Apr 24, 2015

Bhool kar mujh ko woh jeenay ki wajah poochta hai


Bhool kar mujh ko woh jeenay ki wajah poochta hai 
Kaisay zinda hoon main ab tak yeh ada poochta hai

Roz meri rooh ko woh de jaata hai zakham naye 
Shouq us ka hai magar mujh se saza poochta hai 

Meray haathon ki lakeeron main jab basa hai woh 
Phir kiyon woh apni de kay qasam meri raza poochta hai 

Us ko yeh khouf keh kahin main ussay paa na loon 
Main jab bhi uthaon haathon ko woh meri dua poochta hai

Main shagufta lab-e-izhaar kahan se laaon


Main shagufta lab-e-izhaar kahan se laaon 
Ishq-o-romaan kay azkaar kahan se laaon

Qissa-e-talkhi-e-doran main suna sakta hoon 
Dastaan-e-lab-o-rukhsaar kahan se laaon 

Apnay ehsaas se main jhoot kahan tak bolon 
Shair main shokhi-e-afkaar kahan se laaon 

Main ghazal-go hoon , qaseeda to nahin keh sakta 
Kya karoon lehja-e-darbaar kahan se laaon 

Saut-o-alfaaz ki zarbat pe bharosa hai mujhay 
Main tahi dast hoon talwaar kahan se laaon 

Main to bik sakta hoon sirf aik tabasam kay iwaz 
Lakin ab aisay kharidaar kahan se laaon 

Gham zada log to mil saktay hain jitnay bhi chaho Mohsin 
Magar aaj kay dour main gham khawaar kahan se laaon

Hum ne jo deep jalaye hain teri galiyon main


Hum ne jo deep jalaye hain teri galiyon main 
Apnay kuch khawaab sajaye hain teri galiyon main 

Janay yeh ishq hai ya karamat apni 
Chand lay kar chalay aaye hain teri galiyon main 

Tazkara ho teri galiyon ka to dar jaata hoon 
Dil ne woh zakham uthaye hain teri galiyon main 

IS liye bhi hamein teri galiyon se nafrat hai 
Hum ne armaan ganwaye hain teri galiyon main 

Kiyon her cheez adhoori si hamein lagti hai 
Janay kya chor aaye hain teri galiyon main

Khuda janay kon si kasar reh gayi ussay chahnay main


Khuda janay kon si kasar reh gayi ussay chahnay main 

Keh woh jaan hi na payi keh meri jaan hai woh

Kal shab sab ko apna chand nazar aa gaya magar


Kal shab sab ko apna chand nazar aa gaya magar 

Hum ko hamaray chand ki hasrat abhi bhi hai

Phir se udaasi laa rahi hai teray shhaer main


Phir se udaasi laa rahi hai teray shhaer main 

Shab-e-Tanha sambhal jaa phir Eid aa rahi hai

Dekha hilaal-e-Eid to mehsoos yeh hua


Dekha hilaal-e-Eid to mehsoos yeh hua 

Lo aik saal aur judai main kat gaya

Gaye baras ki Eid ka din kya acha tha


Gaye baras ki Eid ka din kya acha tha 
Chand ko dekh kay uss ka chehra dekha tha 

Fiza main cactus kay lehjay ki narmahat thi 
Mousam apnay rang main Faiz ka misrah tha 

Dua kay be'awaz , ulohi lamhon main 
Woh lamha bhi kitna dil'kash lamha tha 

Haath utha kar jab aankhon hi aankhon main 
Uss ne mujh ko apnay rab se maanga tha

Phir meray chehray ko haathon main le kar 
Kitnay pyaar se mera maatha chooma tha 

Hawa ! Kuch aaj ki shab ka Ehwaal suna 
Kya woh apni chahat par aaj akela tha ?

Ya koi meray jaisi saath thi , aur uss ne
Chand ko dekh kay uss ka chehra dekha tha ?

Eid kay chand ko dekhye na koi meray siwa


Eid kay chand ko dekhye na koi meray siwa

Iss kay deedar ko ik saal guzara main ne

Tera intizaar hai pyasi aankhon ko barson se


Tera intizaar hai pyasi aankhon ko barson se 

Aa gayi Eid ab to Eid kay bahanay hi aa jaa

Hum ne tumhein dekha hi nahin , kiya Eid mana'ein


Hum ne tumhein dekha hi nahin , kiya Eid mana'ein 

Jis ne tumhein dekha ., ., ussay Eid Mubarak

Yeh Eid bhi to kitni niraali hai


Yeh Eid bhi to kitni niraali hai 
Bas mera ghar hi khaali hai 
Woh rooth kay kya gaya hum se 
Koi rutt hamein nahin mananay wali hai 

Dar dar jaa kay hum ne un ko dhoonda hai 
Par phir bhi meri nazqar sawali hai 
Iss baagh ka bulbul bhout door gaya hai 
Iss waadi main to ab Qehat saali hai 

Phool bhi ab sehmay sehmay se lagtay hain 
Kiyon keh suna hai Aandhi aanay wali hai 
Yeh Eid nahin maatam bani hai yaaro 
Toota hai phool to ab roti daali hai 

Ae Eid kya tum khushiyan layi ho 
Jhooli hamari to abtak khaali hai


Is Eid par phir saath hain meray


Is Eid par phir saath hain meray

Pardes , tanhai , aur bas teri yaadein

Ussay kehna keh loat aao suna hai Eid aayi hai


Ussay kehna keh loat aao suna hai Eid aayi hai
Ek baar to aa kay mil jaao suna hai Eid aayi hai 

Ussay kehna keh bin teray bhout Eidein guzari hain 
Is baar to milnay aa jaao suna hai Eid aayi hai 

Ussay kehna keh judai se mohabbat kam nahin hoti 
Yeh duniya ko batlaa jaao keh suna hai Eid aayi hai 

Ussay kehna keh chahat ka bharam na tootnay dena 
Tum pal do pal hi aa jaao suna hai Eid aayi hai 

Ussay kehna keh tanha hai koi Eid kay din bhi 
Yeh tanhaui mitta jaao  suna hai Eid aayi hai

Din bhar khafa thi mujh se magar chand raat ko


Din bhar khafa thi mujh se magar chand raat ko 

Mehndi se mera naam likha us ne haath par

Tanha tanha loat aaya hai chand Eid ka


Tanha tanha loat aaya hai chand Eid ka
Dil ko rula kar aaya hai chand Eid ka 

Wada kar kay gaya ussay saath lanay ka 
Wada-e-wafa na kar paya hai chand Eid ka 

Khai thein kitni qasmein kiye thay kitnay waday 
Sab kuch bhula kar aaya hai chand Eid ka 

Din guzaaray gin gin kar is umeed pe 
Umeed ka janaza nikalny aaya hai chand Eid ka 

Ussay laaon ga baras pichlay keh gaya tha mujh ko 
Waday se apnay mukar kay aaya hai chand Eid ka

Tohfa duaon ka tumhein ponchay mera


Tohfa duaon ka tumhein ponchay mera 
Sada rahay tumharay gird khushiyon ka ghaira 

Musaratein tumhein Eid ki mubarak hon 
Tumhari zeest main na aaye , kabhi ghamon ka phaira

Zulf hatao rukh-e-mahtaab se Eid ho jaye


Zulf hatao rukh-e-mahtaab se Eid ho jaye
Deedar apna ab to karao Eid ho jaye 

Taras rahi aankhein teri deed ko
Chand sa chehra dikhaao Eid ho jaye 

Youn karo na parda hum se ae jana 
Nazron kay samnay aao Eid ho jaye 

Chand se nahin wabasta her kisi ki Eid 
Meray chand mujhay nazar aao Eid ho jaye 

Raahi kay falak ka hai tu hi to chand 
Zulfon ki kaali ghatta hataao Eid ho jaye
 

Sunno mera bhi ek chaand hai


Sunno mera bhi ek chaand hai 

Main jab chahon Eid kar loon 

Meray maathay ki bindiya hoti teray naam ki


Meray maathay ki bindiya 
Hoti teray naam ki 
Meray kaan ki baaliyan 
Tujh se wabasta hoten
Yeh naak main jo pehni hai nathli 
Jurr jaye yeh bhi tujh se 
Meri kalaai ka yeh kangan 
Khankay tera naam lay kar 

Kaash is Eid pe 
Mera sajna sawarna 
Mansoob ho tum se 
Meray pairon ki payal main 
Sur ho shamil teri chahat ka 
Kaash yeh Eid ho teray naam ki 

Kaash yeh Eid mujhay 
Tum se jorr de 
Kaash yeh Eid tujhay 
Mujha se jorr de 

Tum se milnay ki dua lab pe na aa jaye


Tum se milnay ki dua lab pe na aa jaye 

Chand ko dekh kay youn aankh bachayei hum ne

Kuch apnay bhout yaad aayein gay Eid kay din


Kuch apnay bhout yaad aayein gay Eid kay din 
Hum aansoo bhi bahaein gay Eid kay din 

Saja kar dil main un ki tasveer 
Apnay aap se sharmaein gay Eid kay din 

Shayed ho us ki aamad is bahanay 
Hum ghar apna sajaein gay Eid kay din 

Shayed de aaye paighaam hamara us ko 
Hum hawa ko azmaein gay Eid kay din 

Tum bhi meray paas na ho gay Eid kay din 
To kaisay Eid mana payein gay Eid kay din

Lay kay bazar se aankhon main nami aaya hoon


Lay kay bazar se aankhon main nami aaya hoon 

Eid ki aaj bhout main ne kharidaari ki

Mera dil dukhanay aa rahi hai Eid


Mera dil dukhanay aa rahi hai Eid 
Mujhay tanha jalanay aa rahi hai Eid 

Pehlay bhi gham kam na thay meray 
Aur zakham laganay aa rahi hai Eid 

Meray ujjray huye halaat pe taras karo 
Mujhay phir se tanha karnay aa rahi hai Eid 

Teri wafa to faqat ek dhokha tha jaana 
Mujhay teri be'wafai phir se yaad dilanay aa rahi hai Eid 

Barsaat barasti rehti hai in aankhon se
Ab aur koi sailaab lanay wali hai yeh Eid

Ghairon main hain jo shaad , unhein Eid Mubarak


Ghairon main hain jo shaad , unhein Eid Mubarak 
Jin ko nahin hum yaad , unhain Eid Mubarak  

MAsoom se armano ki masoom si duniya 
Jo kar gaye barbaad , unhein Eid Mubarak 

Main hoon tera khayal hai aur chand raat hai


Main hoon tera khayal hai aur chand raat hai 
Dil dard se nidhaal hai aur chand raat hai 

Aankhon main chubh gayein teri yaadon ki kirchiyaan 
Kaandhon pe gham ki shaal hai aur chaand raat hai 

Dil tor kay khamosh nizaron ka kya mila 
Shabnam ka yeh sawal hai aur chand raat hai 

Phir titliyaan se urnay lageen dasht-e-khawaab main 
Phir khwaish-e-wasal hai aur chand raat hai 

Campas ki nehar par hai tera haath haath main 
Mousam bhi la'zawaal hai aur chand raat hai 

Her ik kali ne orh liya maatami libaas 
Her phool par malaal hai aur chand raat hai 

Meri to poor poor main khushboo si bas gayi 
Uss par tera khayal hai aur chand raat hai 

Chalka sa parh raha hai wehshaton ka rang 
Her cheez pe zawaal hai aur chand raat hai 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...