai tu ne pyar main mujh ko 
Dil to karta hai main bhi jalaon tujh ko 

Ajnabi hota tu aisay kar bhi leta shayed 
Magar tum to apnay ho kaisay sataon tujh ko

Meray rag-o-py main sama gaya woh shakas


Meray rag-o-py main sama gaya woh shakas

Meri zindagi main cha gaya woh shaks

Meray dil se dil mila gaya woh shaks

Mujhay kush naseeb bana gaya woh shaks

Mujhay de gaya apni her kushi

Meri ankhon se neend chura gaya woh shaks

Janay kiya baat thi us main aisi

Muhay mohabbat karna sikha gaya woh shaks

dashat-o-darya se guzarna ho keh ghar main rehna


Dasht-o-dariya se guzarna ho keh ghar main rehna 
Ab to her haal main hai hum ko safar main rehna 

Dil ko her pal kisi jadu kay asar main rehna 
Khud se niklay to kisi aur kay dar main rehna

Shaher-e-gham dekh teri aab-o-hawa khushk na ho 
Raas aata hai ussay deeda-e-tar main rehna 

Faisalay saray ussi kay hain hamari ba'bat 
Ikhtayar apna bas itna keh khabar main rehna 

Toot'na youn to muqaddar hai magar kuch lamhay 
Phool ki tarah muyassar ho sajar main rehna 

Tahir jaan kay guzarnay se bara saniha hai 
Shouq-e-parwaz ka tootay huye par main rehna

Ik khwaab hai, is khwaab ko khona bhi nahin hai



Ik khwaab hai, is khwaab ko khona bhi nahin hai

Tabeer ke dhagay main perona bhi nahin hai

Lipta hua hai dil se kisi raaz ki surat

Ik shakas keh jis ko mera hona bhi nahin hai

Rakhna hai sar-e-chasham issay sakat-o-jamad

Pani main abhi chaand bighona bhi nahin hai

Her chand teray naqsh-e-kafa-e-pa main hai lakin

Yeh dil kisi bachay ka khilona bhi nahin hai

Wabasta hai mujh se keh tu hai bhi keh nahin hai

Jab main nahin tujh main , Tera hona bhi nahin hai

Jis shakas ki khatar tera yeh haal hai khawar

Us shakas ne teray mar janay pe rona bhi nahin hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...