Jul 15, 2016

Na hum rahay na woh khawabon ki zindagi hi rahi


Na hum rahay na woh khawabon ki zindagi hi rahi 
Guman guman si mehak khud ko dhoondti hi rahi 

Ajab tarah rukh-e-aain'dagi ka rang urra 
Diyaar-e-zaat main az khud gazishtagi hi rahi 

 Hareem-e-shouq ka aalam bata'ein kya tum ko 
Hareem-e-shouq main bas shouq ki kami hi rahi 

Pas-e-nigah-e-tagafal thi ik nigah keh thi 
Jo dil kay chehra-e-hasrat ki taazgi hi rahi 

Ajeeb aaina-e-par'taw-e-tamana tha 
Thi us main aik udasi  jo saji hi rahi 

Badal gaya sabhi kuch is diyaar-e-bu'dash main 
Gali thi jo teri jaan woh teri gali hi rahi 

Tamaam dil kay mohallay ujar chukay thay ,, magar 
Bhout dino to hansi hi rahi , khushi hi rahi 

Woh daastan tumhein ab bhi yaad hai keh nahin 
Jo khoon thooknay walon ki be'hissi hi rahi 

Suna'on main kissay afsana-e-khayal-e-malaal 
Teri kami hi rahi aur meri kami hi rahi 




Hawaas main to na thay phir bhi kya na kar aaye


Hawaas main to na thay phir bhi kya na kar aaye 
Keh daar par gaye hum aur phir utar aaye 

Ajeeb haal kay majnu thay jo ba'ishwa-o-naaz 

Ba'su-e-baad yeh mehmal main baith kar aaye 


Kabhi gaye thay miyan jo khabar ko sehra ki 
Woh aaye bhi to bagulon kay saath ghar aaye 

Koi junoon nahin si da'iyaan-e-sehra ko 
Keh jo azaab bhi aaye woh shaher par aaye 

Batao daam guru chahiye tumhein ab kya 
Prind'gaan-e-hawa khaak par utar aaye 

Ajab khaloos se rukhsat kiya gaya hum ko 
Khayal-e-khaam ka tawaan tha so bhar aaye 

Zikar bhi us se kya bhala mera


Zikar bhi us se kya bhala mera 
Us se rishta hi kya raha mera 

Aaj mujh ko bhout bura keh kar 
Aap ne naam to liya mera 

Aakhri baar tum se yeh kehna hai 
Yaad rakhna na tum kaha mera 

Ab to kuch bhi nahin hoon main waisay 
Kabhi woh bhi tha mubtala mera 

Woh bhi manzil talak ponch jata 
Us ne dhoonda nahin pata mera 

Tujh se mujh ko nijaat mil jaye 
Tu dua kar keh ho bhala mera 

Kya bataon bichar gaya ya raha 
Aik balqees se saba mera 


Juz gumaan aur tha hi kya mera


Juz gumaan aur tha hi kya mera
Faqat ik mera naam tha mera

Nikhat-e-pai'rahan se us gul ki
Sil'sala be'saba raha mera

Mujh ko khawaish hi dhoondnay ki na thi
Mujh main khoya raha khuda mera

Thook de khoon , jaan lay woh agar
Aalam-e-tark-e-mud'da  mera

Jab tujhay meri chah thi jaana !
Bas wohi waqat thi karra mera

Koi mujh tak ponch nahin paata 
Itna asaan hai pata mera 

Aa chuka woh paish murawat se 
Ab chalon kaam ho chuka mera 

Aaj main khud se ho agya ma'yoos 
Aaj ik yaar mar gaya mera 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...