Feb 14, 2016

Ab hum ne kisi se kuch nahin kehna


Ab hum ne kisi se kuch nahin kehna 
Bhalay hamein zakham lag jaye 
Bhaly woh umar bhar sil na paye 
Hamein khamosh rehna hai 
Ab hamein kisi se kuch nahin kehna hai 
Hum ne ro kay dekha hai 
Hum ne shor maccha kay dekha hai 
Apnay zakham dikha kay dekha hai 
Par hua kuch nahin haasil 
Ab hamein kisi se kuch nahin kehna 
Tumhein gar yaad ho to 
Hum ne tumhein qissa sunaya tha 
Apna dard bataya tha 
Tum pal bhar 
Umar kay qurb kay madawa banay thay 
Jaltay zakhmon ki dawa banay thay 
Aur phir !!!!
Zara jo waqat guzra to 
Zamanay kay chalan main dhal gye tum bhi 
Waqat kay saath badal gaye tum bhi 
Tumhein to bhout 
Zamana shanasi ka dawa hai 
Phir kiyon na pehchaan paye tum 
Hamein kiyon na jaan paye tum 
Ab hamein tum se kuch nahin kehna hai 
Hamein khamosh rehna hai 
Sab aansoo pee kay 
Sab zakham see kay 
 

Teray qareeb aa kay bari uljahno main hoon


Teray qareeb aa kay bari uljahno main hoon 
Main dushmano main hoon keh teray doston main 

Mujh se guraiz'paa hai to her raasta badal 
Main sang raah hoon to sab hi raaston main hoon 

Badla na meray baad bhi mozo-e-guftagoo 
Main jaa chuka hoon , phir bhi teri mehfilon main hoon 

Mujh se bichar kay roye ga tu bhi tamaam umar 
Yeh soch le keh main bhi teri khwaishon main hoon

Qissay meri ulfat kay jo marqoom hain saray


Qissay meri ulfat kay jo marqoom hain saray 
Aa dekh teray naam se mosoom hain saray 

Bas is liye her kaam adhura hi para hai 
Khadam bhi meri qoam kay makhdoom hain saray 

Ab kon meray paon ki zanjeer ko kholay 
Hakim meri basti kay bhi mehkoom hain saray 

Shayed yeh zarf hai jo khamosh hoon ab tak 
Warna to teray aaib bhi maloom hain saray 

Sab jurm meri zaat se mansoob hain "Mohsin"
Kya meray siwa shaher main Masoom hain saray

Hamari zaat se inkaar kar kay


Hamari zaat se inkaar kar kay 
Hamein chaha gaya mas'maar kar kay 

Ussay yeh zoham sar kar le ga aakhir 
Hamein dikhaa nazar ka waar kar kay 

Mohabbat aik la'hasil safar hai 
Milay ga kya tujhay takraar kar kay 

Abhi duniya'ein kitni raah main hain 
Kabhi dekho samandar paar kar kay 

Bari rahat milay gi yaar "Mazhar"
Kabhi khud se bhi dekho pyar kar kay

Zindagi khaak na thi , khaak uraa'tay guzri


Zindagi khaak na thi , khaak uraa'tay guzri 
Tujh se kya kehtay teray paas jo aatay guzri 

Din jo guzra to kisi yaad ki ro pa guzra 
Shaam aayi to koi khawab dikhatay guzri 

Achay waqton ki tamana main rahi umar-e-rawan 
Waqat aisa tha keh bas naaz utha'tay guzri 

Raat kya aayi keh tanhai ki sar'goshi main 
Hu ka aalam tha magar , suntay sunatay guzri 

Baar haa chonk si jati hai musafat dil ki 
Kis ki awaz thi yeh , kis ko bulatay guzri

Zindagi jis kay muqadar main hon khushiyan teri
Us ko aata hai nibhana so nibhatay guzri

Nazar jab us se milti thi ,Main khud ko bhool jati thi


Nazar jab us se milti thi  ,Main khud ko bhool jati thi 
Bas ik dharkan dharakti thi  ,Main dil ko bhool jati thi 

Ussay milnay se pehlay main bhout sajti sanwarti thi 
Magar jab woh sanwarta tha main khud ko bhool jati thi 

Main aksar hi yeh kehti thi , main tum se pyar karti hoon 
Magar jab woh yeh kehta tha main duniya bhool jati thi

Her kisi kay haath bik janay ko tayar nahin


Her kisi kay haath bik janay ko tayar nahin 

Yeh mera dil hai teray shaher ka Aakhbaar nahin

Kal raat main ne apnay saray gham kamray ki dewaron par likh dalay


Kal raat main ne apnay saray gham kamray ki dewaron par likh dalay 

Raat bhar main sota raha , aur dewarein roti rahein

Kabhi faqeer kabhi badshah hona tha


Kabhi faqeer kabhi badshah hona tha 
Mohabbaton main hamein youn tabbah hona tha 

Barjumaan thay dono bulandiyon par to phir
Soch kaisay hamara nibaah hona tha 

Kuch is tarah se wafa ki misal deta hoon


Kuch is tarah se wafa ki misal deta hoon 
Sawal karta hai koi to taal deta hoon 

Usi se khaata hoon aksar fraib manzil ka 
Main jis kay paaon ka kaanta nikal deta hoon

Rakh apnay paas apnay mehr-o-wafa ae Falak


Rakh apnay paas apnay mehr-o-wafa ae Falak
Hum khud kisi ki aankh kay taaray hain in dino

Dast-e-sehar ne maang nikali hai baar'ha
Aur shab ne aa kay baal sanwaray hain in dino

Un se kehna keh hum mazay main hain


Un se kehna keh hum mazay main hain 
Bas us ki yaadein bhout sata'ti hain 

Un ki doori ka gham nahin hai 
Bas zara palkein bheeg jati hain

Raat thi youn keh jaisay jungle ka safar


Raat thi youn keh jaisay jungle ka safar 
Chonk uthay jo dekhi sehar samnay 

Hum hain "Majid" sulagtay diye raat kay 
Bujh gaye bhi to ho gi sehar samnay

Loot kuch aisi macchi thi din dihaaray shaher main


Loot kuch aisi macchi thi din dihaaray shaher main 
Kal sapairon se bhi sampon kay pitaray chhin gaye

Lut gaye bazar main meray bhi sab pathar kay chand 
Us kay haathon se bhi matti kay sitaray chinn gaye 

Milna tumhara mujh se mehaz haadsa na tha


Milna tumhara mujh se mehaz haadsa na tha 
Yeh kaar'nama dil ka , karishma dua ka tha 

Hum mubtala-e-ishq thay hargiz na keh sakay 
Khamosh hi rahay keh taqaza haya ka tha

Ghroob hotay huye Aaftaab ki maanind


Ghroob hotay huye Aaftaab ki maanind 
Bichar kay us ne tabiyat udaas kar di hai 

Woh umar jis main hamein khud se milna tha 
Woh umar sirf teri justagoo main kar di hai

Taaluq tha , tamasha to nahin tha


Taaluq tha , tamasha to nahin tha 
Mohabbat thi , yeh dhaaga to nahin tha 

Hamari chah behar-e-be'karan thi 
Koi pa'yaab dariya to nahin tha 

Ussay koi ghalat fehmi hui hai 
Woh youn kano ka kaccha to nahin tha 

Parishani main bhi woh narm khu tha 
Woh youn lehja badalta to nahin tha 

Woh saccha tha , mujhay ab bhi yaqeen hai 
Woh meray saath jhoota to nahin tha 

In hi baaton se kuch sambhala hai warna 
Yeh dil ab bhi sambhalta to nahin tha

Kaisi chali hai ab kay hawa teray shaher main


Kaisi chali hai ab kay hawa teray shaher main 
Banday bhi ho gaye hain Khuda teray shaher main 

Kuch dushmani ka dhab hai na ab dosti kay tor 
Dono ka aik rang hua teray shaher main 

Ab kya diyar-e-ghair main dhoondein hum aashna 
Apnay to ghair ho gaye sab apnay shaher main 

Ik aap hain keh sara zamana hai aap ka 
Ik hum keh ajnabi huye ab apnay shaher main 

"Khatir" ab ehal-e-dil bhi banay hain zamana saaz
Kis se karein wafa ki talab apnay shaher main

Hai kuch is tarah se ghirra hua mera dil ghamon kay hajoom main


Hai kuch is tarah se ghirra hua mera dil ghamon kay hajoom main 
Kabhi Aandhiyon kay hisaar main , kabhi badilon kay hajoom main 

Kabhi hijar ki chaaon se jal gaye , kabhi wasal ki chayon se jee uthay 
Teray mubtilaa rahay roz-o-shab youn hi gardishon kay hajoom main 

Meh'noo ko kis ki talash hai jo bhat'takta phirta hai ta-sehar 
Kabhi keh'kishan kay ghubaar main , kabhi zulmaton kay hajoom main 

Tumhein dekhna ho jo raqs-e-jaan to dil-o-nazar ko liye huye 
Chalay aana bazam-e-jamal se , kabhi dil'jalon kay hajoom main

Us ki aankhon main aanch jalti rahi


Us ki aankhon main aanch jalti rahi 
Barf mujh main kahin pighalti rahi 

Torr kar apnay hi gharonday ko 
Aik larki bhout machalti rahi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...