Mar 30, 2014

Qareeb aa kay boht door ho gia woh shakhs,





Qareeb aa kay boht door ho gia woh shakhs,

Na jane kon si dunya mein kho gia woh shakhs!


Khyal-o-khawb ki ta'abeer mujhe samjha kr,

Meri hi zaat mein mujh ko dabo gia woh shakhs!


Main apne hijar ki raton mein rang kese bharon,

Mujhe jaga kr sar-e-sham so gia woh shakhs..!

Apne hi shehar kay log satane lage


Apne hi shehar kay log satane lage
Yar apni mahfil se uth k jane lage

Jab bhi izhar-e-jazbat chaha main ne
Log apna apna dard sunane lage

Hamare naam se chalti thi jinki sansein kabhi
Aaj wohi hum se nazrein churane lage

Kya khabar thi k ik pal mein bichar jaye ga woh
Jise apna bnane mein zamane lage

Kya karon nazron se hat'ta hi nahi wo manzar
Jab haath chhura kr mera woh jane lage

Anmol



Hum Anmol To Ni Magr Barish K Un Qatron Ki,
Tarha Khaas Zaror Hn,
Jo,
Matti Mein Sama Jaen To Phr Kbi Mila Ni Krty

Ahwaal-e-ghum-e- zaat sunaany se raha main




Ahwaal-e-ghum-e- zaat sunaany se raha main
Ab khud ko tamasha to banaany se raha main

Hur baar main tazlil-e-ana kar nai sakta
Har baar usay ja k manaany se raha main

Ehsaan ka mafhoom hai aankhain na milaana
Ehsaan kisi ka bhi uthaany se raha main

Mumkin hy kisi roz ye akseer hi bun jaaye
Is dil me lagi aag bujhaany se raha main

J0 zakhm rafeeqon k rwaiyyon se lagey hain
W0 zakhm kisi ko bhi dikhaany se raha main

Jaany do mujhy bazm-e-turab me nai roko
Baar-e-ghum-e-tanhaai uthaany se raha main

Darya hun to darya he usey paish krunga
Piyaasy ko samandar to pilaany se raha main

Gham-e-dunya k samndar main kinara dhoondun




Gham-e-dunya k samndar main kinara dhoondun
Aandhi kis simt chaly gi ye ishara dhondun

Karb tanhaai ka rag rag men utar aaya hay
Ik faqat teri mohabat ka sahara dhondun

Jab teri yad men ankhon sy rawan hon aansu
Khushk krny ko main daman bhi tmhara dhondun

Wasl bhi aag hy, or hijr bhi jalta dariya
Thandy chashmo ka sanam kesy nazara dhondun

Jab kisi gham men koi toot k roy mohsin
Main tumhen yad karun, dar bhi tmhara dhondun

Nothing in life can keep us down except our own thinking


"Nothing in life can keep us down except our own thinking.

If we want high quality of life,

We must have a high quality of thought"....

Ik samandar kay shouq main Raqsaa'n


Ik samandar kay shouq main Raqsaa'n

ik darya ko dar-badar dekha

Kon rakhy ga hamein yaad is door-e-muflisi mein





Kon rakhy ga hamein yaad is door-e-muflisi mein
Halaat aisay hain k logon ko khuda yaad nahi

Hum kon hain kia hain baa khuda yaad nahin
Apnay aslaaf ki koi bhi adda yaad nahin

Hain agar yaad to kafir k taranay he bass
Hai nahin yaad to masjid ki sada yaad nahin

Bint-e-hawwa ko nachatay hain sar-e-mehfil ham
Kitnay sung dil hain k rasm-e-haya yaad nahin

Aaj apni zillat ka sabab ye he hai shayad
Sub kuch hai yaad magar, sirf khuda yaad nahi.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...