May 30, 2014

Ilhaam ki rim jhim kahin bakshish ke ghata hai



Ilhaam ki rim jhim kahin bakshish ke ghata hai
 ye dik ka nagar hai k madinay ki fiza hai

rag rag ne sameti hai tere naam ki faryad
 jab jab bhe pareshan mujhay duniya ne kiya hai

suraj ko ubharnay nhin deta tera habshi
 be zar ko abu-zar teri bakshish ne kiya hai

saqlain ke qismat teri dehleez ka sadqa
 Aalam ka muqadar tere hathon me likha hai

Ay gumbad-e-khizra k makeen meri madad kar
ye phir yeh bata kon mera tere siwa hai

bakshish teri ankhon ki taraf dekh rahi hai
'Imran' tere darbar main chup chap khara hai

Mohabbat main dil hi nahin


Mohabbat main 

Suno ! 
Mohabbat main dil hi nahin 
Rooh ko bhi khiraaj ada karna parta hai 
Aik doosray ko paa kar bhi na pana 
Mohabbat ka khiraaj hi to nahin 
Jo !
Main aur to ada kar rahay hain !
Kiyon keh zahid !
Hum dono 
Ik doosray se mohabbar kar rahay hain

Jab yeh keh diya tum ne



Jab yeh keh diya 

Jab yeh keh diya tum ne 
Na hum se koi raabta rakhna 
To phir yeh kaisay mumkin tha ? 
Keh hamari dharkano ka 
Khud apnay dil se koi raabta rehta

Zindagi jeeney kay liye


Zindagi jeenay kay liye 

Zindagi jeenay kay liye 
Armaan zaroori hai 
Her khushi panay kay liye 
Imtihaan zaroori hai 
Dil main chahye hazaron gham ho
PAr zahid chehray par ik muskan zaroori hai 

Aaina jhoot bolata hai


Aaina jhoot bolata hai 

aaina jhoot bolta hai 
her shaks ke chaheray per
na janay kitnay chaheray hotay hain
kahan yeh kisi ka sacha roop biyaan 
kar sakta hai
kisi ki fitrat
kahan zahir hoti hai
yeh kahan dilon ke bhaid kholta hai
aaina jhoot bilta hai

Aik sar zameen-e-ishaq hai


Aik sar'zameen-e-ishq hai 
Hungama-e-aalam se door , Aafat ki hasti se door 
Is magar ki duniya se door, is zulam ki basti se door
Is raat , is din se alag , is aoj
is basti se door
Do raaz zameen-o-aasman 
Aik sar'zameen-e-ishq hai 
IS kay gulistaan par fiza , is baharein dil nasheen
IS ki zamee'nain khush'numa 
Is ki fizaein mar'marein 
Is kay nizaray dil kusha 
Is ki hawaein ambreen
Misal-e-behshat gul fisaan 
Aik sar zameen-e-ishq hai 

in do aankhon main bhout door kahin


In do aankhon main bhout door kahin 
Guzray huye zamano ki khamoshi pehnay 
Aik mehboob khushi rehti hai 
Saaf shifaaf fizaon main 
Nigahon ki hadon se aagay 
Khawab awar prindon ki tarah 
Phir meray dil ki taraf aatay hain 
Zahid in do aankhon se koi jaa kay kahay 
Koi dariya koi chashma koi jhonka le kar

Agar ho sakay to kisi din meray ghar ayo


Agar ho sakay to kisi din meray ghar ayo

Kisi din meray ghar aayo 
Meray kamray main baitho 
Aur her shai ko dekho 
Book shelf main pari hui 
Kitabein aur dairiyaan 
Maze pe rakhi hui tasveerain 
Aur gul'daan main rakhay huye phool 
Tumhein bataein gay 
Daraaz main mojood cassetein 
Dewaron pe lagay card 
Tum par ayaan karein gay 
Keh kaisay meray armaano se teray khawab dekhay thay 
Agar ho sakay to kisi din meray ghar aayo
Dewaron pe khuday huye haroof 
Aur bistar par naqsh be'qaraari tum par ayaan karein gi 
Keh meri aarzo'on ne kis tarah tumhari aarzoo ki hai 
Aur kaisay meray khawabon ne tumharay khawaab dekhay hain 
Agar ho sakay to kisi din meray ghar aayo

JAb door kahin par'bat se paray


Dil sochta hai 

JAb door kahin par'bat se paray 
Magh'moom fiza main deep jalay 
Dil sochta hai .....
Jab raakh ho behti yaadon ki 
Aur raat ka daman bheeg chalay 
Dil sochta hai ....
Jab majboori se majboori ho 
Koi bhi aas na poori ho 
Aur
Had-e-nazar tak doori ho 
Phir rafta rafta shaam dhalay 
Dil sochta hai ....
JAb kuch bhi apnay bas main nahin 
Yeh pagal mann kiyon sochta hai 
Kya khojta hai 
IS baat ko bhi dil sochta hai 
Dil sochta hai

Her shaam teri yaad main jalta hua dekhon


Her shaam teri yaad main jalta hua dekhon

kab tak dil-e-be'taab machalta hua dekhon

aanchal ki tarah tan se lipat jayon teray 

aur khud ko teri zaat main dhalta hua dekhon

Mohabbaton kay haseen fasanay ki baat mat kar


Mohabbaton kay haseen fasanay ki baat mat kar 
Tu is zamanay main us zamanay ki baat mat kar 

Bharram jo qayim hai dosti ka , rahay to behtar 
Tu meri jaan is ko Aazmanay ki baat mat kar 

Mohabbaton kay liye haqa'iq nahin badaltay 
Tu paniyon main diye jalanay ki baat mat kar 

Qabuliyat ka hai kon sa pal kissay khabar hai 
Mazaq main bhi ae yaar janay ki baat mat kar

Tu aur jo bhi kahay ga main us ko maan loon ga 
Bas iltijaa hai mujhay bhulanay ki baat mat kar

Bas itna yaad hai


Bas itna yaad hai 

Dua to janay kon si thi 
Zehan main nahin 
Bas itna yaad hai 
Keh woh hatheliyan mili hui thein 
Jin main aik meri thi 
Zahid aur ik tumhari

Poochnay walay tujhay kya batein aakhir


Poochnay walay 
Tujhay kya batein aakhir 
"Dukh" ibaarat to nahin jo tumhein likh kar 
YEh kahani bhi nahin hai keh sunaein tujh ko 
Zakham ho to teray nakhun kay hawalay kar dain 
Aaina bhi to nahin hai keh dikhaein tujh ko 
Yeh koi raaz nahin jis ko chpa'ein to woh raaz
Kabhi chehray , kabhi aankhon se chalak jata hai 
JAisay aanchal ko sambhalay koi , aur tez hawa
Jab bhi chalti hai to shano se dhalak jata hai 
Ab tujhay kaisay bataein , kej hamein "Dukh" kya hai

Hamaray zakham to cheelay gaye hain


Hamaray zakham to cheelay gaye hain 
Haan lahu behta hai to behnay do 
BAdan dukhta hai , dukhnay do 
Ab in zakhmon pe tum marham na rakho
Zakham bhar bhi jayein to bharnay se kya ho ga 
Hamari aankh ka sara lahu , behta hai , behnay do 
Hamaray chaak rehnay do 
Hamaray chaak sil bhi jayein to silnay se kya ho ga 
Hamaray zakham behnay do zahid
Hamari aankh ki putli main koi num na rehnay do

kahin main hosla na chor baithon



Meray aangan main ayo 
toot'tay patay dekho 
meri sab khirkiyon par hijar ka kohra jama hai
meray darwazon ke bazoo
tumharay loatney ki chah main shell ho gaye hain 
meray ghar ke chraghon ki her ik lahoo
dard maon doobi hui hai
woh dekho thar'tharahat bain karney lag gayi hai
meray takiye pe tehri dhool dekho
meray bistar ki chadar be'shikan gum sum pari hai
woh atish'daan dekho kis tarah soona rakha hai
woh dekho raat ka khana para hai
yeh dekho chaye thandi ho sakti hai
tumharay khat , kitabain , card , tohfay
mujhay milney ki khwaish main
meray charon taraf bikhray huye hain 
woh ik tasveer meray samney gum sum pari hai
woh ik konay main hasrat thak gayi hai so gayi hai
yeh barhti shave yeh gadlay sleepar
meray balon main furqat jam gayi hai
meray honthon se chup lipti hui hai
tumharay lams ki hiddat nahin to
meri poron main sardi tham gayi hai
tumhara hijar had se barh chuka hai
mujhay tanhai chubhney lag gayi hai
main thak kar tootney wala hoon
main khud se rabtay na tor baithon
kahin main hosla na chor baithon
kahin main hosla na.............

Yeh ishq , Mohabbat , Mehro-o-wafa


Yeh ishq , Mohabbat , Mehro-o-wafa

Alfaaz k jhootay bandhan
aaghaz ke kohray pardon main
her shaks mohabbat karta hai
hala keh mohabbat kuch bhi nahin
sab jhootay rishtay natay hain
sab dil rakhney ki batain hain
kab kon kisi ka hoat hai
sab asli roop chupatay hain
ehsaas se khali log yahan
lafzon k teer chalatay hain
ik baar nazar main aa k woh
phir sari umar rulatay hain
Yeh ishq , Mohabbat , Mehro-o-wafa
sab kehnay ki batain hain
her shakhs khudi ki masti main 
bas apni khatar jeeta hai

Kya mila mohabbat se



Khua se ??
Kya mila mohabbat se ??
Khawab ki musafat se 
Wasal ki tamazat se 
Roz-o-shab ki riyazat se 
Kya mila mohabbat se ??
Aik hijar ka sehra 
Aik shaam yaadon ki 
Aik thakka hua aansoo

Kiya mila mohabbat se


Kiya mila mohabbat se

Kiya mila mohabbat se ?

Khwaab ki musafat se

wasal ki tamazat se

roz-o-shab ki riyazat se

kiya mila mohabbat se

Aik hijar ka sehraa

aik shaam yadon ki 

Aik thaka hua ansoo!

Teray milney ka aik lamha


Teray ,ilnay ka aik lamha 

Teray milnay ka aik lamha 
Bas aik lamha sahi lakin 
Bikhar jaye to mousam hai 
Wafa ka be'karan mousam 
Azal se meharban mousam 
Yeh mousam aankh main utray 
To rangon se dehakti roshni ka aks kehlaye 
Yeh mousam dil main tehray to 
Sunehri sochti sadiyon ka 
Gehra naqsh ban jaye 
Teray milnay ka aik lamha 
Muqadar ki lakeeron main 
Dhanak bharnay ka mousam hai 
Yeh mousam khoobsurt shairy karnay ka mousam hai

Tum jab aayo gi to khoya hua paao gi mujhay


Ramz 

Tum jab aayo gi to khoya hua paao gi mujhay 
Meri tanhai main khawabon kay siwa kuch bhi nahin 
Meray kamray ko sajanay ki tamana hai tumhein 
Meray kamray main kitabon kay siwa kuch bhi nahin 

In kitabon ne bara zulm kiya hai mujh par 
In main aik ramz hai , jis ramz ka maara hua zehan 
Mazda-e-ishrat-e-anjam nahin paa sakta 
Zindagi main kabhi araam nahin paa sakta

Ithay kiyan nu maan wafa'wan da


Ithay kiyan nu maan wafa'wan da 
Tay kiyan nu maan ada'wan da 

Asi peelay patay darakhtan de 
Sanu rehnda khouf hawa'wan da

tum jab ayo gi to khoya hua payo gi mujhay


tum jab ayo gi to khoya hua payo gi mujhay 

meri tanhai main khwabon ke siwa kuch bhi nahin

meray kamray ko sajanay ki taman'na hai tumhain

meray kamray main kitabon ke siwa kuch bhi nahin

in kitabon ne bara zulam kiya hai mujh pe 

in main ik rmz hai , jis rmz ka mara hua zehan

mazda-e-ishrat -e-injaam nahin pa sakta

zindagi main kabhi aaram nahin pa sakta

Udasi tark kar do ab


Udasi tark kar do ab 
youn hi be'kaar mat baitho
kisi ke hijar main jana
na khud ko itn atarpao
udasi ik sohla hai 
gharon ko jo jalata hai
yeh dil bhi ik gharonda hai
jo jal jaye..
to kuch baqi nahin rehta
meri mano...
woh saray khat
jo us ne tum ko likhay tahy
jala dalo
tumhain jis ne bhula dala
ussay tum bhi bhula dalo...

Ajab ik shor sa barpa hai kahin


Ajab ik shor sa barpa hai kahin 
koi khamosh ho gaya hai kahin

hai kuch aisa keh jaisa yeh sab kuch 
ab se pehlay bhi ho chuka hai kahin

jo yahan se kahin nahin jata tha 
woh yahan se chala gaya hai kahin

tujh ko kiya ho gaya keh cheezon ko 
kahin rakhta hai dhoondta hai kahin

tu mujhay dhoond main tujhay dhoondon 
koi hum main se reh gaya hai kahin

isi kamray se ho keh koi wada
isi kamray main chup gaya hai kahin

Koi lamha bhi loat kar nahin aya


Koi lamha bhi loat kar nahin aya

woh shakhs aisa gaya phir wapas loat kar nahi aya

Na toot jaye kahin silsala tamana ka


khayal-o-khwaab ko ab mil nahin rahi hai amaan

na ab woh mati-e-dil hai na ab woh nasha-e-jaan

na toot jaye kahin silsala taman'na ka 

jo dard-o-dil ka tha rishta ussay bahaal karo

nahin hai gardash-e-sagar gardash-e-khoon hai

so apni gardash-e-khoon se hi kuch sawal karo

zara to silsala-e- rang ka khyal karo

zawal-e-haal ky din hain koi kamaal karo

hai fasal-e-yaas to khud ko koi faraib hi dain

koi umeed dilao keh arzoo to rahay

nazar uthay na uthay dil kuch tehar jaye

qadam uthain na uthain koi justagoo to rahay

ho jara-e-gham-e-jaan kiya yeh guftagoo to rahay

keh dil ke haal ko pur majra to rakhna hai 

khyal-e-naaz-o-lihaaz ada to rakhna hai

jo dil ka khoon hua hai ussay bhula dain kiya

hisaab-e-baish-o-kam khoon baha to rakhna hai 

shab-e-draz judai hai arzoo ki hareef

so zakham-e-shouq ko jalta hua to rakhna hai

na toot jaye kahin silsala tamana ka  

Tujh se gilay karon tujhay jana mana'on main


Tujh se gilay karon tujhay jana mana'on main


Tujh se gilay karon tujhay jana mana'on main

ik baar apnay aap main ayon to ayon main

dil se sit'tam ki be'sarokari hawa ko hai

woh gard urr rahi hai keh khud ko gawa'on main 

woh naam ho keh jis par nadamat bhi ab nahin

woh kaam hain keh apni judaei kama'on main 

kyn kar ho  apnay khwaab ki aankhon main wapisi

kis tor apnay dil ke zamano main jaon main

ik rak'kang si kamaan ho kushboo sa ik teer

marham si wardaat ho aur zakham kha'on main

shikwa sa ik dareecha ho nasha sa ik sakoot

ho shaam ik shraab si aur lar'khraon main 

phir is gali se apna guzar chahta hai dil

ab is gali ko kon si basti se la'on main

Hum to jaisay wahan ke thay hi nahin


Hum to jaisay wahan ke thay hi nahin
dhoop thay saybaan k thay hi nahin

rastay karvaan ke sath rahay
marhalay karvaan k thay hi nahin 

ab hamara makaan kis ka hai 
hum to apnay makaan ke thay hi nahin

in ko aandhi main hi bikharna tha
baal-o-par yahan ke thay hi nahin

us gali ne yah sun kar sabar kiya
janay walay yahan k thay hi nahin

ho teri khaak-e-astaan pe salam
hum teray astaan ke thay hi nahin
 

Kitney aaish uratay hon gy , kitney itratay hon ge


Kitney aaish uratay hon gy , kitney itratay hon ge

janay kaisay log woh hon gy jo us ko bhatay hon gy

us ki yaad ki bad-e-saba main aur to kiya hota ho ga

youn hi meray baal hain bikhray aur bikhar jatay hon gy

woh jo na anay wala hai na us se hum ko matlab tha

aanay walon se kiya matlab atay hain , atay hon gy

yaro kuch to haal sunayo us ki qayamat banhon ka

woh jo samait'ty hon ge un main , woh to mar jatay hon gy

Kabhi hum khoobsurat thay


Kabhi hum khoobsurat Thay

Kabhi Hum Khoobsurat Thay
Kitabon main basi khushboo ki manand
Saans Saakin thi
Bhout se un-kahay lafzon se tasverain banatay thay
Prindon ke paron par nazam likh kar
Door ki jheelon main basney walay logon ko sunatay thay
Jo hum se door thay lakin
Hamaray paas rehtay thay
Naye dino ki musaafat jab kiran ke sath Aangan main utarti thi 
To hum kehtay thay
Ammi......... titliyon ke par bhout he khoobsurat hain
Humain mathay pe bosa do
Keh hum ko titliyon ke 
Jugnoan ke dais jana hai
Humhain rangon ke jugno 
Roshni ki titliyaan 
Awaaz dati hain
Naye din ki musaafat rang main doobi hawa ke sath
Khirkee se bulati hai
Humain mathay pe bossa do

Us ne kaha tha


Us ne kaha tha 

Apna bana kar 
Choron gi tujhay 
US ne 
Aisa hi kiya 
Apna bana kar mujhay chor diya

Us ki chahat ka sila yaad nahin


Us ki chahat ka sila yaad nahin

yaad hai jurm , saza yaad nahin

tor kar hamsafri ka rishta

woh kahan chor gaye yaad nahin

apney girnay ka sabab yaad to hai

kis bulandi se gira yaad nahin

yaad hai us ka bicharna hum ko

phir hamaian jo bhi mila yaad nahin

Munawar ka armaan hai ae khuda


Munawar ka armaan hai ae khuda

yeh karta hai tujh se ajab iltija

adab ke paristaar sab aik hon

dua hai keh funkaar sab aik hon

sabhi ko ho bas dehaan ik baat ka

sabaq dain jahan ko musawaat ka

sada dosti ka yeh paigham dain

puranay dino ko nayi shaan dain

karain aman ki roz-o-shab guftagoo

na ho al'gharz be'sabab guftagoo

mohabbat wafa ke tranay likhain

sabhi mil ke nadir fasaney likhain

ibarat haseen ho bayaan khoob ho

zamaney ka her shakhs mehboob ho

adab se youn mit jayein sab sarhadain 

keh insaan insaan se ja milaein 

hum apnaein duniya k dukh-o-dard ko

dil aisa muyasar ho her mard ko

Poet : Munawar Ahmed Knday

Mujhay acha sa lagta tha


Mujhay acha sa lagta tha

woh meray dil main rehta tha
mujhay apna sa kehta tha
meri khatir zamaney ke sitam hans hans ke sehta tha
udasi dil main thi us ke
magar hansta hi rehta tha

woh kehta tha keh mit jaye ga mujh par woh
meri ik deed ko panaussay ik khawaab lagta tha

kabhi jo chaha'ta tha main k main ab chal nahin sakta
mujhay na chor ke jana taqat itna hi kehta tha
kabhi jo sochta hoon main , us ki zaat ke baray
duniya se mujahy woh shakhs , anjana sa lagta tha

woh us ka roothna , aur baad main mujh ko mana lena
apni zaat main ajab sa dewana , woh lagta tha
meray dil ki talab hai , aaj bhi un naram hathon ki
jinhain khona meray dil ko bhout asaan lagta tha

meray dil ko dikhaya tha , kabhi zaat-e-parishaan ne
magar main dil se kehta hoon qasam le lo , qasam le lo
woh jaisa tha jahan bhi hai
mujhay acha sa lagta tha

bas itna kahoon ga main kahin se loat aye woh
main is se ab yeh keh doon ga 
suno tum jo bhi kehtay thay , mera her zakham sehtay thay
mujhay apna samjhtay thay
mujhay acha sa lagta tha 
mujhay acha sa lagta tha 

Poet : Rustam Ali Khan 

Kaash ab bhi ho aisa


Kaash ab bhi ho aisa

Kaash ab bhi ho aisa
seerihon pe collage ki
ab bhi khwaab khiltay hon
taabnaak jazbon ki
tez dhoop nikli ho
be'nishaan raston par
aarzo ki barish ho
raat ki rafaqat main
chandani ki barish ho
samragiyat kiya hai ?
zulam kis ko kehtay hain 
aman aur mohabbat ke 
geet kaisay hotay hain
un'ginat umangain thein
be'sumaar baton main 
hosla damakta tha
be'yaqeen raton main
waqat aik bhati hai
jis main hum pighaltay hain 
apni apni sochon ki
shakal ban ke dhaltay hain
aur ab watan se door 
ajnabi diyaron ki 
sard mehar raton main
is kinar-e-dariya par 
roshni ke jharney youn
aks ban kar girtay hain
jaisay apni aankhon main
khwaab jagmagatay thay
kush gumaan dareechon main
deep jhil'milatay tahy
aur dil yeh kehta hai 
waqat ki rawani se 
haar manana kaisa

kaash ab bhi ho aisa
hum na hon ' koi hum sa
dil main aag rakhta ho
seerhiyon pe college ki
ab bhi khwaab khiltay hon 

Mujhay ik aam sa admi bananay ki aijazat do


Izn

Tumhain acha nahin lagta mera kamra
yahan par cigraton ki boo hamesha phaili rehti hai
kitabain bikjri rehti hain
sabhi dewarain bin tasveer ke veeran rehti hain
aur ik saja hua gildaan bin phoolon ke rakha hai
tumhain maloom hai jana !
yahiein pe surakh rang qaleen bicha kar kai yadain
tumhari raah takti hain
inhi yadon ne hai kamray ko taqadas-e-wafa bakhshi 
khuli aankhon se dekhay khwaab aur rat-jagon ke teekhay khaar
meri aankhon main ugtay hain
hijar ki chadrain orh'hy wajood-e-la'shaoori par
bana baitha hoon main kab se yahan par ik majawar sa
meri jana chali ayo
mujhay ik aam sa admi bananay ki aijazat do

Mujahy khud main chupa lena


Mujahy khud main chupa lena

Hawa chup rhi
fiza khamosh thi 
dil main
hazaron waswasay thay
aur main tanha 
mujhay khud main chupa lena
andehra is qadar gehra nahin tha 
meray qadmon ke aqb main 
dushmano ki chaap thi
aur samney rasta nahin tha

Aik Adhoori Dua


Aik adhoori dua 

Shab ki dehleez par maand hotay huye 
Her sitaray ne dekha ussay 
Raat rotay huye 
Aanso'on ki nami bheegay rukhsaar par 
Sar se dhanki hui sabz se orhni 
Maatami hai fiza  is kay singhaar par 
Taaq raaton main us ne hai dhoonda bhout 
Jis ko shiddat se us ne bhi maanga bhout 
Aik adhoori dua 
Zahid us se gum ho gayi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...