May 23, 2014

qaraar pa na sakay hum 2 ghari kay liye



qaraar pa na sakay hum 2 ghari kay liye
tamaam umar tarastay rahay khushi kay liye

yeh kiya keh ap ne barbaad kar diya hum ko
yeh zindagi to hamari thi ap hi kay liye
qaraar pa na sakay hum 2 ghari kay liye

ussay nazar na a koi aur aya duniya main 
kiya reh gaya tha yehi dil dil'lagi kay liye
qaraar pa na sakay hum 2 ghari kay liye


aankahin hain nam saansain hain kam



aankahin hain nam saansain hain kam
dil ko jalaye tera hi gham
wada raha tujh se mera 
tujh ko kabhi na bhoolain ge hum
sooni hai pyar ki duniya teray janay se
waqat kat'ta nahin din raat ke aa janay se
kaisi ghari mujh pe pari 
kat'tay nahin hain raat aur din
aankahin hain nam saansain hain kam
dil ko jalaye tera hi gham

ghar ka darwaza khul arakha hai teray hi liye
kab se gulshan ko saja rakha hai teray hi liye
kushboo na ho phoolon ki kam 
rakh lo hamara itna  bharam
aankahin hain nam saansain hain kam
dil ko jalaye tera hi gham

tu jo nahin hai to kuch bhi nahin hai


tu jo nahin hai to kuch bhi nahin hai
yeh mana keh mehfil jawaan hai haseen hai
jidher bhi yeh dekhain jahan bhi yeh jayein
tujhay dhoondti hain yeh pagal nigh'ein
main zinda hoon likn kahan zindagi hai
meri zindagi tu kahan kho gaye hai
tu jo nahin hai to kuch bhi nahin hai

mujhay phir tabbah kar mujhay phir rula ja
sitam karnay walay kahin se tu aa ja
aankhon main teri hi surat bani hai
teri hi tarah tera gham bhi haseen hai
tu jo nahin hai to kuch bhi nahin hai

samjh main na aye yeh kiya majra hai
tujhay pa ke dil main yeh khaali sa kiya hai
kyn her waqat dil main koi be'kali hai
kyn her waqat seenay main rehti kami hai
tu jo nahin hai to kuch bhi nahin hai 

kyn aaj kal neend kam khwaab ziada hai


kyn aaj kal neend kam khwaab ziada hai
lagta khuda ka koi naik irada hai
kal tha faqeer aj dil shehzada hai
lagta khuda ka koi naik irada hai
kiay mujhay piyaar hai ya 
kaisa khumaar hai ya

pathar ke in raston pe phoolon ki ik chadar hai
jab se milay ho hum ko tum badla her aik manzar hai
dekhon jahan main neelay neelay asmaan talay
rang naye naye hain jaisay ghultay huye 
soye se khwaab meray jagay teray wastay
teray khyalon se hain bheegay meray rastay
kiay mujhay piyaar hai ya 
kaisa khumaar hai ya

tum kyn chalay atay ho her roz in khawabon main
chupkay se aa bhi jayo ik din meri banhaon main
teray hi sapnay andheron main ujalon main
koi nasha hai teri ankhon ke piyalon main
tu meray khawabon main jawabon main sawalon main
her din chura lata hoon main khyalon main 
kiay mujhay piyaar hai ya 
kaisa khumaar hai ya
 
 

anjaan ho tum jo beganay ho tum to pechanay lagtay ho kyn



anjaan ho tum jo beganay ho tum to pechanay lagtay ho kyn

tum gehri neendon main jab soye soye ho to mujh main jagtay ho kyn

jab tujh ko pata hai dil muskurata hai kiya tuj se hai wasta

kiya tujh main dhoondon main kiya tujh se chayon main

kiya kiya hai tujh main mera 

jano na main tujh se mera rishta hai kiya par ajnabi apna mujhy tu laga

tujh se taulaq jo nahin kuch mera kyn tu lagay hai tu apno sa

dekhon jo tujh ko ik nazar jaye bhar mujh main hai jo mera khala

zindagi main kushi teray anay se hai warna jeenay main gham her bahanay se hai

yeh alag baat hai hum milay aj hain dil tujhay janta ik zamanay se hai

jano na main tujh se mera rishta hai kiya par ajnabi apna mujhy tu laga

ankhon ne ankhon se kahi dastaan tujh ko bana ke raaz'daan

banhon main janat a gaye khush numa tum jo huye ho mehrbaan

jism se jism ka youn ta'arauf  hua ho gaye hum sanam rooh tak ashna

ik zara jo chalay 2 qadam sath main mil gaya hai hamain zindagi ka pata

jano na main tujh se mera rishta hai kiya par ajnabi apna mujhy tu laga

manzalain bhi us ki thein raasta bhi us ka tha




Kiya khuda bhi us ka tha

manzalain bhi us ki thein raasta bhi us ka tha

aik main hi akela tha qafla bhi us ka tha

sath sath chalney ki soch bhi us ki thi

phir rasta badalney ka faisala bhi us ka tha

aaj kyn akela hoon dil sawaal karta hai

log to us ke thay 

kiya khuda bhi us ka tha

kabhi kabhi meray dil main khyal ata hai




kabhi kabhi meray dil main khyal ata hai

keh zindagi teri zulfon ki naram chayon main

guzarne pati to shadaab ho bhi sakti thi

yeh tergi jo meri zeest ka muqadar hai

teri nazar ki shua'on main kho bhi sakti thi

ajab na tha ke main begana-e-aalam ho kar

teray jamaal ki ra'naiyon main kho rehta

tera gudaaz badan teri neem baar ankhain

inhain haseen fasano main maho rehta

pukartein mujhay jab talkhiyan zamanay ki

teray labon se halawat ke ghount pee leta

hayat cheekhti phirti barhana sar , aur main

ghaneiri zulfon ke saye main chup ke jee leta

magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam ahi

keh tu nahin , tera gham , teri justagoo bhi nahin

guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaisay

aisay kisi shaher ki arzoo bhi nahin

zamaney bhar ke dukhon ko laga chuka hoon gale

guzar raha hoon kuch anjani guzar gahon se

moheeb saye meri simat barh'tay atay hain

hayat-o-mout ke pur hole khaar'zaron se

na koi jaga na manzal na rosni ka suraagh

bhatak rahi hai khayalon main zindagi meri

inhi khyalon main reh jayon ga kabhi ka ho kar

main janta hoon meri hum-nafas magar youn hi

kabhi kabhi meray dil main khyal ata hai

kabhi yaad aye to poochna


kabhi yaad aye to poochna
zara apni khilwat-e-shaam se

kissy ishq tha teri zaat se
kissay pyaar tha teray naam se

zara yaad karo woh kon tha
jo kabhi tujhay bhi aziz tha

woh jo jee utha teray naam se
woh jo mar mitta teray naam pe

humein be'rukhi ka nahin gila
keh yeh wafaon ka ka hai sila

magar aisa juram tha kon sa
gaye hum jo dua-o-salam se

na kabhi visaal ki chah ki
na kabhi firaaq main aah ki

keh mera tareeq-e-bandagi 
hai juda tareeqa-e-aam se


Kabhi jo mujh ko talaash karna



Kabhi jo mujh ko talaash karna

to chaand raaton ki chandani main

gul-e-chaman se sawaal karna

udaas kyn ho ?

kyn awss qatron main apney ansoo

chupa rahay ho

haseen mousam main kis ki yaadon main

apney dil ko jala rahay ho

gul-e chaman yeh sawaal sun kar

tumhari aamad ka haal sun kar

kahay ga tum jis ko khojtay ho

woh in baharon ki sari kushboo

chura ke ab ik naye chaman main

mehak raha hai

udaas kar ke yahan pe hum ko

kisi chaman main chahek raha hai

gul-e-chaman yeh hall sun kar

tumhain lagay ga main be'wafa hoon

udaas kaliyon ko chor kar main

nai baharon ko dhoondta hoon

magar haqeeqat main is chaman ke 

tamaam phoolon ki khwaishon ka

aur in ki na'kaam ka'washon ka

haseen mousam ki barishon ka

na meray dil pe asar hua tha

na meray dil pe asar hua hai

main aaj bhi ik naye chaman main

puraney qissay suna raha hoon

jo meri chahat ka dev'ta tah

main aaj bhi us ko poojta hoon

yaqeen nahin to palat ke dekho

wahin khara tha , wahin khara hoon

mujhay ab loat jana hai





mujhay ab loat jana hai

achanak ab toot jana hai

keh meray des se agay koi perdes mera muntazir hai

aur meray dosto ne meray hathon main

safar ka zaad bhi pakraa diya hai

guzista kal ki sab batein bhulaney ja raha hoon

per woh batein jo teray hasaas chaheray per nu'mayan thein

woh saray lafaz jo ashkon ki surat aankh main utray

teray khamosh paykar main chuppay gum naak afsane

teri guftaar ki rim jhim

teri raftaar ka mousam

terey kirdaar ka moti

terey dil se ubaltay khoon ke be'awaaz se naghmay

teray chaheray ke khad-o-khaal , nigahon main chupay dariya

teray ehsaas ki shiddat

teray jazbaat ki hiddat

main sab kuch yaad rakhyon ga

teri khamosh awazein

meray mazi ka hissa ban kar bharen ge

mujhay ab loat jana hai

achanak toot jana hai 

main arhay tirchay khyal sochon





main arhay tirchay khyal sochon

keh be'irada  kitaab likhon

koi sha'nasa ghazal trash'on

keh ajnabi intisaab likhon

ganwa doon ik umar ke zamaney

keh ik ik pal ka hisaab likhon

meri tabiyat pe munhasir hai

main jis tarah ka nisaab likhon

yeh meray apney mizaaj par hai

azaab sochon sawaab likh'on


taveel tar hai safar

tumhain kiya

main jee raha hoon

magar tumhain kiya

tumhain kiya tum to kab se

meray iraday ganwa chukay ho

jala kar saray haroof apney

meri dua'ein bujha chukay ho

ab meray dil pe jabar kaisa

yeh dil to hadd se guzur chuka hai

guzar chuka hai

magar tumhain kiya


khizaan ka mousam thehar chuka hai

thehar chuka hai 

magar tumhain kiya

keh is khizaan main jiss tarah ke bhi khwaab likhon

main arhay tirchay khyal sochon

keh be'irada  kitaab likhon

magar tumhain kiya

tumhain kiya





Farz karo tum titli hotein rangon ki poshaak pehan kar





Farz karo tum titli hot'ein

rangon ki poshaak pehan kar 

khud main gum sum baagh main phir'ti

her ek phool ko chooma kar'ti

jab main tum ko choney jata

meray hathon se urr jati

main is jeet aur maat pe hansta

pehron tujhay dekha karta

ஜ۩۞۩ஜ

farz karo tum kushboo hot'ein

her dali her phool main rehti

main her phool ko piyaar se takta

ik ik phool ko chooma karta

her ik phool tumhari surat

khush rang aur piyara hota

hath ke lams se dohra hota

ஜ۩۞۩ஜ

farz karo tum barish hotein

pehlay piyaar ki pehli barish

main barish main bheegta  rehta

her qatray ko choomta rehta

ஜ۩۞۩ஜ

farz karo tum nadiya hotein

aur main nadiyon ka sahil hota

her lemha hum miltay rehtay

ik doojay main gum ho jatay

ஜ۩۞۩ஜ

farz karo tum phool aur titli ya phir rang aur kushboo hotein

farz karo tum barish nadiya ya phir mera sahil hotein

farz karo tum jo bhi hotein lakin mujh ko piyari hotein

mera sundar sapna hotein

meri zaat ka mandar hotein


ஜ۩۞۩ஜ

farz karo ab kiya karna hai khwaab sab hi to pa'inda hain

pyar ke bandhan main zinda hain

main hum pa'inda hain

yahi wada liya tha na hamesha kush hi rehna hai








yahi wada liya tha na hamesha kush hi rehna hai

to  dekh lo aa kar

meri aankhon ko dekho tum

yeh kitni shokh lagti hain

meray honthon ko dekho tum

hamesha muskuratay hain

koi bhi gham agar aya ussay hans kar saha main ne

meray chaheray ko dekho tum

hamesha pur'sakoon ho ga

to socho gy

kiya tha jo main ne tum se

woh wada kar diya poora

magar ik baat hai piyaray

kabhi jo waqat mil jaye to meri shayari parhna

tumhain mehsoos to ho ga kahin talkhi bhara lehja

kahin pe sard sa lehja

kahin pe dard ki jheel'ein

kahin lehjay ki karwahat

suno ! main kush to hoon magar

lahoo her lafaz roota hai , lahu her lafaz roota hai

yahi wada liya tha na  hamesha kush hi rehna hai

to dekho aa kar  , to dekh lo aa kar

bhly dino ki baat hai , bhli si aik shakal thi






bhly dino ki baat hai , bhli si aik shakal thi
 na yeh ke hussan taam ho , na dekhny main aam thi

na yeh keh woh chaly to  keh'kashaan si raah'guzar lagay
magar woh sath ho to phir , bhla bhla safar lagay

koi rut bhi ho us ki chub fiza ka raang-o-roop thi
woh garmi'on ki cha'on thi , woh sardi'on ki dhoop thi

na mud'daton juda rahay na sath subh-o-shaam ho
na rishta wafa pe zid na yeh keh azn-e-aam ho

na aisi kush libasiyan keh sadgi gila karay
na aisi be-takal'lafi keh aaina haya karay 

na ehtalaat  main woh rum keh bad'maza ho khwaish'ein
na is qadar supurdagi keh zich kar'ein nawazishein 

na aashqi junoon ki ' keh zindagi azaab ho
na is qadar khathor pan , keh dosti khraab ho

kabhi to baat bhi khafi kabhi sakoot bhi sakhan
kabhi to kasht zafaraan  , kabhi udasiyon ka ban

suna hai ik umar hai mamalaat-e-dil ki bhi
wasal-e-jaan fiza to kiya , firaaq-e-jaan gasal ki bhi

so ik roz kiya hua , wafa ki behas chir gayi
main ishq ko amar kahon  woh meri zid se chir gaye

main ishq ka aseer tha , woh ishq ko qafas kahay
keh umar bhar ke sath ko bad'tras hawas kahay

shajar hijar nahin keh hum hamesha paba gul rah'ein
na dhor hain keh rasiaan , galay main mustaqil rah'ein

mohabbaton ki wusat'ein hamaray dast-o-paa main hain
keh aik dar se nisba'tein , sagaan-e-ba'wafa main hain

main koi painting nahin keh aik frame main rahoon
wohi jo mann ka meet ho , usi ke prem main rahoon

tumhari jo bhi soch ho , main us mizaaj ka nahin 
mujhay wafa se bair hai , yeh baat aj ki nahin 

na mujh ko us pe maan tha , na us ko mujh pe zaham hi
jan ehad bhi koi na ho to kiya gham-e-shakistagi 

so apna apna rasta hansi kushi badal liya
woh apni raah pe chal pari , main apni raah pe chal diya

bhli si us ki shakal thi , bhli si us ki dosti
ab us ki yaad raat din nahin , magar kabhi kabhi
Poet : Ahmed Fraz
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...