Apr 5, 2016

Abhi ik mor aaya hai abhi manzil nahin aayi


"Abhi ik mor aaya hai "

Abhi ik mor aaya hai 
Abhi manzil nahin aayi 
Abhi apnay diye se
Aur kitnay hi diye mujh ko jalanay hain 
Abhi to is safar main 
Aur kitnay mor aanay hain 
Abhi main taza dam hoon 
Abhi seenay main jalta woh diya 
Waisay hi roshan hai 
Abhi zulmat kaday main 
Apnay hissay ki sham'mein mujh ko jalani hain 
Keh youn bhi roshni taqseem karnay kay safar main 
Manzalon ki qaid kya ho gi 
Puranay sathiyon ko chornay ka 
Gham to hai dil main !
Keh jin kay saath chalnay se 
Safar ne apni sari mushkalein khud hi sameti thein 
Naye raston pe un ki yaad meri hamsafar ho gi
Puranay sathiyon ko chornay ka gham to hai dil main 
Magar mujh ko abhi to 
Roshni taqseem karni hai 
Abhi to mor aaya hai 
Abhi manzil nahin aayi

Aaj tak main nahin samjha teri duniya kya hai


Aaj tak main nahin samjha teri duniya kya hai 
Ae khuda tu hi bata de yeh tamasha kya hai 

Yeh suna hai lakeeron ki zubaan hoti hai 
Bol deti hain keh is haath main likha kya hai 

Aaj tak main nahin samjha teri be'chaini ko 
Ae meray dil ! yeh bata de teri mansha kya hai 

Bandagi aur ibadat main yeh dil jhukta hai !
Jis main yeh dil na jhukay , bol woh sajda kya hai 

Tu ne sab kuch hi mera cheen liya hai mujh se !
Zindagi ! aur bata tera taqaza kya hai

Khud ko tujh pe waar deta hoon


Khud ko tujh pe waar deta hoon 
Tera sadqa utaar deta hoon 

Jaisay kuch bhi nahin hai karnay ko 
Waqat aisay guzaar deta hoon 

Tum sitaron ko tor sakti ho 
Main tumhein Aaitabaar deta hoon 

Dukh musal'sal , in main khushiyon ko 
Chand lamhay udhaar deta hoon

Ajeeb si be'basi hai yeh


Be'basi

Ajeeb si be'basi hai yeh 

Tumhein keh bhi nahin sakta 

"Mujhay tum se mohabbat hai 

Kis qadar be'basi thi lehjay main


Be'basi

Kis qadar be'basi thi lehjay main 

Tu ne jab mujh se kaha tha ik din 

"Main tumhein sochti kiyon rehti hoon"

Mujhay likhnay ki khawaish hai magar likha nahin jata


Mujhay likhnay ki khawaish hai 
Magar likha nahin jata 
Meray alfaaz dil ki Aahini dewar se sar phortay hain 
Aur inhein izhaar ka 
Rasta nahin milta 
Meri aankhein !
Jinhein dil main chuppay jazbaat ko ashkon ki boli main 
Bata denay pe qudrat thi 
Woh ab kuch bhi nahin kehti
Meray yeh lab !
Meray jazbaat ko !
Alfaaz ki poshaak detay thay 
Woh lab sil se gaye hain 
Meri yeh ungliyan !
Jo aarhi tirchi chand lakeeron se
Meray jazbaat ko izhaar ka rasta dikhaati thein 
Woh ab kuch bhi nahin likhtein 
Meri aankhein , yeh lab , yeh ungliyan 
Mujh se yeh kehtay hain 
Keh ab jazbaat ko izhaar ka rasta nahin dena 
Keh yeh munh zor hotay hain 
Faqat rastay kay milnay se !
Inhein manzal talak janay ki hajat hi nahin rehti 
Nayi raahein banatay hain 
Naye raston pe jatay hain 
Magar phir wapsi kay sab nishaan yeh bhool jatay hain  
Inhein rasta nahin dena 
Inhein tum dil main rehnay do 
Inhein rasta nahin dena 
Wagarna khoon rula'ein gay 
Mujhay likhnay ki khawaish hai 
Magar likha nahin jata !
 
 

Tumhein dil se bulanay ki shaori kosh'shishein kar kay


Tumhein dil se bulanay ki 

Shaori kosh'shishein  kar kay 

Tumhein na yaad karnay ki 

Zaroori kosh'shishein  kar kay 

Main khud hi thak gaya hoon ab

Adhoori kosh'shishein  kar kay

Jeewan kay andheron main


Jeewan kay andheron main 

Jeewan kay andheron main 
Teri pareet tera intizaar 
Andheray main hai deep 
Isi deep ki lo main dekhon 
Teri yaad ki sundar surat 
Aik yaad se kai yaadein 
Jaisay jalay deep se deep 


Aaj bhi waisa hi mousam hai




Bichartay waqat ik khayal

Aaj bhi waisa hi mousam hai 
Aaj bhi waisay hi badal hain 
Aaj bhi waisay hi baarish hai 
Jab hum pehli baar milay thay 
Yaad hai hum ne yeh socha tha!
Hum ko miltay dekh kay mousam 
Itna khush hai , itna khush keh 
Us ki aankhein bheeg gayi hain 
Aaj magar hum jaan gaye hain 
Mousam us din kiyon roya tha 
 

Mujhay moh'jazon par yaqeen to nahin tha


Moh'jaza

Mujhay moh'jazon par yaqeen to nahin tha 
Magar phir bhi aankhon main sapnay sajaye 
Teri raah'guzar se
Main din main kai baar youn hi guzarta 
Keh shayed kabhi aam'na sam'na ho 
Tu bas ik lamhay ko to mujh ko dekhay 
Main is aik lamhay main jeewan bita loon

Main sodagar sapnay le kar aaya hoon


Main sodagar sapnay le kar aaya hoon 
Khawab nagar se tohfay le kar aaya hoon 

Dekho meri in aankhon main 
Kaisay kaisay khawab sajay hain 
Kuch khushbu se mehak rahay hain 
Kuch ashkon se bheeg rahay hain 
Kuch ne thak kar mond lein aankhein 
Aur kuch ab tak jaag rahay hain 
Kuch pe mera naam likha hai 
Kuch waisay be'naam paray hain 
Kuch ko main ne aap sajaya 
Aur kuch khud hi aan sajay hain 
Kuch ne paa li hain tabeerein 
Aur kuch rasta dekh rahay hain 

Ohday , surkh , haray aur neelay 
Her ik rang kay khawab paray hain 

Dekho meri aankhon main 
Kaisay kaisay khawab sajay hain 
Khawab nagar se kitnay sapnay 
Main sodagar le aaya hoon 
Aao dekho , sastay damon 
Her ik rang kay khawab khareedo 
Apni bujhti aankhein de kar 
Roshan mehkay khawab khareedo 
Jaisay jaisay dil kehta hai 
Waisay waisay khawab khareedo 
Khawabon ki is dheeri main se 
Achay achay sapnay chun lo 
Kuch pal apni khatar bun lo 
Khawab nagar ka yeh sodagar 
Saray sapnay de jaye ga 
Bujhti aankhein le jaye ga 

Maan ki mamta , chaon ghaneri , thathein marti rehmat


Maan ki mamta , chaon ghaneri , thathein marti rehmat 
Maan ik hasti jis kay paon talay jannat hai 

Maan ki dua se tal ajye her ik bala-e-jaan 
Haath dua ko uth jayein to mitt jaye her wehshat 

Duniya bhar ki khushiyon sebhar jaye is ka daman 
Jis ne dil se ki ho apni pyari maan ki khidmat 

Maan zinda to qadam qadam par is ki dua'ein saath 
Is kay dam se ghar kay konay konay main ik barkat 

Baad khuda kay hasti yeh woh jo thehri Rehman
Insani rishton main sab se barh kar maan ki azmat 

Maan ka saya rahay salamat mujh pe ae "Atif"
Roz nazar yeh dekhnay chahye maan ki pyari surat

Tumhari hansi kay gulabon main dekha , wohi ik chehra


Tumhari hansi kay gulabon main dekha , wohi ik chehra
Sawalon main dekha , jawabon main dekha , wohi ik chehra

Wohi aarzoo thi keh pani pe rakh kay qadam main chalon gi 
Wohi justagoo thi keh main urr saki to ga'gan choo sakon gi 
Kahon kya keh kitnay hijabon main dekha wohi ik chehra 

Wohi shokiyan jin se lipti hui zindagi muskuraye 
Wohi khan'khanata sa lehja keh dil main mohabbat jagaye 
Mujhay youn laga jaisay khawabon main dekha , wohi ik chehra

Wohi khawab zaron ki baatein , wohi chand taron kay qissay 
Wohi titliyon , jugno'on ki katha , aabsharon kay qissay 
Inhi baarishon main sahabon main dekha , wohi ik chehra

Tumhari nigahon main likhi udasi ki tehreer dekhi 
Dhanak muskurahat se lipti wohi gham ki tasveer dekhi 
Judai kay kitnay azabon main dekha , wohi ik chehra

Tumhari hansi kay gulabon main dekha , wohi ik chehra
Sawalon main dekha jawabon main dekha , wohi ik chehra

Khushi ko baant'nay walo, meray hum'rah chaltay ho


Khushi ko baant'nay walo 
Meray hum'rah chaltay ho 
Main hansta hoon to hanstay ho 
Sabhi ko yeh bata'tay ho 
Keh tum mujh ko samajhtay ho 
Khushi kay sab zamanay to 
Ikhatay hum ne dekhay hain 
Magar gahm ki siyah raatein 
Jo mujh ko ghair leti hain 
Main tum ko dhoondta hoon tab 
Keh shayed roshni ban kar 
Siyah raaton ko tum din main 
Badalnay ko chalay aao 
Magar aisa nahin hota 
Siyah raaton kay jungle se
Churanay tum nahin aatay 
Tumhein itna hi kehna hai 
Main hansta hoon to hanstay ho 
Kabhi rota hua dekho 
To meray ashk bhi poonjho 
Khushi ko baant'nay walo !
Kabhi gham baant'nay aao
 
 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...