Jan 7, 2017

Aik Dozakhi shaher par baadlon kay liye dua


Aik Dozakhi shaher par baadlon kay liye dua 

Garam rang phoolon ka 
Garam thi mehak un ki 
Garam khoon aankhon main 
Tez thi chamak un ki 

Sochta main kya un ko 
Us haseen ki baaton ko
Daikhta main kya us kay 
Khaak rang haathon ko 

Khouf tha tamazat main 
Aaish-e-shab ki shiddat ka 
Dar khulla tha dozakh ka 
Lams lab ki hiddat ka 

Main jawab kya deta 
Us ki un adaon ka 
Aik shaher-e-murda main 
Door ki nidaon ka 

Sehar zard baatin main 
5 band ismon ka 
Ban gaya tha jismon main 
Zehar 5 qismon ka 

Rukhsat-e-sarma ki subha sard , num , sangeen


Rukhsat-e-sarma ki subha sard , num , sangeen 
Khawab-e-khamoshi ki teh main ik jhalak rangeen si 

Baans ka jungle , hawa , pani , purani jheel ka 
Sabz dar par rang jaisay aasman kay neel ka 

Girtay jatay shaher dono simat ik ambaar main 
Kheenchti jaati khaak maidaan aik hi raftaar main 

Hiltay jatay naqsh se kuch phailti dewaar par 
Bujh kay girtay harf se had-e-safar Aasaar par 

Her taraf khushbu hawa main ban main aqrab aab ki 
Aik pur-israar khawaish dil main marg-e-Aab ki 

Aadhi Raat Main Aik Neem Waa Dareecha


Aadhi Raat Main Aik Neem Waa Dareecha 

Aadha chehra roshni main hai , aadha kaalay parday main 

Aik aankh hai suraj jaisi aik hai kaalay parday main 

Bhaid na ab tak baahir aaya Aadhay giray naqabon se

Aankh hamesha ghirri rahi zaahir aur chuppay sarabon main 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...