Jun 23, 2014

Aankhon main raha dil main utar kar nahin dekha


Aankhon main raha , dil main utar kar nahin dekha 

Kashti kay musaafir ne samandar nahin dekha

Bhout se un'dekhye raaston par hua hai aksar


Bhout se un'dekhye raaston par 
hua hai aksar 
Keh chonk uthay , thatak gaye hum 
Palat kay dekha 
Ti thein ta'aqub main kuch sadaein 
Jo keh rahi thein 
Yeh hi to tum se kaha gaya tha 
Wafa ki raahon main 
Manzalon ka kahin bhi saya talak nahin hai 
Bhout thako gay , bhout thako gay 
YEh soch lena

Bahaar kiya , ab khizaan bhi mujhay galay lagaye to kuch na paye


Bahaar kiya , ab khizaan bhi mujhay galay lagaye to kuch na paye 
Main barg-e-sehra hoon , youn bhi mujh ko hawa urraye to kuch na paye 

Main pastion main bhi bara khush hoon , zameen kay malboos main jura hua 
Misaal-e-naqsh-e-qadam para hoon , koi mitaye to kuch na paye 

Tamaam rasmain hi tor di hain , keh main ne aankhain hi phor di hain 
Zamana ab mujh ko mera aaina bhi dikhaye to kuch na paye 

Ajeeb khwaish hai meray dil main , kabhi to meri sada ko sun kar 
Nazar jhukaaye to khouf khaye , nazar uthaye to kuch na paye 

MAin apni be'maegi chupa kar , kawaar apnay khulay rakhon ga 
Keh meray ghar main udaas mousam ki shaam aye to kuch na paye

Tu aashan hai na ajnabi , tera mera pyaar hai sar'sari
Magar yeh kiya rasm-e-dosti hai keh tu rooth jaye to kuch paye 

Ussay ganwa kar ussay phir paanay ka shouq dil main youn hai "Mohsin"
Keh jaisay paani pe daa'ira sa koi banaye to kuch na paye

Baarishon ky mousam main waqat kay andheron main


Baarishon ky mousam main 
Waqat ky andehron main 
Main ne us se poocha tha 
Chor to na jayo gy
Hath thaam kar us ne
Kaan main yeh bola tha 
Kaisay chor sakta hoon 
Tum to jaan ho meri
Aur aaj aisa hai 

Waqat ki tamazat main 
Wehshaton ky mousam main 
Main ne us se poocha hai
Chor kar hi jana tha 
Muskuraati galiyon main 
Aas kiyon dilai thi
Piyaas kiyon jagai thi 
Meray in sawalon par 
Chalty chalty woh bola 
Mousamon ky khail hain sab 
Jo badalty hi rehtay hain

Bheeg jati hain aankhain tanhai main


Baarish main chalna 

Bheeg jaati hain aankhain tanhai main 
Dar jaata hoon keh koi jaan na lay 

Pasand karta hoon baarish main chalna 
Ta keh rotay huye koi pehchaan na lay

Ab hum apni bheegi hui january ki shruaat


Ab hum apni bheegi hui january ki shruaat 

Teray bakhsay huwey azaab-e-tanhai se kartay hain

Jis ka haq'daar tha hum ne usi haq main rakha


Jis ka haq'daar tha hum ne usi haq main rakha 

Tera khat aya to chandi ky warq main rakha 

Gham parasti ki riyat nahin tori hum ne

Tera ansoo bhi gulaabon ky arq main rakha

Dard-o-dil ki basti main dua maang raha hai


Dard-o-dil ki basti main dua maang raha hai
Lut kar bhi zamanay ka bhala maang raha hai 

Her shakhs mufadaat ki doori se bandha hai 
Her shakhs mohabbat ki jaza maang raha hai 

Sookha bhi sja leta hai khud par naye paty
Khota bhi yahan yaar khara maang raha hai 

Tu meray hi lahoo main dabo kiyon nahin leta 
Gar hath tera rang-e-hina maang raha hai 

Foot path pe ik maan ka bilakta hua bacha 
Duniya se luti maan ki rida maang raha hai 

Dil dast-e-khizaan main hai magar yaad ka taa'ir
Qiyaas wohi pairr hara maang raha hai

Ya rab gham-e-hijraan main itna to kiya hota


Ya rab gham-e-hijraan main itna to kiya hota 
Jo hath jigar pe hai wohi dast-e-dua hota 

Ik ishq ka gham aafat aur is pe yeh dil aafat 
Ya gham na dia hota ya dil na dia hota 

Nakaam tamana-e-dil is soch main rehta hai 
youn hota to kiya hota , youn hota to kiya hota

Umeed to bandh jati taskeen to ho jati
Wada na wafa karty wada to kiya hota 

Ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne 
Kuch hum ne kaha hota , kuch hum se suna hota

Apni tanhai ky ba'wasaf simat kar roye


Apni tanhai ky ba'wasaf simat kar roye

Hum teri yaad main khud se hi lipat kar roye

Meri tanhai ko meri justagoo likh do


Meri tanhai ko meri justagoo likh do 
Khamosh hain lafaz , gutagoo likh do

Baarish main bheega ang ang mera 
Boond boond ko ba'wuzu likh do

Meri kahani , us yaadon ki kaawish
ik shaam , ik sehar , ik ansoo likh do 

Hasrat-e-deedaar jo phir se jaag utha 
Kushboo-e-badan chaar soo likh do

Intizaar main qaid-e-qurbat ka nasha 
Her khwaab ko dil-e-arzoo likh do

Sookhye paton ki aahat ab bhi mujh ko chonka deti hai


Sookhye paton ki aahat ab bhi mujh ko chonka deti hai 

Yaad hai mujh ko in pe chalna tum ko acha lagta tha

Khizaan rakhay gi darakhton ko be'samar kab tak


Khizaan rakhay gi darakhton ko be'samar kab tak 

Guzar hi jaye gi yeh rut bhi hosla rakhna

Jo main sar-ba-sajood hua kabhi , to zameen se anay lagi sada


Jo main sar-ba-sajood hua kabhi , to zameen se anay lagi sada

Tera dil to hai sanam ashnaa, tujhay kiya mile ga nimaaz main

Khuda se husn ne ik roz yeh sawaal kiya


Khuda se husn ne ik roz yeh sawaal kiya 
Jahan main kiyon na mujhay tu ne la'zawaal kiya 

Mila jawaab keh tasveer khana hai duniya 
shab-e-draaz adm ka fasana hai duniya 

Hui hai rang-e-tagiyar se jab namood us ki 
Wohi haseen hai haqeeqat la'zawaal hai jis ki 

Kahain qareeb tha , yeh gutagoo qamar ne suni 
Falak pe aam hui , akhtar-e-sehar ne suni 

Sehar ne taaray se sun kar sunai shabnam ko 
Falak ne baat bata di zameen ky mehram ko 

Bhar aye phool ky ansoo payaam-e-shabnam se 
Kali ka nanha sa dil khoon ho gaya gham se

Chman se rota hua mousam-e-bahaar gaya 
Shabaab sair ko aya tha so'gawaar gaya

Gul shaakh se bichray to kahin ka nahin rehta


Gul shaakh se bichray to kahin ka nahin rehta 

Tum khud ko juda meri zaat se kuch soch ky karna

Bhool jana bhi ussay yaad bhi kartay rehna


Bhool jana bhi ussay yaad bhi kartay rehna 
Acha lagta hai is dhun main bikhartay rehna 

Hijar walon se bari dair se seekha hai hum ne 
Zinda rehnay kay liye jaan se guzartay rehna 

Kiya kahon kiyon meri neendon main khalal  dalta hai 
Chaand ky aks ka pani main utarty rehna 

MAin agar toot bhi jayon to phir aaina hoon 
Tum meray baad behar tor sanwartay rehna 

Ghar main rehna hai to bikhraye huwey saaye chunn kar
Zakham dewaar-o-baam ky bhartay rehna 

Shaam ko doobtay suraj ki hai aadat mohsin 
Subha hotay hi meray sath ubhartay rehna

Ajab pagal si larki hai mujhay her roz kehti hai


Ajab pagal si larki hai 

Ajab pagal si larki hai 
Mujhay her roz kehti hai 
Batao kuch naya likha ?
MAin jab bhi us se kehta hoon 
Keh haan ik nazam likhni hai 
Magar unwaan dena hai 
Bhout be'chain hoti hai 
Woh kehti hai 
Sunao, main ussay acha sa ik unwaan deti hoon 
Woh meri nazam sunti hai 
Aur us ki bolti aankahin kisi misray , kisi tashbeeh par youn muskuraati hain 
Mujhay lafzon se kirnain phoot'ti mehsoos hoti hain 
Woh meri nazam ko acha sa ik unwaan deti hai 
Aur us kay aakhri misray kay neechay 
Ik ada-e-be'niazi se 
Woh apna naam likhti hai 
MAin kehta hoon 
Suno yeh nazm meri hai 
To phir tum ne kiyon tum ne apnay naam se mansoob kar li hai
Meri yeh baat sun kar us ki aankhain muskuraati hain 
Woh kehti hai 
Bara sada sa rishta hai 
Keh jaisay tum meray ho, isi tarah yeh nazam meri hai 
Ajab pagal si larki hai

Ae kaash baras jaye yahan noor ki baarish


Ae kaash baras jaye yahan noor ki baarish 

Emaan ky sheeshon pe bari gard jami hai

Nahin masroof main itna keh wahan ka raasta bhool jaaon


Nahin masroof main itna keh wahan ka raasta bhool jaaon 

Koi jab muntazir hi na ho , to jaana acha nahin lagta

Puraani yaadain

Puraani yaadain 

Dastak de rahi hain 

Zehan ky dareechon par 

Kuch kush'kun 

Kuch bojhal 

Jinhain hum bhoolna chahein 

To khud ko bhool jayein

Aarza laahaq hua hai arz-e-gulfaam se


Aarza laahaq hua hai arz-e-gulfaam se 

Bas usi ki soch main baithay hain tanha shaam se

Khaali hai dil faqeer ky kash'kol ki tarah


Khaali hai dil faqeer ky kash'kol ki tarah 

Is shaher-e-be'wafa se wafa kon le gaya

Hamain kuch bhi nahin kehna


Hamain kuch bhi nahin kehna 
Kaha na , kuch bhi nahin kehna 
Ana yeh rokti hai ,tokti hai 
Tanz karti hai 
Hamaray haal pe na janay kiyon 
Bairan yeh hansti hai
Abhi kuch bhi nahin kehna 
Wazahat bhi koi deni nahin hai 
Sun liya tum ne 
KAha na , haan nahin deni 
Tumhari koi hamdardi bhi ab 
hum ko nahin lyni
Kaha na . haan nahin lyni
Hamaray lafaz lota do 
Kabhi jo hum ne bolay thay 
Hamain tum se mohabbat hai 
Yahi woh lafz bolay thay 
Na janay dil ky darwaze
Kiyon hum ne tum par kholay thay 
Na janay kiyon 
Na janay kiyon
 

Apni janib se dil ko saaf kiya


Apni jaanib se dil ko saaf kiya 

Jaa mohabbat tujhay maaf kiya

Kabhi hum bhi mohabbat main apnay aap ko baadshah samjhtay thay


Kabhi hum bhi mohabbat main apnay aap ko baadshah samjhtay thay 

Pata us din chala jab wafa maangtay rahay faqeeron ki tarah

Mohabbat hai keh nafrat koi itna to samjhaye


Mohabbat hai keh nafrat koi itna to samjhaye 

Kabhi main dil se larti hoon , kabhi dil mujh se larta hai 

Shumaar us ki sakhawat ka kiya karain , keh woh shakhs


Shumaar us ki sakhawat ka kiya karain , keh woh shakhs 

Chraagh baant'ta phirta hai cheen kar aankahin 

Aur kuch nahin hota to bhari barish main


Aur kuch nahin hota to bhari barish main 

Tujh se bichray huwey raston pe safar karta hoon

Hum to aseer-e-khwaab thay , tabeer jo bhi thi


Hum to aseer-e-khwaab thay , tabeer jo bhi thi 
Dewaar pe likhi hui tehreer jo bhi thi 

Jo samnay hai sab hai yeh apnay kiye ka phal 
Taqdeer ki choriye , taqdeer jo bhi thi 

Aya aur ik nigha main barbaad kar gaya 
Hum ehl-e-intizaar ki jageer jo bhi thi 

Talib hain teray reham ky hum adal ky nahin 
Jaisa bhi apna juram tha , tafseer jo bhi thi 

Amjad hamari baat woh sunta to aik baar 
Aankhon se us ko choomtay ,tazeer jo bhi thi

Ajnabi si raahon ka Ajnabi musafir ik



Ajnabi si raahon ka 

Ajnabi musafir ik 

Mujh se pooch baitha hai 

Raasta bata do gy

Ajnabi si raahon ky 

Ajnabi musafir sun 

Raasta koi bhi ho 

Wasta koi bhi ho 

Manzalein nahin milti 

Manzalain to dhokha hain 

Manzlein gar mil jayein 

To justagoo nahin rehti 

Zindagi ko jeenay ki 

Aarzoo nahin rehti

Ab to her lamha azaab lagta hai


Ab to her lamha azaab lagta hai 
Tera milna bhi ik khwaab lagta hai 

Her koi dukhi hai is duniya main 
Ab to yeh ranj-o-gham nisaab lagta hai 

Us ki aankhon main chupay hain sawaal kai 
Is ka chup rehna jawaab lagta hai 

Bas ik hi gham hai zindagi main meri 
Aur wohi gham be'hisaab lagta hai 

Us ki surat hai keh chaand ho jaisay 
Us ka lehja bhi la'jawaab lagta hai

Main abhi talak na samjha mujhay tujh se piyaar kiyon hai


Main abhi talak na samjha mujhay tujh se piyaar kiyon hai

Teray wastay mera dil jo hai be'qaraar kiyon hai 

Mujhay chor ky youn tanha tu kab ka ja chuka hai 

To hai raah pe Kiyon nazrain , tera intizaar kiyon hai 

Tu jo hamsafar tha , to dhuwan dhuwan tha mousam 

Tu jo sath main nahin hai to yeh intishaar hai kiyon 

Meri aankhon ki udasi tu kabhi bhi parh na paya 

Mujhay yeh samjh na aya , tera intizaar kiyon hai

Thein is qadar ajeeb musafatein keh mat poocho


Thein is qadar ajeeb musafatein keh mat poocho

Aankhain abhi safar main thein aur khwaab thak gaye

Kahin tum bhi na ban jana mazmoon kisi kitaab ka


Kahin tum bhi na ban jana mazmoon kisi kitaab ka

Log baray shouq se parhty hain kahaniyaan be'wafaon ki 

Na janay kon duaon main yaad rakhta hai


Na janay kon duaon main yaad rakhta hai 

Main doobta hoon samandar uchaal deta hai

Khwaab main bhi woh ab nahin atay


Khwaab main bhi woh ab nahin atay 

Nafratein in dino urooj par hain

Yeh soch ky dil phir se hai amada-e-ulfat


Yeh soch ky dil phir se hai amada-e-ulfat

Keh her baar mohabbat main khasara nahin milta

Aao kabhi youn bhi meray paas


Aao   kabhi    youn    bhi    meray     paas 

Keh anay main lamha aur janay main zindagi guzar jaye

Kitaab-e-dil ka koi bhi warq sada nahin hota


Kitaab-e-dil ka koi bhi warq sada nahin hota 

Nigha us ko bhi parh leti hai , jo likha nahin hota

Bhool jana ussay asaan to nahin hai lakin


Bhool jana ussay asaan to nahin hai lakin 

Kaam asaan bhi hum se kahan hotay hain

Her koi apnay chaand se tha mehav-e-gutagoo


Her koi apnay chaand se tha mehav-e-gutagoo

Main apna chaand dhoondta raha aur eid guzar gayi

Meri her nazar teri muntazir


Meri her nazar teri muntazir

Teri her nazar kisi aur ki

Na janay kiya chupa tha us ki nigha-e-ulfat main


Na janay kiya chupa tha us ki nigha-e-ulfat main 

Na chahaty huwey bhi us se izhaar-e-dil'lagi kar baithay

Mujh se milna teri hi qismat main tha shayed


Mujh se milna teri hi qismat main tha shayed

Itni haseen meray hathon ki lakeerain to nahin

Kitni dil'kash hai us ki khamoshi


Kitni dil'kash hai us ki khamoshi 

Sari batain fazool hon jaisay

Dil kisi aur ka na ho paya


Dil kisi aur ka na ho paya 

Arzoo meri aaj bhi tum ho

Tumhari aankhon main laal dhagay


Tumhari aankhon main laal dhagay 

Raat kis ky naseeb jaagay ? ?

Jalti dhoop main sard hawa main rehna seekh liya


Jalti dhoop main sard hawa main rehna seekh liya 
Us se bichar ky hijar ka ik ik mousam sehna seekh liya 

Sahil sahil takra ky choor huwey to hum ne bhi 
Dariya ki lehron ki main lehrain ban kar behna seekh liya 

Apna dukh bas apna hi dukh hota hai yeh jaan liya
Apnay aap se apni saari baatein kehna seekh liya 

Naye navaili tanhai ki baanhain daal kar baanhon main 
Raat gaye tak nehar kinaray baithay rehna seekh liya

Ashk aankhon main bharty rahay raat bhar


Ashk aankhon main bharty rahay raat bhar 
Khud se lipat kar aah bhartay rahay raat bhar 

Wada tha us ka keh milain gy khwaab main 
Hum thay keh sanwarty rahay raat bhar 

Shab-e-wasal thi aur is qadar tareek 
Apnay saaye se dartay rahay raat bhar 

Mat poocho keh kitni shiddat thi un main 
Jo qehar dil pe guzarty rahay raat bhar 

Dekha ussy shadmaan jo mehfal-e-raqeeban main 
Gumaan dil main ubhartay rahay raat bhar 

Ujjri hui aankhon se aiyaan hai shahid 
Dil se toofaan guzarty rahay raat bhar

Hazaron khwaishein aisi keh her khwaish pe dam niklay


Hazaron khwaishein aisi keh her khwaish pe dam niklay
Bhout nikly meray armaan lakin phir bhi kam niklay 

Daray kiyon mera qatal kiya rahay ga is ki gardan par 
Woh khoon , jo chashm-e-tar se umar bhar youn dam na dam niklay

Nikalna khald se aadam ka suntay aye hain lakin 
Bhout be'abru ho kar teray koochay se hum nikly

Bharam khul jaye zaalam teray qamat ki drazi ka 
Agar is tarah ka paig-o-kham niklay

Magar likwey koi is ko khat to hum se likhwaye 
Hui subha aur ghar se kaan pe rakh ky qalam niklay 

Hui is dour main mansoob mujh se baada-e-aashaami 
Phir aya woh zamana jo jahan main jaam-e-jam nikly 

Hui jin se tawaqaa khat ki daad panay ki 
Woh hum se bhi ziada khasta teaigh-e-sitam nikly 

Mohabbat main nahin hai faraq jeenay aur marney ka 
Usi ko dekh ky jeetay hain jis kaafir pe dam nikly 

Kahan mea'khanay ka darwaza ghalab aur kahan waa'az
Par itna jantay hain kal woh jata tha keh hum nikly
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...