Jan 28, 2015

Kisi kay saath guzray pal baray rangeen hotay hain


Kisi kay saath guzray pal baray rangeen hotay hain 

Mohabbat kay yeh roz-o-shab baray haseen hotay hain 

Ishq karna hai to pehlay bikharnay ka hunar seekho 

Ishq main aksar hadsay baray rangeen hotay hain 

Kabhi fursat main aa kar dekh is veeraan se ghar main 

Kisi ki yaad main hum bhi baray gham'geen hotay hain

Aaj phir mujh ko us ki yaad dila di baarish ne


Aaj phir mujh ko us ki yaad dila di baarish ne 

Dil main jo bhol ki aag thi bhujha di baarish ne 

Main tanha tha apnay ghar main zamanay se 

Magar meray ghar ki dewaar gira di baarish ne 

Us kay zikar se ho gayi meri aankhein num 

Magar dosto , yeh sari baat chupa di baarish ne 

Suna hai woh bhi roye hain aaj bhout 

Lagta hai un ko bhi meri yaad dila di baarish ne 

Woh be'wafa huye to phir kiya huwa

Aaj meray saath ro kar wafa nibha di baarish ne 

Woh khafa hain hum se to khafa hi rehnay do


Woh khafa hain hum se to khafa hi rehnay do 

Hum ko un ka gunnah'gaar hi rehnay do 

Woh samjhtay hain hum ne chor diya hai un ko 

Baat to jhoot hai magar sach hi rehnay do 

Muddaton maangi hain khuda se khushiyaan un ki 

Jo aata hai ilzaam hum pe to ilzaam hi rehnay do 

Us ki shart hai keh main be'wafa banu

Agar khushi milay us ko to mujhay be'wafa hi rehnay do 

Aaye ga waqat to dekha'en gay tum ko apna khaloos 

Abhi khamosh hain , hum ko bas khamosh hi rehnay do

Saath to ik pal ka tha phir kiyon mujhay yaad aatay ho tum ?


Saath to ik pal ka tha phir kiyon mujhay yaad aatay ho tum ?

Aks ki tarah meray dil pe kiyon chaa jaatay ho tum 

Dilbar bhi nahin ho meray , humdam bhi nahin 

Yeh raastay pyaar kay mujhay phir kiyon dikhaa jaatay ho tum?

Hum kabhi milay thay to ik ajnabi ki tarah 

Meri raaton ki neend phir kiyon urra jaatay ho tum 

Hawa'on se hum tumhara pata poochtay rahay 

Kuch issi tarah se apna dewaana bana jaatay ho tum 

Saath to ik pal ka tha phir kiyon mujhay yaad aatay ho tum 

Matti kay jitnay ghar main banaata chala gaya


Matti kay jitnay ghar main banaata chala gaya 

Ik shaks khafa ho kay giraata chala gaya 

Woh mujh se bhout door door jaata raha 

Jitnay main us kay naaz uthata chala gaya 

Ik meray waastay hi us ne dard rakhye thay 

Baaqi to woh her  ik ko hansaata chala gaya 

Thi haath main taqat par dil nahin maana 

Us kay siwa main sab ko haraata chala gaya 

Dil main us ki yaad kay jitnay chragh thay roshan 

Un ko bhi sitam gar woh bujhaata chala gaya 
 




Shaam kay surmai andheron main youn teri yaad saath chalti hai


Shaam kay surmai andheron main 

Youn teri yaad saath chalti hai 

Jaisay parbat kay sabaz perron par 

Barf kay baad dhoop parti hai 

Jaisay sehraa ki rait urr urr kar 

Ajnabi ka tawaaf karti hai 

Aah bharta hoon ashk peeta hoon 

Roz marta hoon phir bhi jeeta hoon 

Kitni masoom aarzo'on ko 

Kis tarah log tor jaatay hain 

Jaisay dam tortay musafir ko 

Qaaflay walay chor jaatay hain 

Shaam kay surmai andheron main 

Youn teri yaad saath chalti hai

Teri ibtidaa koi aur hai , teri intihaa koi aur hai


Teri ibtidaa koi aur hai , teri intihaa koi aur hai 

Teri baat hum se hui to kiya  ,Teri soch main koi aur hai 

Hamain shouq tha bari dair se keh teray shareek-e-safar rahain 

Teray saath chal kay khabar hui Tera raasta koi aur hai 

Tujhay fikar hai keh mujhya badal diya gardish-e-shab-o-roz ne

Kabhi khud se bhi tu sawal kar tu wohi hai ya koi aur hai 

Juda honay kay mousam main juda hona bhi parta hai



Juda honay kay mousam main juda hona bhi parta hai 

Jissay mushkil se paya ho ussay khona bhi parta hai 

Khudi pe maan itna hai kabhi murr kar nahin dekha 

Jissay keh doon keh mera hai ussay hona bhi parta hai 

Mujhay neend nahin aati us ki yaad aanay kay baad 

Magar ik khwaab ki laalich main phir sona bhi parta hai 

Hamesha hansta rehta hoon chupa kay gham mohabbat kay 

MAgar jab us ka naam aaye to phir rona bhi parta hai 

Hamesha hansta rehta hoon chupa kay gham mohabbat kay 

Magar jab us ka naam aaye to phir rona bhi parta hai 

Kabhi jo dekhni ho meri mohabbat To Meri chahaton main aa jana


Aa jana 

Kabhi jo dekhni ho meri mohabbat 
To Meri chahaton main aa jana 

Kabhi jo karni hon mujh se baatein 
ToMeri yaadon main aa jana 

Kabhi chaho mehsoos karna pyaar mera 
To meri aankhon main aa jana 

KAbhi jo sunna'ni awaaz meray dil ki 
To meri dharkano main aa jana

Kabhi jo paao khud ko akela sa 
To meri raahon main aa jana 

Kabhi jo so na paao meri yaad main 
To meri raaton main aa jana 

Kabhi jo ghabraao ird gird kay mousam se 
To meri baanhon main aa jana

Yeh jo shafaaf sa ik aks us jheel main tha


Yeh jo shafaaf sa ik aks us jheel main tha 
Koi chehra tha magar chand ki tamseel main tha 

Yaad karta hoon kahan bhool kay aaya hoon ussay 
Aisa hi aks meri soch ki zambeel main tha 

Baat kiya thi yeh mujhay achi tarah yaad nahin 
Haan tera zikar bhi tha aur bari tafseel main tha 

Koi paighaam tha aankhon main , so aankhon main raha 
Masla asal to paighaam ki tarseel main tha 

Is naye nuskhaye main tehreef hui hai warna 
Zikar mera bhi kahin pyaar ki injeel main tha

Dushman meri khushiyon ka , zamana hi nahin tha


Dushman meri khushiyon ka , zamana hi nahin tha 

Tum ne bhi kabhi apna to jana hi nahin tha 

Kiya kartay akelay main saja kar koi mehfil 

JAb saath mera kisi ne nibhaana hi nahin tha 

Dil ne to bhout chaha magar kis tarah jeetay 

Jeenay kay liye koi bahana hi nahin tha 

Murr murr kay dekhta raha main umar bhar magar

Tum aaye nahin kiyon keh tum ko to aana hi nahin tha 

Ab jhuk kay meri laash ko jhin'jhoor rahay ho 

Jaisay teri duniya se mujhay kabhi jaana hi nahin tha 

Meri mohabbaton se tum wafa karna


Meri mohabbaton se tum wafa karna 

Mujhay dil se na tum juda karna 

Meri her saans main bas jaao tum 

Kushboo ban kar tum mila karna 

Bhula doon teray pyaar main duniya

Phir tum bhi apnay pyaar ki intihaa karna 

Zindagi ki her kushi ka tu sahara hai 

Tum ko mumkin nahin dil se juda karna 

Kuch khabar nahin keh kab mout aa jaye mujhay


Kuch khabar nahin keh kab mout aa jaye mujhay 

Tum bhi ek zakham de do kahin tum reh na jaao

Guzri hui zindagi ko kabhi yaad na kar


Guzri hui zindagi ko kabhi yaad na kar 

Taqdeer main jo nahin likha us ki fariyaad na kar 

Jo ho ga woh ho kar hi rahay ga 

Tu kal ki fikar main aaj ki hansi barbaad na kar
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...