Jan 23, 2015

Hum par jo guzri hai kiya tum sun paao gay


Hum par jo guzri hai kiya tum sun paao gay 

Nazuk sa dil rakhtay ho tum ronay lag jaao gay 

Bhout dukh diye hain taqdeer aur duniya ne 

Baitho meray paas mohabbat karna bhool jaao gay

Chahat hai mout ki jo paas nahin aati


Chahat hai mout ki jo paas nahin aati 

Tamana hai jis khushi ki woh raas nahin aati 

Udaas ho gayi hai zindagi rotay rotay 

Ek us ki yaad hai jo tarpanay se baaz nahin aati

Ab kahan mohabbat main woh maza raha hai


Ab kahan mohabbat main woh maza raha hai 
Na parday ka pata , na woh sharm-o-haya hai 

Mohabbat kartay hain sirf dil ko behlanay kay liye 
Her aik aashiq ab to yahan be'haya hai 

Pyaar ka naam detay hain hawas kay pujaari jis ko 
Apni hasrat kar kay poori kehtay hain hum ne kiya hi kya hai 

Mohabbat woh jazba hai jo do dilon ko milaata hai 
Milein jis main sirf 2 badan socho woh rishta kya hai 

Main bhi phirta raha , talash-e-mohabbat main 
Sirf dhoka hi dhoka hai ab pyaar main rakha kiya hai

Mili zindagi hi aisi keh zindagi bhi ro pari


Mili zindagi hi aisi keh zindagi bhi ro pari

Teri talaash main zaalim saza bhi ro pari 

Tujhay toot kay chaha aur itna chaha

Keh teri wafa ki khatar wafa bhi ro pari 

Mera naseeb meri qismat mera muqadar banay tu 

Tujhay hi maangtay maangtay dua bhi ro pari

Tum ne to phir bhi seekh liya zamanay kay saath jeena


Tum ne to phir bhi seekh liya zamanay kay saath jeena 

Hum to kuch bhi na kar sakay tujhay chahnay kay siwa

Dhoka deti hai masoom chehron ki chamak aksar


Dhoka deti hai masoom chehron ki chamak aksar

Her kaanch kay tukray ko heera nahin kehtay

Na kar dil azaari na ruswa kar mujhay itna


Na kar dil azaari na ruswa kar mujhay itna 

Jurm bata , saza suna, aur khatam kar shikwa apna

Kabhi yaad kar liya karo is na'cheez ko yaaro


Kabhi yaad kar liya karo is na'cheez ko yaaro

Yeh shakhs bura hi sahi magar abhi zinda to hai 

Meri masoom mohabbat ki gawahi na maang


Meri masoom mohabbat ki gawahi na maang 

Meri palkon pe sitaron ne ibaadat ki hai

Teri masoom nigahon kay taqadus ki qasam 

Dil to kiya rooh ne bhi tujh se mohabbat ki hai

Kuch nahin milta jitni marzi wafa kar lo kisi se


Kuch nahin milta jitni marzi wafa kar lo kisi se 

Jab waqat wafa na kare to wafadaar bhi be'wafa ho jaatay hain

Bhout ajeeb hain yeh bandishein mohabbat ki


Bhout ajeeb hain yeh bandishein mohabbat ki 

Koi kisi ko toot kar chahta hai aur koi kisi ko chah kar toot jaata hai

Chor dain gay ik din tum se mohabbat karna , yeh wada hai mera


Chor dain gay ik din tum se mohabbat karna , yeh wada hai mera 

Bas zara zindagi , ka saanson se rishta to toot janay do

Jab dekho mujhay to apni nigahein thaam kar dekhna


Jab dekho mujhay to apni nigahein thaam kar dekhna 

Kahin meri dard bhari nigahon se tumhain mohabbat na ho jaye

Dil kay zakhmon ko tabas'sum main chupa rehnay do


Dil kay zakhmon ko tabas'sum main chupa rehnay do 

Tazkara-e-gham karnay se yahan log hansa kartay hain

Ban kay ehsaas meri dharkan kay paas rehtay ho


Ban kay ehsaas meri dharkan kay paas rehtay ho 

Tasveer ban kay meri aankhon kay paas rehtay ho 

Aaj poochna hai ek sawaal tum se 

Door ho kay kiya tum bhi udaas rehtay ho

Woh dulhan kay roop main khari thi Par woh kisi aur kay liye saji thi




Woh dulhan kay roop main khari thi 
Par woh kisi aur kay liye saji thi 

Aaj bhi us ka roop wohi sohaana tha 
Jissay main dekhta tha aur dewana tha 
Ussay panay ki justagoo thi ussay paana tha 
Par ussay kahan meri zindagi main aana tha 
Aankhon main ashk liye dekhta reh gaya 
Meri aankhon se aankhon ka toofan beh gaya 

Woh dulhan kay roop main kharri thi 
Meray liye nahin kisi aur kay liye saji thi 

Dil main jo dhak dhak ho rahi thi 
Meray dil ki dharkan bhi ro rahi thi 
Poocho na mujh se kiya beeti mujh par , kya seh raha tha 
Us ki doli ko jaatay huye dekh raha tha 

Woh dulhan kay roop main khari thi 
Par woh kisi aur kay liye saji thi

Shiddat-e-talab se chahna , phir apnaana aur apna kar chor jana


Shiddat-e-talab se chahna , phir apnaana aur apna kar chor jana

Kitni mehnat ki jaati hai na ? sirf ik dil dukhaanay kay liye

Kiya khabar thi humain keh itni mohabbat ho jaye gi tum se


Kiya khabar thi humain keh itni mohabbat ho jaye gi tum se 

Humain to bas tumhara muskuraana acha lagta hai

Na janay kiyon adhoori si reh gayi zindagi meri


Na janay kiyon adhoori si reh gayi zindagi meri 

Lagta hai jaisay khud ko kisi kay paas bhool aaya hoon

Koi kisi kay dard main shamil nahin hai


Koi kisi kay dard main shamil nahin hai 
Her ada husan kay qabil nahin hai 

Sab kuch luta kar samjh main aaya hai dost 
Yeh duniya Aaitabaar kay qabil nahin hai

Sapno ki duniya main hum khotay chalay gaye


Sapno ki duniya main hum khotay chalay gaye

Hosh main thay phir bhi madhosh hotay chalay gaye 

Janay kiya baat thi us ajnabi chehray main 

Na chahtay huye bhi us kay hotay chalay gaye

Ussay kehna teri judai ne mera yeh haal kar diya hai


Ussay kehna teri judai ne mera yeh haal kar diya hai 

Main nahin rota log mujhay dekh kar rotay hain

Meri aankhon se un ki yaad ka saaya nahin jaata


Meri aankhon se un ki yaad ka saaya nahin jaata 

Main ne maan liya un ko bhulaya nahin jaata 

Ek muddat se jo naam likha hai dil par 

Main kiya karoon woh mujh se mitaya nahin jaata

Mat dekha karo jaagti aankhon se khwaab


Mat dekha karo jaagti aankhon se khwaab 

Agar chahnay se sab kuch milta to aaj hum mohabbat kay shwhanshah hotay

Fiza main mehakti shaam ho tum


Fiza main mehakti shaam ho tum 

Pyar main chalakta jaam ho tum 

Tumhain dil main chupaye phirtay hain 

Meri zindagi ka doosra naam ho tum

Kabhi socha na tha keh aisa bhi din aaye ga


Kabhi socha na tha keh aisa bhi din aaye ga 

Ek pyara sa saathi hamein bhool jaaye ga 

Hum udaas hon gay us ko yaad kar kay 

Aur woh hamain yaad karna bhi bhool jaaye ga

Nahin hai koi muntazir hamara jis se karein dil ki baat


Nahin hai koi muntazir hamara jis se karein dil ki baat 

So jaao keh duniya masroof hai apnay chahnay walon kay saath

Taras gaye hum kuch sun'nay ko lab se teray


Taras gaye hum kuch sun'nay ko lab se teray 

Pyar ki baat na sahi koi shikayat hi kar do

Tujhay chah kar kaisay kisi ki chah karun


Tujhay chah kar kaisay kisi ki chah karun 

Tujhay bhool kar kiyon khud ko tabah karun 

Tu zindagi hi nahin dil'lagi bhi hai 

Phir aur kiyon kisi ko soch kay gunnah karun

Itni shiddat se bhi pyar na karna kabhi kisi se


Itni shiddat se bhi pyar na karna kabhi kisi se 

Bhout gehrai main  janay walay aksar doob jatay hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...