Meri na'kaam mohabbat ki kahani mat chairro
Apni mayoos umangon ka fasana na suna
Zindagi talkh sahi , zehar sahi , sam hi sahi
Dard-o-aazaar sahi , jabar sahi , gham hi sahi
Lakin is dard-o-gham-o-jabar ki wusat ko to daikh
Zulam ki chaaon main dam torti khalqat ko to daikh
Apni mayoos umangon ka fasana na suna
Meri na'kaam mohabbat ki kahani mat chairr
Jalsa gahon main yeh dehshat zada sehmay amboh
Rah'guzaron pe falakat zada logon kay garoh
Bhook aur pyas se yaz'murda siyah faam zameen
Teera-o-taar makan , muflis-o-beemaar makeen
Noh-e-insaan main yeh sarmaya-o-mehnat ka tazaad
Aman-o-tehzeeb kay parcham talay qomon ka fasaad
Her taraf aatish-o-aahan ka yeh sailaab-e-azeem
Nit naye tarz pe hoti hui duniya taqseem
Leh'lahatay huye khaiton pe jawani ka samaa
Aur deh'qaan kay chappar main na batti na dhuwan
Door sahil pe woh shafaaf makano ki qataar
Sar'saratay huye pardon main sim'mattay gulzar
Dar-o-dewaar pe anwar ka sailaab rawan
Jaisay aik shair-e-madhosh kay khawabon ka jahan
Yeh sabhi kiyon hai yeh kya hai mujhay kuch sochnay de
Kon insaan ka Khuda hai mujhay kuch sochnay de
Apni mayoos umangon ka fasana na sunaa!
Meri na'kaam mohabbat ki kahani mat chairr !