Feb 24, 2016

Tumhari bheegti palkon se main ne baar'haa poocha


Tumhari bheegti palkon se main ne baar'haa poocha 
Keh dil kay khail main jeetnay walay bhi rotay hain 

Woh jin ki chasham-e-khud'been ko dekha nahin karti 
Bhala kis dil se gham kay taar main moti piroye hain 

Tumhari bheegti palkon se main ne baar'haa poocha 
Keh jalnay aur jalanay main bhala kya lutf aata hai 

Bas ik jhooti ana kay wastay bar'baad ho jana 
Khudi kay zaham main insaan kitnay dukh uthata hai 


Woh kuch sunta to main kehta , mujhay kuch aur kehna tha


Woh kuch sunta to main kehta , mujhay kuch aur kehna tha 
Woh pal bhar ko jo ruk jata , mujhay kuch aur kehna tha 

Ghalat'fehmi ne baton ko barha dala youn hi warna 
Kaha kuch tha , woh kuch samjha , mujhay kuch aur kehna tha 

Kamai zindagi bhar us kay naam kiyon kar di 
Mujhay kuch aur kehna tha , mujhay kuch aur kehna tha 

Kahan us ne suni meri , suni bhi un'suni kar di 
Ussay maloom tha itna mujhay kuch aur kehna tha 

Rawan tha pyaar nas nas main , bhout qurbat thi aapis main 
Ussay kuch aur sun'nana tha , mujhay kuch aur kehna tha

Jism balor sa nazuk hai jawani bhar'pur



Jism balor sa nazuk hai jawani bhar'pur 

Ab kay angrai na tooti to badan tootay ga

Yeh main yeh ku-e-daar yeh tanhai dosto


Yeh main yeh ku-e-daar yeh tanhai dosto 
Kya tum bhi ban gaye ho tama'shai dosto 

Paigham-e-marg hai keh paigham-e-habib hai
sar sar chali keh baad-e-muraad aayi dosto 

Yeh kya keh aik teer-e-malamat na seh sakay 
Honi hai ku-ba'ku abhi ruswai dosto 

Aaghaz sham-e-hijar hai baithay raho abhi 
Tehro zara keh mout hai tanhai dosto 

Zanjeer kat gayi keh koi dost kat gaya 
Kuch to kaho yeh kaisi sada aayi dosto 

Ik baar us ko meri nigahon se dekh lo 
Phir khud kaho keh kon hai sodaai dosto 

Woh husan-e-dil'faroz keh jaan-e-Faraz hai 
Khalq-e-khuda hai us ki tamanai dosto

Janay kis gham se mann sulagta hai


Janay kis gham se mann sulagta hai 
Baat kartay dhan sulagta hai 

Gham lagata hai aag khilwat main 
Dil sar-e-anjuman sulagta hai 

Ehmareen jism aanch deta hua 
Jis tarah peh'rahan sulagta hai 

Yeh talb hai keh dard-e-mehroomi 
Abar chahye to ban sulagta hai 

Dekhna lu chali keh ba'murad 
Dosto phir chaman sulagta hai 

Jaag uthi khwaish-e-gunnah Faraz
Chandani main badan sulagta hai 

Chandani raat ko sehar kehna


Chandani raat ko sehar kehna 
Dosto ! youn nahin gar kehna 

Ab kahan woh bahar phoolon ki 
Gul-e-nargis ko chasham-e-tar kehna 

Bujh chukay hain mohabbaton kay chragh 
In diyaron ko ab khander kehna 

Raah main lutt kay baithnay walo 
Ab kisi ko na humsafar kehna 

Khud ujaagar karo hunar apna 
Dosron ko na kam-nazar kehna 

Hum ko awargi kay parday main 
Dil ki baatein idher udhar kehna 

Zikar tera gali gali karna 
Haal apna nagar nagar kehna 

Lab-e-goya azaab-e-jaan hai Faraz
Jo bhi kehna ho soch kar kehna

Ab tak teray fitnay hain salamat ussay kehna


Ab tak teray fitnay hain salamat ussay kehna 
Yaaro ! sar-e-mehshar bhi qayamat ussay kehna 

Ae hum'nafso mehav-e-gham-e-jaan hain abhi hum
Ayen gay sir-e-ku-e-malamat ussay kehna 

Myaar-e-nazar daar ki riffat bhi thi lakin 
Bhoola nahin tera qad-o-qamat ussay kehna 

Ik woh hi nahin tark-e-taaluq pe pash-e-maan 
Hai ehal-e-wafa ko bhi nadamat ussay kehna 

Ae dil-e-zad'gaan ! mout hai izhaar-e-tamana
Woh butt ho , khuda bhi to ussay khuda mat ussay kehna 

Her chand Faraz in dino matoob hai phir bhi 
Halaat ka mara hai bura mat ussay kehna

Hum apnay aap main gum thay hamein khabar kya thi


Hum apnay aap main gum thay hamein khabar kya thi 
Keh ma'waraye gham-e-jaan bhi aik duniya thi 

Wafa pe sakhat garaan hai tera wisaal-e-dawaam 
Keh tujh se mil kay bicharna meri tamana thi 

Hua hai tujh se bicharnay kay baad ab maloom 
Keh tu nahin tha teray saath aik duniya thi 

Khosha woh dil jo salamat rahay bazam-e-wafa
Nigah-e-ehal-e-jahan warna sang-e-khara thi

Diyar-e-ehal-e-sukhan par sakoot hai , keh hai jo tha 
Faraz meri ghazal bhi sada bas'hira thi

Dil ko ab youn teri her aik adaa lagti hai


Dil ko ab youn teri her aik adaa lagti hai 
Jis tarah nashay ki halat main hawa lagti hai 

Rat'jagay khawab-e-parishaan se kahin behtar hain 
Larz uth'ta hoon agar aankh zara num lagti hai 

Ae rag-e-jaan kay makeen tu bhi kabhi ghour se sun 
Dil ki dharkan teray qadmon ki sada lagti hai 

Go dukhi dil ko bhout hum ne bachaya phir bhi 
Jis jaga zakham ho wahan chot sada lagti hai 

Shaakh-e-umeed pe khiltay hain talab kay ghunchay 
Ya kisi shokh kay haathon main hina lagti hai 

Tera kehna keh hamein ronq-e-mehfil hain Faraz 
Go ta'ali hai magar baat Khuda lagti hai

Raatein hain udaas din karray hain


Raatein hain udaas din karray hain 
Ae dil teray hoslay baray hain 

Ae yaad habeeb saath dena 
Kuch marhalay sakhat aa paray hain 

Rukna ho agar to so bahanay 
Jana ho to raastay baray hain 

Ab kaisay bataein waja-e-gariya 
Jab aap bhi saath ro paray hain 

Ab janay kahan naseeb le jaye 
Ghar se to Faraz chal paray hain

Hum hain zulmat main keh ubhra nahin khurasheed ab kay


Hum hain zulmat main keh ubhra nahin khurasheed ab kay
Koi karta hi nahin raat ki tar'deed ab kay 

Kon sunta tha hadees-e-gham-e-dil youn to magar 
Hum ne chhairi hai teray naam se tamheed ab kay 

Pee gaye rind keh na'yaab hai sehba warna 
Zehar thi mohtasib-e-shaher ki tanqeed ab kay 

Tishnagi waja-e-junoon hai to chalo youn hi sahi 
Koi sang aaye sar-e-sagar-e-jamshaid ab kay 

Ik zamanay se na roye hain na jaan tarpi hai 
Dil pe laazim hai  teray dard ki tajdeed ab kay 

Qissa-e-ehal-e-wafa janay kahan tak ponchay 
Manzil-e-waar-o-risn tehri hai tamheed ab kay 

Lahu roye hain to gul'naar shafaq phoolay gi 
Aansoo boye hain to hum katein gay khursheed ab kay 

Hum ne yeh soch kay jaan di hai mohabbat main Faraz
buwa'lahoos kartay hain kis rang main taqleed ab kay

Lay urra phir koi khayal hamein


Lay urra phir koi khayal hamein 
Saqiya saqiya sambhal hamein

Ro rahay hain keh aik aadat hai 
Warna itna nahin malaal hamein 

Khilwati hain teray jamaal kay hum 
Aainay ki tarah sambhal hamein 

Marg-e-ambwa jashan-e-shadi hai
Mil gaye dost hasb-e-haal hamein 

Ikhtilaaf-e-jahan ka ranj na tha 
De gaye maat hum-khayal hamein 

Kya tawaqo karein zamanay se 
Ho bhi gar jurr'at-e-sawal hamein 

Hum yahan bhi nahin hain khush lakin 
Apni mehfil se mat nikaal hamein 

Hum teray dost hain Faraz gar 
Ab na uljhano main daal hamein

Sakoot-e-shaam-e-khizan hai qareeb aa jaao


Sakoot-e-shaam-e-khizan hai qareeb aa jaao 
Bara udaas samaan hai qareeb aa jao 

Na tum ko khud pe bharosa na hum ko zeham-e-wafa 
Na Aaitabar-e-jahan hai qareeb aa jao 

Raah-e-talab main kisi ko kisi ka dhiyaan nahin 
Hajoom-e-hum'safran hai qareeb aa jaao 

Jo dast-e-ishq main bichray woh umar bhar na milay 
Yahan dhuwan hi dhuwan hai qareeb aa jao 

Yeh Aandhiyan hain to shaher-e-wafa ki khair nahin 
Zamana khaak-fishaan hai qareeb aa jaao 

Faqiya-e-shaher ki mehfil nahin keh door raho 
YEh bazam-e-peer-maghaan hai qareeb aa jaao 

Faraz door kay suraj ghroob samjhay gaye 
Yeh dour kam-nazran hai qareen aa jaao 

Mohabbat zaat ki takmeel hoti hai


Mohabbat zaat hoti hai 

Mohabbat zaat hoti hai 
Mohabbat zaat ki takmeel hoti hai 
Koi jungle main jaa tehray , kisi basti main bas jaye 
Mohabbat saath hoti hai 
Mohabbat khushbo'on kay liye
Mohabbat mousamon ka dhun 
Mohabbat aabshaaron kay nikhartay paaniyon ka mann
Mohabbat junglon main raqs karti morni ka tan 
Mohabbat chilchalaatay garam sehraaon main thandi chayon ki maanind 
Mohabbat ajnabi duniya main apnay gaaon ki maanind
Mohabbat dil 
Mohabbat jaan 
Mohabbat rooh ka darmaan 
Mohabbat moorti hai 
Aur kabhi jo dil kay mandir main kahin par toot jaye to 
Mohabbat kaanch ki guriya 
Fizaon main kisi kay haath se gar choot jaye to 
Mohabbat aabla hai karb ka 
Aur phoot jaye to
Mohabbat rog hoti hai 
Mohabbat sog hoti hai 
Mohabbat shaam hoti hai 
Mohabbat raat hoti hai 
Mohabbat jhil'milaati aankh main barsaat hoti hai 
Mohabbat neend ki rut main haseen khwaabon kay raaston par 
Sulagtay 
Jaan ko aatay rat'jagon ki ghaat hoti hai 
Mohabbat jeet hoti hai 
Mohabbat maat hoti hai 
Mohabbat zaat hoti hai 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...