Sep 5, 2014

Saray jahan ko adeem , waqif-e-haal kar diya

Tohfa zara sa tha , magar us ne uchaal kar diya 

Us ki nazar ko daad do jis ne yeh haal kar diya 
Mera kamaal kuch nahin us ne kamaal kar diya 

Ik nigah ka zarf-ba-zarf mukhtalif 
Is ko nidhaal kar diya , us ko nihaal kar diya 

Yeh to hua hathaliyaan gumbad-e-surkh ban gayein 
Haathon ki Aot na magar raka sambhaal kar diya 

Koi to is ki qadar kare , koi to us ka ajar dy 
Us ne adeem tujh ko dil , kitno ko taal kar diya 

Bhout sukhan ki chaal pari , us ne adeem maan li 
MAin ne firaaq kaat kar us ko wisaal kar diya

Mujhay is zindagi se qabal hi na'shaad kar detay

Abhi tanha kiya hai to tabhi bar'baad kar detay 

Kabhi tere diyaar-e-ishq main abaad na hota 
Dil-e-mehtaab ko aisa dil'barbaad kar detay 

Her ik rabt khatam aur saari aas bhi tooti 
Adhooray khwaab se bhi aankhon ko azaad kar detay 

Mujhay tum kuch bhi kehtay mujh se faqat pyaar na kartay 
Jalaa kar raakh kartay zindagi bar'baad kar detay 

Kai waday nibhaatay aur mujhay abaad kar detay 
Sabhi waday jo toray mujhay bhi bar'baad kar detay

Utar chukay ho samandar main hosla rakhna

Hawa chalay na chalay baad'baan khulay rakhna 

Kabhi na jaltay chraghon ka silsala tootay 
Jo ik bujhnay lagay saath doosra rakhna 

Yeh bhi kamaal hai baarish main bheegtay rehna 
Aur apnay jisam ki matti ko bhi bacha rakhna 

Hadood-e-zaat kay andar na koi jhaank sakay 
Taaluqaat main ik aisa faasla rakhna 

Kahin pe dono kinaaray zaroor miltay hain 
Bas apnay aap ko dariya main tum bahaa rakhna

Shaher ka shaher agar aye bhi samjhanay ko

Is se kiya farq paray ga tere dewaanay ko 

Jis qadar weham hai sab us kay atta karda hain 
Liye phirta hoon kisi aur kay butt'khanay ko 

Yeh hunar woh hai jo dil se kabhi seekha na gaya 
Tu ne to jor liya tor kay paimaanay ko 

Kiya koi khail hai be'naam-o-nishaan ho jana 
Waisay shaam bhi tayaar hai jal janay ko 

Woh ajab shakhs tha kal jis se mulaqaat hui 
MAin mila hoon kisi jaanay huye anjaanay ko 

Aaj kay dukh bhi kisi se jhailay nahin jaatay 
Yaad mat kar kisi bhoolay huye afsaanay ko 

Door tak raat ki aankhon main kahin neend nahin 
Itna snaata hai keh aye koi tarpaanay ko 

Zindagi bhar main koi shai to mukamal kar lain 
Aao labraiz karain sabar kay paimaanay ko 

Yeh alag baat keh ek boond muqadar main na thi 
Sar pe so baar ghatta chai rahi chaanay ko 

Shaam honay ko hai jalnay ko hai shaam-e-mehfil 
Saans lenay ko bhi fursat nahin parwaanay ko

Hum jo kehtay thay zindagi kuch bhi nahin tere bin

Lakin yeh kiya keh zindagi sab kuch hai tere bin 

Ab to raat bhi kat jaati hai din bhi guzar jaata hai 
Sab waisa hi hai kuch bhi to nahin badlaa tere bin 

Tere janay pe jo rim jhim si thi aankhon main ab 
Tehar gayi hai woh aankhon ka samandar tere bin 

Waqat ne bhout kuch sikha diya hai mujhay 
Ab to waqat bhi guzar jaata hai tere bin 

Shayed mohabbat karnay kay adaab hi na thay 
Ab zindagi ne woh bhi sikhlaa diya tere bin 

Jo guzar gaya hai waqat so guzar gaya ae dost 
Jo reh gaya hai , guzar jaye ga tere bin

Ik diya dil main jalaana bhi , bujha bhi dena

Yaad karna bhi ussay roz, bhulaa bhi dena 

Kiya kahoon meri chahat hai ya nafrat us ki 
Naam likhna bhi mera , likh kar mitta bhi dena 

Phir na milnay ko bicharta hoon tujh se lakin 
Mur kay dekhon to palatnay ki dua bhi dena 

Khat bhi likhna ussay mayoos bhi rehna us se
Juram karna bhi magar khud ko saza bhi dena 

Mujh ko rasmon ka takaluf bhi gawara lakin 
Jee main aye to yeh dewaar giraa bhi dena 

Us se mansoob bhi kar lena puraanay qissay 
Us kay baalon main naya phool saja bhi dena 

Soorat-e-naqsh-e-qadam , dasht main rehna "Mohsin"
Apnay honay se na honay ka pata bhi dena 

Mere khuda mujhay itna to moh'tabar kar dy

MAin jis makaan main rehta hoon , us ko ghar kar dy 

Yeh roshni kay taaqub main bhaagta hua din 
Jo thak gaya hai to ab is ko muktasir kar dy 

Main zindagi ki dua maangnay laga hoon bhout 
Jo ho sakay to duaon ko be'asar kar dy 

Sitaara-e-sehri doobnay ko aya hai 
Zara koi mere suraj ko ba'khabar kar dy 

Meri zameen mera aakhri hawala hai 
So main rahoon na rahoon , is ko barawar kar dy 

Main apnay khwaab se hat kar jeeon to mere khuda 
Ujjaar dy meri matti ko dar-ba-dar kar dy 

Kabhi teri rafaqat se nikalna hi nahin mumkin

Kabhi daaman churra lena bhout asaan lagta hai 

Kabhi tum roothay ho to ajab mushkil si parti hai 

Kabhi tujh ko mana lena bhout asaan lagta hai 

Kabhi samjha karo kuch faisalay halaat kartay hain 

Kabhi waaday nibha lena bhout asaan lagta hai 

KAbhi kuch din tumharay bin guzartay hi nahin lakin 

Kabhi muddat bita dena bhout asaan lagta hai

Veeranay achay lagtay hain

Veeranay achay lagtay hain 
Deewanay achay lagtay hain 

Yaad kay saahil par likhay 
Afsanay achay lagtay hain 

Faqeer kay darr jaisay
Aastaanay achay lagtay hain 

Shamma ki lu par jalay 
Parwanay achay lagtay hain 

Sohail khwaab main guzray 
Zamanay achay lagtay hain

Deewanay achay lagtay hain

Veeranay achay lagtay hain 
Deewanay achay lagtay hain 

Yaad kay saahil par likhay 
Afsanay achay lagtay hain 

Faqeer kay darr jaisay
Aastaanay achay lagtay hain 

Shamma ki lu par jalay 
Parwanay achay lagtay hain 

Sohail khwaab main guzray 
Zamanay achay lagtay hain

Teri haakim se agar yaari hai

Teri haakim se agar yaari hai 
Jaan lay sher ki sawaari hai 

Surkhiyaan zard nazar aati hain 
Bad'gumaano ki yeh be'maari hai 

Be'shumaar tan kay kharray hain ashjaar
Be'shumaar hi main inkasaari hai 

Us ko her qoum kahay gi apna 
Hilm hai jis main burd'baari hai 

Neki dushman se , kathan hai lakin 
Ek isi kaam main sardaari hai 

Talkh saadiq ki sdaaqat hai magar 
Us ki talkhi main hi beemaari hai

Talkh saadiq ki sdaaqat hai magar

Teri haakim se agar yaari hai 
Jaan lay sher ki sawaari hai 

Surkhiyaan zard nazar aati hain 
Bad'gumaano ki yeh be'maari hai 

Be'shumaar tan kay kharray hain ashjaar
Be'shumaar hi main inkasaari hai 

Us ko her qoum kahay gi apna 
Hilm hai jis main burd'baari hai 

Neki dushman se , kathan hai lakin 
Ek isi kaam main sardaari hai 

Talkh saadiq ki sdaaqat hai magar 
Us ki talkhi main hi beemaari hai

Raat ko shamma ki maanind pighal kar dekho

Zindagi kiya hai kisi taaq main jal kat dekho 

Apnay chehray ko badalna to bhout mushkil hai 
Jee behal jaye ga aaina badal kar dekho

Rang bikhrain gay to fariyaad kary gi khushboo
Tum kisi phool ko chutki se masal kar dekho

Jab bhi dekha tumhain ek khwaab ki surat dekha 
Ek din paikar-e-tabeer main dhal kar dekho

Zindagi main hai nawaazgi tumhain bhi "nikhat"
Kisi bachay ki tarah tum bhi machal kar dekho

Na mohabbaton ka hisaab tha na adawaton ka shumaar tha

Kabhi zaat us ki azaab thi , kabhi rooh ka woh qaraar tha 

Ussay main ne mur kay sadaa na di keh palat gaya tha woh raah se
Main khizaan hua to pata chala meri zaat ka woh nikhaar tha 

Meri pyaar utni hi barh gayi , keh saraab itnay mile mujhay 
Huwa jis pe dhoka gulaab ka , woh sulagta jalta shraara tha 

Tu bhi door hai main bhi door hoon kiyon alag huye hain yeh raastay 
Meri chahton ka guraiz tha , ya teri ana ka hisaar tha 

Woh kabhi kisi ko mile kahin , to koi bata dy ussay zara 
Meri fun-e-shair ki be'khudi , tere ishq ka hi kamaal tha 

Jo kuch dekha jo socha wohi tehreer kar jayein

Jo kaaghaz apnay hissay ka hai woh kaaghaz to bhar jayein

Nashay main neend kay taaray bhi ek doojay pe girtay hain 
Thakan raaston ki kehti hai chalo ab apnay ghar jayein 

Kuch aisi be'hisi ki dhund se phaili hai aankhon main 
Hamari sooratein dekhain to aainay bhi dar jayein 

Na himmat hai ganim-e-waqat se aankhain milaanay ki 
Na dil main hosla itna keh matti main urr jayein 

Gul-e-umeed ki surat tere baagon main rehtay hain 
Koi mousam hamain bhi dy keh apni baat kar jayein 

Diyaar-e-dasht main rag-e-rawaan jin ko banaati hai 
Bata ae manzil-e-hasti keh woh raastay kidhar jayein 

Agar bakhshish milay amjad to us khushboo se behtar hai 
Keh is be'faiz gulshan se bandhi mutthi guzar jayein

Woh log mere bhout pyaar karnay wale thay

Guzar gaye hain jo mousam guzarnay wale thay 

Nayi rutton main dukhon kay bhi silsalay naye
Keh zakham taza huye hain jo bharnay wale thay 

Yeh kis maqaam pe soojhi tujhay bicharnay ki 
Keh ab to ja kay kahin din sanwarnay wale thay 

Tamaam raat nahaya tha shaher baarish main 
Woh rang utar hi gaye jo utarnay wale thay 

Us aik chotay se qasbay main rail tehri hi nahin 
Wahan bhi chand musaafir utarnay wale thay 

Ajeeb tarah se socha hai zindagi kay liye

Kiya zakham zakham main khilta hoon main her khushi kay liye

Woh mujh ko chor gaya to mujhay yaqeen aya 
Koi bhi shakhs zaroori nahin kisi kay liye 

Sawaal yeh hai keh us ne kabhi nahin poocha 
Keh aap sochtay kaisay hain shairy kay liye 

Ussay khabar hai keh us ka koi nahin apna 
Aik aashnai bhi kaafi hai ajnabi kay liye 

Khata kisi ki ho lakin saza kisi ko mile 
Yeh baat jabar ne chori hai her sadei kay liye 

Yeh saadgi thi meri ya keh saad chahat thi 
Keh main ne khud ko paish kiya dil lagi kay liye

Aaina hairaan hai aur aasmaan ronay ko hai

Is tamasha gaah main ab aur kiya honay ko hai 

Kashtagaan-e-dard ko jaan ki amaan kaisay milay 
Zindagi ki her dua apna asar khonay ko hai 

Neend kay maaray kisi sapnay ki khwaish kiya karain 
Her gharri mehsoos hota hai sehar honay ko hai 

Kis ki naqsh-e-paa ko samjhaein apni manzil ka nishaan 
Jhaag uraati mouj aa kar her nishaan dhonay ko hai 

Kaash yeh koi sitara yahan khoye jugnoo kahay 
Her andhera keh raha hai roshni honay ko hai 

Ae hawa-e-be'yaqeeni gul na kar ghar kay chragh 
Chand lamhon ko tehar jaa kuch na kuch honay ko hai 

Udaas kaghazi mousam main rang-o-bu rakh do

Her ik phool kay lab pe mera lahoo rakh dy

Zubaan-e-gul se chahatein trashnay wale 
Sakoot-e-naqsh main aaraish-e-namu rakh dy 

Giraan lagay hai jo ehsaan dasht-e-qatil ka 
Uth aur teegh kay lab pe rag-o-gulu rakh dy 

Chala hai jaanib-e-meh'khana aaj phir waaiz
Kahin na jaam pe lab apnay be'wuzu rakh dy

Khuda kare mera munsif saza sunaanay main 
Mera her sar mere qaatil kay ru-ba-ru rakh dy 

Samandron ne bulaya hai tujh ko ae "Bekal"
Tu apni pyaas kay sehra main aabru rakh dy

Talaash-e-manzil kay marhalon main yeh haadsa ik ajab dekha

Fraib raahon main baith jaata hai surat-e-aitabaar ban kar 

Yeh kiya qayamat hai baaghbaano ki jin ki khaatar bahaar ayi 
Wohi shagoofay khatak rahay hain tumhari aankhon main khaar ban kar 

Bahaar ki bad'naseeb raatein bulaa rahi hain chalay bhi aao 
Kisi sitaaray ka roop lay kar kisi kay dil ka qaraar ban kar 

Ghroor-e-hasti ne maar dala wagarna hum log jee hi letay 
Kisi ki aankh ka noor ho kar kisi kay dil ka qaraar ban kar 

Diyaar-e-peer-e-magan main ik haqeeqat khul gayi saagar 
Khuda ki basti main rehnay wale loot letay hain yaar ban kar 

Baat kar tujh pe gumaan honay laga tasveer ka

Muntazir kab se hai zamana teri taqdeer ka

Raat kiya soye gi baaqi umar ki neend urh gai
Khwaab kiya dekha keh dharka lag gaya tabeer ka 

Kaisay paya tha tujhay kis tarah khoya tujhay 
Mujh sa munkir bhi to qayaal ho gaya taqdeer ka 

Jaanay kis aalam main tu bichra hai keh teray baghair
Aaj tak her naqsh faraydi hai meri tehreer ka 

Jis ko bhi chaha bari shiddat se chaha hai faraz 
Silsala toota nahin hai dard ki zanjeer ka 

Bhujha diye hain khud apnay haathon mohabbat kay diye jala kay

Meri wafa ne ujaar di hain umeed ki bastiyaan basa kay 

Tujhay bhula dain gay apnay dil se yeh faisala to kiya hai lakin 

Na dil ko maloom hai na hum ko Jeeyein gay kaisay tujhay bhulaa kay

Kabhi milain gay jo raastay main to munh phaira kar palat parain gay 

Kahin sunain gay jo naam tera to chup rahain gay nazar jhukaa kar 

NA sochnay par bhi sochti hoon keh zindgaani main kiya rahaye ga 

Teri tamana ko dafan kar kay tere khyalon se door jaa kay

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...