Mar 4, 2015

Ek jurm hua hai hum se ek yaar bana baithay hain


Ek jurm hua hai hum se 
Ek yaar bana baithay hain 

Kuch apna sa uss ko samjh kar 
Sab raaz bata baithay hain 

Phir us kay pyaar ki raah main 
Dil-o-jaan ganwa baithay hain 

Woh yaad bhout aatay hain 
Jo hum ko bhula baithay hain 

Kis jurm ki mili hai saza Ya'Rab
Hum un se juda ho baithay hain

Mohabbat cheez aisi hai


Mohabbat cheez aisi hai 

KAbhi hoti hai apno se 
Kabhi hoti hai sapno se 
Kabhi anjaan raahon se 
Kabhi gum'naam naamon se 

Mohabbat cheez aisi hai 

Kabhi hoti hai phoolon se 
Kabhi bachpan kay jhoolon se 
Kabhi be'ikhtiyari main 
KAbhi pakkay Usoolon se 
Mohabbat ik mohabbat hai 
Mohabbat ik sadaqat hai 
Mohabbat ik ibaadat hai 

Mohabbat cheez hai aisi 

Dukhon main roll deti hai 
Dard anmol deti hai 
Zehar bhi ghol deti hai 

Mohabbat cheez hai aisi 
 
 


Woh jo mehav thay sar-e-aaina , pas-e-Aaina bhi to dekhtay


Woh jo mehav thay sar-e-aaina 
Pas-e-Aaina bhi to dekhtay 

KAbhi roshni se woh 
Tairagi ko chupa hua bhi to dekhtay 

Sar-e-aab jo raha tishna lab 
To yeh zabat-e-gham ki hai intiha

Meray haal par thay  jo nukta cheen 
Mera hosla bhi to dekhtay 

Woh utar gaye thay jo paar khud 
Mujhay beech lehron main chor kar 

Tha jo un main itna hi hosla 
Mujhay doobta bhi to dekhtay 

Jinhain mujh se hai yehh gila keh 
Main raha be'niyaaz-e-khaloos-o-rabt

Meray gird rasm-o-riwaaj ka 
Kabhi da'ira bhi to dekhtay 

Be'chain youn kisi ki mohabbat main hum rahay


Be'chain youn kisi ki mohabbat main hum rahay 
Jaisay keh lamha lamha qayamat main hum rahay 

Aansoo kisi ki yaad main behtay chalay gaye 
Yehni tamaam raat ibaadat main hum rahay 

Dekha ussay to rukh se nigahein na hatt sakein 
Kitni hi dair varta-e-hairat main hum rahay 

Hum sada dil thay is ko mohabbat samjh liya 
Halan keh bas faraib-e-mohabbat main hum rahay

"Mohsin" Kisi ne pyaar se poocha tha ik sawal
Phir sari umar is ki wazahat main hum rahay 

Zawiya jitna nigahon ka sanwar jaata hai


Zawiya jitna nigahon ka sanwar jaata hai 
Tera rukhsaar bhi utna hi nikhar jaata hai 

Aisay lamhaat bhi aatay hain raah-e-ulfat main 
Ya wafa haath se jaati hai ya to sar jaata hai 

Main teray gham main bhala Ashak bahaa'on kab tak 
Aankh to Aankh hai dariya bhi utar jaata hai 

Hasti-e-gul hai faqat chand ada'on pe moheet 
Phool sharmaata hai , hansta hai bikhar jaata hai

Qurbat-e-yaar se "Mohsin " ko baqaa milti hai 
Zarf parwanay ka choota hai keh mar jaata hai

Main tujh se kisi roz mangwaon teri tasveer


Main tujh se kisi roz mangwaon teri tasveer
Ya khud kisi kaghaz pe banaon teri tasveer 

TAnhai kay lamhaat main baatein karon us se 
Choomon kabhi seenay se lagaon teri tasveer 

Dekha karon parhnay kay bahanay main 
Apni kitabon main chupaon teri tasveer 

TAktay huye so jaaon kabhi seenay pe rakh kay 
Be'taabi se baanhon main dabaon teri tasveer 

Rakhon ussay duniya ki nigahon se bacha kay 
Aankhon kay jharokon main sajaon teri tasveer 


Teri ghaflaton ko khabar kahan meray haal-e-dil pe nazar karay


Teri ghaflaton ko khabar kahan meray haal-e-dil pe nazar karay 

Tu jaffa ki had main na aa saka hum wafa ki had se guzar gaye

Tasveer teri dil mera behlaa na sakay gi


Tasveer teri dil mera behlaa na sakay gi 
YEh teri tarah mujh se sharmaa na sakay gi 

Main baat karon ga yeh khamosh rahay gi 
Seenay se laga loon ga to yeh kuch na kahay gi 

Uljhi hui raaton ko yeh suljhaa na sakay gi 
YEh Aankhein hain tehri hui chanchal woh nigahein 

YEh haath hain sehmay huye aur mast woh baanhein 
Parchaai to insaan kay kaam aa na sakay gi 

In honton ko khayal main kuch dy na sakon ga 
Is zulf ko main haath main bhi lay na sakon ga

Aaram woh kya dy gi jo tarppa na sakay gi 
TAsveer teri dil mera behlaa na sakay gi

Na wal'walay woh rahay aur na woh zamana raha


Na wal'walay woh rahay aur na woh zamana raha 
Samaa hayaat ka lakin sadaa sohaana raha 

Ghazal haraam hui , husn pe lagay pehray 
Mera mizaaj magar phir bhi shairaana raha 

Khuda bhi maan liya , bandagi bhi ki us ki 
Taaluq us se magar apna gaayebana raha 

Likha huwa tha meri maazi jis kay tinkon par 
Meri uraan main hayal woh Aashiyaana raha 

Paron kay dhair lagay hain wahan wahan ab bhi 
Jahan jahan kisi panchi ka Aashiyaana raha 

Kahin kahin koi raahat , kahin kahin koi zakham 
Meray naseeb ka manzar wohi puraana raha 

Qateel tark-e-maraasim woh kar gaya phir bhi 
Salook us ka meray saath dostaana raha

Kabhi un ka naam leina kabhi un ki baat karna


Kabhi un ka naam leina
Kabhi un ki baat karna 
Mera zouq un ki chahat 
Mera shouq un pe marna 

Kabhi chaltay chaltay thamna 
Aur thaam kay baith jana 
Kabhi lar'khara kay girna 
Aur gir kay phir sambhalna 
Kabhi raat raat rona 
Kabhi din charhay sisakna 
KAbhi dariya dariya rehna 
Kabhi dekhnay ko tarasna 

Raha ishq se hamesha
Koi wasta hai apna 
Yahi zindagi hai apni 
Yahi raasta hai apna 

So jaa kay abhi chand sar-e-baam nahin hai


So jaa kay abhi chand sar-e-baam nahin hai 
YEh raaz-e-mohabbat abhi ilzaam nahin hai 

Es Aashiq-e-nadaan ki khabar kuch to laya kar 
Mana keh teray dil main mera naam nahin hai 

Woh shakhs bhi kiya shakhs tha khushboo ki tarah tha 
Khusboo bhi woh jo shaher main ab aam nahin hai 

Madhosh hotay jaatay ho Aankhon ki nami par 
YEh aankh kay moti hain koi jaam nahin hai 

YEh pyaar ki ghazlain yeh mohabbat bharri baatein 
Tumhain aur koi kaam nahin hai

Tanhai ki raat kat hi jaye gi itnay bhi hum majboor nahin


Tanhai ki raat kat hi jaye gi itnay bhi hum majboor nahin 

Dohraa kar teri baaton ko kabhi hans lain gay kabhi ro lain gay

Andheri raat kay lamhay tamaam honay tak


Andheri raat kay lamhay tamaam honay tak 
Tujhay hi sochta hoon subha se shaam honay tak

MAin aisa jism hoon jis ki rooh bhi tu hai 
Adhoori raat hoon main teray naam honay tak

Teri awaz sun na loon to dil nahin lagta 
Tarapta rehta hoon tujh se hum'kalaam honay tak

Teri nazar ki qeemat pe bik raha hai koi 
Ussay khareed lay tu mehangay daam honay tak

Ishq ki aag jo seenay main laga baithay hain 
Sulagti rehti hain yeh neendein haraam honay tak

Kaash woh sirf mera ho , mera dil us ka basera ho


Kaash woh sirf mera ho , mera dil us ka basera ho 

Chahaye to chahat meri , mangay to mohabbat meri 

Woh chand ki chandani ho to chand sirf mera ho

Woh din ki roshni ho to suraj sirf mera ho

Woh phoolon ki khushboo ho to ehsaas sirf mera ho

Woh raat ka ujaala ho to chragh sirf mera ho

Woh ishq aur mohabbat ho to dil sirf mera ho 

Woh paani ka cheenta ho to dariya sirf mera ho

Woh qismat ki lakeer ho to haath sirf mera ho

Hum bhi moujood thay taqdeer kay darwazay par


Hum bhi moujood thay taqdeer kay darwazay par 

Log doulat pe giray hum ne tujhay maang liya

Bas yehi Mera Asasa hai


Kuch waday qasmein , yaadein thein 
Kuch qeh'qahay thay , fariyadain thein 

Kuch aansoo thay jo bahaye thay 
Kuch dhokay thay , jo khaye thay 

Kuch lehjon ki parchaiyan thein 
Kuch dil ko rog lagaye thay 

Ab paas hamaray kuch bhi nahin 
Ab aas kay maaray kuch bhi nahin 

Bas yaadon ki zanjeerain hain 

Kuch rog utri tasveerain hain 
Kuch lafz miti tehreerain hain 

Ek dil ko deed ka payasa hai 
Bas yehi Mera Asasa hai

Bharri bahaar main ab kay ajeeb phool khilay


Bharri bahaar main ab kay ajeeb phool khilay 
Na apnay zakham hi mehkay , na dil kay chaak silay 

Kahan tak koi dhoonday musafiron ka suraagh
Bicharnay walon ko kya hai , milay milay , na milay 

Ajeeb qehat ka mousam tha ab kay basti main 
Kiye hain baanjh zameeno se baarishon ne gilay 

YEh haadisa sar-e-saahil rula gaya mujh ko 
Bhanwar main doobnay walon kay haath bhi na hilay 

Sinaan ki nok, kabhi shaakh-e-daar par "Mohsin"
Sukhan waron ko milay hain mushaq'qaton kay silay

Sard rawiyya, uljha lehja , khoyi aankhein , thanday haath


Sard rawiyya, uljha lehja , khoyi aankhein , thanday haath 

Be'rang chehra , bad'ikhlaaqi , dekho tum bin kya hoon main

Teray bina chaand bhi aisay lagta hai mujhay Sagar


Teray bina chaand bhi aisay lagta hai mujhay Sagar 

Koi zakham ho jaisay Aasmaan kay seenay main

Ishq bhi barri na'muraad cheez hai


Ishq bhi barri na'muraad cheez hai 

Ussi se hota hai jo kisi aur ka hota hai

Shiddat-e-tishnagi main bhi ghairat-e-meh'kashi rahi


Shiddat-e-tishnagi main bhi ghairat-e-meh'kashi rahi 

Uss ne jo phair li nazar hum ne bhi jaam rakh diya

Boseeda puranay kisi samaan main rakh dy


Boseeda puranay kisi samaan main rakh dy 
Ya phir kisi tootay huye guldaan main rakh dy

Chahat kay chraghon ko to jalna hai jalain gay 
Tu in ko utha kar bhalay toofan main rakh dy 

Qadmon main teray maslay huye phool nahin hain 
Chahat ki chitta hai kisi sham'shaan main rakh dy

Saansain na chuka paai hoon qeemat jo wafa ki 
Ab jism ki matti ko bhi tawaan main rakh dy 

Mohsin teray jazbaat yahan kon sunay ga 
Be'rabat khayalaat ko deewan main rakh dy


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...