Mil rahay hain umar bhar alehida nahin huye
Ghamon se mar gaye magar alehida nahin huye
Main kya karon kahan hanson kahan par aankh num karon
Kabhi hum is se pesh'tar alehida nahin huye
Hawa chali to youn chali keh aag aur barh gayi
Alaao se magar sharar alehida nahin huye
Woh margh'zaar tha koi keh regzaar tha koi
Bahar se kabhi shajar alehida nahin huye
Kisi bhi dil se khawaishein nikal do gay kis tarah
Kisi jaga zameen se ghar alehida nahin huye
Nazar ko jo bhala laga usi pe dil machal gaya
Kabhi kahin dil-o-nazar alehida nahin huye
Kisi ki aankh num nahin kisi ko koi gham nahin
Yeh be'hissi hai kiyon agar alehida nahin huye
Zara si aik boond main jahan larz larz gaya
Adeem ashk-o-chasham-e-tar alehida nahin huye
Firaq-o-hijar se tarap nikal do gay kis tarah
Adeem behar se bhanwar alehida nahin huye
Adeem gham ajeeb hain azal se hi qareeb hain
Kabhi kisi maqam par alehida nahin huye