Jul 21, 2014

Phool chehra , wohi saba chehra



Phool chehra , wohi saba chehra 
Khwaab chehron se bhi juda chehra 

Hum ne bain-ul-satoor rakha tha 
Yaar logon ne parh liya chehra 

Sab se chehra chupaye phirta raha 
JAb khula us ka doosra chehra 

Aik tasveer ki numaaish hai 
Koi chehra hai aaj ka chehra 

Khaar khaar us kay roz-o-shab hain "Latif"
Hai ba'zahir jo phool sa chehra

Poet : Latif Afaaqi

Aks ko phool bananay main guzar jaati hai


Aks ko phool bananay main guzar jaati hai

Zindagi aaina khanay main guzar jaati hai

Shaam hoti hai to lagta hai koi rooth gaya 

Aur shab us ko mananay main guzar jaati hai

Her mohabbat kay liye dil main alag khana hai 

Her mohabbat isi khanay main guzar jaati hai

Poet : Ashfaaq Nasir

Teray jaanay ki gharri sakhat gharri hai jaana


Jaisay jhina kay chitakh jaye kisi saaz kay taar 

JAisay raisham ki kisi door se ungli kat jaye

Aisay ik zarb se parti hai kahin seenay main 

Kheench kay torni par jaati hai jab tujh se nazar 

Teray jaanay ki gharri sakhat gharri hai jaana

Poet : Gulzaar

Raat chup chaap dabay paaon chali jaati hai


Kaash ik baar 

Raat chup chaap dabay paaon chali jaati hai 
Sirf khamoshi hai , roti nahin , hansti bhi nahin 
Kaanch ka neela sa gumbad bhi urra jaata hai
Khaali khaali koi bajra sa bahaa jaata hai 

Chaand ki kirno main woh roz sa resham bhi nahin 
Chaand ki chikni dali hai keh ghulli jaati hai 
Aur snaaton ki ik dhool urri jaati hai 

Kaash ik baar kabhi neend se uth kar tum bhi 
Hijar ki raaton main yeh dekho to kiya hota 

Poet : Gulzaar

Shaam se aankhon main nami si hai


Shaam se aankhon main nami si hai 

Aaj phir aap ki kami si hai 

Waqat rehta nahin kahin tik kar 

Is ki aadat bhi aadmi si hai 

Poet : Gulzaar

Kiya gham jahan bhar kay mere wastay hain



Be'kaif zindagi kay sunsaan raastay hain 
Kiya gham jahan bhar kay mere wastay hain 

Na'kaamiyon kay veeraan saahil pe be'basi hai 
Daaman main dukh smaitay khushiyon ko taaktay hain 

Jalna tujhay hai shab bhar mujh ko bhi dard sehna 
Ae shamma teray meray ik jaisay raastay hain 

Nafrat ki wadiyon main bikhra wajood thaamay 
Insaan to chup khara hai saye pukaartay hain 

Ik baar hans ke bolo duniya ke na'khudao 
Hum muntazir hain teray tum se hi maangtay hain 

NA dosti pe razi , na dushmani gawara
Koi bataye mujh ko kiya log chahtay hain 

Meri wafa se meray dil ka nagar hai roshan 
Raaton ko bhi "Zia" hum yeh taaray baant'tay hain 

Kiran Zia

Be'kaif zindagi kay sunsaan raastay hain


Be'kaif zindagi kay sunsaan raastay hain 
Kiya gham jahan bhar kay mere wastay hain 

Na'kaamiyon kay veeraan saahil pe be'basi hai 
Daaman main dukh smaitay khushiyon ko taaktay hain 

Jalna tujhay hai shab bhar mujh ko bhi dard sehna 
Ae shamma teray meray ik jaisay raastay hain 

Nafrat ki wadiyon main bikhra wajood thaamay 
Insaan to chup khara hai saye pukaartay hain 

Ik baar hans ke bolo duniya ke na'khudao 
Hum muntazir hain teray tum se hi maangtay hain 

NA dosti pe razi , na dushmani gawara
Koi bataye mujh ko kiya log chahtay hain 

Meri wafa se meray dil ka nagar hai roshan 
Raaton ko bhi "Zia" hum yeh taaray baant'tay hain 

Kiran Zia

Mun'jamind khoon main halchal kar de


Mun'jamind khoon main halchal kar de

Mujh ko choo aur mukamal kar de 

Kitni pyasi hain yeh banjar aankhain 

Abar zaday inhain jhal thal kar de 

Main ne woh dard bacha rakha hai 

Jo teray husan ko pagal kar de 

Poet : Ahmed Fareed

Aa tehri barsaat to palkain bheeg gayein


Aa tehri barsaat to palkain bheeg gayein
Roi jab bhi raat to palkain bheeg gayein

Aankhon ko jab gehri kaali barkh ki 
Somp gaya soghat to palkain bheeg gayein

Apnay bhi jab chor kay wapis palatnay lagay thay 
Thaama us ne haath to palkain bheeg gayein

Youn to her nuqsaan pe haavi zabt raha 
Bikhar gayi jab zaat to palkain bheeg gayein

Pehlay to aankhon main hairat tehri thi 
Samjh main ayi baat to palkain bheeg gayi 

Baat bicharnay par hi khatam nahin hoti 
Chala jo koi saath to palkain bheeg gayein 

Her ilzaam ko sehnay ka kuch ehad to tha 
Aur chirri jab baat to palkain bheeg gayein

Kiran Rubaab Naqvi

Hasrat hai tujhay samnay baithay kabhi dekhon


Hasrat hai tujhay samnay baithay kabhi dekhon 
Main tujh se mukhatab hoon tera haal poochon 

Dil main hai mulaqaat ki khwaish ki dabi aag
Mehndi lagay haathon ko chupa kar kahan rakhon 

Jis naam se tu ne mujhay bachpan main pukaara 
Ik umar guzarnay pe bhi woh naam na bhoolon 

Tu ashk hi ban kar meri aankhon main samaa jaa
Main aaina dekhon to tera aks bhi dekhon 

Poochon kabhi gunchon se sitaaron se hawa se 
Tujh se hi magar aa ke tera naam na poochon 

Jo shakhs keh hai khwaab main aanay se bhi khaif 
Aaina-e-dil main ussay moujood hi dekhon 

Ae meri tamana ke sitaray tu kahan hai 
Tu aye to yeh jisam shab-e-gham ko na sompun

Us ne aik baar yeh kaha tha mujhay


Us ne aik baar yeh kaha tha mujhay 

"Mujh ko aadat hai bhool jane ki "

MAin ne pal bhar ko bhi nahin socha 

Mujh ko rangon , gulaab , khushboo se 

Titliyon , baarishon ' hawaon se

De kay tashbeeh bolnay wala 

Bhool jaye ga khwaab ki surat 

Kiran Rubaab Naqvi

Raat chup chaap dabay paaon chali jaati hai


Gumaan 

Us ne aik baar yeh kaha tha mujhay 

"Mujh ko aadat hai bhool jane ki "

Main ne pal bhar ko bhi nahin socha 

Mujh ko rangon , gulaab , khushboo se 

Titliyon , baarishon ' hawaon se

De kay tashbeeh bolnay wala 

Bhool jaye ga khwaab ki surat 

Kiran Rubaab Naqvi

Yeh ishq-o-mohabbat samjh se bala tar hain


Yeh ishq-o-mohabbat samjh se bala tar hain 

Ilam hota aalam hotay , fun hota to maahir hotay

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Tujh ko awaaz doon aur door talak tu na milay


Tujh ko awaaz doon aur door talak tu na milay 

Aisay sanatay se aksar mujhay dar lagta hai

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Bhout yaad aany lagy ho.


 
Bhout yaad aany lagy ho.
Bicharna to milny se bhar kar.
Tumhin mery nazdeq lany laga hai.
Main har waqt khud ko.
Tumhary jawan bazuoon main pighalty huwy dekhti hun.
Mery hont ab tak.
Tumhari mohabat se nam hain.
Tumhara ye kehna galat to na tha k.
Mery lab tumhary labon k sabab se hi gulnar hain.
To khush ho.
K ab to mery aainy ka bhi kehna yehi hai.
Main hai bar balon main kanghi adhori hi kar pa rahi hun.
Tumhari mohabat bhari ungliyan rok leti hain mujh ko.
Main ab manti ja rahi hun.
Mery andar ki sari ruten.
Aur bahir k mousam.
Tumhary sabab se.
Tumhary liye thy.
Jawabann.
Khizan mujh main chaho gay tum dekhna 
Ya keh fasal-e-baharaan
Koi faisala ho 
Magar jald kar do to acha hai

Parveen Shakir

Aik khat


Aik khat
 
Bhot yad aany lagy ho.
Bicharna to milny se bhar kar.
Tumhin mery nazdeq lany laga hai.
Main har waqt khud ko.
Tumhary jawan bazuoon main pighalty huwy dekhti hun.
Mery hont ab tak.
Tumhari mohabat se nam hain.
Tumhara ye kehna galat to na tha k.
Mery lab tumhary labon k sabab se hi gulnar hain.
To khush ho.
K ab to mery aainy ka bhi kehna yehi hai.
Main hai bar balon main kanghi adhori hi kar pa rahi hun.
Tumhari mohabat bhari ungliyan rok leti hain mujh ko.
Main ab manti ja rahi hun.
Mery andar ki sari ruten.
Aur bahir k mousam.
Tumhary sabab se.
Tumhary liye thy.
Jawabann.
Khizan mujh main chaho gay tum dekhna 
Ya keh fasal-e-baharaan
Koi faisala ho 
Magar jald kar do to acha hai

Mila woh bhi nahin karte mila hum bhi nahin kartay


Mila woh bhi nahin karte mila hum bhi nahin kartay 

Wafa woh bhi nahin kartay , wafa hum bhi nahin kartay 

Unhain ruswai ka dukh , hamain tanhai ka dar 

Gila woh bhi nahin kartay , shikwa hum bhi nahin kartay 

Kisi mor par takrao ho bhi jaat hai aksar 

Ruka woh bhi nahin kartay , tehra hum bhi nahin kartay 

Jab bhi dekhtay hain unhain , sochtay hain kuch kahain un se 

Suna woh bhi nahin kartay, kaha hum bhi nahin kartay 

Lakin yeh bhi sach ahi keh mohabbat unhain bhi hai 

Izhaar woh bhi nahin kartay , kaha hum bhi nahin kartay

Jab sar-e-shaam us ne zulfon ko sanwara ho ga


Jab sar-e-shaam us ne zulfon ko sanwara ho ga 
Hath main kangan aankh main kajal awara ho ga 

Us ke baal main saja woh surkh gulaab 
Raat sote main kisi ne to utara ho ga 

Aalam-e-tanhai main main shab bhar karwatein le kar 
Koi to ho ga jissay us ne pukara ho ga 

Haye , woh neend main doobi hui makhmppr nigahein 
Jis ne dekha wahin dil apna woh haara ho ga 

Us kay bhi tab laraztay huye honton pe wasi 
Hai yaqeen hum ko machalta hua naam hamara ho ga

Es raah-e-mohabbat ki tum baat na poocho



Es raah-e-mohabbat ki tum baat na poocho 

Anmol jo insaan thay , be,mol bik gaye 

Mana keh tum guftago kay fun main maahir ho


Mana keh tum guftago kay fun main maahir ho 

Wafa kay lafaz pe kabhi atko to hamain yaad kar lena

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Hamara kiya hai jo hota hai jee udaas bhout


Hamara kiya hai jo hota hai jee udaas bhout 

To gul tarashtay hain , titliyaan banatay hain

Poet : Ahmed Mushtaq

Main yeh soch ke us kay dar se utha tha


Main yeh soch ke us kay dar se utha tha 
Keh woh rok le gi , mana le gi mujh ko 

Hawaon main lehraata ata tha daaman 
Keh daaman pakar kay bitha le gi mujh ko 

Qadam aisay andaaz se uth rahay thay 
Keh awaz de kay bulaa lay gi mujh ko 

Magar us ne roka , na mujh ko manaya
Na daman hi pakra , na mujh ko bulaya 

Main ahista ahista barhta hi aya 
Yahan tak keh us se juda ho gaya main 


Wafa ki baat alag par jissay jissay chaha



Wafa ki baat alag par jissay jissay chaha

Kisi main husan kisi main ada ziada thi

Poet : Ahmed Faraz

Shaher main teri pazerai na hone doon gi


Shaher main teri pazerai na hone doon gi
Tu mera hai tujhay harjai na hone doon gi

Chup rahoon gi jo kahay ga koi tujh ko majno
Is se barh kar teri ruswai na hone doon ga 

Yaad aayon gi tujhay achay dino ki surat 
MAin mukamal teri tanhai na hone doon gi 

Jaanti hoon keh mera hona hai is se mashroot
Apnay dushman ki main paspai na hone doon gi

Achay lagtay hain "Qamar" mujh ko parinday lakin 
Is ko un ka bhi tamanai na hone doon gi 

Poet : Doctor Qamar Araa

Woh dil hi kiya jo tere milnay ki dua na kare


Woh dil hi kiya jo tere milnay ki dua na kare 
Main tujh ko bhool kar zinda rahoon khuda na kare 

Rahay ga saath tera saath zindagi ban kar 
YEh aur baat meri zindagi wafa na kare 

YEh theek hai nahin marta koi judai main 
Khuda kisi ko kisi se juda na kare 

Agar wafa pe bhrosa rahay na duniya ko 
To koi shakhs mohabbat ka hosla na kare 

Suna hai us ko mohabbat duaein deti hai 
Jo dil pe chot to khaye magae gila na kare 

Bhujha diya naseebon ne mere pyaar ka chaand 
Koi siya meri palkon pe ab jala na kare 

Zamana dekh chuka hai parkh chuka hai ussay 
"Qateel" jaan se jaye par iltajaa na kare

Poet : Qateel Shifai

Issay itifaaq samjho ya dard naak haqeeqat


Issay itifaaq samjho ya dard naak haqeeqat 

Aankh jab bhi nam hui  wajah tum niklay

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Yeh mohjaza bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhay


 Yeh mohjaza bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhay 
Keh sang tujh pe giray aur zakham aye mujhay 

Wohi to sab se ziada hai nukta cheen mera 
Jo muskura kay hamesha galay lagaye mujhay 

Main apnay dil se nikaalon khyaal kis kis ka 
Jo tu nahin to koi aur yaad aye mujhay 

Woh mera dost hai saray jahan ko hai maloom 
Dagha kare woh kisi se to shram aye mujhay 

Woh meharbaan hai to iqraar kiyon nahin karta 
Woh bad'gumaan hai to so baar azmaye mujhay 

Main apni zaat main nelaam ho raha hoon "Qateel"
Gham-e-hayat se keh do khreed laye mujhay

Poet : Qateel Shifaai

Main akela nahin



Main akela nahin


Zindagi kay andheray safar pe , teri yaad ka jugnoo
Teri khwaab alooda aankhon main  , guzra hua koi lamha
Teray phool honton se phoota hua 
Guftagoo ka koi tim'tamaata sitara
Meri sard saanson main utri 
Teray jisam ki garm khushboo
Meray walut main koi gungunaati hui teri tasveer
Dewaar-o-dar main khilay qeh'qahay
Aur honton pe tehri duaaon ki be'khaan'maa titliyaan 
Kuch adhoori mohabbat ki tooti hui seepian 
Teray aanay ki umeed main jaagtay rastay 
Aur aankhon main phaili hui khwaab ki kirchiyaan 
Aik nuqtay pe tehray huye chaaron mousam 
Siskatay huye din 
Judai kay kohray main that'thari hui sard shaamain 
Meray saath hain 
Main akela nahin 
Tum se kis ne kaha meray chaaron taraf koi mela nahin 

Poet : Farhaad Shah

Zindagi kay andheray safar pe , teri yaad ka jugnoo


Zindagi kay andheray safar pe , teri yaad ka jugnoo
Teri khwaab alooda aankhon main  , guzra hua koi lamha
Teray phool honton se phoota hua 
Guftagoo ka koi tim'tamaata sitara
Meri sard saanson main utri 
Teray jisam ki garm khushboo
Meray walut main koi gungunaati hui teri tasveer
Dewaar-o-dar main khilay qeh'qahay
Aur honton pe tehri duaaon ki be'khaan'maa titliyaan 
Kuch adhoori mohabbat ki tooti hui seepian 
Teray aanay ki umeed main jaagtay rastay 
Aur aankhon main phaili hui khwaab ki kirchiyaan 
Aik nuqtay pe tehray huye chaaron mousam 
Siskatay huye din 
Judai kay kohray main that'thari hui sard shaamain 
Meray saath hain 
Main akela nahin 
Tum se kis ne kaha meray chaaron taraf koi mela nahin 

Poet : Farhaad Shah

Lamhon main qaid kar de sadiyon ki chahatein


Lamhon main qaid kar de sadiyon ki chahatein 

Hasrat rahi keh aisa koi apna bhi talab'gaar ho

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Main is tarah se bhi manzar nikaal leta hoon


Main is tarah se bhi manzar nikaal leta hoon 

Chitaan kaat kay paikar nikaal leta hoon 

Ghaneem maal-e-ghaneemat ki fikar main gum hai 

So' waqat acha hai lashkar nikaal leta hoon 

Teri taraf sabhi raastay huye masdood

Ab apni simat hi ik dar nikaal leta hoon 

Poet : Ali Zriyon

Waqt waqt ki baat hai , ussay fursat nahin ab mujhay yaad karnay ki


Waqt waqt ki baat hai , ussay fursat nahin ab mujhay yaad karnay ki 

Kabhi woh shakhs mere seenay se lag kar meri saansain gina karta tah


ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Ek lamha-e-wisaal tha wapis na aa saka


Ek lamha-e-wisaal tha wapis na aa saka 

Woh waqat ki misaal tha wapis na aa saka 

Her ik ko apna haal sunanay ka kiya faida

Jo mera hum khyal tha wapis na aa saka 

Mujh ko mere wajood se jo kar gaya juda

Woh shakhs ba'kamaal tha wapis na aa saka

Woh maangtay hain dua'on main mujh ko


Woh maangtay hain dua'on main mujh ko 

Aur yeh bhi maangtay hain , koi aur maangta na ho

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Woh to aankhain thein jo keh gayi sab kuch


Woh to aankhain thein jo keh gayi sab kuch 

Lafaz hotay to mukar gaye hotay tum

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Mansoob uss kay qissay


Mansoob uss kay qissay 

Ouron se bhi thay lakin 

Woh baat bhout phaili 

Jo baat chali hum se

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Jo aa jaata hai khushi ki intiha par


Jo aa jaata hai khushi ki intiha par 

Bhout rotay hain us aansoo ki khatir

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Zulaikha kay ishq ne yeh raaz to khola


Zulaikha kay ishq ne yeh raaz to khola 

Sanam haseen ho to niyyat badal hi jaati hai

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Aaj bhi un ki nazron main raaz wohi tha


Aaj bhi un ki nazron main raaz wohi tha 

Chehra wohi tha chehray ka libaas wohi tha 

Kaisay unhain be'wafa keh doon 

Aaj bhi un kay dekhnay ka andaaz wohi tha

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Kitni ulaj gayi hai judai main zindagi


Kitni ulaj gayi hai judai main zindagi 
Woh shakhs jafa kar kay ehsaan kar gaya

Main jis ko baat baat pe kehta tha jaan 
Dekho wohi shakhs mujhay be'jaan kar gaya 

Pehlay woh meri zaat ki tameer main raha 
Phir mujh ko apnay haath se masmar kar gaya 

Woh aa mila to faaslay kat'tay chalay gaye 
Bichra to raastay meray dushwaar kar gaya 

Bichra kuch is ada se keh rut hi badal gayi 
Ik  shakhs saray shaher ko veeran kar gaya
 

Andheri raat main shama jalana bhool jaatay ho


Andheri raat main shama jalana bhool jaatay ho 
Hamari yaad ati hai to batana bhool jaatay ho 

Tumhari ik yahi aadat parishaan hum ko rakhti hai 
Nazar main aa to jaate ho Samana bhool jaatay ho 

Tumharay haath main aksar gulaabi phool dekhay hain 
Hamari raah main aksar bichana bhool jatay ho 

Tumhain to loat jaanay ki aksar fikar rehti hai 
Magar jab loat jaatay ho ana bhool jaatay ho 

Suna hai tum hatheli par  hamara naam likhtay ho 
Magar jab hum se miltay ho dikhana bhool jaatay ho

Muddat kay baad jo mili teray ki khabar


Muddat kay baad jo mili teray ki khabar 

Meri qabar kay saray phool khil uthay 


ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Tujh se bichron ga to mar jaaon ga


Tujh se bichron ga to mar jaaon ga 

Haan kuch aisay hi thay waaday uss kay

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Tujh se bichron ga to mar jaaon ga


Tujh se bichron ga to mar jaaon ga 

Haan kuch aisay hi thay waaday uss kay

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Mujhay rona nahin awaaz bhi bhaari nahin karni


Mujhay rona nahin awaaz bhi bhaari nahin karni 
Mohabbat ki kahani main ada'kaari nahin arni 

Hamara dil zara uktaa gaya tha ghar main reh kar 
Youn bazaar aye hain , kharidaari nahin karni 

Tahammuel ae mohabbat , hijar pathreela ilaaqa hai 
Tujhay is raastay pe tez raftaari nahin karni 

Hawa kay khauf se lipta hua hoon khushk tehni se
Kahin jana nahin , jaane ki tayari nahin karni 

Ghazal ko kam nigahon ki ponch se door rakhta hoon 
Mujhay banjar dimaagon main shajar 'kaari nahin karni

Naseehat ki thi mujh ko qais ne sehra kay baaray main 
YEh mera ghar hai is ki chaar dewaari nahin karni
 

Kiya kahain us se jo baat samjhta hi nahin


Kiya kahain us se jo baat samjhta hi nahin 

Woh to milnay ko mulaqaat samjhta hi nahin

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Woh jo kehta tha ishq main kiya rakha hai


Woh jo kehta tha ishq main kiya rakha hai 

Aik heer nay ranjha bana rakha hai

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Mohabbat Awaragi tak aa ponchi


Mohabbat Awaragi tak aa ponchi 

Her gali se guzar rahay hain hum 

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ


Her Roz kahan le ayein ik naya dil


Her Roz kahan le ayein ik naya dil 

Husan walon ne to andhair macha rakha hai

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...