Jan 18, 2015

Koi kaandha ho mu'yasar koi to saath de mera


Koi kaandha ho mu'yasar koi to saath de mera 

Mujhay tootay huye ik khwaab ki tadfeen karni hai 

Baat din ki nahin mujhay raat se dar lagta hai


Baat din ki nahin mujhay raat se dar lagta hai 

Ghar kacha hai mera mujhay barsaat se darr lagta hai 

Us ne tohfay main diye mujhay khoon kay aansoo 

Zindagi ab teri her soghaat se darr lagta hai 

Choro pyaar ki baatein koi aur baat karo 

Ab to pyaar ki her baat se darr lagta hai 

Meri khatir woh kahin bad'naam na ho jaye 

Is liye us ki her mulaqaat se darr lagta hai

Apno main reh kar kuch aisay zakham khaye hain 

Keh hamein to ab apni zaat se bhi , darr lagta hai

Aaj apni mohabbat ko naya morr diya us ne (Funny Ghazal)



Aaj apni mohabbat ko naya morr diya us ne
Chatt se dhaka day kay haath tor diya us ne 

Pehlay hansta tha main ab bas muskuraata hoon 
Maar kay mukka aagay ka daant tor diya us ne 

Us ne ishara kiya keh kuch kehna hai tum se 
Kaan paas kiya to maroor diya us ne 

Sardiyaan aaein to laya maatlay us be'wafa kay liye 
Maalta kha kay chilka aankhon main nichor diya us ne 

Be'wafai ki had hi kar di zaalim ne Ghalib 
Milnay ghar gaya to kutta chor diya us ne 

Tu mujhay yaad nahin karta to kiya hua


Tu mujhay yaad nahin karta to kiya hua 

Kiya itni si baat pe tujhay chahna chor dain

Ussay hum chor dain lakin , bas ik choti si uljhan hai


Ussay hum chor dain lakin , bas ik choti si uljhan hai 

Suna hai dil se dharkan ki judai mout hoti hai

Abhi kuch din mujhay meri mohabbat azmanay do ...?




Ussay main kiyon bataon main ne us ko kitna chaha hai
Bataya jhoot jaata hai 
Keh sachi baat ki khushboo to 
Khud mehsoos hoti hai 

Meri baatein meri sochein 
Ussay khud jaan janay do 

Abhi kuch din 
Mujhay meri mohabbat azmaanay do

Agar woh ishq kay ehsaas ko pehchaan na paye 
Mujhay bhi jaan na paye 

To phir aisa karo ae dil 
Khud gum'naam ho jaao

Magar us be'khabar ko zindagi bhar muskuranay do
Abhi kuch din mujhay meri mohabbat azmanay do ...?

Be'wafai to yahan sab hi kartay hain


Be'wafai to yahan sab hi kartay hain 

Aray tum to samjh'daar thay kuch to naya kartay

Aao kabhi youn bhi meray paas


Aao kabhi youn bhi meray paas 

Keh aanay main lamha aur janay main zindagi guzar jaye

Hum nadaan thay jo us ko khud ka hamsafar samjh baithay


Hum nadaan thay jo us ko khud ka hamsafar samjh baithay 

Woh chalti to meray saath thi , lakin ussay talaash kisi aur ki thi

Yeh meri talaash ka jurm hai ya meri wafa ka qasoor


Yeh meri talaash ka jurm hai ya meri wafa ka qasoor 

Jissay dil kay jitna qareeb laao woh utna hi door chala jaata hai

Aaj us ki yaad ne hamain tarpaya bhout




Aaj us ki yaad ne hamain tarpaya bhout 
Aaj na chahtay huye bhi woh yaad aaya bhout 
Us kay baad to jaisay tanhaiyon se dosti ho gayi 
Phir kiyon tanhaiyon ne aaj darayia bhout 
Woh mera tha
Mera hai 
Mera rahay ga ?
Yeh soch kay dil ko behlaya bhout 
Shama kay jalnay pe afsos karain kiyon 
Hum ne bhi sar-e-shaam khud ko jalaya bhout 
Hum ne jis kisi ko bhi hamdard samjha 
Na janay kiyon woh hamaray dard pe muskuraya bhout

Tu bhi bewafa nikla Ooron ki tarah


Tu bhi bewafa nikla Ooron ki tarah 

Socha tha keh tujh se to hum zamanay ki bewafai ka gila karain gay

Bik raha tha lahu mera jab waqat kay bazar main


Bik raha tha lahu mera jab waqat kay bazar main 

Afsos bas mujhay itna hai keh kharidaron main mera yaar bhi tha

Woh shakhs nazar aaye kabhi to ussay faqat itna kehna


Woh shakhs nazar aaye kabhi to ussay faqat itna kehna

Jin ko aadi kar diya hai apna woh log bhout yaad kartay hain tumhain

Jhooti tasaliyon ki zaroorat nahin mujhay


Jhooti tasaliyon ki zaroorat nahin mujhay 

Keh do keh meray liye fursat nahin tujhay

Yeh bhi nahin keh main tumhain ilzaam de sakoon 

Yeh bhi nahin keh tum se shikayat nahin mujhay 

Main bhi tumhari yaad ko dil se bhula to doon 

Par kiya karon be'wafai ki aadat nahin mujhay

Aaj us ne ajeeb sawaal kiya


Aaj us ne ajeeb sawaal kiya 

Mujh pe martay ho to zinda kiyon ho

Sapno ki duniya main hum khotay chalay gaye


Sapno ki duniya main hum khotay chalay gaye 

Hosh main thay phir bhi madhosh hotay chalay gaye 

Janay kiya baat thi us ajnabi chehray main 

Na chahtay huye bhi us kay hotay chalay gaye

Saza-e-judai main koi rad-o-badal kar


Saza-e-judai main koi rad-o-badal kar 

Main nadaan meri umar dekh mera marna abhi banta nahin

Mat kar koshish meray dil de apni yaadon ko mitanay ki


Mat kar koshish meray dil de apni yaadon ko mitanay ki 

Hamara asool nahin kisi ko dil main basa kar bhool jana

Bari gustaakh hai teri yaad , issay tameez sikha do



Bari gustaakh hai teri yaad , issay tameez sikha do

Dastak bhi nahin deti aur dil main utar jaati hai

Nafraton ki duniya main pyaar na kar


Nafraton ki duniya main pyaar na kar 

Rooh fanaa ho jaati hai lakin wafa nahin milti

Sun kar hamari ghazal woh pehlu badal kay bolay


Sun kar hamari ghazal woh pehlu badal kay bolay

Koi qalam cheeno is se , yeh to jaan lenay chala hai

Ishq main jamhoriyat nahin hai warna


Ishq main jamhoriyat nahin hai warna 

Dharna dy kay paa leta tumhain

Ek toota hua sheesha hoon utha kar rakh lo


Ek toota hua sheesha hoon utha kar rakh lo 
Kaam aayon ga mujhya ghar main saja kay rakh lo 

Meri halat pe hanstay hain zamanay walay 
Aisay aalam main mujhay apna bana kar rakh lo 

Main bhi aik phool ho jaaon ga patti patti
Tum uth kar mujhay guldaano main saja kar rakh lo 

Yaad rakhna keh main tanhai main kaam aaon ga 
Main khilona hoon mujhay sab se chupa kay rakh lo 

Hum nahin paas to tum kiyon ho parishaan 
Hamari tasveer ko seenay se laga kar rakh lo

Yeh mareez-e-ishq ka haal hai


Yeh mareez-e-ishq ka haal hai 
Aisi zindagi bhi wabaal hai 

Kabhi dard hai to dawa nahin 
Jo dawa mili to shiffa nahin

Kisi kay dil main teri dharkan aaj bhi hai


Kisi kay dil main teri dharkan aaj bhi hai 
Kisi ki nazar main tera dedaar aaj bhi hai 

Agar zindagi se ho shikayat to yaad karna 
Kisi ki zindagi main teri kami aaj bhi hai

A gayi na phir ? tumhain neend


A gayi na phir ? tumhain neend

Ajeeb shakhs ho mohabbat bhi kartay ho , araam bhi

Dil-o-jaan se ziyada karon ga hifazat aur pyaar us ko


Dil-o-jaan se ziyada karon ga hifazat aur pyaar us ko 

Ik baar woh keh dy keh main hoon Amanat teri

JAb koi toot kay bikharta tha , to hum ussay samaita kartay thay


JAb koi toot kay bikharta tha , to hum ussay samaita kartay thay 

Aaj khud hain reza reza to koi poochta bhi nahin

Kaisay jee loon tum se rooth kar


Kaisay jee loon tum se rooth kar 
Meri her saans wabasta teri yaad se hai 

Mera taaluq jura hai kuch is tarah tum se 
JAisay insaan ka rishta khud apnay aap se hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...