Jab hijar ki aag jalatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 
Aankhon main raakh sajatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 
Mousam kay rang badaltay hi , lehra kar jhonkay aatay hain 
Shakhon se boor uratay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 
Yadon ki garam hawaon se , aankhon ki kaliyan jalti hain 
Jab aansu dard bata'tay hain  , kuch log bhout yaad aatay hain 
Be'dard hawaein seh seh kar , suraj kay dhaltay sayon main 
Jab punchi loat kay aatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 
Jab log jahan kay qison main  dam bhar ka moqa miltay hi 
Lafzon kay teer chalatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 
Yeh ishq mohabbat kuch bhi nahin , fursat ki karastani hai 
Jab log mujhay samjhatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 
Jab kalay badal ghir ayein  aur barish zor ki hoti ho 
Darwaze shor machatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 
Jab aangan main khamoshi apnay hont pe ungli rakhti ho  
Sanatay jab dar aatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 
Jab sard hawa ka bistar ho aur yaad se us kay liptay hon 
Tab naghma sa lehratay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 
Jab Oas kay qatray pholon par kuch moti se ban jatay hain 
Tab hum bhi ashk bahatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 
Hum yaad main bas gum rehtay hain , aur chand ko taktay rehtay hain 
Taron se baat chupatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain