Jan 30, 2017

Daman main aansu'on ka zakheera na kar abhi


Daman main aansu'on ka zakheera na kar abhi 
Yeh sabar ka maqaam hai giriya na kar abhi 

Jis ki sakhawaton ki zamanay main dhoom hai 
Woh haath so gaya hai taqaza na kar abhi 

Nazrein jala kay daikh manazar ki aag main 
Israar-e-kainaat se parda na kar abhi 

Yeh khamoshi ka zehar nason main utar na jaye 
Awaz ki shakist gawara na kar abhi 

Duniya pe apnay ilam ki par'chaiyan na daal 
Aye roshni faramosh andhera na kar abhi 

Khuda kay bandon se kiyon umeed-e-wafa rakhtay ho


Khuda kay bandon se kiyon umeed-e-wafa rakhtay ho 
Zara apnay andar jhanko tum khud khuda rakhtay ho 

Apnay kir'daar ko rakhtay nahin paak saaf zara bhi 
Aur her waqat honton pe khushiyon ki dua rakhtay ho 

Ishq se aashna rakh apnay dil-e-be'qaraar ko 
Bhaa jaye jo khuda ko tum woh adaa rakhtay ho 

Ab to awaz bhi nahin deta tera zameer tujh ko 
Kiyon apnay aap se , apnay aap ko khafa rakhtay ho 

"Abaas" teri talaash ko ho ga kuch na muyassar zamanay se
4 din ki chahat main kiyon dil apna jalaa rakhtay ho 

Khuda kay bandon se kiyon umeed-e-wafa rakhtay ho 
Zara apnay andar jhanko tum khud Khuda rakhtay ho  



Sasural se jo maikay main aati hain biwiyan


Sasural se jo maikay main aati hain biwiyan
Sau sau tarah se dhoom machati hain biwiyan

Khanay mazay mazay kay khilati hain biwiyan
Jeenay ka jo maza hai chakhaati hain biwiyan

Kuch din to khoob aish karati hain biwiyan
Phir aish kay baad khoon rulati hain biwiyan

Kuch raat din nidhal hai biwi ke waaste
Paale ye sab wabaal hai biwi ke waaste

Itnay jatan se gher me jo aati hain biwiyan
Ungli per shoher ko nachaati hain biwiyan
qaida chati ka yaad dilati hain biwiyan

Ab yeh faisala kar lo


Uljhan

Ab yeh faisala kar lo 
Meri aankhon main rehna hai 
Ya phir dil main basa loon main 
Magar tum itnay nazuk ho 
Agar dil main basaya to 
Kahin phir toot na jao 
Ya phir aankhon main rehna hai 
Meri gehri udasi main 
Kahin tum doob na jao 

Yeh ab jo Morr aaya hai


Yeh ab jo Morr aaya hai 

Yeh ab jo morr aaya hai 
Yahan ruk kay kai baatein samjhnay ki zaroorat hai 
Keh yeh is raastay ka aik hissa hi nahin , saray 
Safar ka jaanchnay ka , daikhnay ka , tolnay ka 
Aik paymana bhi hai , yehni
Yeh aisa aaina hai 
Jis main aks haal-o-maazi aur mustaqbil
ba'yak lamha nu'mayan hai 
Yeh is ka ista'aara hai 
Jo apni manzil-e-jaan hai 
Suna hai raig-e-sehra kay safar main 
Raastay se 2 qadam bhatkein 
To manzil tak ponchnay main kai farsang ki doori nikalti hai 
Yeh ab jo morr aaya hai 
Yahan ruk kay kai baatein samjhnay ki zaroorat hai 


Is tarah zindagi ne diya hai hamara saath


Is tarah zindagi ne diya hai hamara saath 

Jaisay koi nibah raha ho raqeeb se 

Phir wohi hijar ka manzir hi raha aankhon main


Phir wohi hijar ka manzir hi raha aankhon main 

Yeh naya saal bhi khirki se guzartay daikha 

Junoon-e-sajda ki may'raaj hai yahi shayed


Junoon-e-sajda ki may'raaj hai yahi shayed 

Keh teray dar kay siwa koi aastaan na raha 

Phir mujhay deeda-e-tar yaad aaya


Phir mujhay deeda-e-tar yaad aaya 
Dil-e-jiger tishna-e-fariyaad aaya 

Zindagi youn bhi guzar hi jaati 
Kiyon tera raah guzar yaad aaya 

Phir teray koocha ko jaata hai khayal 
Dil-e-gum gashta magar yaad aaya 

Koi veerani si veerani hai 
Dasht ko daikh kay ghar yaad aaya 

Main ne majnu pe , lark'pan main "Asad"!
Sang uthaya tha , keh sar yaad aaya 

Hum parwarish loh-o-qalam kartay rahein gay


Hum parwarish loh-o-qalam kartay rahein gay 
Jo dil pe guzarti hai raqam kartay rahein gay 

Asbaab-e-gham-e-ishq ba'ham kartay rahein gay 
Veerani-e-doran pe karam kartay rahein gay 

Haan talkhi-e-ayaam abhi aur barhay gi 
Haan ehal-e-sitam mashq-e-sitam kartay rahein gay 

Manzoor yeh talkhi , yeh sitam hum ko gawara 
Dam hai to madaad-e-alm kartay rahein gay 

Baqi hai lahu dil main to her ashk se paida 
Rang-e-lab-o-rukhsaar-e-sanam  kartay rahein gay 

Ik tarz-e-taghafal hai so woh un ko mubarak 
Ik arz-e-tamana hai so hum kartay rahein gay


Aashiqui sabar talab aur tamana be'taab


Aashiqui sabar talab aur tamana be'taab 
Dil ka kya rang karoon khoon-e-jiger honay tak 

Hum ne maana keh taghafal na karo gay lakin 
Khaak ho jayein gay hum tum ko khabar honay tak 

Par to khor se hai shabnam ko fanaa ki taleem 
Main bhi hoon aik inayat ki nazar honay tak 

Yak nazar baish nahin fursat hasti-e-ghafil
Garmi-e-bazam hai ik raqs-e-sharar honay tak 

Gham-e-hasti ka "Asad' kis se ho juz marg-e-ilaaj 
Shamha her rang main jalti hai sehar honay tak 


Udhaar pehlay sab ka chukana chahiye tha



Udhaar pehlay sab ka chukana chahiye tha
Phir girl friend ko shopping pe le jana chahiye tha

Sun'nana zaroori thi kiya saaray jahan ki baaten?
Chai he to thi khud banana chahiye tha

Be wqat begam ko neend se na uthana chahiye tha
Maar khanay se to behtar tha kuch kaam kar letay

Bartan dho kay phir jharoo pocha lagana chahiye tha
Phir haathon se apnay khana bana'na chahiye tha

Tu takhla hai to ye hai tera bura naseeb...
Sar apna khud tum ko bachana chahiye tha

Foot ball ko to bas koi nishana chahiye tha
Begam le kay jharoo dori dostoon k peechhay

Be waqat dostoon ko dawat pe na bulana chahiye tha
Bulaya he tha to na aisay bhagana chahiye tha

Char saal se ki chating nikli 40 saal ki
Umar to usay apni batana chahiye tha

Ya jawani ka photo na dikhna chahiye tha
Udhaar pehle sab ka chukana chahiye tha
Phir girl friend ko shopping pe le jana chahiye tha


Aisi apni wife ho



Aisi apni wife ho

5' 6" jis ki height ho
Jeans jis ki tight ho
Chehara jis ka bright ho
Umar 22 se 27 ho
Aisi apni wife ho

Sadak per sab kahein kya cute ho
Bhir main sab kahe side ho
mumbai, delhi ya gujarat ki paidaish ho
Sas ki seva jis ki khwahish ho
Aisi apni wife ho

Parosi jab baat karein to haath main knife ho
Dinner kay time candle light ho
Hum main tum main kabhi na koi fight ho
Milnay kay baad dil delight ho
Yeh kavita parhne ke baad log kahein "chikne, tum right ho"
Aisi apni wife ho

Kaash yeh concept .0001 percent bhi right ho
Agar aisi apni wife ho
To kya haseen life ho

Har kisi ki yahi farmaish ho
Kudrat ki bhi aazmaaish ho
Khuda kay software mein bhi bug ki gunjaish ho
Ay kaash, kahin to ek aisi paidaish ho
Aisi apni wife ho!

Maal-o-zarr ki inteha chahta hoon


Maal-o-zarr ki inteha chahta hoon
Main bankon main kharbon rupeya chahta hoon

Election main jeetun curruption main luutun
Hakumat main ohda barra chahta hoon

Mohabbat mubarik ,muhab-e-watan ko
Dagha day kay daad-e-wafa chahta hoon

Jahan chaahon rakh dun khud apni girvi
Main shaabash aur hosla chahta hoon

Churra kay main lay jaun mulki khazaana
Tajori ka har darr khula chahta hoon

Nahi baal-e-jibril-o-baang-e-dra main
Sabak jo main seekhna chahta hoon

Teray kaan main raaz ki baat keh di 
Keh main fazl-e-rabbi khuda chahta hoon

Jiya hoon main kha kay karo'ron ki rishwat
To kya itni jaldi mra chahta hoon

Jiyun ga main jab tak karun ga hakumat
Keh is kom ka main bhala chahta hoon

Siyaasat hai meri riyaasat hai meri
Main aaba ki rasmain rwa chahta hoon

Na mazduur khush hon na dehkan razi
In;hein be-sakun dekhna chahta hoon

Nahi tuur ki raas mujh ko tajalli
Na musa hun or na Essa chahta hoon

Kaash iss eid par main tera bakra hota


Kaash iss eid par main tera bakra hota
Aur kissi nay na sahi tu nay to mujhay pakra hota

Tu hina lagay haathon say mujhay pathey khilati
Thoray thoray nahi saray akathey khilaati

Tu mujhay main main kar ke bulaati 
Aur sham ko gali main saath ghumaati

Mere pass gaari na sahi chakhra hota 
Kaash iss eid par main tera bakra hota

Tu meri sohbat par naaz karti
Bila-jhijhak mujhay aashna-e-raz karti

Agar mera raqeeb mujhe chehra karata
Seeng marta foran ussay takar karata

Raat ko sardi main bahir akra hota 
Kaash iss eid par main tera bakra hota

Phir eid par zibah ho jata main 
Teri khatir cut mar jata main

Teri mohabat nay kuch iss tarah jakra hota
Kaash iss eid par main tera bakra hota

Aaj tak woh band baja shaamiyana yaad hai


Aaj tak woh band baja shaamiyana yaad hai
Khud ko itni dhoom se sooli charhana yaad hai

Teen moqay bhi diye qazi nay ghor-o fikr kay
Aaj tak who qeemati moqay ganwana yaad hai

Aik nah kafi thi her muskil se bachnay kay liye
Hum ko han ka faislaa woh ehmaqana yaad hai

Ghar jisay laa'iye thay hum roti pakanay kay liye
Ab pakati hai humen uss ka pakana yaad hai

Na silaee janti haa na cooking maloom hai
Han ussay shohar ko ungli per nachaana yaad hai

Uss ki her ik baat per kehna hi parta hai ‘bajaa’ 
Iss tarah uss ka humen barson bajana yaad hai

Mantay hen hum husaini hadesaa hoga shadeed
Kiyon keh tum ko waqeaa itna puranaa yaad hai

Umar uss ki ho 85 to koi baat nahin


Umar uss ki ho 85 to koi baat nahin 
Ishq ka rog sha'oori bhi to ho sakta hai 

2 maheeno kay liye dhoond raha hoon uss ko 
Mera mehboob "Aboori " bhi to ho sakta hai 

عمر اسکی ہو پچاسی تو کوئی بات نہیں 
عشق کا روگ شعوری بھی تو ہو سکتا ہے 

دو مہینوں کے لیے ڈھونڈ رہا ہوں اس کو 
میرا محبوب " عبوری " بھی تو ہو سکتا ہ

Woh to bijli hai pal bhar main chali jaye gi


وہ تو بجلی ہے بل بھر میں چلی جائے گی
مسئلہ تو عوام کا ہے وہ کدھر جائے گی

ہم تو سمجھےتھے گھنٹہ بھر میں‌آجائے گی
کیا خبر تھی یار رات یوں ہی گذر جائے گی

وہ جب آئے گی تو اس خوشی کے عالم میں
بیجاں چہروں پر مسکرائٹ نظر آ جائے گی

مجھ کو بجلی کے برزخ کا بنایا کیوں وارث
غلطی میری بھی حکومت کے سر جائے گی

Woh to bijli hai pal bhar main chali jaye gi 
Masla to awaam ka hai woh kidher jaye gi

Hum to samjhay thay ghanta bhar main aa jaye gi
Kya khabar thi yaar raat youn hi guzar jaye gi

Woh jab aaye gi to us khushi kay aalam main
Be'jaan chehron par muskurahat nazar aa jaye gi

Mujh ko bijli kay bar'zakh ka banaya kiyon waris
Ghalti meri bhi hakoomat kay sar jaye gi




Hamaray dour main zinda hai mir ka misra


Hamaray dour main zinda hai mir ka misra
kisi se is ki haqeeqat dhaki chhupi na rahi

nizaam-e-barq liya wapda ne haathon main
phir us kay baad chiraghon main roshni na rahi


Jis shakhs ko uper ki kamai nahi hoti


Jis shakhs ko uper ki kamai nahi hoti 
us shakhs ki society kabhi high nahi hoti 

tab tak too bhari bazqm main lagta hai muaziz 
jab tak keh ghazal uss nay sunai nahi hoti 

police kara leti hai har cheez baramad 
us say bhi jiss nay churai nahi hoti 

dhoka-o-fareb is main hain bas iss kay illawa 
is shehar main koi bhi burai nahi hoti
 
karti hai us roz woh shopping ka taqaza 
jis roz meri jeeb main paii nahi hoti


Bachon ki tarah chahye mujhay daant lay koi



Bachon ki tarah chahye mujhay daant lay koi 

Lakin yeh shart hai meray gham baant lay koi 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...