Dec 14, 2014

Jaanay kiyon woh bheer main tanha lagta hai

Jaisay dasht main koi gulaab tanha khilta hai

Us ki ghazlon ka unwaan hamesha firaaq hota hai

Phir bhi woh harf wasal bar'haa likhta hai

TAqseem jab bhi hoti hai zaat meri tukron main

Woh bhout in'himaak se bikharnay ki sadaa sunta hai

Jab bhi kisi dewanay par waar kartay hain ehal-e-shaher

Sab teer woh apnay seenay pe tanha sehta hai

Ab bhi woh saahil pe kharra lehron ko hasrat se taka karta hai

Jaanay woh kiyon samnadar ko piyaasa likhta hai

Hum ne youn raat kay pehlu main yaadon ko sajaye rakha hai

Goya keh wusat-e-asmaan main sitaaron ko sajaye rakha hai

Woh hum se poochtay hain hamari mohabbat ka paymana
Hum ne to lamhon main sadiyon ko sajaye rakha hai

Zindagi se kiya gila kiya shikayat kartay jaanan
Bas lab si kar hum ne zakhmon ko chupaye rakha hai

Faqat tujh se hi nahin apnay her dard se mohabbat ki hai
Yeh taqaza-e-ishq hai keh dard kay sab hawalon ko sajaye rakha hai

Log kaisay jee letay hain be'wafa ho kar Qais
Hum ne to dil kay surkh lahoo hoti zameen ko wafaon se sajaye rakha hai

Raaton ko uth kar neer bahaana acha nahin

Aankhon ko sitaaron se sajaana acha nahin

Waqat ka pheya kabhi rukta nahin

Kisi kay loat aanay ki umeed lagaana acha nahin

Yeh pathron ka shaher hai nadaan

Yahan aaina dikhaana acha nahin

Zulmaton main basnay walay kab taa'ib hotay hain

Noor ki yahaan shamma jalaana acha nahin

Aajiz raahon kay chalan woh kiya jaanay

Ghroor in ka matti main milaana acha nahin 

Kuch dair to tehro chaand nikalnay ko hai

Shab-e-aakhir ka yeh haseen pal guzarnay ko hai

Taaray bhi rat'jaga manaatay hain anjuman main meri

Kuch dair main yeh ronaq-e-mehfil bhi harjai honay ko hai

Raat ka aanchal oorhay koi khanak'ti hansi phir goonji hai

Lagta hai jisam-o-jaan ka rabt tootnay ko hai

Main nikal aya hoon bhout door youn hi be'sabab chaltay chaltay

Door nazar main kahin chragh-e-sehar bujhnay ko hai

Sabab mujhay maloom nahin dharkan-e-dil kay be'qaabu honay ka

Barson baad phir se wohi misal-e-baad-e-saba khawbon se guzarnay ko hai

Bheeg kar barsaat kay paani main shaam roti hai

Utar kar aangan main meray shaam roti hai

Aik baar chaand ko us ne tanhai ka ehsaas dilaya tha

Us roz se chandani meray dar-o-baam main roti hai

Labon ki jumbish pe jab naam mera aa jaye

Woh aankhon kay sab motti  meray naam prooti hai

Rait pe saahil kay woh tasveer banaati hai

Phir larr kay lehron se saweray shaam roti hai

Aankhon main saja kar woh kitnay hi sapnay aati hai

Bholi itni hai keh tabeerain sab un ki meray naam karti hai

Sabar kay daman taar taar huye

Sabar kay daman taar taar huye

Jo zulam teray ehal-e-watan par baar baar huye

Zameen kaamp uthi asmaan tarap gaya

Watan ki galiyon main baha jo lahoo to insaan zaar zaar roye

Rab-e-kaaba ko sajda karna juram tehra yahaan

Shaher-e-but'paraston main but'shikan aye ehal-e-watan khar khar soye

Youn loota hai asbaab rafeeqon ne yahaan

Keh is harkat-e-hewaniyat pe nadim dushman bhi zaar zzar roye

Woh din bhi aata hai jab khoon-e-maqtool pukaaray ga Qais

Tu laakh apnay haath lahoo se rangeen baar baar dhoye

Jab raat kay daaman main siskiyaan tarapti hain

Tab hina'ei haathon main chooriyaan bikharti hain

Shajar gulaabon kay chamman main tarsaan hain
Haathon ka soona'pan dekh kar kalaiyaan tarasti hain

Daaman main hain us kay wafa kay motti bikhray se
Qismat ki lakeeron main sadayein sisakati hain

Shaam kay saayon main khud ka saaya bhi tanha sa lagta hai
Logon kay melay main aankhain  barasti hain  

Be'naam se khatt chand sookhay gulaab aur tasveer-e-jaanan
Dil ki tapish main adhoori mohabbat ki chand nishaa'niyaan jalti hain

Zakham-e-ulfat kay sab nishaan tamghay hain
Raah-e-wafa main mil jayein to ehal-e-dard ki chahatain da'makti hain

Sar se paaon tak woh noor ka haala hai Qais
Choona chahon bhi to hatheliyaan jalti hain

Hayaat-e-faani kay sood-o-ziyaan sab bhool chuka hoon main

Jo bhi paya tha woh sab bhool chuka hoon main

Rabt hai mujh ko aik dard-e-musalsal se logo
Shab-e-hijraan kay tareek lamhon main bhout ro chuka hoon main

Kaanton kay bister pe aik umar guzaari hai
Awaaz mat dena ab orh kay phoolon ki chaadar soo chuka hoon main

Sabab ujarnay ka sar-e-raah pooch liya us ne
Mousam sab khizaaon kay utaar kay andar un ka ho chuka hoon main

Sambhaal rakhye hain kuch adhooray se khwaab aur kuch tarasti neendain
Ab lout kar mat aana shaher-e-khamoshan ka baasi ho chuka hoon main

Rasam-e-mohabbat hai sab mitta lutta dena

Taqaza-e-ishq hai sar tasleem-e-kham kat'taa dena

Gar tamana ho duniya ki andheray mit'tanay ki

Paao jo khud ko be'bas to dar-o-baam jala dena

Jin se khadsha ho nashaiman ki bar'baadi ka

Un chraghon ko sar-e-shaam bujha dena

Jo daagh-e-mufarqat de kay bas'sain shaher-e-khamoshaan main hum

Tum bhi ba'tor-e-saza katbay pe likha naam mit'ta dena

Wazahatain maangnay aa raha hai woh jo be'wafa tha kabhi Qais

Muskuraa kay milna tum hijar ki her zakhmi shaam chuppa dena   

Aik shakhs mousam-e-khizaan main khilay gulaab sa hai

Woh kuch un'kahay sawalon kay jawaab sa hai

Samait lena bikhray huye sheraazay ko tum

Keh harf jarf kitaab-e-ishq ka nayaab sa hai

Badlay huye lehjay , badlay huye atwaar ki wazahat zaroori to nahin

Mousamon ka yaksaan rehna bhi to azaab sa hai

Be'noor ujaalon ne bhi aankhain kheera kar daalein

Woh chaand asmaan ka tu mehaz saraab sa hai

Hum to qafas-e-mohabbat kay aarzoo'mand rahay Qais

Mili jo rehaai to pal pal Attaab sa hai

Raat ajab aik sapna dekha ,gham'zda koi apna dekha

Raat ajab aik sapna dekha

Gham'zda koi apna dekha

Tanha akela baitha tha logon ki bheer main

Lab khamosh magar neer bahaana dekha

Aankhon main udaasi liye bas magar tha

Par dharkan-e-dil ka karaahna dekha

Jo khud ronaq-e-chaman raha bahaaron main

Aaj titliyon ka bhi ussat sataana dekha

Toot kar bikhar jayein aisi chot khaani thi us ne

Dard kay hajoom main bhi us ka muskuraana dekha

Lout aye woh harjaai jab ho chuki shaam zindagi ki

Khaali haath tha daaman us ka phailaana dekha

Zakhmon se choor tha dekh kar haal mehboob ka

Pachtawey ki aag main jalta na aisa dewana dekha

Dil paseej jaata shayed us mehboob-e-harjaai ka

Par guzray barson ka hisaab maangna dekha

Yeh sapna tha haqeeqat thi ya dard main dooba waqat tha

Subha ki thandi saba main khud ka neer bahaana dekha

Aiyaan ho kar bhi hijaabon main rahay

 Aiyaan ho kar bhi hijaabon main rahay

Zubaan thi magar be'zubaano main rahay

Ajab asool hain ehal-e-dard kay yahaan

Zakham kha kar bhi muskurahaton main rahay

Dhoondnay walay sagar ki teh se motti nikaal laye

Khouf-e-Aab is qadar ghalib tha keh hum kinaaron main rahay

Do gaam chaltay to kamraani qadam choom leti

Kuch log mehav-e-khwaab thay so khwaabon main rahay

Taaj-o-takht qadmon main paray muntazir thay aik nazar-e-inaayat kay

Hum sadaa kay darwaish thay so faqeeron main rahay

Log to gunnah bhi sajaatay hain seeno pe tamghon ki tarah

Hum se hui lamhay ki lagzish to barson sazaon main rahay

Fursat milti to mitta letay Tehreer-e-hijar , loh-e-taqdeer se

Aalam-e-be'khudi main bas guzray chand anmol lamhon ki yaadon main rahay

Baagh-e-mohabbat main aaj bhi wafa roti hai

Ab raat pehlay se barh kar siyaah hoti hai

Yeh raat kay snaatay main kaisi siskiyaan sunayi deti hain

Lagta hai takiye pe sar rakh kar koi zubaan be'sada roti hai

Chalo aankh moond kar so jaatay hain us kay saya-e-zulf main

Suna hai neend wahaan orh kar haseen rida soti hai

Bin piyea hi madhoshi chayi rehti hai aksar

Jab bhi us kay shaher se aa kar baad-e-saba chooti hai

Us kay chehray ka rang badal jaata hai yak'dam

Sar-e-mehfil jab bhi majrooh us ki ana hoti hai

Ruksaar pe pehli qos-e-qazah ka nizaara kartay

Banaa kar naya asmaan tujh ko sitaara kartay

Husan-e-mehtaab par to likh rakhi hain kitaabain bhout

Sab adab sab dewaan dharay reh jaatay gar tera nizaara kartay

Yeh loh-e-dil pe likhi taqdeer badal jaati

Gar ashk teray koi ishaara kartay

Ishq main teray junoon is qadar ghalib raha

Phir ehal-e-duniya se kiyon na kinaara kartay

Doob jaatay toofan-e-sagar main muskuraatay huye

Ae saahil pe kharay naazir tujh ko na koi ishaara kartay

Hamain to dukh bhi itnay aziz rahay ta'umar

Kisi zulf-e-mah'jabeen ki tarha inhain sanwara kartay

Shab-e-tanhai main diya bujh jaata hai jab jaana

Be'qaraar ho kar be'khudi main tujh ko hi pukaara kartay

Darmiyaan main kai sehra haayel ho gaye

 Darmiyaan main kai sehra haayel ho gaye

Mizaaj banjaara tha so hum bhi maayal ho gaye

Sar-e-maqtal dekh kar woh hairaan hain bhout hamain

Khud apni wafaon ki saza kay saayel ho gaye

Pehli baarish main maangi thi keh'kashaon ki

Nangay paaon ab chaltay sang'rezon pe ghayal ho gaye

Detay kiya tumhain lafzon ki soghaat

Sakhi itnay thay keh khud saayel ho gaye

Sazaon main kami to shayed ho jaati jaana

Dukh main lazat itni thi keh khud hi hayal ho gaye

Raah main kai mor hain sambhal kar chalna

Jo paao rasta anjaan sambhal kar chalna

Yahaan muskurahaton main chupay hain teer-o-khanjar

Banana jo tum kisi ko aashna sambhal kar milna

Yahaan awazon pe pehray hain her soo

Jo dil ki baat chaho kehna sambhal kar bolna

Qasid phir aaj sandesa laya hai harjai ka

Lifaafa ashkon se hai mehakta sambhal kar kholna

Ab nahin paata khud main jeewan ki koi ramq baaqi jan-e-qais

Ab kay jo rooth kar ho chalna sambhal kar chalna

Zubaan chup thi magar lafaz boltay rahay

Yaad kay dareechon se kai unwaan boltay rahay

Umar-e-rawan to tehri ghaflaton ki kitaab

Zindagi ki shaam main amaalon kay mezaan boltay rahay

Bikhar gaye nashaiman kay tinkay hawaon main apnay

Kharray tanha ussay smaitnay kay samaan sochtay rahay

Yaadon ki raah guzar par gubaar-e-karwaan raha

Hum udasiyon main manzalon kay nishaan khojtay rahay

Silsalay wafaon kay ajeeb tarz kay thay Qais

Jinhain maqsood-e-hayaat jaana  wohi fana kay unwaan nikaltay rahay

Kahin toota taara asmaan pe jo kabhi tum dekho

Aankhon se meri rawani-e-dariya-e-ashk kabhi tum dekho

Bakshay hain jo tum ne zakham-e-ulfat mujhay

Buntay huye na'soor-e-jaan sabhi tim dekho

Gham-e-hijraan kay dard ka aalam kiyon kar ho biyaan

Kisi zakhmi taahir ka tarapna kabhi tum dekho

Waqat-e-kalaam munh se us kay phool jhartay hain

Labon ki jumbish pe hotay raqs-e-tabasum kabhi tum dekho

Silsala zaat-e-qais ki dharkano ka qayam hai kaisay

Palkon ka us ki girna aur uthaana kabhi tum dekho

Gayi ruton kay kuch khwaab sambhaal rakhna

Sard shaamon kay chand azaab sambhaal rakhna

Mohabbat main rawa rakhaye hain tu ne sada asool-e-tijaarat

Ae jaan-e-wafa sood-o-ziyaan kay woh sab hisaab sambhaal rakhna

Teri chahat main ta'umar shair kehtay rahay

Ab ghazal ki woh mehakti kitaab sambhaal rakhna

Tareekh-e-wafa kay sab asool aik shab-e-wasal ne shika diye

Ulfat kay woh sab nisaab sambhaal rakhna

Dastaan-e-safar jo ussay suna suna kay roye hum Qais

Sisaktay harfon ki woh sisakti kitaab sambhaal rakhna 

Faasalon ko manzil se shikwa kiyon hai

Faasalon ko manzil se shikwa kiyon hai

Tawaalt-e-safar ko musaafir se shikwa kiyon hai

Zameen bhi simat jaati gar tu do gaam chalta

Shaher-e-husan main khonay walay shair se shikwa kiyon hai

Daagh chaand main jo dekha to tanha tarapta chor aya

Ae aashiq-e-baatin tujhay zehar se shikwa kiyon hai

Dar-e-maqtal lagzish teray qadmon ki tujhay ruswa kar gayi

Jab tehri rasm mar kay amar hona to jabar se shikwa kiya hai

Us ne jab dil-e-na'shaad ko thokar main urra diya qais

Is ada-e-be'niyazi pe uss haseen shair se shikwa kiyon hai

Rasam-e-mohabbat hai sab mitta litta dena 

Khaton kay meray jawaab kitaabon main rakhti thi

Kabhi gulaab woh kitaabon main rakhti thi 
Khaton kay meray jawaab kitaabon main rakhti thi 

Zamana shanaas thi woh bhout 
Her qadam phoonk kar raahon main rakhti thi 

Chehra shnasai main kamaal mahaarat haasil thi ussay 
Sada hi bhout sawaal nigahon main rakhti thi 

Ussay aitamaad tha bhout apni taqdeer par 
Roshan diya aksar toofaani hawaon main rakhti thi 

Sagar ki bhi parti lehron se ussay ishq tha bhout 
Isi zoham main naam mera paaniyon pe likha karti thi 

Ussay shayed bahaaron se adawat thi bhout 
Wafaon ka naam zard patton pe likha karti thi 

Woh jo milan rut main daagh-e-judai de gaya 
Suna hai hijar ki shab woh aanso'on se roti thi

Agar mujh se mohabbat hai

Agar mujh se mohabbat hai 
Mujhay sab apnay gham de do 
In aankhon ka her ik aansoo
Mujhay meri qasam de dy 
Agar mujh se mohabbat hai 

Tumharay gham ko apna gham bana loon 
To qaraar aye 
Tumhara dard seenay main chupa loon 
To qaraar aye 
Woh her shai jo tumhain dukh dy 
Mujhay meray sanam de dy 
Agar mujh se mohabbat hai 

Shareek-e-zindagi ko kiyon 
Shareek-e-gham nahin kartay 
Dukhon ko bata kar kiyon 
In dukhon ko kam nahin kartay 
Tarap is dil ki thori si 
Mujhay meray sanam de dy 
Agar mujh se mohabbat hai 

In aankhon main na ab mujh ko kabhi aansoo nazar aye 
Sadaa hansti rahain aankhain 
Sada yeh hont muskuraein
Mujhay apni sabhi aahain 
Sabhi dard-o-alam de dy 

Agar mujh se mohabbat hai 
Mujhay sab apnay gham de dy 
In aankhon ka her aik aansoo 
Mujhay meri qasam de dy

Chaha hai tujh ko chah'on ga her dam

Chaha hai tujh ko chah'on ga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 
Teri yaad jo aati hai meray ansoo behtay hain 
Apna to milan ho ga  pal pal yeh kehtay hain 
Kiya yeh zindgaani hai bas teri kahaani hai

Bas teri kahaani hai yeh jo zindgaani hai 

Chaha hai tujh ko chaah'oonga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 

Teri woh baatain , woh chahat ki rasmain 
Jhootay thay waday kiya jhooti thi qasmain 
Jaan-e-tamana kiya yeh sach hai bas itna keh dy 
Toot jaye na lamha aaitabar ka 
Dy koi sila meray intizaar ka 

Chaha hai tujh ko chaah'oonga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 

Teri hoon teri jo chahaye qasam lay lay 
Mujh ko hum'raahi tu apnay gham dy dy 
Sari umar hai mujh ko dard hudai ka sehna 
Raastay main khoyi hai manzil meri 
Meray saath jayein gi mushkalain meri 

Chaha hai tujh ko chaah'oonga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam 

Tu samnay hai meray phir kiyon yeh doori hai 
Tujhay kaisay bataon main hai kiya majboori hai 
Yeh bhi koi jeena hai sirf aansoo peena hai 
Sirf aansoo peena hai yeh bhi koi jeena hai 

Chaha hai tujh ko chaah'oonga her dam 
Mar kay bhi dil se yeh pyaar na ho ga kam

Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha

Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha , hay pyaar hua tha 
Dil us ki mohabbat main griftaar hau tha 

Woh roop kay jis roop se kaliyaan bhi lajain 
Woh zulf keh jis zulf se sharmaein ghataein 
Meh'khaanay nigahon pe , adaon kay traanay 
Dy daal mujhay husan-o-mohabbat kay khazanay 
Haan aisi hi ek raat thi 
Aisa hi sama tha
Yeh chaand bhi poora tha 
Zamana bhi jawan tha 
Ek pairr kay saaye main jab iqraar hua tha 

Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha , hay pyaar hua tha 

Kashmir ki wadi kay woh pur'kaif nazaray
Lamhaat mohabbat kay jahan hum ne guzaray 
Angraeiyaan lay kar meri baanhon kay saharay 
Gul'naar nazar aati thi woh sharm kay maaray
YAk'tarfa na thay husan-o-mohabbat kay isharay
Us ne bhi kai baar meray baal sanwaray 
Ehsaas ka jazbaat ka izhaar hua tha 

Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha , hay pyaar hua tha 

Kuch roz katay youn hi bura waqat jab aya 
Us husan ki devi ne bhi nazron se giraya 
Qurbat ne zamanay ki nigahon se giraya 
Aanchal meray haathon se mohabbat ne churaya 
Ek raat ko us ne mujhay sota hua chora 
Jaldi woh kahin pyaar ko rota hua chora 
Soya hua main neend se jaga jo saweray 
Woh jab na mili , chaa gaye aankhon main andheray 
Taqdeer kisi ko bhi buray din an dikahaye
Hotay hain buray waqat main apnay bhi paraye
Kiya pyaar ki doulat ka talabgaar hua tha 

Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha , hay pyaar hua tha 
Dil us ki mohabbat main griftaar hau tha 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...