May 16, 2014

I can't completely let go of you



I can't completely let go of you
Let go of us...
All i can say is i love you
I know you don't want to hear it
But it makes no sense to pretend i don't
I miss you with all of us
Things get easier
But will never with you
But the pain will still be there
The love we shared and give to each other
Will always remain in my heart forever

Do all the good you can



You can

Do all the good you can
By all the means you can
In all the ways you can
In all the places you can
At all the times you can
To all the people you can
As long as ever you can

Every morning i remember you



Every morning i remember you
Every noon
I am searching for you
Every evening
I am waiting for you
Every night
I am missing you
Forever i will love

Us ka miyaar abhi mujh se juda hai lakin


Us ka miyaar abhi mujh se juda hai lakin

Woh bhi bikhray ga to ho jaye ga meray jaisa

My words become yours you are my everything


My words become yours you are my everything
You are so near to me
I can your heart
You are the air i breath
We will never part
You are so close to me
My words become yours
You are my everything
Love keep giving us more
Your heart is my heart
Your soul is my very own
Your life is my life
Our love will never grow cold
Hold me in your sweet embrace
Smile as i am with you
We are now only one
Together always
For you are my setting sun

Sometimes a crumb falls



Sometimes a crumb falls
From the table of joy...!
Some time a bone
Is flung..
To some people
Love is given,
To others
Only heaven.

Tu hai suraj tujhay maloom kahan raat ka dukh


Tu hai suraj tujhay maloom kahan raat ka dukh

Tu kisi roz meray ghar main utar shaam ke baad

Tum yeh mat samjhana keh hum tumharay baghair jee nahin saktay



Tum yeh mat samjhana keh hum tumharay baghair jee nahin saktay
Bas tum pass na ho to saans ruk jati hai
Tum yeh mat samjhna keh tum se mujhay mohabbat hai
Bas tum sath na ho to kuch acha nahin lagta
Tum yeh mat samjhna keh koi rishta hai tum se
Bas tumhain dukh ho to ankh nam ho jati hai
Tum yeh mat samjhna keh tum meri jaan ho
Bas tum dil ki dharkan ho aur kuch bhi nahin

Honthon ki hansi ko na samjh haqeeqat-e-zindagi


Honthon ki hansi ko na samjh haqeeqat-e-zindagi

Dil main utar ke dekh kitnay tootay huye hain hum

Main roz pilata hoon ussay zehar ka saghar



Main roz pilata hoon ussay zehar ka saghar

Ik dard jo andar hai marta hi nahin

Ik pal main ho gaye gum



Ik pal main ho gaye gum 

Teray rabtay, teray rastay aur tumn

Kitni mushkilon se falak par nazar ata hai



Kitni mushkilon se falak par nazar ata hai

Eid ke chaand ne bhi andaaz tumhary seekhay

Mohabbat bheek hai shayed


Mohabbat bheek hai shayed

Bari mushkil se milti hai

Suraj hamein her shaam yeh dars deta hai


Suraj hamein her shaam yeh dars deta hai

Maghrab ki taraf jayo ge to doob jayo ge

ab to is raah se woh shaks guzart bhi nahin



ab to is raah se woh shaks guzart bhi nahin
Ab kis umeed pe darwaze se jhankay koi
Koi ahat koi awaz koi chaap nahin
Dil ki galiyan bari sunsaan hain aye koi
Poet : Parveen Shakir

Siyah raat main jaltay hain jugn'on ki tarh



Siyah raat main jaltay hain jugn'on ki tarh 

Dilon ke zakham bhi Mohsin kamal hotay hain

Apnay matlab ke ilawa kon kisi ko pochta hai


Apnay matlab ke ilawa kon kisi ko pochta hai

Shajar jab sookh jay'ein to prinday bhi basera nahin kartay

Her naemat dastiyaab thi duniya jahan ki



Her naemat dastiyaab thi duniya jahan ki

Lakin us ki kami ka izala na ho saka

Agar yadain rait hotein to kiya khoob hota mohsin



Agar yadain rait hotein to kiya khoob hota mohsin

Muthi se nikal jat'ein main pairon se ura deta

Hum ko bichar kar ik pal jeena kitna mushkil lagta tha


Hum ko bichar kar ik pal jeena kitna mushkil lagta tha

Dekho ! Bichar kar zinda hain hum ab kitni asani se

Baray bad'naseeb tehray hum jo qaraar tak na ponchay



Baray bad'naseeb tehray hum jo qaraar tak na ponchay

Dar-e-yaar tak to ponchay , dil-e-yaar tak na ponchay

Khuda karay keh teri umar main ginay jay'ein



Khuda karay keh teri umar main ginay jay'ein

Woh din jo hum ne teray hijar main guzaray thay

Daleel thi na koi hawala tha un ke pass


Daleel thi na koi hawala tha un ke pass

Ajeeb log thay bas iktalaaf rakhtay thay

Khali hathon ko kabhi ghour se dekha hai faraz


Khali hathon ko kabhi ghour se dekha hai faraz

Kis tarah log lakeeron se nikal jatay hain

Her nafas umar-e-guzista ki hai mayat-e-fani



Her nafas umar-e-guzista ki hai mayat-e-fani

Zindagi naam hai mar mar ke jiye janay ka

Waqat tezi se badal gaya aur tum


Waqat tezi se badal gaya aur tum 

Waqat se bhi tez niklay

Hum ne soch rakha hai is eid par


Hum ne soch rakha hai is eid par

Teray loat anay ka jashan mnaein ge

Juda'eiyan to muqadar hain lakin ae gham-e-hijraan


Juda'eiyan to muqadar hain lakin ae gham-e-hijraan

Ajab phool se sathi bichar gaye ab ke

Ehsaas-o-amal dono hain dushman-o-jaan-o-dil


Ehsaas-o-amal dono hain dushman-o-jaan-o-dil

Dewane bhi jaltay hain parwane bhi jaltay hain

Teri palkon main rukna hai raat bhar kay liye


Teri palkon main rukna hai raat bhar kay liye

Main to ik khwaab hoon subha ko chala jayon ga

Woh aye bazam main itna to mir ne dekha



Woh aye bazam main itna to mir ne dekha 

Phir us ke baad chraghon main roshni na rahi

Poet : Mir taqi mir

Us ko sajnay sanwarnay ki zaroorat hi nahin


Us ko sajnay sanwarnay ki zaroorat hi nahin

Us pe jajti hai haya bhi kisi zewar ki tarah

Teray khamosh honton par mohabbat gun'gunati hai


Teray khamosh honton par mohabbat gun'gunati hai

Tu mera hai , main teri hoon , bas yahi awaz ati hai

Na shauq-e-deed aur na fikr-e-judai sahib


Na shauq-e-deed aur na fikr-e-judai sahib

Kushnaseeb hain woh log jo mohabbat nahin kartay

Her pal ussay sochna, her pal ussay khojna



Her pal ussay sochna, her pal ussay khojna
Kabhi ussay pa lena , kabhi ussay kho dena

MAin ajeeb meri mohabbat us se bhi ajeeb hai
Ussay yaad na karna , aur phir ro dena

Kitni mehdood si hai duniya meri


Kitni mehdood si hai duniya meri

Ik main hoon ik mohabbat teri

Kehta tha ke tu na mila to mar jayon ga Mohsin


Kehta tha ke tu na mila to mar jayon ga Mohsin

Woh aj bhi zinda hai yahi baat kisi aur ko kehnay kay liye

Jazbay sachay hon to mil hi jati hai mohabbat


Jazbay sachay hon to mil hi jati hai mohabbat

Khuda sun hi leta hai khamosh dilon ki iltaja'ein

Umar bhar likhtay rahay phir bhi waraq sada raha


Umar bhar likhtay rahay phir bhi waraq sada raha

Janay woh kiya lafaz thay jo hum se tehreer na ho sakay

Yeh meri zaat ki sab se bari tamana thi


Yeh meri zaat ki sab se bari tamana thi

Kaash keh woh mera hota meray naam ki tarah

Kabhi dekh dhoop main kharay tanha shajar ko


Kabhi dekh dhoop main kharay tanha shajar ko

Aisay jaltay hain wafa'on ko nibhanay walay

Woh Aainay ko bhi hairat main daal deta hai


Woh Aainay ko bhi hairat main daal deta hai

Kisi kisi ko khuda yeh kamaal deta hai

Qasam kha chuka hoon tujh ko na chornay ki warna


Qasam kha chuka hoon tujh ko na chornay ki warna

Mehsoos kab se ho rahi hai teri be'rukhi musalsal

Her taraf thay raah main kantay bichay huye



Her taraf thay raah main kantay bichay huye

Mujh ko teri talab thi guzartay chalay gaye

Hamdar'dian , khloos , dilasay , tasaliyan



Hamdar'dian , khloos , dilasay , tasaliyan

Dil tootnay ke baad tamashay bhout huye

Koi mukhlis agar hota to main bhi mohabbat karta


Koi mukhlis agar hota to main bhi mohabbat karta

Dil to bhout milay hain magar koi dil se nahin milta

Hamari be'khudi ka haal woh poochay agar


Hamari be'khudi ka haal woh poochay agar

To kehna hosh bas itna tha keh tum ko yaad kartay hain

Teray qareeb reh ke bhi dil mut'ma'ein na tha


Teray qareeb reh ke bhi dil mut'ma'ein na tha

Guzari hai mujh pe yeh bhi qayamat kabhi kabhi

Bhout dard chupay hain raat ke her pehlu main


Bhout dard chupay hain raat ke her pehlu main

Acha ho keh kuch der kay kiye neend a jaye

Zindagi kab ki khamosh ho gaye



Zindagi kab ki khamosh ho gaye

Dil to bas adatan dhar'rakta hai

Ghar bana kar meray dil main woh chor gaya


Ghar bana kar meray dil main woh chor gaya

Na khud rehta hai aur na kisi aur ko basnay deta hai

Nadaan thay jo rakhtay thay umeed'ein kisi par



Nadaan thay jo rakhtay thay umeed'ein kisi par

Zaat-e-Allah ke siwa koi kisi ka nahin hota

Sirf hum hain un ke dil main


Sirf hum hain un ke dil main

Le doobi yeh ghalat fahami hum ko

Mujhay apnay kirdar pe itn ato yaqeen hai


Mujhay apnay kirdar pe itn ato yaqeen hai 

Koi mujhay chor to sakta hai magar bhula nahin sakta

Waqat sab kuch cheen leta hai



Waqat sab kuch cheen leta hai 

Yeh to ik musukurahat thi

Jo pukarta tha ghari ghari , jo jorta tha mujhay lari lari


Jo pukarta tha ghari ghari , jo jorta tha mujhay lari lari

Koi aisa shaks agar kabhi, mujhay bhool jaye to kiya karon

Bas jatay hain dil main ijazat liye baghair


Bas jatay hain dil main ijazat liye baghair

Woh log jinhain hum zindagi bhar pa nahin saktay

Main ne to zindagi ko teray naam likh diya tha


Main ne to zindagi ko teray naam likh diya tha
Shayed magar kuch aur hi marzi khuda ki thi

Dard hi dena tha to pehlay bata datay
Hum ko bhi azal se hi tamana saza ki thi

Dhamkiyan detay ho judai ki



Dhamkiyan detay ho judai ki

Uff... mohabbat main bad'mashiyan

Raat dehleez par baithi rahi ankhain meri


Raat dehleez par baithi rahi ankhain meri 

Tu na aya to koi khwaab hi bhega hota

Be'zubaan badlon ko de raha hai apni zubaan koi


Be'zubaan badlon ko de raha hai apni zubaan koi 

Lagta hai asmaan ko suna raha hai dard ki dastaan koi

Yeh aur baat keh meri ana jita na saki


Yeh aur baat keh meri ana jita na saki 

Mujhay junoon tera her junoon se barh ke raha

Sajdon ke ewaz firdos milay yeh baat mujhay manzoor nahin


Sajdon ke ewaz firdos milay yeh baat mujhay manzoor nahin

Be'loas ibadat karta hoon banda hoon tera mazdoor nahin

Poet : Allama Iqbal

Uljha rahi hai mujh ko yahi kasmakash musalsal mohsin


Uljha rahi hai mujh ko yahi kasmakash musalsal mohsin

Woh a basa hai mujh main ya main us main kho gaya hoon

Kon kehta hai nafraton main dard hai mohsin



Kon kehta hai nafraton main dard hai mohsin

Kuch mohaba'tein bhi bari aziat naak hoti hain

Jisam ki pooja ko mohabbat kehta hai aj ka falsafa


Jisam ki pooja ko mohabbat kehta hai aj ka falsafa

Yahi dor-e-hazar ki mohabbat hai to main jahil hi acha

Woh aik shaks jo aya hai andiyan le kar



Woh aik shaks jo aya hai andiyan le kar 

Usi se apnay dil ki zamana'tein mangoon

Asani se koi mil jaye to woh qismat ka sath hai


Asani se koi mil jaye to woh qismat ka sath hai

Sooli par char kar bhi jo na mil'ein ussay mohabbat kehtay hain

Aur zamanat wafa ki kiya ho gi


Aur zamanat wafa ki kiya ho gi

Tum meri saans girvi rakh lo na

Woh kahti thi keh ronay se nahin badaltay naseeb


Woh kahti thi keh ronay se nahin badaltay naseeb

Un ki is baat ne umar bhar ronay nahin diya

Mujhay bhi ainay jaisa kamaal hasil hai


Mujhay bhi ainay jaisa kamaal hasil hai 

Main toot'ta hoon to phir be'sumaar hota hoon

Sajdon main guzaron apni sari zindagi faraz



Sajdon main guzaron apni sari zindagi faraz

Ik baar woh keh de mujhay dua'on se mang lo
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...