Jan 1, 2015

Zara kam rootha karo yeh zindagi itni taweel nahin



Zara kam rootha karo yeh zindagi itni taweel nahin 

Be'aitabaar mout hai na janay kab aa jaye

Dil main hasraton ko daba kar jeetay hain


Dil main hasraton ko daba kar jeetay hain 
Apnay gham ko duniya se chupa kay jeetay hain 

Kya lootay ga zamana khushion ko meri
Hum khushiyan doston pe luta kay jeetay hain 

Yeh jo doobi hain meri aankhain ashkon kay dariya main


Yeh jo doobi hain meri aankhain ashkon kay dariya main 

Yeh matti kay putlon par bharosay ki saza hai

Na karna kabhi baat dil ko dukhanay wali


Na karna kabhi baat dil ko dukhanay wali
Kasam toot najaye saath nibhanay wali

Us kay bin zindagi guzar to jaye gi 
Par baat mushkil hai ussay bhulanay wali

Itna kuch ho raha hai duniya main


Itna kuch ho raha hai duniya main 

Kiya tum meray nahin ho saktay

Kami to koi bhi na thi meray pyaar main


Kami to koi bhi na thi meray pyaar main 

Na janay phir bhi tum ne kiyon apnay qabil nahin samjha mujhay

Sabhi insaan hain magar farq sirf itna hai


Farq

Sabhi insaan hain magar farq sirf itna hai 
Kuch zakham detay hain 
Kuch zakham bhartay hain 

Humsafar

humsafar bhout hain magar
farq sirf itna hai
Kuch saath detay hain 
Kuch saath chor jatay hain 

Pyaar

pyaar sabhi kartay hain magar
farq sirf itna hai
kuch jaan detay hain 
Kuch jaan letay hain 

Dosti

Dosti sabhi kartay hain magar
farq sirf itna hai
Kuch log nibhatay hain 
Kuch log azmaatay hain

Kisi ki majburiyon ko agar tum us ki be'wafai samjho gay wasi


Kisi ki majburiyon ko agar tum us ki be'wafai samjho gay wasi

To zindagi main kabhi kisi ka pyaar na pa sako gay

Be'shak shikayat kar magar kuch guftagoo to kar


Be'shak shikayat kar magar kuch guftagoo to kar

Tera khamosh sa rehna mujhay takleef deta hai

Jo qismat main na ho us se gila nahin kartay


Jo qismat main na ho us se gila nahin kartay 
Kuch log to mil kar bhi mila nahin kartay

Suna hai roz milnay se mohabbat kam ho jati hai
Yeh soch kar hum bhi un se mila nahin kartay

Ae dil tu un se milnay ki umeed kiyon karta hai
Kuch log to umar bhi mila nahin kartay

Waisay to aata hai her shajar pe bahaar ka mousam
Phir bhi her shaakh pe phool khila nahin kartay

Jab woh mili thi to us se rooh ka naata jora tha
Jab rooh saath chor jaye to insaan jiya nahin kartay

Tu hazar baar roothaye to mana loon ga tujhay magar daikh


Tu hazar baar roothaye to mana loon ga tujhay magar daikh

Mohabbaton main shamil koi doosra na ho

Her dard se bara hai dard-e-judai


Her dard se bara hai dard-e-judai

Ek lamha jeenay kay liye so baar marna parta hai

Aakhri mulaqaat se mujh ko bas yeh maloom hua


Aakhri mulaqaat se mujh ko bas yeh maloom hua 

Ussay dushwaar lagta hai ab mujh se taaluq rakhna

Kuch din se teray saath , koi baat nahin hai


Kuch din se teray saath , koi baat nahin hai 
Youn lagta hai sadiyon se , mulaqaat nahin hai 

Dukh dard sunao mujhay , her baat batayo
Yeh dil ki khwaish hai , meri baat nahin hai 

Jab yaad teri aaye to , aa jatay hain aansoo
Main kaisay kahoon , aankh main barsaat nahin 

Sookhye huye kuch pool hain , aur ashk hain taza
Kuch aur meray paas to , soghat nahin hai 

Waqif hai meray dard se , subho ka ujaala
La'ilm meray gham se , meri raat nahin hai

Main jis ki mohabbat main youn be'haal hoon
Woh hans kay yeh kehta hai, koi baat nahin hai

Mohabbat ki tabiyat main qudrat ne ajab bach'pana sa rakha hai



Mohabbat ki tabiyat main qudrat ne ajab bach'pana sa rakha hai

Keh yeh jitna bhi puraana ho issay izhaar karnay ki zaroorat roz parti hai

Na tol meri mohabbat apni dil'lagi se


Na tol meri mohabbat apni dil'lagi se 

Dekh kar meri chahat ko aksar tarazu toot jatay hain 

Matlabi duniya kay log kharay hain haathon main pathar lay kar


Matlabi duniya kay log kharay hain haathon main pathar lay kar 

Main kahan tak bhaagon sheeshay ka muqadar lay kar

KAbhi na haathon se haath chootay khayal rakhna


KAbhi na haathon se haath chootay khayal rakhna

KAbhi na chahat ka maan tootay khayal rakhna

Bacha kay rakhna mohabbat ko sazishon se 

Wafa ki doulat jafa na lootay khayal rakhna

Jo ho mohabbat to ranjishon se guraiz karna 

Kisi ka nazuk sa dil na tootay khayal rakhna

Mohabbat main nahin hai farq jeenay aur marnay ka



Mohabbat main nahin hai farq jeenay aur marnay ka 

Keh jis ko dekh kar jeetay hain usi zaalim pe martay hain

Teri yaad bhi kamal karti hai


Teri yaad bhi kamal karti hai 

Kaisay kaisay dil se sawal karti hai 

Ik pal bhi tanha nahin honay deti 

Tujh se ziyada to teri yaad mera khayal karti hai

Apni baaton main meray naam kay hawalay rakhna


Apni baaton main meray naam kay hawalay rakhna 

Mujh se door ho to khud ko sambhalay rakhna 

Log poochain gay kiyon parishaan ho tum 

Kuch nigahon se kehna zubaan pe taalay rakhna

Na khoon dena meray beetay lamhon ko 

Meri yaadon ko baray payar se sambhalay rakhna 

Tum loat aao gay itna yaqeen hai mujh ko 

Meray liye kuch waqat nikaalay rakhna 

Hum ne kuch naya dekha hai tum main phir 

Meray liye apnay andaaz puranay rakhna

Mohabbat ko panay ki tamana ho to logon se mat ghabraao


Mohabbat ko panay ki tamana ho to logon se mat ghabraao 

Jo haath kaanton se dartay hain un ko phoolon ki kushboo nahin milti

Udasiyon main jeena aadat ban gayi hai


Udasiyon main jeena aadat ban gayi hai 

Jin se umeed thi yaad rakhnay ki woh bhout masroof rehtay hain

Kitna saroor raat ki tanhaiyon main tha


Kitna saroor raat ki tanhaiyon main tha 

Chup tha chaand jaisay ruswaiyon main tha 

Log so rahay thay neend kay liye

Aur koi teri yaad ki gehraiyon main tha

Chalo tum chor do mujh ko




Chalo tum chor do mujh ko 
Main wapis loat jaata hoon 
Tumhain manzil mubarak ho 
Nayi raahain mubarak hon 
Magar phir Ae meray humdam 
Mujhay itna to batla do 
Keh wapis kis taraf jaaon 
Kahan se saath laye thay 
Mujhay itna to samjha do 
Agar aisa nahin mumkin 
To mujh ko is tarah toro
Keh main yak'sar bikhar jaaon 
Bhatakney se to behtar hai 
Tumharay paas mar jaaon

Ik be'wafa ko na aaya hamari wafa ka yaqeen


Ik be'wafa ko na aaya hamari wafa ka yaqeen 

Hum ne gussay main kaha mar jayein gay us ne kaha Ameen

Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko


Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko 

Zakham khiltay hain aziyat nahin hoti mujh ko 

Ab koi aaye chala jaye main kush rehta hoon 

Ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko 

Aisa badla hoon teray shaher ka paani pee kar 

Jhoot bolon to nadamat nahin hoti mujh ko 

Hai amanat main khiyanat so kisi ki khaatir

Koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko 

Itna masroof hoon jeenay ki hawas main 

Saans lenay ki bhi fursat nahin hoti mujh ko

Shaam-e-firaaq ab na pooch , aayi aur aa kay tal gayi


Shaam-e-firaaq ab na pooch , aayi aur aa kay tal gayi 

Dil tha keh phir behal gaya , jaan thi keh phir sambhal gayi 

Jab tujhay yaad kar liya , subha mehak mehak uthi 

JAb tera gham jaga liya , raat machal machal gayi 

Dil se to her maamla kar kay chalay thay saaf hum 

Kehnay main un kay samnay , baat badal badal gayi 

Aakhri shab kay humsafar Faiz na janay kiya hua 

Reh gayi kis jaga saba, subha kidhar nikal gayi

Urooj saray kamal saray


Urooj saray kamal saray 
Teri chahat pe waar dain gay 
Agar raha na gulon ka mousam 
Apnay ashkon ka haar dain gay 
Aur pyaar aisa 
Keh pyaar ko bhi 
pyaar apnay pe pyaar aaye 
Jis ko khwaabon main dhoondtay ho 
dar'haqeeqat woh pyaar dain gay 
Paray zaroorat to gham na karna 
Meray dilbar hukam to karna 
Baha kay apna lahoo sar-e-raah 
Tera sadqa utaar dain gay 

Naya baras hai, naye baras main her ik lamha ujaal rakhna


Naya baras hai, naye baras main her ik lamha ujaal rakhna 

Ab aisa karna keh dairy kay sufaaid kaaghaz sambhal rakhna 

Khuda-e-bar'tar tumharay jeevan se hijar-o-wehshat ko door rakhaye 

Tamaam sunhain , tamaam shaamain , tamaam raatein wisaal rakhna

Naye saal ki aamad par


Naye saal ki aamad par 

Tum meray liye 

Sirf itna karna 

Keh jana !

Ik dua karna 

Keh main tumhain bhula sakon 

Jo keh 

Meray ikhtayaar main nahin

Koi dukh na ho , koi gham na ho


Koi dukh na ho , koi gham na ho 

Koi aankh kabhi num na ho 

Koi dil kisi ka toray na 

koi saath kisi ka choray na 

Bas pyaar ka dariya behta ho 

Kaash 2015 aisa ho

Ho saal-e-noo pe atta rab-e-kainaat hamain


Ho saal-e-noo pe atta rab-e-kainaat hamain 

Watan main her taraf rangeen bahaar ka mousam 

KAbhi na ranj-o-alam ka milay koi lamha 

Keh her taraf hi rahay sirf pyaar ka mousam

Aatay jaatay saal


Aatay jaatay saal 

Naye bars ki ibtida hai 
GAye bars ki intiha hai 
Naye ghamon ki aamad hai 
GAye ghamon ka khatma hai 
Aisay aatay jaatay 
Saalon se hum bhala kiya 
Aas lagayen gay

New Year's


New Year's

You wake me up , so very early
"It's time sweetie, we're off the beach"
There is no light to be seen

The family piles in the car
Layered in coats, ready to faal asleep
There is no light to be seen 

We arrive at the beach 
Waves crashing, smelling the fresh beach air
The sun starts to come out

We muster our energy
Laughing , smiling 
The sun is halfway in sight

Telling stories to paas the time
Everyone's awake now
The sun is almost out!

We start to countdown 
Three, two , one !
Nope..

Once more , louder then the rest
Three, two , one !
The beach bursts with light 

The first light of the year 
Everyone cheers 
Happy New Year !!

Even though it's early 
Even though it's cold 
Our beautiful tradition will never get old


Khuda karay keh naya saal


Naya saal

Khuda karay keh naya saal 
Teray daman main 
Woh saaray phool khila dy 
Keh jin ki khushboo ne 
Teray khyal main 
Shammain jalaye rakhi thein

Naya saal , nayi umeed


Naya saal , nayi umeed

Reshmi dor ki tarah 
Haath se phisalta hua 
YEh saal bhi jaa raha hai 
Guzartay is saal se 
Hisaab kuch lena hai 
Zakham jo diye hain is ne 
Us ka marham poochna hai 
Aur poochna hai !
Jo kho diya , ussay payen kahan 
Yaadon ko saari , dafnyen kahan 
Aagahi apni sulaaein kahan 
Ya youn kar lain 
Rootha pichla saal bhula kar 
Aanay walay saal se 
Dosti kar lain

My new year wishes for you


My new year wishes for you

Happiness deep down within.
Serenity with each sunrise.
Success in each facet of your life.
Family beside you .
Close and caring friends.
Health, inside you.
Love that never ends.
Special memories of all the yesterdays. 
A bright today with much to be thankful for.
A path that leads to beautiful tomorrows.
Dreams that do their best to come true 
Appreciation of all the wonderful things about you

Have a great year.
Happy new year 

Naye saal ki khwaish


Naye saal ki khwaish 

GAye dino ki baatein bhulaa kar 
NAye saal main mohabbaton ka naya nisaab likhna 
Kam ho jayein jin se adawatein
Koi aisa hisaab tum likhna 
Gham-e-furqat ab saha nahin jaata 
Ab na hijr-o-firaaq ki koi misaal likhna 
Bhout jaagay hain hum , gehri neend soyen gay 
Hamaray naseeb main ab na koi shab-e-baidaar likhna

Naya Saal


Naya Saal

Woh wada tumhain yaad hai 
Naye saal ki mussarat main 
Three Eeseem 
Magar naya saal to abhi aaya nahin 
YEh bhi khoob chaal hai 
Shayed paison ki kami hai 
YEh aaj ki baat nahin hai 
Her saal yahi hota aaya hai

Aik Sawal


Aik Sawal

Meray haath main kitaab hai 
Aur 
Meray kaandhay par bandooq 
Main jaa raha hoon dars'gaah ki taraf 
Meri Maan 
Daman phailaye dua karti hai 
Khouf'zada ho kar meri salamti ki 
Is tarah se kuch
Jaisay us ka baita maqtal ki simt chala ho 
Uff  Khudaya !
Main tareekh kay kis mor pe khara hoon ?

Naya saal mubarak ho


Naya saal mubarak ho 

Apnay saath 
yaadon ki barsaat 
Aur duaon ki soghaat 
Aur 
Aanso'on kay baish'bha khazanay lutaati
Tumhari muntazir meri aankhain 
Hamaray liye khushiyon ki kaliyaan dhoond rahi hain 
Aur kehti hain 
Aye dil kay makeen 
Naya saal mubarak ho

Kisi ko dekhon to maatahy pe maah-o-saal milain


Kisi ko dekhon to maatahy pe maah-o-saal milain 

KAhin bikharti hui dhool main sawal milain 

Aayo kuch dair december ki dhoop main baithain 

YEh fursatein hamain shayed na aglay saal milain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...