Dec 21, 2014

Aik muddat se woh mizaaj nahin


Be'kali , be'khudi kuch aaj nahin 
Aik muddat se woh mizaaj nahin 

Dard agar yeh hai to mujhay bas hai 
Ab dawa ki kuch ehtiaaj bahin 

Hum ne apni si ki bhout lakin 
Marz-e-ishq ka ilaaj nahin 

Shaher-e-khoobi ko khoob dekha "Mir"
Jins-e-dil ka kahin riwaaj nahin

Sookh jaatay hain woh dariya jo tehar jaatay hain


Shaam kay saaye jo pairron se utar jaatay hain 
Hum bhi chaltay huye phir teray nagar jaatay hain 

Loat kar aatay hain jab raat gaye hum ghar ko 
Paaon dehleez pe rakhtay hain to mar jaatay hain 

Baith jaatay hain yahin ajnabi pairron main kahin 
YEh prinday bhi kahan loat kay ghar jaatay hain 

Door tak phaila hua had-e-nazar sehraa hai 
Is kay rastay kissay maloom kidhar jaatay hain 

Roz tarkeeb banaata hoon ussay paanay ki 
Roz bekaar meray saray hunar jaatay hain 

Jo bhi ho tum se bicharna hai magar teray liye 
Tu jahaan kehta hai chal hum bhi udhar jaatay hain 

Kis qadar sehmay huye log hain is basti main 
Apna saaya bhi nazar aaye to dar jaatay hain 

Saans qayem hain to phir chaltay raho tum bhi "Aqeel"
Sookh jaatay hain woh dariya jo tehar jaatay hain

Yeh jo zeest ka safar hai



 Yeh jo zeest ka safar hai

Yeh jo raasta hai mera

Tum agar na saath do gay

To yeh kis tarah katay ga

Meri soch ki hadon tak

Yeh gumaan bhi kaisay aaye

Koi pal bina tumharay

Bhala kaisay beet jaye

Meray paas tum nahin ho

Meray paas kab nahin ho

Meri yaad kay nagar main

Meray khwaab kay safar main

Meri soch ki tehon tak

Meri aankh kay bhanwar main

Meray dil main jaan main tann main

Meri hasraton kay ban main

Meray dil ki tairagi main

Meri shb ki roshni main

Haan tumhi ho , her jaga ho

Meray paas tum nahin ho

Meray paas kab nahin ho

Meri her dua ka mehwar

Bas ik aarzoo tumhari

Isi aarzoo se aagay

Koi raasta nahin hai

Tumhain kis qadar hai chaha

Yeh tumhain pata nahin hai

Apni haseen aankhon main chupa lo mujh ko


Apni haseen aankhon main chupa lo mujh ko

Mohabbat agar kartay ho to chura lo mujh ko

Khonay ka agar khouf hai to

Dil ki her dharkan main basa lo mujh ko

Dhoop ho ya sehraa ho teray saath chalain gay

YAqeen na aaye to azmaa lo mujh ko

Teray dukh ko seh lein gay hans kar

Apnay badan ki chadar bana lo mujh ko

Saahil se pehlay chor to na do gay

Abhi aaghaz-e-safar main bata do mujh ko

Zindagi bhi teray naam kar dain gay

Apnay baazo'on main chupa lo mujh ko

Wohi raaton ki be'dardi hai ab tak


Wohi raaton ki be'dardi hai ab tak

Tamana ka safar jaari hai ab tak

Khayal-e-zabt aur tark-e-taaluq

Yahi pathar bhout bhaari hai ab tak

Akeli chandani raaton main dil  ko

Sulag uthnay ki bemaari hai ab tak

Abhi pichlay dino hum pe jo guzri

Usi rut ka nasha taari hai ab tak

Badan se ho kay jo roohon main utri

Usi qurbat ki sar'shaari hai ab tak

Main hijrat kar to loon "Mohsin" chaman se

Par prindon se meri yaari hai ab tak

Kab us ka wisaal chahiye tha


Kab us ka wisaal chahiye tha
Bas ik khayal chahiye tha

Kabhi dil ko jawaab se gharz thi
 Honton ko sawaal chahiye tha

Shouq ek nafas tha  aur wafa ko
Paas-e-maah-o-saal chahiye tha

Ek chehra-e-saadaa tha jo hum ko
be'misal-o-misaal chahiye tha

Ek qrb main zaat-o-zindagi hain
Mumkin ko mohaal chahiye tha

Woh hansi hansi main hi chala gaya


Woh hansi hansi main hi chala gaya
keh main haath tak na hila saki

Mujhay kiya khabar thi keh woh kiya hua
Mujhay kitna gehra khumaar tha
Main kharri thi us kay hisaar main
Meray ird gird ghubaar tha
Youn hi sochti rahi dair tak
Magar us ko kuch na bata saki

Na main paas us ko bula saki
Na main dil ki baat bata saki

Na hai dushmani kisi din se ab
Na hai dosti kisi raat se
Haan ab bacha hi kiya jo woh lay gaya
Mujhay cheen kar meri zaat se
Yeh maqaam hi tha ajeeb sa
Kiya main khud ko hi na bacha saki

Na main paas us ko bula saki
Na main dil ki baat bata saki

Yeh bhi theek hai woh chala gaya
Mujhay band raastay pe chor kar
Yeh bhi theek hai keh na aaye ga
KAbhi butt anaa kay woh tor kar
Woh juda bhi kaisay hua keh main
Koi rasam bhi na nibaah saki
Na main paas us ko bula saki
Na main dil ki baat bata saki

Toot'tay huye dil ko kabhi jurtay nahin dekha



Toot'tay huye dil ko kabhi jurtay nahin dekha

Woh pal guzar gaye unhain murr kar nahin dekha

KAbhi tanhai jo khyal aaya un ka

Muskura diye magar ro  kar nahin dekh

Suna hai mushkil hai mohabbat ka khail

Khaila nahin hum ne kabhi

Mohabbat ka yeh khail

Mohabbat aasaan hai dil laganay se

Laga kar dil youn kabhi kisi se

Phir chora nahin jaata Mohsin

Woh log doosray hotay hain jo

Khailtay hain mohabbat ka khail

Dilon ki baazi haar kar kabhi jeeta nahin jaata

Kuch yaad'gaar-e-shaher-e-sitam'gar hi lay chalain


Kuch yaad'gaar-e-shaher-e-sitam'gar hi lay chalain

Aye hain is gali main to pathar hi lay chalain

Youn kis tarah katay ga karri dhoop ka safar

Sar pe khayal-e-yaar ki chahdar hi lay chalain

Ranj-e-safr ki koi nishaani to paas ho

Thori se khaak-e-koocha-e-dil'bar hi lay chalain

Yeh keh kay hamain chairti hai hamain dil'giraftagi

Ghabra gaye hain ab to baahir hi lay chalain

Is shaher-e-be'chragh main jaye gi tu kahan

Aa ae-e-shab-e-firaaq tujhay ghar hi lay chalain

Apnay ghar ki khirki se main aasmaan ko dekhon ga


Apnay ghar ki khirki se main aasmaan ko dekhon ga

Jis par tera naam likha hai , us taaray ko dhoondon ga

Tum bhi her shab diya jala kar palkon ki dehleez pe rakhna

MAin bhi roz ik khwaab tumharay shahaer ki jaanib bhaigon ga

Hijar kay dariya main parhna lehron ki tehreerain bhi

Pani ki her satar pe main kuch dil ki baatain likhon ga

Jis tarah se pairr  kay neechay hum baarish main bheegtay thay

Tum bhi us ko choo kay guzarna , main bhi uss se lipton ga

Khwaab musafir lamhon kay hain , saath kahan tak jayein

Tum ne bilkul theek kaha hai , main bhi ab kuch sochon ga

Ab kay mujh ko dekh kar wih dekhta reh jaye ga



Ab kay mujh ko dekh kar wih dekhta reh jaye ga

Is qadar badlain gay hum woh sochta reh jaye ga

Meray chehray par bhi hon gay be'rujhi kay zawiye

Aisa hai keh mujh main mujh ko dhoondta reh jaye ga

Us ki gali se ab kabhi  mera guzar mumkin nahin

Woh apnay gahr ki khirkiyon se jhaankta reh jaye ga

Kiyon aanson ki dhool main zindagi ko jhonk doon

Dil ka kiya hai toota hai to toota reh jaye ga

Woh husan-e-mujasam kamal us ki aankhein


 Woh husan-e-mujasam kamal us ki aankhein

Sarapa-e-mohabbat jamaal us ki aankhein

Jhukein to lagti hain zewar haya ka

Uthaein to karein phir sawal us ki aankhein

Milein to main dono jahan dy kay lay loon

Woh chehra , woh zulfein , woh gaal , us ki aankhein

Agar koi poochay keh duniya main kiya hai

Dewana kahay ga misaal us ki aankhein

Un aankhon kay kaajal main dooba hoon shayed

Ajab phir chali hain yeh chaal us ki aankhein

Koi chehra hua roshan na ujaagar aankhain


Koi chehra hua roshan na ujaagar aankhain

Aaina dekh rahi thein meri pathar aankhain

Lay urri waqat ki aandhi jinhain apnay ham'raah

Aaj phir dhoond rahi hain woh hi manzar aankhain

 Phoot niklain to kai shaher-e-tamana boobain

Ek qatray ko tarasti hui banjar aankhain

Us ko dekha hai to ab shouq ka woh aalam hai

Apnay halkon se nikal ayi hain baahir aankhain

Tu nigahon ki zubaan khoob samjhta ho ga

Teri jaanib to utha karti hain aksar aankhain

Log martay na dar-o-baam se takraa kar kabhi

Dekh letay jo "Kamal" us ki samandar aankhain

Tu lafzon ki tarah mujh se kitabon main mila kar


Tu lafzon ki tarah mujh se kitabon main mila kar

Logon ka tujhay dar hai tu khwabon main mila kar

Phool ka khushboo se taaluq hai zaroori

Tu mehak ban kar mujh se gulaabon main mila kar

Jissay choo kar main mehsoos kar sakoon

Tu masti ki tarah mujh se sharabon main mila kar

Main bhi insaan hoon , hai dar mujh ko bhi behaknay ka

Es waastay tu mujh se hijaabon main mila kar

Ajeeb larka hoon khud ko jalaana chahta hoon


Ajeeb larka hoon khud ko jalaana chahta hoon
Main khud ko rakh kar kahin bhool Jaana chahta hoon

Meray naseeb ki khushiyaan bhi kab mili mujh ko
Bas ab to umar bhar aansoo bahaana chahta hoon

Na jaanay kitni mohabbat hai gham se mujhay
Koi bhi dard ho dil main chupaana chahata hoon

Bahaa bahaa kay yeh aansoo bikhar chuka hoon bhout
Simat kar apnay aap main ab muskuraana chahata hoon

Jissay ik umar dil main chuppa kay rakha hai
Woh raaz aaj main sab ko bataana chahata hoon

Wohi hai yaad jo acha kaha hai logon ne
Baaqi saray sitam bhool jaana chahata hoon

Mujhay zamanay ne pathar samjh liya hai magar
MAin aik larka hoon sab ko bataana chahata hoon

Jo mujh se rooth chuki hain zamanay ki khushiyaan
To main bhi un khushiyon se rooth jaana chahata hoon

Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se
Kisi ko main bhi apnay gham sunaana chahata hoon

Tu apnay dil kay her ik dar ko khol dy
MAin dard ban kar teray dil main aana chahata hoon

Meri her ik adaa main chuppi thi mohabbat


Meri her ik adaa main chuppi thi mohabbat 

Tum ne mehsoos na kiya yeh aur baat hai 

Main ne her dam teray hi khwaab dekhye 

Mujhay tabeer na mili yeh aur baat hai 

MAin ne jab bhi tujh se baat karna chahi

Mujhay lafaz na milay yeh aur baat hai 

MAin tero mohabbat kay samandar main door tak gayi 

Mujhay saahil na mila yeh aur baat hai 

Qudrat ne likh tha tujh ko meri taqdeer main 

Teri qismat main na thi main yeh aur baat hai 

Wahan na phool khiltay hain na hi mousam badaltay hain


Wahan na phool khiltay hain na hi mousam badaltay hain 

Wahan par kuch nahin hota , jahan par tum nahin hotay 

YAhan to log sadiyon ko bhi lamhon main badaltay hain 

Mera ik pal nahin kat'ta jahan par tum nahin hotay 

Sabab ronay ka woh poochain to qasid itna keh dena 

Mujhay hansana nahin aata jahan par tum nahin hotay

Koi yeh bataye yeh dil rota kiyon hai


Koi yeh bataye yeh dil rota kiyon hai 

Yaadon main teri her waqat khota kiyon hai

Saath chornay walay tujh ko yeh dil 

Ab bhi apna maanta kiyon hai 

Keh diya alwida jis ne tum ko 

Us ka intizaar aaj bhi kiyon hai

Chalo mohsin mohabbat ki nayi buniyaad rakhtay hain


Chalo mohsin mohabbat ki nayi buniyaad rakhtay hain 

Khud paband rehtay hain , ussay azaad rakhtay hain 

Hamaray khoon main rab ne yeh hi taseer rakhi hai 

Buraai bhool jaatay hain achaai yaad rakhtay hain 

Mohabbat main kahin hum se gustakhi na ho jaye 

Hum apna her qadam us kay qadam kay baad rakhtay hain

Udaas shaamon ki siskiyon main kabhi jo meri awaaz suno


Udaas shaamon ki siskiyon main 
Kabhi jo meri awaaz suno 
To beetay lamhon ko yaad kar kay 
In hi fizaon main loat aana

Tum aatay thay khwaab ban kar 
Aur kabhi mehaktay gulaab ban kar 
MAin khushk honton  se jab pukaron 
In hi khwabon main  loat aana 

Meri wafaon ka paas rakhna 
Meri dua'on ka paas rakhna 
MAin khaali haathon ko jab uthaa'on 
Meri duaon main loat aana

Ussay keh do mujhay sataana chor dy


Ussay keh do mujhay sataana chor dy 
Doosron kay saath reh kar her pal mujhay jalaana chor dy 
Ya to kar dy inkaar mujh se mohabbat nahin 
Ya guzartay huye dekh mujhay palat kar muskuraana chor dy 
Na kar baat mujh se koi gham nahin hai 
Yeh sun kar awaz meri jhrokay pe ana chor dy 
Kar dy dil-e-biyaan jo chupa rakha hai 
Youn ishaaron main bataana chor dy 
Kiya iraada hai bata dy ab mujhay 
Youn doston ko meray qissay sunaana chor dy 
Hai pasand jo rang mujhay
Us libaas main baar baar aana chor dy 
Na kar yaad mujhay be'shak tu 
Kitabon pe naam likh kay mitaana chor dy 
Khuda kar sakay qissa yeh asaan agar 
Ya to tu meri ho ja 
Ya mujhay apna bataana chor dy

Chaand taaron main nazar aaye chehra tera


Dil kay aainay main tujh ko saja liya 
JAb se main ne tujh ko apna bana liya 

Chaand taaron main nazar aaye chehra tera 
Jab se meray dil pe hua hai sanam pehra tera 

Ek ddojay kay dil main apna ghar banaa'na hai 
Teri khaatar sabhi hadon se guzar jaana hai 

Tujh se lipta rahoon ga ban kar kangna tera 
 Chaand taaron main nazar aaye chehra tera 

Pyaar main hum sanam yeh saara jag bhula dain gay 
Mar kay waday chahaton kay hum nibha dain gay 

Jaan se bhi mujhay hai pyaara sajan mera 
Chaand taaron main nazar aaye chehra tera

Yeh jo raasta hai mera


Yeh jo zeest ka safar hai 
Yeh jo raasta hai mera 
Tum agar na saath do gay 
To yeh kis tarah katay ga 
Meri soch ki hadon tak 
Yeh gumaan bhi kaisay aaye 
Koi pal bina tumharay 
Bhala kaisay beet jaye 
Meray paas tum nahin ho 
Meray paas kab nahin ho 
Meri yaad kay nagar main 
Meray khwaab kay safar main 
Meri soch ki tehon tak 
Meri aankh kay bhanwar main 
Meray dil main jaan main tann main 
Meri hasraton kay ban main 
Meray dil ki tairagi main 
Meri shb ki roshni main 
Haan tumhi ho , her jaga ho 
Meray paas tum nahin ho 
Meray paas kab nahin ho
Meri her dua ka mehwar
Bas ik aarzoo tumhari
Isi aarzoo se aagay
Koi raasta nahin hai 
Tumhain kis qadar hai chaha 
Yeh tumhain pata nahin hain

Mohabbat agar kartay ho to chura lo mujh ko


Apni haseen aankhon main chupa lo mujh ko 
Mohabbat agar kartay ho to chura lo mujh ko 

Khonay ka agar khouf hai to 
Dil ki her dharkan main basa lo mujh ko 

Dhoop ho ya sehraa ho teray saath chalain gay 
YAqeen na aaye to azmaa lo mujh ko 

Teray dukh ko seh lein gay hans kar 
Apnay badan ki chadar bana lo mujh ko 

Saahil se pehlay chor to na do gay 
Abhi aaghaz-e-safar main bata do mujh ko 

Zindagi bhi teray naam kar dain gay 
Apnay baazo'on main chupa lo mujh ko

Her raat gham-e-tanhai ,her shaam teri yaad ayi



Her raat gham-e-tanhai 

Her shaam teri yaad ayi 

Jitna tujhay bhulaana chaha

Utni ziyada teri yaad aayi 

Tujh se koi umeed nahin wabasta 

IS dukh se aankh bhar aayi 

Logon nr poocha Ashkon ka sabab 

Bas hamain kehna para shaam-e-tanhai

Khud se kiya wada bhi ab toot jaata hai



Khud se kiya wada bhi ab toot jaata hai 

YEh waqat ab haathon se choot jaata hai 

Na karna tum gila khud se basit

Aj kal to mohabbat karnay wala bhi sab loot jaata hai 

Kiyon kiya tha tu ne apnay dil se wada 

Yeh pagal dil bhi ab mujh se rooth jaata hai

Tamana ka safar jaari hai ab tak


Wohi raaton ki be'dardi hai ab tak 
Tamana ka safar jaari hai ab tak 

Khayal-e-zabt aur tark-e-taaluq 
Yahi pathar bhout bhaari hai ab tak 

Akeli chandani raaton main dil  ko 
Sulag uthnay ki bemaari hai ab tak 

Abhi pichlay dino hum pe jo guzri 
Usi rut ka nasha taari hai ab tak 

Badan se ho kay jo roohon main utri 
Usi qurbat ki sar'shaari hai ab tak

Main hijrat kar to loon "Mohsin" chaman se 
Par prindon se meri yaari hai ab tak

Gham-e-zamana ussay bataana


Gham-e-zamana ussay bataana 
Gham-e-zamana fraib de ga
Khayal rakhna 
Wafa kay raastay se loat jaana 
Faraib de ga 
Khayal rakhna 
Sakoon dain gi wisaal raatain 
Chain dain gay udaas lamhay 
MAgar yeh pal bhar ka 
Muskuraana faraib de ga 
Khayal rakhna 
Tu khwaab kis ka 
Main khwaab kis ka 
Na pyaar tujh ko 
Na pyaar mujh ko 
YEh ik doojay kay paas aana 
Faraib de ga 
Khayal rakhna 
Jo qehar toota hai dil pe meray 
Woh qehar tootay na ab kisi par 
YEh dil jalaana 
YEh ghar lutaana 
Faraib de ga 
Khayal rakhna 
 

Yeh january kabhi tanha kiyon nahin aata


Khamosh Aasmaan
Mayoos prinday 
veraan wadiyaan 
Sard aalam 
Aur 
Tumhari yaadon kay silsalay 
Afsos
Yeh january kabhi tanha kiyon nahin aata

JAb rulaana hi tha tujhay to phir hansaya kiyon


JAb rulaana hi tha tujhay to phir hansaya kiyon

Saath reh kar bhi hai juda to paas aaya kiyon 

Pyaar mehsoos kiyon honay laga gunaahon sa 

Aaya apnay beech main kisi ka saaya kiyon 

Kiyon ajnabi ki tarah mujh se paish aati hai

 Chand lamhay bhi mujhay tu na de paati hai 

Aisi kiya hum ne ki khata hamain staya kiyon 

JAb rulaana hi tha tujhay to phir hansaya kiyon

Saath reh kar bhi hai juda to paas aaya kiyon

Bas ik khayal chahiye tha


Kab us ka wisaal chahiye tha
Bas ik khayal chahiye tha 

Kabhi dil ko jawaab se gharz thi 
 Honton ko sawaal chahiye tha 

Shouq ek nafas tha  aur wafa ko 
Paas-e-maah-o-saal chahiye tha 

Ek chehra-e-saadaa tha jo hum ko 
be'misal-o-misaal chahiye tha 

Ek qrb main zaat-o-zindagi hain 
Mumkin ko mohaal chahiye tha

Na main paas us ko bula saki na main dil ki baat bata saki


Woh hansi hansi main hi chala gaya 
keh main haath tak na hila saki 
Mujhay kiya khabar thi keh woh kiya hua 
Mujhay kitna gehra khumaar tha 
Main kharri thi us kay hisaar main 
Meray ird gird ghubaar tha
Youn hi sochti rahi dair tak 
Magar us ko kuch na bata saki 
Na main paas us ko bula saki 

Na main dil ki baat bata saki 

Na hai dushmani kisi din se ab 
Na hai dosti kisi raat se
Haan ab bacha hi kiya jo woh lay gaya
Mujhay cheen kar meri zaat se
Yeh maqaam hi tha ajeeb sa
Kiya main khud ko hi na bacha saki 

Na main paas us ko bula saki 
Na main dil ki baat bata saki 

Yeh bhi theek hai woh chala gaya 
Mujhay band raastay pe chor kar
Yeh bhi theek hai keh na aaye ga 
KAbhi butt anaa kay woh tor kar 
Woh juda bhi kaisay hua keh main 
Koi rasam bhi na nibaah saki 
Na main paas us ko bula saki 
Na main dil ki baat bata saki 

Jo khushi tumharay qareeb ho woh sada tumhain naseeb ho


Jo khushi tumharay qareeb ho 
Woh sada tumhain naseeb ho 

Tujhay woh khaloos milay keh jo 
Teri zindagi pe moheet ho 

Jo miyaar tujh ko pasand ho 
Jo tumharay dil ki umang ho 

Teri zindagi jo talab karay 
Teray hamsafar ka woh rang ho 

Jo khayal teray dil main aseer ho 
Aur dua main bhi taseer ho 

Teray haath ut'tay hi khuda karay 
Teray samnay tabeer ho 

Tujhay woh jahan milay jidher 
Ghamon ka koi guzar na ho 

Jidhar roshni ho khaloos ki 
Aur nafraton ko khabar na ho  

Woh pal guzar gaye unhain murr kar nahin dekha


Tootay huye dil ko kabho jurtay nahin dekha 
Woh pal guzar gaye unhain murr kar nahin dekha 
KAbhi tanhai jo khyal aaya un ka 
Muskura diye magar ro  kar nahin dekh 
Suna hai mushkil hai mohabbat ka khail 
Khaila nahin hum ne kabhi
Mohabbat ka yeh khail 
Mohabbat aasaan hai dil laganay se 
Laga kar dil youn kabhi kisi se 
Phir chora nahin jaata Mohsin 
Woh log doosray hotay hain jo 
Khailtay hain mohabbat ka khail 
Dilon ki baazi haar kar kabhi jeeta nahin jaata 

Aye hain is gali main to pathar hi lay chalain


Kuch yaad'gaar-e-shaher-e-sitam'gar hi lay chalain 
Aye hain is gali main to pathar hi lay chalain 

Youn kis tarah katay ga karri dhoop ka safar 
Sar pe khayal-e-yaar ki chahdar hi lay chalain 

Ranj-e-safr ki koi nishaani to paas ho 
Thori se khaak-e-koocha-e-dil'bar hi lay chalain 

Yeh keh kay hamain chairti hai hamain dil'giraftagi 
Ghabra gaye hain ab to baahir hi lay chalain 

Is shaher-e-be'chragh main jaye gi tu kahan 
Aa ae-e-shab-e-firaaq tujhay ghar hi lay chalain

Bheegi palkain dard se chalakti hain


Bheegi palkain dard se chalakti hain 
Aankhon main laal dooray 
Gaalon pe phisalta motti 
LAb kat'katatay huye

MAin aksar ussay 
BAri mehwiyat se dekhta hoon 

Pagli 
Tujhay kiya maloom 
Tujhay rula kar kabhi
Main teri aankhon main 

Apnay pyaar ki gehraai ka her jazba dekhta hoon

Jis par tera naam likha hai , us taaray ko dhoondon ga


Apnay ghar ki khirki se main aasmaan ko dekhon ko 
Jis par tera naam likha hai , us taaray ko dhoondon ga 

Tum bhi her shab diya jala kar palkon ki dehleez pe rakhna 
MAin bhi roz ik khwaab tumharay shahaer ki jaanib bhaigon ga 

Hijar kay dariya main parhna lehron ki tehreerain bhi 
Pani ki her satar pe main kuch dil ki baatain likhon ga 

Jis tarah se pairr  kay neechay hum baarish main bheegtay thay 
Tum bhi us ko choo kay guzarna , main bhi uss se lipton ga

Khwaab musafir lamhon kay hain , saath kahan tak jayein 
Tum ne bilkul theek kaha hai , main bhi ab kuch sochon ga

Is qadar badlain gay hum woh sochta reh jaye ga


Ab kay mujh ko dekh kar wih dekhta reh jaye ga 
Is qadar badlain gay hum woh sochta reh jaye ga 

Meray chehray par bhi hon gay be'rujhi kay zawiye
Aisa hai keh mujh main mujh ko dhoondta reh jaye ga 

Us ki gali se ab kabhi  mera guzar mumkin nahin 
Woh apnay gahr ki khirkiyon se jhaankta reh jaye ga 

Kiyon aanson ki dhool main zindagi ko jhonk doon 
Dil ka kiya hai toota hai to toota reh jaye ga

Sarapa-e-mohabbat jamaal us ki aankhein


Woh husan-e-mujasam kamal us ki aankhein
Sarapa-e-mohabbat jamaal us ki aankhein 

Jhukein to lagti hain zewar haya ka 
Uthaein to karein phir sawal us ki aankhein 

Milein to main dono jahan dy kay lay loon 
Woh chehra , woh zulfein , woh gaal , us ki aankhein 

Agar koi poochay keh duniya main kiya hai 
Dewana kahay ga misaal us ki aankhein 

Un aankhon kay kaajal main dooba hoon shayed 
Ajab phir chali hain yeh chaal us ki aankhein

Aaina dekh rahi thein meri pathar aankhain


Koi chehra hua roshan na ujaagar aankhain 
Aaina dekh rahi thein meri pathar aankhain 

Lay urri waqat ki aandhi jinhain apnay ham'raah 
Aaj phir dhoond rahi hain woh hi manzar aankhain 

 Phoot niklain to kai shaher-e-tamana boobain 
Ek qatray ko tarasti hui banjar aankhain 

Us ko dekha hai to ab shouq ka woh aalam hai 
Apnay halkon se nikal ayi hain baahir aankhain 

Tu nigahon ki zubaan khoob samjhta ho ga 
Teri jaanib to utha karti hain aksar aankhain 

Log martay na dar-o-baam se takraa kar kabhi 
Dekh letay jo "Kamal" us ki samandar aankhain

Logon ka tujhay dar hai tu khwabon main mila kar


Tu lafzon ki tarah mujh se kitabon main mila kar 
Logon ka tujhay dar hai tu khwabon main mila kar 

Phool ka khushboo se taaluq hai zaroori 
Tu mehak ban kar mujh se gulaabon main mila kar 

Jissay choo kar main mehsoos kar sakoon 
Tu masti ki tarah mujh se sharabon main mila kar 

Main bhi insaan hoon , hai dar mujh ko bhi behaknay ka
Es waastay tu mujh se hijaabon main mila kar

Main khud ko rakh kar kahin bhool Jaana chahta hoon


Ajeeb larka hoon khud ko jalaana chahta hoon 
Main khud ko rakh kar kahin bhool Jaana chahta hoon 

Meray naseeb ki khushiyaan bhi kab mili mujh ko 
Bas ab to umar bhar aansoo bahaana chahta hoon 

Na jaanay kitni mohabbat hai gham se mujhay 
Koi bhi dard ho dil main chupaana chahata hoon 

Bahaa bahaa kay yeh aansoo bikhar chuka hoon bhout 
Simat kar apnay aap main ab muskuraana chahata hoon

Jissay ik umar dil main chuppa kay rakha hai 
Woh raaz aaj main sab ko bataana chahata hoon 

Wohi hai yaad jo acha kaha hai logon ne 
Baaqi saray sitam bhool jaana chahata hoon 

Mujhay zamanay ne pathar samjh liya hai magar 
MAin aik larka hoon sab ko bataana chahata hoon 

Jo mujh se rooth chuki hain zamanay ki khushiyaan 
To main bhi un khushiyon se rooth jaana chahata hoon 

Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se 
Kisi ko main bhi apnay gham sunaana chahata hoon 

Tu apnay dil kay her ik dar ko khol dy 
MAin dard ban kar teray dil main aana chahata hoon 

Best friends stick together till the end,


Best friends stick together till the end,

They are like a straight  line that will not bend .

They trust each other forever,

No matter if your apart you are together. 

They can be your hero save the day , 

They will never leave your side they are here to stay.

They help you up when you fall,

Your true friends are best of all.

 

Chalo tum saath mat dena


Chalo tum saath mat dena 

Mujhay be'shak bhula dena 

Naye sapnay saja lena 

Naye rishtay bana lena 

Bhula dena sabhi waaday 

Sabhi qasmain , sabhi naatay 

Tumhain jaana ijaazat hai 

Jo dil chahaye woh sab karna 

MAgar ab tum kisi se bhi 

Adhoora pyaar mat karna
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...