Jul 12, 2014

Main ne to zindagi ko teray naam likh diya tha


Main ne to zindagi ko teray naam likh diya tha 

Shayed magar kuch aur hi marzi khuda ki thi 

Dard hi dena tha to pehlay bata detay 

Hum ko bhi azal se tamana saza ki thi

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Aag lehjay ki jalti hai


Aag lehjay ki jalti hai 

Lafaz aatish fishaan nahin hotay

Apni mohabbat ke afsanay kab tak raaz banao gay


Apni mohabbat ke afsanay kab tak raaz banao gay 
Ruswai se darnay waalo baat tumhai phailao gay 

IS ka kiya hai tum na sahi to chahnay wale aur bhout 
Tark-e-mohabbat karnay waalo tum tanha reh jaao gay 

Hijar ke maaron ki khush fehmi jaag rahay hain pehron se
Jaisay youn shab kat jaye gi jaisay tum aa jaao gay 

Zakham tamana ka bhar jana goya jaan se jana hai 
Is ka bhulaan asehal nahin hai khud ko bhi yaad aao gay

Choro ehad-o-wafa ki baatein kiyon jhootay iqraar karain
Kal main bhi sharminda hoon ga kal tum bhi pachtaao gay 

Rehnay do yeh pand-o-naseehat hum bhi "faraz" se waaqif hain 
Jis ne khud so zakham sehay hon us ko kiya samjhao gay

Bana gulaab to kaanty chubha gaya ik shakhs


Bana gulaab to kaanty chubha gaya ik shakhs 
Hua chragh to ghar hi jala gay ik shakhs 

Tamaam rang maeray aur tamaam khwaab meray 
Fasana thay keh fasana bana gaya ik shakhs

MAin ksi hawa main urron kis fiza mein lehraaon 
Dukhon ke jaal her ik soo bhujha gaya ik shakhs 

PAlat sakon main  na aagay hi barh sakon jis par 
Mujhe yeh kon se rastay laga gaya ik shakhs 

Mohabbatein bhi ajab us ki nafratein bhi kamaal 
Meri tarah ka hi mujh main sama gaya ik shakhs 

Woh mahtaab tha , marham bad'dast aya tha 
Magar kuch aur mera dil dukha gaya ik shakhs 

Khula yeh raaz keh aaina khana hai duniya 
Aur is main mujh ko tamasha bana gaya ik shakhs 

Kabhi kaha na kisi se tere fasanay ko


Kabhi kaha na kisi se tere fasanay ko 

Na jane kaisay khabr ho gayi zamanay ko

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Kuch youn bhi zard zard si naheed aaj thi


Kuch youn bhi zard zard si naheed aaj thi 

Kuch orhni ka rang bhi khilta hua na tha

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Qatra qatra dariya bantay dair lagay gi


Qatra qatra dariya bantay dair lagay gi 

Us ko mera hotay hotay dair lagi gi

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Qarz ki peetay thay may lakin samjhtay thay keh haan


Qarz ki peetay thay may lakin samjhtay thay keh haan 

Rang laaye gi hamari faaqa masti aik din

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Fitrat ne jo likhay hain woh kutbay parha karo


Fitrat ne jo likhay hain woh kutbay parha karo 

Mehngi hain gar kitaabain to chaheray parha karo

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Guncha-e-shouq laga hai khilnay


Guncha-e-shouq laga hai khilnay 

Phir tujhe yaad kiya hai dil ne

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Ghair ki baaton ka aakhir aitabaar aa hi gaya


Ghair ki baaton ka aakhir aitabaar aa hi gaya 

Meri janib se teray dil main ghubaar aa hi gaya

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Aks-e-kushboo hoon bikharnay se na rokay koi


Aks-e-kushboo hoon bikharnay se na rokay koi

Aur bikhar jaaon to mujh ko na smaitay koi

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Ishq ek "Mir" bhaari pathar hai


Ishq ek "Mir" bhaari pathar hai 

Kab yeh tujh na'tawan se uthta hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Aashiq hoon par mashooq faraibi hai mera kaam


Aashiq hoon par mashooq faraibi hai mera kaam 

Majnoo ko bura kehti hai laila meray aagay

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Aziz itna hi samjho keh jee sambhal jaye


Aziz itna hi samjho keh jee sambhal jaye 

Ab is qadar bhi na chaho keh dam nikal jaye

Aadat hi bana li hai , tum ne to "munir" apni


Aadat hi bana li hai , tum ne to "munir" apni 

Jis shaher main bhi rehna uktaaye huye rehna

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Subha hotay hi nikal aatay hain bazaar main log


Subha hotay hi nikal aatay hain bazaar main log 

Ghak'riyaan sar pe uthaye huye emaano ki

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Saadiq hoon apne qoal main "Ghalib" khuda gawah


Saadiq hoon apne qoal main "Ghalib" khuda gawah

Kehta hoon sach keh jhoot ki aadat naihn mujhe

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Sehra ki tarah rehtay huye thak gayi aankhain


Sehra ki tarah rehtay huye thak gayi aankhain 

Dukh kehta hai ab main koi dariya bhi na dekhon

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Shaher main aa kar parhnay wale bhool gaye


Shaher main aa kar parhnay wale bhool gaye 

Kis ki maa ne kitna zewar baicha hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Shayed mujhe nikaal ke pachtaa rahay hon aap


Shayed mujhe nikaal ke pachtaa rahay hon aap 

Mehfil main is khyal se phir aa gaya hoon main

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Shaam-e-alam dhali to chali dard ki hawa


Shaam-e-alam dhali to chali dard ki hawa 

Raaton ka pechla pehar hai aur hum hain dosto

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Saans tham jaanay se ilaaan nahin mar jaate


Saans tham jaanay se ilaaan nahin mar jaate 

Hont jam jaane se farmaan nahin martay

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Sabhi gunnah dhul gaye saza hi aur ho gayi


Sabhi gunnah dhul gaye saza hi aur ho gayi 

Mere wajood pe teri gawahi aur ho gayi

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Sapurdagi ka ka nasha tootnay nahin deta


Sapurdagi ka ka nasha tootnay nahin deta

Ana samai hui hai wafa ki baanhon main

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Sagar woh keh rahay thay keh pee lijiye hazoor


Sagar woh keh rahay thay keh pee lijiye hazoor

Un ki guzarshaat se ghabra ke pee gaya

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Zindagi jabar-e-musalsal ki tarah kaati hai


Zindagi jabar-e-musalsal ki tarah kaati hai 

Jaane kis jurm ki paai saza yaad nahin

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Zindagi apni jab is shakal se guzri "Ghalib"


Zindagi apni jab is shakal se guzri "Ghalib"

Hum bhi kiya yaad karain , gay keh khuda rakhtay thay

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Zarkhaiz zameenain kabhi banjar nahin hotein


Zarkhaiz zameenain kabhi banjar nahin hotein

Dariya hi badal letay hain raasta ussay kehna

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Zamana baray shouq se sun raha tha


Zamana baray shouq se sun raha tha 

Hum hi so gaye , dastaan kehtay kehtay

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Aur to sab ko pilaatay rahay mast aankhon se


Aur to sab ko pilaatay rahay mast aankhon se

Haath sagar ne barhaya to bura maan gaye

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Raat din gardish main hain , saat asmaan


Raat din gardish main hain , saat asmaan 

Ho rahay ga, kuch na kuch ghabraein kiya

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Raat bhi , Neend bhi , Kahani bhi


Raat bhi , Neend bhi , Kahani bhi 

HAye kiya cheez hai jawaani bhi

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Zikar aye ga jahan bhanwaron ka


Zikar aye ga jahan bhanwaron ka 

Baat ho gi mere harjaai ki

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Duniya main "qateel" us sa munafaq nahin koi


Duniya main "qateel" us sa munafaq nahin koi 

Jo zulam to sehta hai , baghawat nahin karta

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Dopehar ki dhoop main mere bulaanay kay liye


Dopehar ki dhoop main mere bulaanay kay liye

Woh tera khotahy pe nangay paaon ana yaad hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Dua bahaar ki maangi to itnay phool khilay


Dua bahaar ki maangi to itnay phool khilay 

Kahin jaga na mili mere ashiyaane ko

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Dewaar kiya giri meray kachay makaan ki



Dewaar kiya giri meray kachay makaan ki 

Logon ne meray sehan main rastay bana liye

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Dil munaafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa


Dil munaafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa

Aur jab tujh se mila toot ke roya kaisa

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Khalid main baat baat pe kehta tha jis ko jaan


Khalid main baat baat pe kehta tha jis ko jaan 

Woh shakhs aakhrish mujhe be'jaan kar gaya

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Khat main likhaye huye ghairon ko salaam atay hain


Khat main likhaye huye ghairon ko salaam atay hain 

Kis qayamt ke yeh naamay meray naam atay hain

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Khanjar chalay kisi pe taraptay hain hum "Ameer"


Khanjar chalay kisi pe taraptay hain hum "Ameer"

Saray jahan da dard hamaray jigar main hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Khatar se ya lihaaz se main maan to gaya


Khatar se ya lihaaz se main maan to gaya 

Jhooti qasam se aap ka emaan to gaya

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Hashar main kon gawahi meri de ga sagar



Hashar main kon gawahi meri de ga sagar

Sab tumharay hi taraf'daar nazar atay hain

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Haal-e-dil hum bhi sunaatay lakin


Haal-e-dil hum bhi sunaatay lakin 

Jab woh rukhsat hua tab yaad aya

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Haseeno se faqat saahib salamat door ki achi


Haseeno se faqat saahib salamat door ki achi 

Na un ki dosti achi , na un ki dushmani achi

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Chaheray sajay sajay hain to dil hain bujhay bujhay


Chaheray sajay sajay hain to dil hain bujhay bujhay 

Her shakhs main tazaad hai din raat ki tarah

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Chand tasveer-e-buttan chand haseeno ke khatoot


Chand tasveer-e-buttan chand haseeno ke khatoot

Baad marnay ke meray ghar se yeh samaan nikla

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Jo sunai anjuman main , shab-e-gham ki aap beeti


Jo sunai anjuman main , shab-e-gham ki aap beeti 

Kai ro ke muskuraye , kai muskura ke roye

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Jugnoo ko din ke waqat prakhnay ki zid karain


Jugnoo ko din ke waqat prakhnay ki zid karain 

Bachay hamaray ehad ke chlaak ho gaye

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Jab aglay saal yahi waqat aa raha ho ga


Jab aglay saal yahi waqat aa raha ho ga 

Yeh kon jaanta hai , kon kis jaga ho ga

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Jin ke honton pe hansi paaon main chaalay hon gay


Jin ke honton pe hansi paaon main chaalay hon gay

Haan wohi log tujhe chahnay wale hon gay 

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Jaanta hoon aik aisay shakhs ko main bhi munir


Jaanta hoon aik aisay shakhs ko main bhi munir 

Gham se pathar ho gaya , lakin kabhi roya nahin

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Jhoot bola hai to qaaim bhi raho is par zafar


Jhoot bola hai to qaaim bhi raho is par zafar

Aadmi ko saahib-e-kirdaar hona chahiye

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...