Tum agar mujh ko na chaho to koi baat nahin 
Tum kisi aur ko chaho gi to mushkil ho gi 
Ab agar mail nahin hai to judai bhi nahin 
Baat torri bhi nahin tum ne banai bhi nahin 
Yeh sahara bhi bhout hai meray jeenay kay liye 
Tum agar meri nahin ho to paraai bhi nahin 
Meray dil ko na saraho to koi baat nahin 
Ghair kay dil ko saraho gi to mushkil ho gi 
Tum haseen ho tumhein sab hi payar kartay hon gay 
Main jo marta hoon to kya uar bhi martay hon gay 
Sab ki aankhon main usi shouq ka toofan ho ga 
Sab kay seenay main yeh hi dard ubhartay hon gay 
Meray gahm main na kar'raho to koi baat nahin !
Aur kay gham main kar'raho gi to mushkil ho gi 
Phool ki tarah hanso sab ki nigahon main raho 
Apni masoom jawani ki panahon main raho 
Mujh ko woh din na dikhana tumhein apni hi qasam 
Main tarasta rahon tum ghair ki banhon main raho 
Tum jo mujh se na nibhao to koi baat nahin 
Kisi dushman se nibhao gi to mushkil ho gi 
Tum agar mujh ko na chaho to koi baat nahin 
Tum kisi aur ko chaho gi to mushkil ho gi